Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Waseele Par Wahabiyon K Aitrazat or Uske Jawab

Waseele Par Wahabiyon K Aitrazat or Uske Jawab

WASEELE PAR WAHABIYO KE AITRAAZ AUR USKI JAWAAB


Wahabi, Devbandi, Gair Mukallid log Waseele ke Khilaaf ye Aayate Musalmano par Bahot Chaspa karte hain Aaiye us Aayat ki haqeeqat jante hain.

Aayat-1

"ALLAH ke Siwa Jin ko bhi Tum Pukarte ho Wo ek Makkhi bhi Peida nahi kar Sakte, Agarche wo Sab iske liye Jama ho jaye"
(Surah Hajj, Aayat-73)


  Aayat ki Tehqeek :-
Ye log Aadhi Adhuri Aayat peish karte he,
ye Aayat Asal me is Tarah he
"Ay logo Ek Kahawat Farmayi jati he ushe Kaan lagakar Suno, wo jinhe ALLAH ke Siwa Tum Punjte ho Ek Makkhi na Bana Sakenge Agar ye Sab Ikatthe ho jaye Aur Agar Makkhi unshe kuch Chin karle jaye to Usshe Chuda na Sake kitna Kamzor Chahnewala Aur Woh jis ko Chaha" (Yaani Punjanewala Aur Jinki Punja ki jati he Dono Nikamme he)
( Qanjul Imaan, Surah Hajj, Aayat-73)
Ye Aayat me Misaal di gayi he Wo Butt ke bare me di gayi he..
  Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho ki is Aayate Kareema par Tafseer padhe..
"Yaani Kafiro Kafir Butto par Sahed, Jaafran Wageira Lagate the Tab ye kaha ki Agar Makkhi Unke Paas se Sahad, Jaafran le jaye to ye Itni Takat bhi nahi Rakhte ki Fir le, Fir ye keishe Ma'abud he"
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-2, Safa-93)
(Scan Page :-

Nazdiyo yaha pe to kahi bhi Bujurgane Deen ke Baare me Nahi kaha gaya...!!!


  Ab Aage Roohul Bayan me Padhe,
"Tafseer Aalemana :
Beshaq wo log jo ALLAH TA'ALA ke Ma Siwa ki Parasti karte he Yaani wo Butt jinki Parstis Karke ALLAH TA'ALA ki Ibadat se Tajawat karte he ye Masl ka Bayan he"
360 Butt :-
Hazrat Kaashif Rahmatullah Alay ne likha ki Kaba Shareef ke Andar 360 Butt rakhe gaye the, ALLAH TA'ALA ne Farmaya Jin Butto ki Tum Parastis karte ho wo Sab ke Sab ALLAH ke Geir he"
Tafseer Sufiyaan :
"Ma Sawiyallah se Jahiri va Batini Butt Muraad he"
(Tafseere Roohul Bayan, Tarjuma Fuyuzul Rahman, Jild-4, Safa-1226)
(Scan Page :-


Yaha par bhi Butt ke baare me Kaha gaya he..


  Ab Aage Tafseere Durre Mansur me padhe..
"Ibne Marduya ne Ibne Abbas se Rivayat kiya ki "Ya Ayyohannasho Dureba Masalun" ye Misaal Butt ke Baare me Nazil hui he"
Imaam Ibne Jarir Aur Ibne AlManjr Rahmatullah Alay ne Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho se Riwayat kiya he ki "Talebo" se Muraad Tumhare Juthe Ma'abud he, Aur "Almatlubo" se Muraad Makkhi he"
Imaam ibne Ali Hakim Rahmatullah Alay ne Hazrat Alsadi Rahmatullah Alay se Riwayat kiya he "Laiyyakhloku Zobaban" Yaani ye Butt Hargij ek Makkhi bhi Peida Nahi kar Sakenge"
"Waiyaslubhumuz Zobaban Saiy'al" Butto ke liye Khana Rakha jata tha Fir ush par Makkhi Bhethti thi wo us se khati thi Leqin ye Butt Usshe Chinne ki Takat nahi Rakhte the, Fir logo Aur Butto ki Taraf kalam ka Rukh kiya Farmaya "Da'afat Talebo" Yaani Wo jo us Butt se Hajat ka Sawal karta he jo ek Makkhi bhi Peida nahi kar Sakta Aur Makkhi jo usshe Chin le ye usshe Wapis nahi kar Sakta, "Walmatlubo" usse Muraad Butt he jo na Makkhi se Chin Sakta he wo jo usne le liya he"
"Imaam Abd Bin Hamid Aur Ibne Almanzr Rahmatullah Alay ne Hazrat Akram Rahmatullah Alay se Riwayat kiya he Farmate he Usse Muraad Butt he Yaani Wo Chiz us Makkhi se wo Butt nahi Chuda Sakte"
(Tafseere Durre Mansur (Urdu), Jild-4, Safa-997)
(Scan Page :-

Aayat -2

"Aur us Shaksh se badh kar koun Gumraah ho sakta he jo Esho ko Pukaare jo Qayamat tak ushe Jawab na de Sake Aur Inko unke Pukarne hi ki Khbar na ho"
(Surah Ahkaf, Aayay-5)

  Aayat ki Tehqeeq :-
Ye Aayat DarAsal is tarah he
"Aur usse Badhkar Gumraah koun jo ALLAH ke Siwa esho ko Punje, jo Qayamat tak ush ke na Sune Aur unhe unki Punja ki Khber Tak nahi"
(Qanjul imaan, Surah Ahkaf, Aayat-5)
Ab Aaiye Tafseer se Jante he isme kis ke baare me kaha gaya he...
  Tafseere ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-
"Aur usse Badh kar Gumraah Aur Haqq wa Hidayat se Door kon hoga jo Sirk Karta he, KHUDA TA'ALA ke Siwa Auro ko 'Ma'abud' Banata he Aur Esho ko Pukarta he jin me Baat karne ki bhi Takat nahi Aur jo Qayamat tak inko Jawab na de sake Agar che ye unko Laakh Pukaar Pukaar ke Thak jaye"
(Tafseere Ibne Abbas(Urdu), Jild-2, Safa-495)
(Scan page :

Tafseere Ibne Kaseer :- "yaani Us Shaksh se badh kar Gumraah kon ho sakta he jo 'Butto' ko Pukarta he Aur Unshe us Chiz ka Sawal karta he jo wo Qayamat tak dene ki Salahiyat nahi Rakhte, Jo na Sunte he, Na Deikhte he Na Pakadte he kyu ki Woh to Jamawat Gunge Patthar he"
(Tafseere Ibne Kaseer, Jild-4, Safa-296)
(Scan page

Tafseere Mazhari :- "Yaani jab wo 'Butto' ko Bulate he Bafarzmahal Agar wo unki Aawaj Sun bhi le tab bhi wo unki Hajat puri Nahi kar Sakte kyu ki unke Ma'ani ko nahi Jante Aur na unke Maslhato ki Ri'ayat kar Sakte he"
(Tafseere Mazhari, Jild-8, Safa-510)
(Scan Page  

Aayat-3


"Yahi hi Tumhara Rabb he isi ki hukumat he aur jinko tum ALLAH ke elawa pukarte ho wah khajoor ki guthli(seeds) ke barabar bhi ikhteyaar nahi rakhte, Agar tum unko pukaro to we Tumhari sunege bhi nahi aur Agar Sun bhi len to tumhara khuch bhi na kar saken aur Qayamat ke din we tumhare shirk karne se hi inkaar karenge aur Tujhko khuday khabeer ka sa koi na batayega"
(Surah fatir, Aayat-13,14)


  Aayat ki Tehqeeq :-
Ye Aayat DarAsal is tarah he..
"Wahi Raat ko Din ke Hisse me lata he Aur Din ko Raat ke Hisseme lata he Raat ke Hisse me Aur ushi ne Suraj Aur Chand kaamme lagaye har ek ek Mukararr Mi'aad tak Chalta he, yahi he ALLAH Tumhara RABB ushi ki Baadshahi he Aur Uske Siwa Jinhe Tum Punjate ho, wo Khjoor ki Gutli ke Chilke Tak ke Maalik Nahi (13), Aur Agar Tum unhe Pukaro to Tumhari koi Pukaar na Sunege, Aur Agar (Bilfarz) Soon bhi le to Tumhari koi Hajat rava na kar Sakenge, Qayamat ke Din wo Tumhare Shirk se inkaar karenge, Aur (Ay Mukhatib) Tuje us Batanewale (ALLAH TA'ALA) ki tarah koi Na Batayega (14)"
(Qanzul Imaan, Surah Fatir, Aayat-13, 14)


Aaiye Ab Tafseer se Jante he ki is Aayat me kiske Baare me kaha gaya he..
  Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-
"is(ALLAH) ke Siwa jinki Tum Parastis karte ho wo to ek Katmeer ke bhi Haakim va Malik nahi, (Katmeer wo Halka chilka jo Khajur ki Gutli par Lapta hota he, Ya Jara shi Safedi jo Ush ki Past par Hoti he) itni shi Chiz par bhi Qudrat nahi, Agar Tum Unko Pukaro to wo Sun bhi nahi Sakte(ki wo to Patther he, jin me Has Harkat nahi Agar Balfarz wo sunte bhi yaani unki Arwaah wa Haqaik) wo to Tumhare Dusman he"
(Tafseere Ibne Abbas(Urdu), Jild-2, Safa-321)
(Scan page)

Tafseere Durre Mansur :- "Imaam ibne Abi Hakim Rahmatullah Alay ne Hazrat SadiAllah Rahmatullah Alay se ye Koul Nakal kiya he ki Ham Zamir se Muraad Ma'abud he jo Dua nahi sunte Aur Ibadat karnewale ki ibadat ko Nahi Sunte"
(Tafseere Durre Mansur(Urdu), Jild-5, Safa-693)
(Scan Page

Tafseere Ibne Kaseer :- "Aur ALLAH TA'ALA ke Siwa Tum jin KhudShakta 'Butto' ko Pukarte ho ye to Khajoor ki Gutli ke Pad ke bhi Maalik nahi"
(Tafseere Ibne Kaseer(Urdu), Jild-3, Safa-905)
(Scan Page :-

Tafseere Mazhari :- "Jin 'Butto' Wageira ki Tum Ibadat Karte ho ch Jaik Jameen va Aasman ke Khalik Aur Malik ho ye to Gutli ki upar jo Safeid Baarik Padada hota he uske bhi Malik nahi he"
(Tafseere Mazhari, Jild-8, Safa-64)
(Scan Page  

Aayat-4


"Aap kah dijiye tumne Apne khudaai shareekon ke haal par bhi Nazar ki he jinhe tum ALLAH ke siwa pukarte ho zara mujhe bhi batao ki unhone zameen ka Kaun sa Ansh(part) banaya he ya unka Aasmaan me kuch saajha he ya hamne unko kitab di hai ki ye usi daleel par Qayam hai ?"
(Surah Fatir, Aayat-40)


  Aayat ki Tehqeeq :-
Ye Aayat DarAsal is Tarah he..
"Tum Farmao bhla batao to Apne Wo Sharik jinhe ALLAH ke siwa punjate ho Muje Dikhao unhone Zamin me se Koun sa Hissa banaya Ya Aasmano me kuch unka Sanza he, ya Hamne Unhe koi Kitaab di he ke wo uski Roshan Dalilo par he, Balqi Lazim Aapasme ek Dusre ko Wa'da nahi dete Magar Farebka"
(Qanzul imaan, Surah Fatir, Aayat-40)
Ab Aaiye Tafseer se Jante he isme kis ke Baare me kaha gaya he..
  Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-
"Ay RASOOL Ahle Makka se keh do ki wo Tum jo 'Butto' ko Ma'abud Malik jante ho, Aur unko Khuda ka Sarik jaankar Punjate ho to ye Batao ki Unho ne kiya Peida kiya he"
(Tafseere Ibne Abbas(Urdu), Jild-2, Safa-328)
(Scan page 

Tafseere Ibne Kaseer :- "ALLAH TA'ALA Apne RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam se Farma raha he ki Aap Musrikein se kahe ki Tum ALLAH TA'ALA ko Chod kar Jin 'Butto' ko Pukarte ho"
(Tafseere Ibne Kaseer, Jild-3, Safa-918)
(Scan Page  

Tafseere Mazhari :-
" 'Meen Dunillah' se Muraad 'Butt' he"
(Tafseere Mazhari, Jild-8, Safa-80)
(Scan page 


Aayat-5


Jisme ek hi Surah ki 2 Aayate he, Surah A'araf ki Aayat - 194, 197 he jo Ham par Chaspate he..
"Beshaq Jinhe Tum ALLAH ko chod kar Pukarte ho wo Tumhare jeishe Bandey he To Tum Pukaro Unhe to unhe bhi chahiye ki wo Tumhari Baat ka Jawab de, Agar Tum Sacche ho" (194)
"Aur jinko tum ALLAH ke elawa pukaarte ho wah na to Tumhari hi Madad kar sakte he aur na apni madad kar sakte he"
(Surah Aaraf, Aayat-197)


  Aayat ki Tehqeeq :-
Ye Aayat me yaha Puri Batadeta hu Taaki Sach kya he wo pata chal jaye...
Ye Aayat 194 se lekar 197 tak Is tarah he..
"Beshaq Wo Jinko Tum ALLAH ke Siwa Punjate ho Tumhari Tarah Bandey he, to Unhe Pukaro Fir wo Tumhe Jawab de, Agar Tum Sacche ho(194) kya Unke Paav(Peir) he jinshe Chale ya Unke Haath he jinshe Giraftaar kare ya unki Ankhe he jinshe Deikhe Ya unke Kaan he Jinshe Sune, Tum Farmao ke Apne Shariko ko Pukaro Aur Muj par Daav chalo Aur Muje Mohallat na do (195) Beshaq Mera Waali ALLAH he jisne Kitaab Utaari Aur Wo Neiko ko Dost Rakhta he, (196) Aur jinhe Ushke Siwa Punjate ho Wo Tumhari Madad nahi kar sakte Aur Na Khud Apni Madad kare (197)
(Qanzul Imaan, Surah A'araf, Aayat- 194 - 197)
Hamare kuch Bhai Aayat padh kar hi Samaj gaye honge...
Ab Aaiye Tafseer se Jaante he, Is me Kis ke Baare me kaha gaya he...


  Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-
"Ay 'Kaafiro' Tum Jin 'Pattharo' ki Ibadat karte ho Aur Unko KHUDA TA'ALA ke Siwa Punjate ho wo Tum Jeishe Hi Tumhari Makhluk he, Agar Tum us Baat me Sacche ho ki wo Tumhari Madad kar sakte he to Tum se Baate nahi Karte ye kyukar Madad kar Sakte he" (Safa-449)
"Tum ALLAH TA'ALA ke Siwa Jinki Ibadat karte ho Yaani 'Butto' ki unme Tumhari Madad ki Aur Nafa Pahonchane ki Bilqul Takat nahi, Aur na Wo Khud Apni Madad kar Sakte he Na Dusro ko Bacha Sakte he, Ay RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam ye to 'Patther' he, Agar Unko Haqq ki Taraf Bulawoge ye na Sunenge Aur Na Jawab Denge Kyu ki Ye to be Hash va Harkat 'Patther' he, Unko Aysha Tarasha gaya he Aur Eshi Ankhe Banayi he ki Bajahir Malum hota he, ki ye Tum ko deikhte he Halanqi unme deikhne ki Taqat nahi"
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-1, Safa-450)
(Scan page :-
Safa-449 


(Scan page :-Safa-450 


Tafseere Durre Mansur :- "Imaam Abu Al Sheikh Rahmatullah Alay ne Hazrat Said bin Jabir Rahmatullah Alay se ye Koul Bayan kiya he ki Suraj Aur Chand ko laya jayega Yaha Tak ki Un dono ko ALLAH TA'ALA ke Samne rakha jayega Aur unhe bhi Laya jayega jo unki Ibadat Aur Punja karte the, Unhe kaha Jayega
"Fad uhum Falyastajibu Lakum in Kuntum Sadekeen"
Pukaro unhe Pas Chahiye ki Qabool kare Tumhari Pukar ko Agar tum Sacche ho"
(Tafseere Durre Mansur,Jild-3, Safa-487)
(Scan page :

 Tafseere Mazhari :- "Agar Tum Is Aqeeda me Sacche ho ki ye Khuda he, ye bhi Ahtmaal he ki Jab Unho ne Inshano ki Shakl me 'Butt' Ghad liye to Farmaya Un 'Murtiyo' ki Inteha Tumhare Khyaal ke Mutabik hi Hogi ki ye Tumhari Taraf Jinda Aur Aqal Rakhte he Agar ye bhi Maan liya jaye to ye Bebash 'Murtiya' keishi ibadat ki Mustahaq ho sakte he..? Tum bhi Jinda Aur Aqal wale ho tum Ek Dusre ki Ibadat ke Mustahaq nahi to ye keishe Mustahaq honge"
(Safa- 521)

Is Aayat me 'Butto' ki Parvana karne ki Ellat baya ki gayi he jo Na Apne Pujariyo ki Madad kar Sakte he Aur Na Apni Madad kar sakte he to muje unse kya Khouf wa Andesha ho"
(Tafseere Mazhari, Jild-3, Safa-522)
(Scan Page :-


Aayat-6


"Aur jinko ye log uske siwa pukaarte he we inka jawab isse zyada nahi de sakte"
(Surah R'ad, Aayat-14)


  Aayat ki Tehqeeq :-
ye Aayat Is Tarah he...
"Ushi ka Pukarna Saccha he, Aur uske Siwa Jinko Pukarte he, wo Unki kuch bhi Nahi Sunte Magar Uski Tarah jo Paani ke Saamne Apni Hatheliya Feilaaye beitha he ki Uske Mooh me Pahunch jaye, Aur woh Hargij na Pahunchega Aur Kafiro ki har Dua Bhatakti firti he"
(Qanzul Imaan, Surah R'ad, Aayat-14)


Aaiye Ab Tafseer se jaante he, ki is Aayat me kis ke Baare me kaha gaya he...


  Tafseere Ibne Abbas RadiAllaho Ta'ala Anho :-
"Aur jo log iske Siwa Aur chizo ko Punjte he Aur Unko Ma'abud Samaj kar Pukarte he wo Chiz na Un ko Jawab deti he Aur Na kuch Nafa hi Pahonchati he, magar Unka Haal esha he Jeishe koi pyaas ke Wakt Paani ki Taraf Apne Dono Hath feilaye taaki paani Door se us ke Mooh me Pahunch jaye Halanki wo Paani Hargij pyase ke Paas nahi ja sakta is tarah 'Butt' Parasto ko 'Butt' Kata'an Nafa Nahi de sakte Aur Kafiro ka Unko Pukrna Aur Punjna Bilqul Baatil wa Beikaar Aur Gumraahi he"
(Tafseere Ibne Abbas (Urdu), Jild-1, Safa-640)
(Scan page :

 Tafseere Durre Mansur :- "Wama Dua'aul Kaaferina Illa fi Dalalin"
ye ek Misaal he jo ALLAH TA'ALA ne Bayan Farmayi he ki Wo jin ki ye ALLAH ke Alawa Ibadat Karte he Masalan 'Butt' Aur 'Patther' to Duniya me Bhi Kabhi Ye Unhe Jawab Nahi deinge, Aur Na Unki Taraf koi Kheir va Bhlai Layenge Aur na Unse Kishi Musiba ko Dur karenge Hatta ki Mout Aajaye, Jis tarah Wo Shaksh jo Paani ki taraf Apna Hath Feilate he Taaki Paani us ke Mooh tak Pahonche to wo Paani Uske Mooh tak Nahi Pahonchega Hatta ki wo Pyaas ki Wajah se Mar Jayega"
(Tafseere Durre Mansur, Jild - 4, Safa-148)
(Scan page :

 Tafseere Mazhari :- "2) Yaani wo log jo 'Butto' ki ibadat Karte he Aur Un ka Zikr karte he Aur Unshe Apni Hajat Ka Sawal karte he.."
4) Yaani Kuffar ka un 'Butto' ko Pukarna Yaani Unki Ibadat Karna, Unshe Hajat Talab karna Zaya kasharah Aur Baatil he, Alfalah Ibne Abbas Se Riwayat Farmate he Kuffar ka ALLAH TA'ALA ko Pukar na Zaya he, Kyu ki Kufr Aur Ma'ashi ki pardo ki wajah se Unki Aawaje ALLAH TA'ALA ki Baargaah me Pahonchne se Mahrum he"
(Tafseere Mazhari, Jild-5, Safa-276)
(Scan Page :


In Tafseerat se Malum hua ki Ye Aayat me jo kaha gaya he wo Kafiro ke Butto ke baare me kaha gaya he, Nahi Bujuragane Deen ke bare me..

Ab Aaj Aqal ke Dusman ye Aayat ko Musalmano par Chaspate he...
Aaiye inki pehchan deikhe...
inki Pehchan 1400 Saal pehle Hame Batayi gayi he..
Hadees :-
Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta'ala Anho Farmate he
"Makhlooq me Sabse Badtareen log wo jo Kaafiro ke Baare me Nazil hone Waali Aayat ko Musalmano par Chaspa te he"
(Bukhari Shareef, Jild-3, Safa-709)
(Scan page :-

Ye he inki Pehchan,
Sabse Badtareen Log he Aur Inki Pehchan Khwarji he...

 

Waseele ka Inkaar karnewale ki Pehchan



Imaam Taqiuddin Subqi Rahmatullah Alay ka Ilm me Makam kya he wo Wahabi, Geir Mukallid janta hoga,


Aaiye Aaj Haqq va Batil ki Pehchan jante he..


  Imaam Taqiuddin Subki Rahmatullah Alay Farmate he ki
Yaad Rakho NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Waseela Banana Or NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Madad Aur Shafa'at Chahna Jaiz hi nahi Balqi Amr Mustahsan he, iska Jaiz Aur Mustahsan hona Har Deendar ke Liye ek Badi hi Amr (Qoule Sadiq, Sachhayi, Haqq, Musalemah Haqiqat) he jo AMBIYA, RASOOLO, SALF SALEHEEN Aur ULMA Se Sabit he, Aur kishi Mazhab walo ne in Baato se Inkaar nahi kiya Aur na kishi Jamane me in Chizoo ki Buraai ki Baat kahi gayi, Fir Ibne Teimiya Peida Huwa Aur in Cheezo ka Usne Inkaar Suru kar diya Aur Eshi Baat kahi jin se ek Bhola Bhala Musalman Dhokey me padh jaaye Aur Ek Eshi Nayi Baat kehni Suru Kardi jo Ab Tak kisi ne Na Kahi thi.
(Imaam Taqiuddin Subki Rahmatullah Alay,
Shifa us Siqam Fi Zeyarate Kheirul Anaam, Safa-357) 

SubhanAllah..

Kya Khoob Farmaya he...

Imaam Taqiuddin Subki Rahmatullah Alay ke ek ek Lafz par Gour karna jeisha he..
Aap Musalmano se Farmate he ki
HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ko Waseela Aur Shafa'at ka Zariya banana Har Deendaar ke liye Haqq he,
Aur Farmate he ki Iska Jaiz hona AMBIYA Alayhesalam, Aur RASOOLO Alayhesalam, Aur Salf Saaleheen Aur Ulma Se Sabit he,
(MashaAllah Summa MashaAllah),
jab Itna Ilm wala Gawahi de raha he to Shaq ki koi Gunjaish hi nahi,

Aur Aage Farmate he ki
kisi Mazhab Wale ne iska Inkaar nahi kiya Aur Naahi kishi Jamane me iski Burai Paai jati he
fir Ibne Teimiya Peida huwa Aur usne In sab Ka Inkaar suru kar diya, jisse Bhola Bhala Musalman Dhokey me Padh jaaye, Aur Nai Baat kehna Suru kar diya Jo Ab tak Kishi ne nahi kahi thi,
Astagfirullah..


Alhamdolillah
Imaam Taqiuddin Subqi Rahmatullah Alay ne Haqq Aur Baatil ki Pehchan bata di he..
Ibne Teimiya ke pehle kishi ne Waseela Aur Shafa'at Aur bhi Baate he jiska Inkaar nahi kiya jab Ibne Teimiya peida huwa usne Nayi Nayi baate Ghadh kar Deene Islaam ke Musalmano ka Imaan ka Janaza nikaal diya.

Aaj bhi Kai Musalman Dhoke me Fir rahe he..

"Lanatullahe Alal Kazebeen"

Magar Haqq kabhi Chupta nahi
Alhamdolillah Aaj bhi kai Musalman Apna Imaan Bachaye hue he.
jo 1400 Saal pehle Aqeede the wo Aqeede Aaj bhi Alhamdolillah kai Musalmano ke Shino me Moujud he.


  Filhaal Wahabi Aur Geir Mukallid jo Apne Shikhul Islaam ke Naye Ghade hue Aqeede ko Sar ka Taaaz banaye hue he
unshe Gujarish he ki Wo Haqq ko Padhe, Samje Aur Apni Islaah kare..
Beshaq Mera RABB Hidayat Dene wala he.


Sunni Bhaiyo se Gujarish he ki Aaj bhi kayi Musalman Dhoke me Fir rahe he,
Jah bhi koi Waseela, Safha'at ka inkaar kare to Samaj jaye ki wo Ibne Teimiya ka Peirokaar he, jisne Islaam me Naye Aqeede Ghad ke Musalmano ke Imaan ko Nukshan pahonchaya he. 

Talib-E-Dua
Syed Mohammad Hassan Ali Razwi Qadri
Founder & President Anjumane Faizan-E-Huzoor Tajushshariah
Sambhal, U.P, India

Post a Comment

0 Comments