Hazrat Khwaja Razi-ud-deen Muhammad Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi :
____________
Aap ki wilaadat 5 Zil Hijja 971 Hijri (1563 A.D.) me Kabul me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Qaazi Abdul Salaam Khilgi Samarqandi rahmatullāhi alaihi hai.
Aap ki waalida Hazrat Khwaja Ubaidullāh Ahraar rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
***********
Bachpan se Aap saadgi aur tanhai pasand karte the.
5 saal ki umr me Khwaja Saad rahmatullāhi alaihi ke madrase me Aap ki ta’aleem shuru hui.
8 saal ki umr me Qur’an shareef mukammal kiya.
30 saal ki umr me Maulana Saadiq Hilvahi ke paas ta’aleem shuru ki.
Phir Aap Mawara-un-Nahr (Transoxiana) gaye. Jaha kai soofi Auliya se Aap ki mulaaqaat hui. Pehle Aap Khwaja Ubaid rahmatullāhi alaihi se mile. Phir Aap Hazrat Shaikh Samarqandi ki sohbat me rahe. Unho ne Aap ke liye dua ki. Phir Aap Hazrat Ameer Abdullāh Balkhi rahmatullāhi alaihi ki sohbat me rahe. Jis se Aap ko kuchh sukoon mehsoos hua.
Ek baar Aap tasawwuf ki kitaab padh rahe the tab Aap ne dekha ki us jagah ke ird-gird noor chha gaya aur Khwaja Baha-ud-deen Naqshband rahmatullāhi alaihi Aap ke saamne jalwa afroz hain aur apna roohaani faiz ata farma rahe hain.
Is ke baad Aap ke dil me sirf ALLĀH aur us ke Rasool ki muhabbat hi baaqi rahi aur zohad o taqwa se Aap wilaayat ke buland maqaam par pahunch gaye.
***********
Ek baar Aap Mawara-un-Nahr ki taraf safar kar rahe the ki raaste me Aap ne khwaab me dekha ke Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki rahmatullāhi alaihi aap ka intazaar kar rahe hain aur aap ko bula rahe rahe hain. Aap un ke qayaam-gaah par gaye aur 3 din aap ke saath rahe. Khawaja Amkanaki ne aap ko khilafat ata farmai aur farmaaya “Hindustan jaakar Naqshbandi silsila qaa'im karo.”
Aap ne peer se farmaaya “Shaayad yeh mushkil kaam main nahi kar sakunga.”
Khwaja Muhammad Amkanaki ne aap ko Istikharah karne ke liye kaha. Aap ne istikharah kiya to raat ko khwaab me dekha ke ek tota darakht ki shaakh par baitha hai. Aap ne socha ke agar ye mere haath par aakar baithe to safar khushnaseeb hoga. Foran wo tota udkar aaya aur aap ke haath par baith gaya. Aap ne us ke munh me apna la’aab e dahan (thunk) rakha aur us ne aap ke munh me shakkar rakhi.
Subah ko aap ne peer ko is khwaab ke baare me bataaya to unho ne farmaaya “Tumhe foran Hindustan ke liye rawaana hona chaahiye.”
***********
Aap foran Hindustan ke liye rawaana hue. Aap Lahore aakar 1 saal rooke. Yaha bahot saare soofi aur ulama aur dusre logo ne Aap ka faiz haasil kiya.
Phir 1008 Hijri (1599 A.D.) me Aap Delhi aaye aur Jamuna ke kinaare Qila Ferozabad par ek masjid me qayaam kiya.
***********
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaaya to aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaaya ke “Sirf deen e Islaam hi sahi hai.”
Aap hamesha logo ki islaah aur hidaayat ki koshish karte rahe aur Shariat aur Sunnat ki ta’aleem dete rahe.
Apni kitaabo me aur dars me Aap logo ko har buri bid'at se door rehne ke liye samjhaate the.
***********
Ek baar raat ko Aap tahajjud ki namaaz padhkar aaraam karne ke liye apne bistar ki taraf gaye to dekha ke ek billi aap ke bistar par so rahi hai. Aap ke dil me itna raham tha ki Aap ne us billi ko bistar par sone diya aur thandi ke mausam me khud zameen par baithkar raat ka baaqi hissa guzara.
***********
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar der raat ko Aap ke ghar kuchh mehmaan aaye. Aap ne apne baawarchi se un ke liye khaane ka intazaam karne ke liye kaha. Us waqt khaane ka saamaan ghar par maujood nahi tha. Is liye us ne baahar jaakar kisi tarah intazaam kiya aur khaana pakaakar mehmaano ko khilaaya.
Jab mehmaan chale gaye to us khaadim ne Hazrat ko ye baat batakar apni ujrat ke liye kaha. Aap ne puchha to us ne kaha “Mujhe dunya ke maal o daulat ya aur koi cheez nahi chaahiye. Main to ye chaahta hu ki aap mujhe bilkul apne jaisa bana den.”
Aap use apne saath apne hujre me le gaye aur use apne seene se lagaaya to Aap ki dua se wo hoo-ba-hoo aap ke jaisa ban gaya. Logo ke liye dono me farq karna mushkil ho gaya.
Sirf yeh farq tha ke Khwaja apna r
oz ka kaam ba-dastoor karte rahe aur wo khaadim wajd me pada rehta tha. 3 din baad wo is dunya se intiqaal kar gaya.
(2) Ek zaeefa aurat ka 3-4 saal ka ladka Firozabad me deewaar par se taqreeban 30 gaz ki unchaai se gir pada. Deewaar ke niche mazboot farsh tha. Kaano ke suraakho se khoon jaari ho kar us ladke ka dam toot gaya.
Us ki maan girya wa zaari karne lagi aur be-qaraar hokar apne bache ko lekr Hazrat ki baargaah me aai aur ke Qadmo me daal diya aur us ki zindagi ki fariyad karne lagi.
Aap ne apna tasarruf posheeda rakhne ke liye ek Tibb ki kitaab talab ki aur farmaaya ke “Maaloom hota hai ke yeh ladka marega nahi.”
Thodi der Aap khaamosh rahe. Us ke baad dekha ladka zinda ho gaya. Yeh dekhkar haazireen ko bahot hairat hui.
(3) Ek martaba ek Shakhs Aap ka imtihaan lene ki garz se hire jawaahiraat lekar Aap ki baargaah me aaya aur Aap ko pesh kiye. Aap ne lene se inkaar farma diya.
Jab us shakhs ne bahot israar kiya to Aap ne apne musalle ka kona utha kar us se farmaaya ke “Dekh.” Jab us shakhs ne Aap ke musalle ke neeche nazar ki to dekha ke musalle ke neeche sone aur chaandi ke dariya jaari heain.
Aap ne naseehat karte hue us shakhs se farmaaya ‘Faqeero ka imtihaan na liya kar.’
***********
Aap aage (qibla ki taraf) bhi dekh sakte the aur pichhe muqtadiyo ko bhi dekh sakte the.
***********
Qual :
¯¯¯¯¯
Aap irshaad farmaate hain ke “Insaan dunya me rehkar apne sab tamaam kaam karte hue bhi parhezgaari ke saath taqwa aur ibaadat se ALLĀH ke qareeb ho sakta hai.”
***********
Aap ne ‘Berang’ takhllus ke saath bahot saari Nazamen likhi hai.
Maulana Rushdi ne ‘Malfuzaat’ me Aap ke dars wa ta’aleem ko jama kiya hai.
‘Ruq'aat’ me Aap ke 87 Maktubaat (letters) ko jama kiya gaya hai.
‘Kulliyaat e Baaqi Billāh’ me Aap ke likhe hue Mazmoonaat ko jama kiya gaya hai jin me Haqeeqat e Namaaz, Mukhtasar Bayaan e Tawhid, Ma’ana A’ooz (A’oozu Billāh), Tafseer Bismillāh aur Surah al-Faatiha, Tafseer Surah ash-Shams, Tafseer Surah al-Ikhlaas, Tafseer Surah al-Falaq, Tafseer Surah an-Naas Sharh e Rubaā'iyāt urfe Silsilatul Ahraar saamil hain.
***********
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ke 2 biwiya aur 2 saahabzaade hain :
Saahabzaade :
(1) Khwaja Kalaan Ubaidullāh,
(2) Khwaja Khurd Abdullāh.
***********
Aap Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se Hindustan me Naqshbandi silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Mujaddid e Alf e ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi (Sirhind)
(2) Hazrat Shaikh Abdul Haq Dehlawi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Khwaja Taaj-ud-deen Uṡmaani Sanbhali rahmatullāhi alaihi (Makka)
(4) Hazrat Khwaja Husaam-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi (Agra)
(5) Hazrat Shaikh Ilāh-daad Dehlawi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Shaikh Uṡmaan Jalandhari rahmatullāhi alaihi.
***********
Aap ka wisaal 25 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1012 Hijri (1603 A.D.) ko Sanichar ko Ghuroob e aaftaab se pehle 40 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Sadar Bazaar, Delhi me hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Muhammad Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments