Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 35 «❢ ★ Aapﷺ Ki Taqrir ★ ❢ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Aye Logo!Jis Tarah Allah Ta’ala Ne Tumhare Saath Ehsaan Kiya Tum Bhi Dusro Ke Saath Ehsaan Ka Rawayya Ekhtiyaar Karo Allah Ke Dushmano Se Dushmani Rakho Allah Ke Raaste Me jihaad Karo Jaisa ki Jihaad Karne Ka Haq Hai Usi ne Tumhe Buzrug Banaya hai Aur usi Ne Tumhara Naam Musalman Rakha Hai Taaki Har Halaak Hone Wala Dalilo Ke Dekh Lene Ke Baad Halaak Ho Aur Har Zinda Rehne Wala Bhi Dalilo Ke Saath Zinda Rahe Taaqat Aur Quwat Sirf Allah Hi Ke liye hai Allah Ka Zikr Kasrat Se Karo Aur Maut Ke Baad Jo Kaam Aae Woh Kaam Kar lo Jo Allah Ta’ala Ke Apne Darmiyan Ke Ta’alluqaat Ko Behtar Bana lega Allah Ta’ala uske Aur logo Ke Darmiyan Ke Ta’alluqaat Ko Behtar Bana Dega Kyunki Allah Ta’ala Ki logo Par Chalti Hai logo Ki Allah Ta’ala Par Nahi Woh Tamaam Makhluq Par Haakim Aur Sab Ka Maalik Hai Allah Ta’ala Sab Se Bada Hai Aur Tamaam Taaqaten Aur Quwaten usi khuda e Buzrug Aur Bartar Ke liye Hain
Subha AllaH 🌹 Subhan AllaH
⚘⌬ ➤ Is Taqrir Par Amal Kar Ke Har Musalman Apni Duniya Aur Aakhirat Ko Kaamyab Bana Sakta Hai Allah Ta’ala Ham Sab Ko is Par Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaae... Ameen 📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai.. |
0 Comments