*🌹SAWAL:-🌹*
As Salaamu Alaikum
Corona Virus Ki Wajah Se Bahut si jagah par police masjid me lock lagwa rahi hai aise me jummah Or Panj Waqta Namaz Ka Kya Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Shariyate Islamiya Ke Mutabik Musalmano Ke Liye Panj Waqta Namaze Ba Jama'at Masjid Me Ja Kar Ada Karna Wajib He, Magar Aaj Jab Hukumat Ne Sakht Qaid Kar Rakhi He, Hatta Ki Masjid Jane Par Imamo Mu'azzin Trusti Hazraat Ke Khilaf F.I.R Wagairah Tak Darj Ki Jaa Rahi He, To Musalman Is Halat Me Mazoor He, Ab Vo Apne Gharo Par Namaz Ada Kare, Agar Vaha Jama'at Kar Sakte Ho To Ba Jama'at Or Tanha Tanha Padh Le, Ye Hukm Panj Waqta Namazo Ke Liye He,
Magar Khas Kar Namaze Jumaa Ke Liye Kuchh Tafseel He, Kutube Fiqh Me Namaze Jumaa Ke Farz Hone Ki Ek Aham Shart Ye Bhi He Ki Aadmi Par Hakim Wagairah Ka Khauf Na Ho,
Fatawa Ki Mash'hooro Maroof W Mo'atebar Kitab Raddul Muhtar Me He,
Yaani Badshah Ya Chor Wagairah Ki Janib Se Koi Khauf Na Ho.
To Jise Namaze Jumaa Ke Liye Masjid Jane Me Hakim Waqt Ka Khauf Ho Us Par Jumaa Farz Hi Nahi He,
Is Mas'ala Ke Peshe Nazar Arz He Ki Namaze Jumaa Ke Liye Government Ki Taraf Se Waqe'ee Aysi Sakhti Ho Rahi He, Jiska Aap Ne Zikr Farmaya He, To Masjid Ki Aabadi Ki Khatir Jumaa Qaim Rakhne Ke Liye Imam Ke Alawa Chand Hazraat Namaze Jumaa Ada Karle Or Baqiya Hazraat Apne Gharo Me Namaze Zohar Padhe, Magar Is Baat Ka Bhi Khayal Rakhe Ki Agar Shahar Me Esi Halat Ho To Vaha Ke Log Namaze Jumaa Ke Baad Hi Zohar Padhe, Or Jama'at Se Nahi Balki Tanha Tanha Padhe, Or Agar Dihat Me Ho To Tanha Ya Jama'at Jo Bhi Soorat Mayassar Ho Us Par Amal Kare.
Allah Ta'ala Huzur ﷺ Ke Tufail Is Wabai Marz Se Dunya Ki Khusoosan Hamare Mulke Azeez Hindustan Or Musalamano Ki Hifazat Farmaye..
*🎙️Makhuz Bayane: Hazrat Allama Mufti Akhtar Husain Alimi Sahab Qibla*
*📬 Sadrush Shoaba Wal Ifta Darul Uloom Alimiya, Jamdashahi, Up India*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments