*🌹SAWAL:-🌹*
Imame Jafare Sadiq RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal 15 Rajab he To Kunde Ki Niyaz 22 rajab ko Kyu Ki jati he ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Kunde Ki Niyaz Isale Sawab He, Jo Bila Subah Jaiz he..
'Hilyatul Auliya' Me Hazrat Ta'woos bin keesan RadiAllahu Ta'ala Anhu se ye riwayat manqool he ki Imam Ja'afare Sadiq RadiAllahu Ta'ala Anhu Ka wisal 15 Rajab ko hua aap ke wisal ke baad aap ke lawahiqeen ke 7 din tak isale sawab ka ahtemam kiya fir 7ve din yaani 22 rajab ko aali shan paymana par fatiha ka ahtemam kiya gaya.
Is ke baad se 22 ko log fatiha dilane lage jo kunde ke naam se mash'hoor he, iski wajah ye he ki us zamane me kisi ke inteqal par saat (7) dino tak gurba'a w masakeen ko khana khilana mustahab jante the or fir aakir din bahut zyada ahtemam karte the Imam Jafar Sadiq ke ham asr satar Sahaba e kiram ki ziyarat karne wale Jaleelul Qadr taba'ee hazrat ta'woos bin keesan ka qaul Hazrat imam Abu naeem hilyatul Auliya me naql farmate he
*حَدّ َثَنَاأَبُوبَكْرِبْنُ مَالِكٍ،ثناعَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَبْنِ حَنْبَلٍ، حدثناأَبِي، حدثنا هَاشِمُ بْنُ الْقَاسِمِ، حدثناالأَشْجَعِيُّ،عَن سُفْيَانَ،قَالَ:قَالَ طَاوُسٌ:"إِنَّ الْمَوْتَى يُفْتَنُونَ فِي قُبُورِهِمْ سَبْعًا،فَكَانُوا يَسْتَحِبُّونَ أَنْ يُطْعَمَ عَنْهُمْ تِلْكَ الأَيَّامِ"*
*📚(HILYATUL AULIYA, HADISH-4593)*
Is Hadish Ki Imam Ahmad bin Hambal ne bhi apni kitab *📚'AL-ZAHAD'* Me Naql Farmaya He.
_Isi Tarah Se Hazrat Allama Jalaluddin Suyuti Alaihir Rahemato Ridwan Naql Farmate he,_
Sahaba E Kiram Saat Din Tak wafat Pa Jane Walo ki taraf se khana khilaya karte the.
*📚(Al-HAWI UL FATAWUS SUYUTI, J-2, S-223)*
Yahi Wajah he ki Kunde ki niyaz 22 Rajab Ko Mash'hoor hui.. Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Hazrat Ameere muawya RadiAllahu Anhu ka tarikhe wisal bhi he to unke naam se bhi fatiha dilae or sawab ke haqdar bane..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=========
0 Comments