بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
•───────────────• ⚘Hadees No.1 ⌬ ➤Hajrat-e-Abdullah Bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzurﷺ ne 4 umre Ada Farmaya To chautha umra Woh Tha Jis Ka Aap nNe Hajj Ke Saath Qiran kiya 📬 Abu Dawood,Hadees No. 1993-1994 ⚘Hadees No.2 ⌬ ➤ Hazrat-e-Saad radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki Huzurﷺ Ne Hajj-e-Qiran Kiya Aur Ham Ne Bhi Aap Ke Saath Hajj-E-Qiran Kiya 📬 Sunan Nisaai,Hadees No.2734 📘 ⚘Hadees No.3 ⌬ ➤ Hazrat-e-Hafsa radhi allaho anha Bayan Karti Hain Ki Main Ne (Hajj ke Waqt Mein)Huzurﷺ Se Arz Kiya Kya Wajah Hai Ki Logo Ne Umre ke Baad Apna Ehraam Khol Diya Lekin Aap Ne Nahi Khola? To Aapﷺ Ne Farmaya Ki Main Ne Qurbani ke Jaanwar Ke Gardan Me Patta Daal Diya Hai Aur Apne Sar Ke Balo Ko Chapka Liya Hai Main Us Waqt Tak Umre Se Halal Nahi Honga Jab tak ki Main Hajj Se Halaal Nahi ho Jaaon... 📬 Sahi Bukhari,Hadees No.1566.Sahi Muslim,Hadees No.1229.Abu Dawood,Hades No.1806 📒 ⚘⌬ ➤ Is Hadees Sharif Se Saaf Maloom Ho Gaya Ki Aapﷺ Ne Hajj-e-Qiran Kiya Tha Kyunki Aapﷺ Umrah Se Us Waqt Tak Halaal Nahi Hue Jab Tak Hajj Se Halaal Nahi Ho Gae Aur Aisa Sirf Hajj-e-Qiran Hi Me Hota Hai. ⚘⌬ ➤ Is ke Elawah Aur Bhi Hadeesen Hain Jin Me Aapﷺ Ne Apne Hajj ke baare mein Farmaya ki Mera Hajj Hajje Qiran Tha Lekin is ke Bawajood Teeno Tariqe Se Hajj ke jaaiz Hone Main Koi Shak Nahi Hai Koi Kisi Bhi Tariqe Se Kare Bilkul Jaaiz Aur Durust Hai Haan Woh log jo Hajj Karne Ki Taaqat Rakhne Ke Baad bhi Hajj Nahi kare un ki Badi Muzammat Aai Hai Ek Hadees Sharif Me Hai Ki Huzurﷺ Ne Farmaya Jo Shakhs Taaqat hone ke Baad Bhi Hajj Nahi Kare To Us Ka Koi Thikaana Nahi Hai Ki Woh Yahudi Ho kar Marega Ya isaai Ho Kar 📬 Tirmizi,Hadees No.812 📚 ⚘⌬ ➤ Allahu Akbar Allah Ta’ala Ham Sab ko imaan Aur Adab Ke saath Apna Ghar Dikhaae Aur Apne Mahboobﷺ Ke Dar Par Bulaae..AameeN |
Share on |
0 Comments