Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Kursi Par Beth Kar Namaz Padhna kisa?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kursi Par Beth Kar Namaz Hoti He Bahut Se Aulma Farmate He Ki Azr Hone Ke Bawajood Kursi Par Beth Kar Namaz Nahi Hoti.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Farz Wajib Eidain  Wa Sunnate Fajr Me Qayam Farz He, Bila Azre Sahih Beth Kar Parhne Se Namaze Nahi Hogi Or Azre Sharai Ki Tafsil Karte Huye Sadrush Shariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma  Raqam Taraaz He Ki Khade Hone Se Mahaz Kuchh Taklif Hona Azr Nahi, Balki Qayam Us Waqt Saaqit Hoga Ki Khada Na Ho Sake Ya Sajda Na Kar Sake Ya Khade Hone Ya Sajda Karne Me Zakhm Bahta He Ya Khade Hone Me Qatra Aata He Ya Chothai Satr Khulta He Ya Qira'at Se Majboor Mahaz Ho Jata He Yu hi Khada Ho Sakta He Lekin Us Marz Me Zyadati Hoti He Ya Der Me Achcha Higa Ya NaQabile Bardasht Takleef Hogi To Beth Kar Padhe Or Agar Kuchh Der Bhi Khada Ho Sakta He Agar Che Itna Hi Ke Allahu Akbar Khada Ho Kar Kah le To Farz He Ki Khade Ho Kar Itna Kah le fir Jaaye.
*📚(Bahare Shariyat, J-3, S-511)*

In Mazkoora Halat Ke Alawa Zameen Ya Kursi Par Namaz Padhne Se Namaz Nahi Hogi Or Agar Qayaam Rukoo'a w Sujood Par Qadir Na Ho Magar Zameen Par Beth Kar Padh Sakta He To Kursi Par  Beth Kar Namaz Ho Jayegi, Magar Aysa Hargiz Na Kare Balki Zameen Par Beth Kar Namaz Padhe Or Is Soorat Me Rukoo'a W Sujood Ishara Se Kare.

Or Agar Waqe'ee Beth kar namaz padhne me koi azr Sahih ho yo kursi par namaz padh sakta he usi halat me table Ki Zaroorat Nahi or soorat me Rukoo'a w Sujood ishara se kare or kursi wale namazi hazraat saf ke aakhir me kursi lagaye yaaani diwar ke janib kursi lagaye.
*📚(Fatawa Alimiya, J-1, S-144)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Post a Comment

0 Comments