*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Abdun Nabi Naam Rakh Sakte He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Abdun Nabi Naam Rakh Sakte He, Usme Koi Harj Nahi, Shayad Is Wajah se Kisi Ko Shubah Ho Raha Ho Ki Yaha Par Abd He, Or Abd Ka Ma'ana Ibadat Karne Wala Hota He, Lekin Abd Ka Sirf Ibadat Karne Wala Hi Ma'ana Nahi He, Abd Ka Ek Ma'ana Gulam Bhi Aata He, Ita'at Karne Wala Or Farmabardar Bhi Aata He, Lihaza Yaha Par Abdun Nabi Ka Ma'ana Ye Hoga Ki Nabi Ka Farmabardar Ya Nabi Ka Gulam.
Huzur Sarkar Aala Hazrat Ne Isi Ma'ana Me Apne Ek Sher Me Irshad Farmaya ,
Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To He Abde Mustafa,
Tere Liye Amaan He Tere Liye Amaan He.
Yahañ Par Jo Abde Mustafa He Uska Ma'ana Ye Ki Mustafa Kareem ﷺ Ka Farmabardar Ya Unka Gulam.
Or Saiyedi w Murshidi Sarkar Tajushshariya Mufti Akhtar Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Apne Ek Naatiya Kalam Me Sher Darj Farmaya Ki,
Chandni Char Din He Sabhi Ke Liye,
He Sada Chand Abdun Nabi Ke Liye.
Yaha Par Abdun Nabi Ka Istemal Farmaya Isi Tarah Se Khanwada e Aala Hazrat Ke Buzurg Hazrat Allama Naqi Ali Khan Alaihir Rahmato Ridwan, Jo Sarkar Aala Hazrat Ke Walide Girami He Unhone Ek Durood Shareef Ke Andar Is Baat Ko Darj Farmaya He,
Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alaihi W Sallama,
Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alaihi W Sallama.
Yaha Par Abd Ki Jagah Ibaad. or Ibaadu Muhammadiñ Aapne Istemal Farmaya, Yahañ Par Bhi Ibaadu Ka Matlab Muhammad ﷺ Ka Farma Bardar Unke Gulam He.
Lihaza in Tamam Ash'ar Or Durood Shareef Ke Hawale Se Baat Sabit Ho Jati He Ki Abdun Nabi Ka istemal Ya Abdun Nabi Naam Rakhna Jaiz He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments