Hazrat Ghaazi Saalaar Mas'ood rahmatullāhi alaihi :
__________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ush-Shohada fil Hind, Baala Peer.
*****************
Aap ki wilaadat 21 Rajab 405 Hijri (15 January 1015 A.D.) ko Itwaar ko Subah saadiq ke waqt Ajmer me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ghaazi Saalaar Saahoo Daawūd bin Ata-ullāh aur waalida ka naam Sitr-e-Mu'alla binte Sultaan Naasir-ud-deen Sabuktigin hai.
Aap Hazrat Muhammad ibn al-Hanafiyyah bin Ali al- Murtaza rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Aap Sultaan Mahmood Ghaznawi ke bhaanje hain.
Jab Raay Somkaran aur 40 Raajao ne ek bahot bade lashkar ke saath Ajmer ko gher liye to Sultaan Mahmood Ghaznawi ne Aap ke waalid Hazrat Ghaazi Saalaar Saahu ko Ajmer ke Governer Muzaffar Khan ki imdaad ke liye bheja.
Ajmer ki yeh muhim kaamyaab hone ke baad jab amn o sukoon ka maahol ho gaya to 8 Shawwaal 404 Hijri ko Aap ki waalida bhi Ghazni se Ajmer aa gai.
Aap ki wilaadat ke kuchh waqt baad mufsido aur shareero ne Kahilar ar hamla kya to Sultaan Mahmood Ghaznawi ke farmaan par Aap ke waalid lashkar ke saath Ajmer se Kahilar gaye. Kalihar me fateh ke baad Sultaan Mahmood Ghaznawi ne un ko Kalihar ki jaagir ata ki aur unho ne apni biwi aur saahabzaade ko bhi Kalihar bula liya aur waha sukoonat pazeer hue.
**************
Aap ne Hazrat Sayyed Ibrāheem Barah Hazari se ta’aleem haasil ki. 9 saal ki umr tak Hazrtat ne Aap ko zaahiri aur baatini uloom se muzayyan kar diya.
10 saal ki umr se Aap ne Qur’an majeed ki Tilaawat aur Namaaze Ishraaq w Chasht paabandi se ada karna shuru kar diya,
Aap hamesha Ba-wuzu rehte the.
**************
417 Hijri (1026 A.D.) Sultaan Mahmood Ghaznawi ne jab Somnath par hamla kiya tab Aap 11 saal ki umr me un ke saath saamil hue. Somnath fateh hone ke baad Sultaan Ghazni waapas laut gaye. Magar Aap barr-e sagheer me hi rook gaye.
Aur 422 Hijri (May 1031 A.D.) me Aap Meer Husain Arab aur Ameer Vazeed Ja’afar ke saath 1,00,000 sipaahiyo aur 50,000 ghode ka lashkar lekar jihaad ke liye Hindustan ki taraf rawaana hue. Yaha Saalaar Saif-ud-deen, Meer Bakhtiar, Sayyed Azeez-ud-deen and Malik Bahr-ud-deen ka lashkar bhi Aap ke lashkar ke saath saamil hua.
Miyan Rajab aur Saalaar Saif-ud-deen ne Brahmarchi (Bahraich) ki taraf aage badhe. Ameer Hasan Arab ne Mahona ko aur Malik Fazal ne Varanasi ko fateh kiya. Sultaan-us-Salaateen aur Meer Bakhatiar Kannor se aage gaye. Meer Bakhtiar kaafiro se jung karte hue shaheed ho gaye.
Saalaar Saahu ne Karra and Manikpur ko fateh kiya. Aur Karra me Malik Abdullāh ko naa'ib banaaya aur Manikpur me Qutub Haidar ko naa'ib banaaya. Sayyed Azeez-ud-deen ko Hardoi ki taraf bheja magar Gomti nadi ke kinaare Gopamau me jung me wo shaheed ho gaye.
Meerut, Kannauj aur Malihabad hote hue Aap Satrikh pahunche. Waha se Aap ne Meerut aur Ujjain par chadhaai ki. Magar waha ke raajao ne suleh kar li. Is ke baad Saket ko fateh kiya.
Phir Aap Ayodhya ki taraf rawaana hue. Zaidpur, Baba Bazar aur Rudauli hote aap Raunahi pahunche. Yaha se Aap ek gaanv me pahunche jo haal me Salarpur ke naam se mash'hoor hai.
Phir Aap ne Brahmarchi (Bahraich) ki taraf kooch karne ka iraada kiya. Brahmarchi Balark Mandir naam ka Surya Mandir tha. Jaha par bauli aur Surya Kund tha. Aur is mandir ko Hindu bahot maante the.
Hindu raajao ko jab is baat ka pata chala to Rai Raib, Rai Saib, Rai Arjun, Rai Bheekhan, Rai Kanak, Rai Kalyan, Rai Makaru, Rai Savaru, Rai Aran, Rai Birbal, Rai Jaypal, Rai Shreepal, Rai Harpal, Rai Hakru, Rai Prabhu, Rai Deo Narayan aur Rai Narsinha naami 17 raajao ne milkar muqaabala karne ke liye tayyaari ki. Bais Rajput, Arkawanshi kshatriya, Kalhans Rajput, Raikwars aur Bhar kabeele ne bhi saath diya. Baad me Rai Sahar Dev aur Rai Hardev bhi saamil hue. Sravasti ke Raja Suheldev ki sardaari me tamaam Kshatriya jama hue. Aur Ghaazi Sayyed Saalaar Mas'ood ko paighaam bheja gaya ke Ye ilaaqa Hinduo ka hai aur Aap yaha se waapas laut jaao. Magar Aap ne jawaab me farmaaya ke ‘Tamaam mulk ALLĀH hi ka hai aur is liye main kufr ko door karne ka kaam chhodkar yaha se jaa nahi sakta.’
13 Rajab 424 Hijri (13 June 1032 A.D.) ko Kshatriya lashkar ne hamla kiya aur Aap ke lashkar ko gher liya. 2 din ki Jung me Aap ke tamaam saathi shaheed ho gaye aur aakhir me dusre din shaam ko Aap bhi jung karte hue shaheed ho gaye.
*******************
Aap Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Husaini Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
*******************
Aap ka wisaal 14 Rajab 424 Hijri (15 June 1033 A.D.) ko 18 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Bahraich (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ghaazi Saalaar Mas'ood rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur tamaam Auliya Allāh aur shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments