Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 25 «⚘ Aapﷺ Ke Roze •────────────• ⚘Peer Ke Din Ka Roza ⌬ ➤Aapﷺ Har Peer ko Roza Rakha Karte The.Jab Aapﷺ Se is Ki Wajah Puchhi Gayi To Aapﷺ Ne Farmaya Ki Main isi Din Paida Huwa Tha Aur isi Din Mujh Par Quran Naazil Huwa Tha. 📬 Sahi Muslim,Hadees No.1162 📒
⚘Ayyam-e-Baiz Yani har mahine ke 3 Roze ⌬ ➤ Aapﷺ Har Mahine Me kam Se kam 3 Roze Rakhte The Magar Kisi khaas Taarikh Ka Ehtemaam Nahi Farmate The Taaki Ummat Par Asaani Rahe Aur Koi Esi Taarikh Ko Zaruri Nahi Samajh Le Lekin Aapﷺ Ne Begair Zaruri Samjhe Huye is Roza Ko Rakhne Wale Ke Liye 13-14-15 Taarikh Ko Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya Jaisa ki Ibn-e-Milhaan Qaisi Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ki Woh Bayan Karte Hain Ki Hame Huzurﷺ Ne Ayyam-e-Baiz ke Roze Yani 13-14-15 Taarikh Ko Roza Rakhne Ka Hukm Diya Aur Aapﷺ irshad Farmaya Karte The Ki is Roze Ke Rakhne Wale ko Hamesha Roza Rakhne Ka Sawab Milta Hai.. 📬 Tirmizi,Hadees No.762 📚 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments