Hazrat Imaam Abu Haneefa Nomaan bin Ṡaabit rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Imaam e aazam, Siraaj-ul-Ummah.
*******************
Aap ki wilaadat 80 Hijri (5 September 699 A.D.) me Kufa (Iraq) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ṡaabit bin Zuta hai.
Aap ke daada Faars (Iran) se Arab aa gaye the.
***********************
Ek baar Aap apni waalida ko kuchh paighaam pahunchane ke liye jaa rahe the.
Jab Aap Kufa ke mashh'oor aalim Hazrat Sha’bi rahmatullahi alaihi ke ghar ke paas se guzre. Hazrat Sha’bi ne Aap ko apna shaagird samajhkar kaha “Apni class me jaakar padho.” Aap ne kaha “Main to madrase me padhta nahi hu.” Yeh sunkar Hazrat Sha’bi ne farmaaya ki “Mujhe tum behad zaheen lagte ho. Tumhe kisi aalim ya buzurg ki sohbat me rehna chaahiye.”
Hazrat Sha’bi ki baat maankar Aap Hazrat Hammaad ibn Abi Sulaimān rahmatullāhi alaihi ki sohbat me rehkar Ilme deen sikhne lage.
Aap ne Hazrat Imaam Sha’bi Kufi aur Hazrat Hammaad ibn Sulaimān se Hadeeṡ ki aur Hazrate Hammaad se Fiq'h ki ta’aleem haasil ki.
In ke ilaawa Aap ne Hazrat Aamir ibn Shurahbeel, Alqaama ibn Marṡad, Ziyaad ibn Ilaqa, Adi ibn Ṡaabit, Qataada Basri, Muhammed ibn Munkadir Madani, Simaak ibn Harb, Qais ibn Muslim Kufi aur Mansoor ibn Umar se bhi ta’aleem haasil ki.
Phir 102 Hijri me Aap Madeena shareef gaye aur Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil karna shuru kiya aur un se Bai'at ki.
Aap mash'hoor taabi'een me se hain.
Aap ne Sahaabi e Rasool Hazrat Anas ibn Maalik (Basra), Abdullāh ibn Abi Aufa (Kufa), Sahl bin Sa’ad (Madeena) Abu Tufail Aamir ibn Waasila (Makka) radiy-Allāhu ta’ala anhuma se Ahaadeeṡ sikhi.
***********************
Aap ki Ibaadat, Taqwa, Husn e akhlaaq, Sakhaawat aur Imaandaari mash'hoor hai.
Aap khaamosh rehna zyada pasand farmaate aur logo se bahes o mubaahisa se bachne ki koshish karte.
***********************
Aap ki umr 9 saal thi tab ek yahudi ne majme me musalmano se 3 sawaal puchhe :
(1) ALLĀH agar hai to ALLĀH se pehle kaun tha?
(2) ALLĀH ka chehra kis taraf hai?
(3) ALLĀH ka waqt kya kar raha hai?
Majme me maujood bahot saare ulema yahudi ke sawaalo ke jawaab ke baare me sochte rahe. Tab aap khade hokar aage aaye aur yahudi se kaha “Main tumhare sawal ke jawaab deta hu.”
Aap ne us se kaha “Ginti gino.” Yahudi bola “1, 2, 3, 4, 5, 6, ….., 10.”
Aap ne use rokkar kaha ‘Ab ulta gino.’ Woh bola ‘10, 9, 8,7, 6, ….., 2, 1.’
Aap ne kaha “Yeh batao 1 se pehle kya aata hai?’ Wo bola ‘Kuchh bhi nahi.”
Aap ne farmaaya “Isi tarah ALLĀH se pehle koi bhi nahi.”
Phir aap ne ek chiraagh liya aur us se puchha “Is chiraagh ki roshni ka munh kis taraf hai?” Us ne kaha “Chaaro taraf hai.”
Aap ne farmaaya “Isi tarah ALLĀH ka noor har taraf hai.”
Phir Aap ne farmaaya “Tum jaanna chaahte ho ki ALLĀH is waqt kya kar raha hai to uska jawaab yeh hai ki ALLĀH ek yahudi ko ek 9 saal ke bache se zaleel karwa raha hai.”
***********************
Aap ke waalid Kabul (Afghanistan) me kapdo ka kaarobar karte the.
Aap apne waalid ke saath us kaarobar me the.
***********************
Ek baar Aap ne Hazrat Hafs bin Abdur Rahmān ko maal e tijaarat bheja aur taaqid farmaai ke “Falaan kapde me kuchh nuqs hai jab tum use farokht karo to nuqs bayaan kar dena.”
Hazrat Hafs bin Abdur Rahmān ne kapda becha lekin bechte hue nuqs bataana bhool gaye aur yeh bhi yaad na raha ke kis ko becha hai. Jab Aap ko pata chala to aap bahot afsos karne lage kyun ki yeh mumkin na tha ke aap us mulk me jaakar un khareeddaar ko un ki raqam waapas lauta sake. Aap ne foran wo sab maal ghareebo ko khairaat kar dene ka hukm kiya.
***********************
Aap tijaarat se saal bhar me jo munaafa hota us se khaane peene ki cheeze, kapde aur deegar cheeze khareed kar Mudarriseen, Ulama, Muhaddiṡeen aur Mashai'kh ki khidmat me pesh karte. Aur jo maal naqd baaqi reh jaata wo un Hazraat ki khidmat me bataure nazraana pesh karke farmaate “Yeh sab maal ALLĀH ta’ala ka hai aur us ne apne fazl o karam se aap Hazraat ke liye ye maal mujhe ataa farmaaya hai. Jo main aap ki khidmat me pesh kar raha hu.”
Aap ki baargaah me koi shakhs haazir hota to us ke muta’alliq daryaaft karte agar woh mohtaaj hota to use kuchh ataa farmaate. Aur un se farmaate “ALLĀH ta’ala ki Hamd o Ṡanaa karo ki usi ne tumhe yeh ataa farmaaya.”
***********************
Aap ke saahabzaade Hazrate Hammaad ne ustaad se Surah al-Faatiha padhi to Aap ne un ke ustaad ko 1000 dirham nazraana pesh kiya. Woh kehne lage “Huzoor! Maine kaun sa itna bada kaarnama sar anjaam diya hai ke Aap itni zyada raqam ka nazraana de rahe hain?” Aap ne farmaaya “Aap ne mere bete ko jo daulat inaayat ki hai us ke saamne to ye nazraana bahot haqeer hai. Bakhuda agar mere paas is se zyada hota to wo bhi pesh kar deta.”
***********************
Aap har Jum’aa ko apne waalidain ke isaale ṡawaab ke liye 20 sone ke sikke ghareebo me taqseem farmaate.
***********************
Ek baar Aap ne dekha ki ek shakhs ne Aap ko dekhkar apna raasta badal diya. Jab use puchhne par pata chala ki us ne Aap se 10000 dirham ka qarz liya tha aur abhi us ke haalat aise the ki wo use ada nahi kar sakta tha. Aap ne foran us ka qarz ma’af kar diya taake agli baar use Aap ke saamne aane par sharminda na hona pade.
***********************
Ek baar Aap mehfil me baithe the aur pata chale ki koi shakhs chhat se gir gaya hai. Aap foran waha se nikalkar us jakhmi aadami ke paas gaye aur uski khidmat ki. Aur phir jab tak wo theek ho gaya tab tak roz us ki iyaadat aur khidmat ke liye tashreef le jaate.
***********************
Ek martaba Aap janaaza padhaane tashreef le gaye. Tez dhoop hone ki wajah se logo ne Aap ko ek makaan ke saaye me khade hone ke liye arz kiya. Aap ne farmaaya ‘Is makaan ke maalik ne mujh se qarz liya hai. Agar main is ke makaan ki deewaar se kuchh nafa haasil kiya to mujhe dar hai ke kahi ye sood me shumaar na ho jaaye.’ Chunaanche Aap dhoop me hi khade rahe.
***********************
Ek baar Aap ko pata chala ke kisi ka bhed (sheep) chori ho gaya hai. Is ke baad khaane me us chori kiye gaye jaanwar ka gosht na aa jaaye is dar se aap ne 7 saal tak gosht nahi khaaya kyun ki Aap ko ma’aloom tha ki bhed ki umr 7 saal hoti hai.
***********************
Ek baar kisi ne Aap se puchha ki “Hazrat Alqaama radiy-Allāhu ta’ala anhu afzal hain ya Hazrat Aswad radiy-Allāhu ta’ala anhu?”
Aap ne farmaaya “Khuda ki qasam, Hum to is laa'iq bhi nahi ki in sahaaba ka zikr bhi karen, phir un me mawaazana (farq) kaise kar sakte hain?”
***********************
Ek shakhs Ameer-ul-Momineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu se bughz rakhta tha aur hatta ki Hazrat Uṡmaan ko (ma’az Allāh) Yahudi kehta tha.
Imaame aazam ko is baat ka pata chala to Aap ne use bulaaya aur us se farmaaya “Maine tumahri ladki ke liye ek munaasib rishta talaash kiya hai. Ladke me har qism ki khubi maujood hai, Sirf itni si baat hai ki woh Yahudi hai.”
Us shakhs ne jawaab diya ki “Bade afsos ki baat hai ki Aap itne bade Imaam hokar ek Musalman ladki ka nikaah ek yahudi ke saath jaa'iz samajhte hain. Main to hargiz is nikaah ko jaa'iz nahi samajhta.”
Aap ne farmaaya “Sub'hān Allāh! Magar tumahre jaa'iz na samajhne se kya hota hai, Jab ki Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apni 2 saahab-zaadiyo ka nikaah ek yahudi se kar diya tha.”
Wo shakhs foran samajh gaya ki Hazrat Imaame aazam kis baat ki hidaayat farma rahe hain. Chunaanche foran us ne Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki zaat e paak ke muta’alliq khayaal e baatil se tauba ki aur Imaame aazam ke faiz se maalamaal ho gaya.
***********************
Ek martaba ek shakhs apna kuchh maal zameen me dafn karke bhul gaya. Wo Imaame ki baargaah me haazir hua aur waqia arz kiya. Aap ne farmaya ke “Jaao, Aaj tum saari raat namaaz padhte raho, tumhe yaad aa jaayega ke tumne maal kaha dabaaya tha.”
Chunaanche wo shakhs apne ghar gaya aur raat ko us ne namaaz padhna shuru kiya. Abhi chand rak'at hi padhi thi ke use yaad aa gaya ke us ne maal kaha dabaaya hai.
Wo shakhs bada khush hua aur subah Aap ki khidmat me haazir ho kar kehne laga ke “Huzoor! Aap ki batai hui tadbeer se kaam ho gaya.” Aap ne irshaad farmaaya ke “Mujhe ma’aloom tha ke Shaitaan tujhe raat bhar namaaz nahi padhne dega aur tujhe tera maal yaad dila dega taaki tu namaaz chhod de. Afsos ke tune maal milne ke Shukraane me raat bhar namaz kyun na padhi?’
***********************
Ek baar Aap ke shaagird ne Aap se kaha ki ‘Log kehte hain ki Imaam saahab raat bhar jaagkar ibaadat karte hain.’
Aap ne farmaaya ‘Aaj se main aisa hi kiya karunga aur puri raat jaaga karunga. Kyun ki ALLĀH ta’ala farmata hain ke Jo bande us cheez ki ta’arif ko pasand karte hain jo us me nahi hai wo hargeez azaab se na bach sakenge.’
Is ke baad Aap ne 40 saal tak Ishaa ke wuzu se Fajr ki namaaz padhi.
Qur’an shareef ki koi surah baaqi nahi thi jo Aap ne apni nafl namaaz me na padhi ho.
Aap ne jis jagah wafaat paai waha Aap ne 7000 martaba Qur’an shareef mukammal kiya tha.
Har saal Maah e Ramazaan me Aap roz ek baar din me aur ek baar raat me Qur’an shareef mukammal kiya karte aur is tarah Taraweeh me Imaamat ke dauraan 1 Qur’an milaakar Maah e Ramazaan me kul 61 baar Qur’an shareef hote the.
Aap ne 55 baar Hajje baitullāh ki sa’adat haasil ki.
***********************
Ek martaba jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Roza e anwar par ziyarat ke liye haazir hue aur Aap ne Salaam Arz kiyab “Assalaamu alaikum Ya Sayyed-ul-Mursaleen.”
To Roza e anwar se jawaab mila “Wa alaikum assalaam Ya Imaam-ul-Muslimeen.”
***********************
Ek martaba Aap Ka’abatullāh ke andar tashreef farma the aur keh rahe the ke “Aye mere Rab! Mujhe muaf farma, Main sahi tareeqe se teri ibaadat ka haq ada nahi kar paaya.” Aap baar baar ye alfaaz dohra rahe the. Aakhir me raat ke khatm hone se pehle ghaib se aawaaz aai ke “Aye mere bande! Hum ne tumhe bakhsh diya aur tumhare liye khushkhabari hai ke tumhari pairwi karne waale ko bhi hum jannat ata farmaenge.”
***********************
Aap ke waalid ke intiqaal ke baad Aap apni kapdo ki dukaan par baithe the. Aap se bughz rakhne waala ek shakhs aaya aur kehne laga “Suna hai ke tumhare waalid ka inteqaal ho gaya hai aur tumhari maa bewa ho gai hai.” Aap ne farmaaya “Ji sahi baat hai.” Us shakhs ne kaha ‘Suna hai tumhari maa nahot khubsurat hai. Tum apni maa ka nikaah mujh se kyun nahi kara dete?” Aap ne jawaab diya “Meri waalida Aaqil aur baaligh hai. Chunaanche un ka nikaah un ki marzi se hi ho sakta hai. Main un tak tumhari baat pahuncha dunga” Yeh kehkar Aap dukaan ke baahar tashreef laaye aur ghar ki jaanib rawaana hue. Kuchh qadam hi aage badhe the ke wo shakhs chillaaya “Nomaan! Waapas aao.” Aap ne moodkar pichhe dekha to woh shakhs zameen par gir gaya tha. Aap us ke qareeb aaye to dekha ke wo kutte ki tarah zabaan baahar nikaale hue zameen par pada hai aur kuchh hi lamho me woh mar gaya. Aap ne kaha “Nomaan ke sabr par ALLĀH ne apni qudrat se badla liya.”
***********************
Ek martaba Aap Koofa ki Jaama Masjid ke wuzu khaane me tashreef le gaye to ek nau-jawaan ko wuzu karte hue dekha. Us ke aaza se tapakte hue wuzu ke paani ke qatre dekhkar Aap ne farmaaya ‘Aye nau-jawaan! Maa-Baap ki naa farmani se taubah kar le.’ Us ne foran kaha ‘Maine tauba ki.’ Phir ek aur shakhs ke aaza se tapakte hue wuzu ke paani ke qatre dekhkar Aap ne us shakhs se farmaaya ‘Aye mere bhai! Tu badkaari se tauba kar le.’ Us ne kaha “Maine tauba ki.” Phir ek aur shakhs ke aaza se tapakte hue wuzu ke paani ke qatre dekhkar us se farmaaya “Sharaab noshi aur gaane baaje sunne se tauba kar le.” Us ne kaha “Maine tauba ki.”
Is tarah chunki is kashf ke bayees logo ke uyoob zaahir ho jaate the. Lihaaza Aap ne baargaah e Khudawandi me is kashf ke khatm ho jaane ki dua maangi aur ALLĀH ne dua qubool farmaai jis se Aap ko wuzu karne waalo ke gunaah jhadte nazar aana band ho gaya.
***********************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irsaad farmaate hain :
(1) Agar koi dunya me martaba ya shohrat ya maal o daulat haasil karne ke liye ilme deen sikhta hai to wo ilm kabhi us ke dil me nahi reh sakta.
(2) Baghair amal ke Ilm baghair rooh ke jism jaisa hai. Jo amal nahi karta wo na to mukhlis hota hai aur na qaabile pairwi hota hai.
(3) Hume jis se koi bhi baat sikhne mile wo hamara ustaad hai chaahe wo aala ho ya adna.
(4) Shaagiro ke saath aise khuloos aur mohabbat se pesh aao ke koi dekhe to yeh samjhe ke us ki apni aulaad hai.
(5) Hamsaaya (padosi) ke saath ache sulook se pesh aaya karo aur unhe tang na kiya karo.
***********************
Aap Aa'imma e Araba me se hain.
Aap ka mazhab e fiqh (School of law or Islamic jurisprudence) ‘Hanafi’ naam se mash'hoor hai aur dunya me 50% se zyada musalman us ki taqleed karte hain.
***********************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne bahot saari kitaaben likhi hai.
Jin me ye mash'hoor hain :
(1) Kitaab-ul-Aasaar (70,000 Ahadeeṡ) (Imaam Muhammad al-Shaybani)
(2) Kitaab-ul-Aasaar (Imaam Abu Yousuf)
(3) Musnad Imaam-ul-Aazam
(4) Fiqh al-Akbar
(5) Kitaab ul Rad alal Qaadiriyah
(6) Aalim wal-muta’allim.
***********************
Aap ke mash'hoor shaagird :
Imaam Muhammad al-Shaibani, Imaam Qaazi Abu Yousuf, Imaam Zufar ibn Huzail, Abdullāh ibn Mubarak, Abdur Razzaaq, Abu Naeem Faza, Abu Aasim, Muhammad ibn Hasan, Ismat Mugheera ibn Miqsam,Younus ibn Is’haaq, Abu Bakr ibn Ayyaash, Ali ibn Aasim, Jaafar ibn Awn, Ubaidullāh ibn Moosā.
Hazrat Fuzail bin Ayyaaz, Hazrat Ibrāheem bin Ad'ham, aur Hazrat Bishr Haafi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap se faiz haasil kiya.
*******************
Aap ka 2 saahabzaade hain :
(1) Hammaad (2) Abdus Salaam.
*******************
Aakhri Umayya Khalifa Marwaan ibn Muhammad ke zamaane me Iraq ke Governor Yazeed ibne Amr ne aap ko Qaazi ke ohade ke liye kaha. Aap apna waqt khidmate deen me guzaarna chaahte the aur dunya ke muamalaat me phansna nahi chaahte the. Is liye Aap ne inkaar kiya to us ne Aap ko bahot aziyat di. Aap waha se Makka chale gaye.
Phir 150 Hijri (767 A.D.) me, Abbaasi Khalifa Abu Jafar Mansoor ne Aap ko Qaazi ke ohade ke liye kaha. Inkaar karne par us ne Aap ko qaid me daal diya aur bahot aziyat di aur aakhir me zeher dekar Aap ko shaheed kar diya.
Jab Aap ne mehsoos kiya ki zeher diya gaya hai to foran Aap ne wuzu kiya aur Namaaz e Shukr ada karne lage. Haalat e namaaz me hi Aap ka wisaal hua.
***********************
Aap ka wisaal 2 Sha’abaan 150 Hijri (767 A.D.) ko 70 saal ki umr me hua.
Aap ke janaaza me 50000 se zyada log shareek hue aur 6 baar namaaz e janaaza padhai gai.
Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.
***********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam e aazam Abu Haneefa Nomaan bin Ṡaabit rahmatullāhi alaihi aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments