Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi :
-------------
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Irshaad, Siraaj-ul-Auliya, Aarif-e-Noori.
**********************
Aap ki wilaadat 19 Shawwaal 1255 Hijri (26 December 1839 A.D.) ko Jumeraat ke roz Marehra (Uttar Pradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Zahoor Hasan bin Sayyed Shaah Aal-e-Rasool Ahmadi Marehrawi rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Ikraam Faatima binte Sayyed Shaah Dildaar Haidar Zaidi hai.
Aap Husaini saadaat hain.
*****************
Aap ki umr 2½ saal ki thi tab aap ki waalida ka inteqaal hua.
Aap ke daada Sayyed Shaah Aal-e-Rasool Ahmadi aur daadi Nisaar Faatima ne Aap ki parwarish ki.
Aap ki umr 11 saal ki hui tab Aap ke waalid ka intiqaal hua.
*********************
Aap ne Maulana Shaah Turaab Ali Lucknauwi, Maulana Fazlullāh Jalesari, Maulana Noor Ahmad Badayuni, Maulana Muhammad Saeed Badayuni, Maulana Abdul Qaadir Badayuni, Maulana Fazl-e-Rasool Badayuni, Maulana Ahmad Hasan Soofi Muradabadi aur Maulana Husain Shaah Bukhari se ta’aleem haasil ki.
Aap Quraan, Hadeeṡ, Tafseer, Fiq'h aur Mantiq ke maahir hue.
**********************
12 Rabi’-ul-awwal 1267 Hijri (1851 A.D.) ko 12 saal ki umr me Aap Hazrat Khaatim-ul-Akaabir Sayyed Shah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
1296 Hijri me Hazrat Shaah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke wisaal ke baad Aap Sajjaada nasheen bane.
**********************
Aap ne 6 saal ki umr se namaaz e tahajjud padhna shuru kiya.
Aap apna zyada waqt Ibaadat, Riyaazat aur Muraqaba me guzaarte.
**********************
Aap kaṡrat se khairaat karte rehte.
Jab Aap kisi ghareeb ko phate puraane kapde me dekhte to us ke paas jaakar kehte “Kya tum mujhe apne kapde tohfe me dete ho?” Agar wo maan jaata to aap us ke kapde lekar apne ghar par aate aur phir naye kapde laakar apni taraf se us ko dete.
**********************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Khwaja Ghareeb Nawaaz ke urs ke mauqe par logo ke ek giroh ne apni apni haajat ke liye istegaasah likhkar Khwaja tak pahunchane ke liye aap ko khat diye.
Aap ne apne khaadim Haafiz Nazrullāh ko wo tamaam khat Khwaja ke mazaar me junoob aur maghrib ke darmiyaan ke kone ki taraf le jaane ke liye farmaaya aur farmaaya ki “Waha tumhe ek shakhs milega jo tum se ye khat le lega.”
Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni ne aap ki guftagu sun li aur un ko Khwaja ke us kaasid se milne ki khwaahish hui. Unho ne chhupkar Hafiz Nazrullāh ka peechha kiya. Jab Hafiz Nazrullāh Noori miyan ki batai hui jagah par pahunche to wo jaldi se Haafiz Nazrullāh ke paas pahunch gaye. Unho ne dekha ki Haafiz Nazrullāh ke haath khaali hain. Aap ko hairat hui ki koi shakhs nazar nahi aaya magar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath se wo tamaam khat gaayab kaise ho gaye. Unho ne Haafiz Nazrullāh se puchha ki “Un khato ka kya hua?” Haafiz Nazrullāh ne jawaab diya “Aap kyun mazaaq kar rahe ho? Abhi kuchh hi lamho pehle aap ne mere haath se wo tamaam khat liye aur phir bhi puchh rahe hain ki un khato ka kya hua?”
Wo dono uljhan me pad gaye aur Hazrat Noori miyan ke paas aaye aur Haafiz Nazrullāh ne aap ko saari baat bataai. Aap ne farmaya “Kuchh jinnaat ko Khwaja saahab ki baargaah me logo ki isteghaaṡah pahunchane ke liye muqarrar kiye gaye hain. Khwaja saahab ne logo ki ilteja jama karke pahunchane ki zimmedaari mujhe ata farmai hai. Aur wo qaasid mujhe pehchante hain aur jise main khat lekar bhejta hu use bhi pehchante hain. Aur usi qaasid (jinn) ne tumhare haath me se wo khat liye hain.”
Phir Aap ne Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni se puchha “Kya aap bhi un ke saath waha gaye the?” Unho ne kaha “Haan.” Aap ne farmaaya “Aap un ki kaarwaahi me khalel pahunchane waale the. Is liye us qaasid ne aap ki shakl banaakar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath me se wo khat le liye.”
3 din baad wo tamaam khat aap ko waapas mile. Aur un me Khwaja saahab ke jawaab likhe hue the.
Aap ne farmaya “Yeh mujh naacheez par Khwaja saahab ka bahot bada karam hai aur main is ehsaan ka tahe dil se shukr guzaar hu.”
(2) Uttar Pradesh ke Zilaa Etaa me ek Doctor saahab the jo qareeb ke gaanv me jaakar ilaaj karte the.
Ek din ek anjaan shakhs Doctor saahab ke paas aaya aur kehne laga ke “Qareeb Ke gaanv me ek mareez hai. Aap chalkar use dekhen aur us ka ilaaj karen.” Us ne Doctor saahab ko aane ke liye kuchh paise bhi diye. Doctor saahab us shakhs ke saath mareez ke ilaaj ke liye chale.
Raaste me ek jangle aaya. Jaise hi jangle me pahunche to us anjaan shakhs ne aawaaz lagaakar apne saathiyo ko bulaaya. Do aadami laathi lekar daudte hue aaye aur teeno badmaasho ne iraada kiya ke Doctor saahab ka saamaan loot kar un ko maar ke dariya me daal den. Yeh dekh kar Doctor saahab ko sakht dar lagne laga.
Is mushkil ke waqt me Doctor saahab ne Hazrat Noori Miyan ko yaad kiya aur Istighaaṡah kiya ke “Huzoor! Baghair Aap ki madad ke is bhayaanak jangle se nikalna mushkil hai. Apne khaadim ko is balaa se najaat Dilaiye.’
Jab Doctor saahab ne is tarah Hazrat se madad talab ki to unho ne dekha ke Hazrat dusri taraf tashreef farma hain aur ishaara farma rahe hain ke Ghabraao nahi, hum aa gae hain. Hazrat ne ishaara farmaaya to wo teeno badmaash waha se bhaag gae. Us ke Baad Doctor saahab ko pareshan dekhkar Hazrat ne farmaaya ‘Humare saath chale aao.” Doctor saahab Hazrat ke saath chalne lage. Thodi der me aabaadi me pahunch gaye. Aabaadi me pahunche ke baad Doctor saahab ne dekha ke Hazrat waha se gaa'ib ho gae.
Jab dusre din Doctor saahab Hazrat ki khidmat me pahunche to Hazrat ne un ko dekhkar tabassum farmaaya aur kaha “Alhamdulillāh. Anjaam ba-khair hua. Ghabaraao nahi.”
(3) Ek martaba Aap ne apni khaadima se farmaaya ki “Mere liye roti aur doodh laao.” Chunaanche khaadima le aai. Hazrat ne koyla sulgaakar doodh garm kiya aur roti doodh ke saath khaane lage. Khaadima ne dekha ki Hazrat ke haath par koylo ki siyaahi lagi hai aur Aap usi haath se roti khaa rahe hain. Khaadima ne dil me socha ki “Hazrat ALLĀH ke Wali hain, Magar in me Najaafat (safaai) nahi hai.” Yeh sochkar woh baahar nikli to ek aurat ne use pakad liya aur kaha ki “Tum ne mere kapdo ki gathri churaai hai. Main tumhe thaane le chalungi.” Chunaanche woh zabardasti use thaane le gai.
Hazrat Abul Husain Noori ko pata chala to Aap thaane pahunche aur farmaaya ki “Yeh Be-qusoor hai. Ise chhod do.” Thaanedaar ne kaha ki “Is ki be-gunaahi ka Aap ke paas kya ṡaboot hai?” Aap ne farmaaya “Woh dekho.” Logo ne udhar dekha to us Aurat ke ghar waalo me se ek aurat wohi gathri lekar aai aur boli “Gathri mil gai.” Chunaanche Khaadima ko chhod diya gaya.
Aap ne khaadima se farmaaya “Kya aa'inda dobaara yun kahogi ki ALLĀH ke waliyo me Najaafat nahi hoti?” Khaadima ne maafi maangi aur tauba ki.
*******************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Al-Asl ul Musaffa fee Aqaa'id-e-Arbab-e-Sunnatil Mustafa (Eimaan aur Bunyadi aqaaid ka bayaan)
(2) Risaala Sawaal-wa-Jawaab (Raafziyo ke bad-aqeeda ke radd ke liye dalaa'il)
(3) Daleel-ul-Yaqeen (Hazrat Abu Bakr Siddeeq aur Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhuma ki fazeelat ki dalaa'il aur Jung e Jamaal, Siffin aur Naharwan ki haqeeqat)
(4) Tehqeeq-ul-Taraaweeh (20 rak’at taraaweeh ke liye dalaa'il)
(5) An-Noor-o-Wal-Baha fi-Asaneedil Hadees wa Salaasilil Awliya
(6) Ishtihaar-e-Noori
(7) Al-Jafar
(8) Lataa'ife Tareeqat Kashf-ul-Quloob (Tasawwuf)
(9) Siraaj-ul-Awaarif fil-Wasaaya wal Ma’araif (Tasawwuf)
(10) Takheel-e-Noori (Nazam ka majmua).
**********************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Tareeqat aur Shariat alag alag nahi ho sakti, balke Shariat me takmeel aur bulandi se hi Tareeqat milti hai.
(2) Bad-aqeeda logo se hamesha door raho kyun ki un ki sohbat se eimaan barbaad ho jaata hai.
(3) Narmi insaan ko fazeelat wa sharf dilaati hai. Kabhi kisi ko khud se kamtar mat samjho.
**********************
Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne Aap se Ilm e Jafar ki ta’aleem haasil ki hai.
**********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya hain :
(1) Ruqayya Begam binte Sayyed Zahoor Husain Marehrawi,
(2) Altaaf Faatima binte Sayyed Muhammad Haidar.
Aap ke saahabzaade Sayyed Muhiy-ud-deen Jeelaani ka banchpan me hi intiqaal ho gaya tha.
**********************
Aap Hazrat Shaah Aale Rasool Qaadri Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Sayyed Shaah Ghulaam Muhiy-ud-deen Ameer-e-aalam Marehrawi, Hazrat Shaah Shams-ul-Haq urfe Tinka Shaah, Hazrat Mufti Sayyed Ain-ul-Hasan Bilgrami aur Hazrat Haafiz Shaah Ali Husain Muradabadi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ko Qaadri, Chishti, Naqshbandi, Suhrwardi aur Madaariya silsile ki ijaazat mili hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Shaah Mahdi Hasan Marehrawi rahmatullāhi alaihi ,
(2) Hazrat Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismāeel Hasan urfe Shaah Ji Miyan Marehrawi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Taaj-ul-Ulama Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Haafiz Abdul Azeez Madani rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Qaazi Hasan Shaah Punjabi rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Nawwab Sayyed Yahyā Hasan rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Maulana Muhammad Aadil Narwi rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Maulana Muhammad Jameel-ud-deen Abbaasi rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Husain rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Maulwi Muhammad Azeez Bakhsh Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(12) Hazrat Muhammad Tufail Ahmad Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(13) Hazrat Qaazi Ghulaam Shabbeer Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(14) Hazrat Maulana Qaazi Ghulaam Qanbar Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(15) Hazrat Mulla Wilaayati rahmatullāhi alaihi,
(16) Hazrat Ibrāheem Shah Jahan puri rahmatullāhi alaihi,
(17) Hazrat Shaah Imaam Ali rahmatullāhi alaihi,
(18) Hazrat Shaah Talqeen rahmatullāhi alaihi,
(19) Hazrat hakeem Sayyed Mushtaaq Husain rahmatullāhi alaihi,
(20) Hazrat Miyan Muhammad Ramazaan rahmatullāhi alaihi,
(21) Hazrat Maulwi Muhammad Taahir-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi,
(22) Hazrat Maulana Ghulaam Husnain Siddeeqi rahmatullāhi alaihi,
(23) Hazrat Ahmad Saharanpuri rahmatullāhi alaihi,
(24) Hazrat Maulana Muhammad Jafar rahmatullāhi alaihi,
(25) Hazrat aazi Mubashshir-ul-Islaam Abbaasi rahmatullāhi alaihi,
(26) Hazrat Maulana Ataullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi,
(27) Hazrat Nawaab Sayyed Ihtisaam rahmatullāhi alaihi,
(28) Hazrat Sayyed Irtiza Husain Peer Miyan rahmatullāhi alaihi,
(29) Hazrat Sayyed Isaaq Hasan rahmatullāhi alaihi,
(30) Hazrat Sayyed Shaah Ibne Hasan rahmatullāhi alaihi,
(31) Hazrat Sayyed Shaah Zahoor Haidar rahmatullāhi alaihi,
(32) Hazrat Sayyed Shaah Haamid Hasan rahmatullāhi alaihi,
(33) Hazrat Maulana Hakeem Abdul Qaadir rahmatullāhi alaihi,
(34) Hazrat Sayyed Fakhre Aalam Shah Jahan Puri rahmatullāhi alaihi,
(35) Hazrat Shaikh Karaamat Husain Palanpuri rahmatullāhi alaihi.
**********************
Aap ka wisaal 11 Rajab 1324 Hijri (31 August 1906 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.
**********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments