Hazrat Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi :
________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan, Bahr-ul-uloom.
****************
Aap ki wilaadat 1329 Hijri (1911 A.D.) me Diyal Garh, Gurdaspur me hui.
Aap ke waalid zameendaar the aur bahot ameer the.
*****************
Apne watan me Matric ki padhai puri karne ke baad Aap aage padhai ke liye Lahore gaye. Waha ek jalse me Aap ko Hazrat Hujjat-ul-Islaam Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi se mulaaqaat ka mauqa mila. Hazrat ki nigaah e faiz se Aap ke dil ka aalam badal gaya. Aur Lahore University se F.A. ki padhai mukammal karne ke baad Daar-ul-Uloom Mazhar e Islaam, Bareilly me daakhil hue. Waha Aap ne Hazrat Hujjat-ul-Islaam Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi ki khaas nigaraani me 3 saal tak ta’aleem haasil ki.
Aap Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke saath Ajmer gaye aur waha Madrassa Moeeniya Uṡmaaniya me Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem aur faiz haasil kiya.
*****************
1351 Hijri (1933 A.D.) me Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami Ajmer se Bareilly aaye tab unho ne Aap ko Daar-ul-Uloom Mazhar e Islaam me Mudarris banaaya.
3 saal baad Hazrat Sadr-ush-Shariah Bareilly se Dadu (Aligadh) gaye tab un ke badle Aap ko Daar-ul-Uloom Mazhar e Islaam ka Sadr-ul-Mudarriseen banaaya gaya.
1355 Hijri (1937 A.D.) me Aap ki koshish se Daar-ul-Uloom Mazhar e Islaam ki tajdeed ka kaam mukammal hua.
Taqseem e mulk ke baad Aap Lahore tashreef le gaye.
1368 Hijri (1949 A.D.) me Huzoor Mufti e aazam e Hind rahmatullāhi alaihi ke mashware par Aap Faisalabad me Muhalla Sunnatpura tashreef laaye.
Aap ki mehnat aur faiz se Jaamia Razawia Mazhar e Islaam ki bunyaad rakhi gai.
Aap Ilm e Hadeeṡ aur dusre uloom ke maahir the aur 25 saal ke dauraan taqreeban 700 talba ne Aap se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki. Aap Ahadeeṡ ki tamaam kitaabo ka dars dete. Aur logo ko Sunnato aur Hadeeṡ par amal karne ki ta’aleem dete.
****************
Maulana Shibli Nomani (Deobandi) ke saath ‘Tahzir-un-Naas’ ke mauzu par Aap ne munaazara kiya jis me Maulana Shibli Nomani ki shikast hui.
****************
Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Shaikh-ul-Hadeeṡ Ghulaam Rasool Razawi;
(2) Faqeeh-e-Aazam e Hind Mufti Sharif-ul-Haq Amjadi;
(3) Maulana Tehsin Raza Khan Bareilwi;
(4) Allama Abdul Mustafa Azhari;
(5) Mufti Abdul Qayyoom Hazarwi;
(6) Allama Abul Hasanat Muhammad Ashraf Sialwi;
(7) Haafiz-e-Bukhari Allama Sayyed Muhammad Jalaal-ud-deen;
(8) Munaazir e Ahle Sunnat Maulana Inaayatullāh Shaah;
(9) Maulana Mukhtaar-ul-Haq Siddeeqi;
(10) Abul Ma’ani Muhammad Moeen-ud-deen Shafi'i;
(11) Mufti Muhammad Ameen;
(12) Mawlana Sayyed Muhammad Haseen-ud-deen Shaah;
(13) Allama Faiz Ahmad Uwaisi;
(14) Mufti Mujeeb-ul-Islaam Aazmi;
(15) Allama Abdul Qaadir Ahmedabadi;
(16) Maulana Abu Daawūd Muhammad Saadiq;
(17) Maulana Ghulaam Rasool Saeedi Samundari;
(18) Allama Abdul Mustafa Aazami;
(19) Maulana Ehsaan-ul-Haq Faisalabadi;
(20) Maulana Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi Qaadri Razawi.
****************
Aap Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ki bahot izzat karte the aur Bareilly ko hamesha ‘Bareilly Shareef’ kehte.
1362 Hijri (1943 A.D) me Hujjat-ul-Islaam Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi ka wisaal hua to Hazrat ki wasiyat ke mutaabiq Aap ne un ki namaaz e janaaza padhai aur tadfeen me bhi shaamil hue.
***************
Madeena munawwara se waapasi ke waqt Aap ne apne kuchh baal aur naakhoon dafn kar diye. Phir Huzoor Rasoole akram sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me arz ki “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ! Madeena munawwara me marna to mere ikhtiyaar me nahi, albatta apne jism ke chand a’ajzaad kar ke jaa raha hu ke is ghareebke liye yehi ghanimat hai.”
***************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Fazl-e-Rasool Haidar
(2) Muhammad Fazal Kareem.
****************
Aap Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Hujjat-ul-Islaam Muhammad Haamid Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ne bhi aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aa’la Hazrat Allama Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi miya Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi ne aap ko ‘Chishti Ashrafi’ silsile ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Qaazi Fazl-e-Rasool Haidar Razawi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Maulana Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 1 Sha’abaan 1384 Hijri (December 1964 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Faisalabad (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments