Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

AHLESUNNAT AHLEJANNAT


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Ahlesunnat Wa Jamat Ki HAQQANIYAT Aur Uska FIRQAHE NAJIYAH Hona Sabit Karne Wali Be'misal La'jawab KITAAB....

"AHLESUNNAT AHLEJANNAT"
(Tareekh, Tareef, Aur AQA'ID)

           ~☆Musannif☆~

Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

(Khalifah Huzoor Amine Shariat)

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

 

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

--------------------------------------------------------------------------------

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم.
الحمد للہ رب العالمین والعاقبة للمتقين، والصلوة والسلام على خاتم الأنبياء والمرسلين سيدنا ومولانا محمد، وعلى آله وصحبه اجمعين بارك وسلم تسليماً كثيراً كثيرا.... اما بعد


Allah Rabbul Izzat Apni Muqaddas Kitab Me Irshad Farmata Hai.

QURAN-
"Apne Rab Ki Raah Ki Taraf Bulao Pakki Tadbeer Aur Achchi Nasihat Se Aur Unse Us TARIQE Par Bahes Karo Jo Sab Se Behtar Ho Aur Beshak Tumhara Rab Khoob Janta Hai Jo uski Raah Se Behka Aur Wo Khoob Janta Hai Raah Walon Ko.
{القرآن الكريم، الجزء-١٤، سورة النحل، الايت-١٢٥، ترجمہ كنزالايمان شریف، از- اعلیحضرت امام احمد رضا خان بریلوی علیہ الرحمه)

Mazkurah Ayate Karimah Me Tableege Deen Ka Mizaaj Diya Ja Raha Hai Aur WAQT Padhne Par Dawate Deen Ka Eik Juz Yani Munazrah Bhi Kiya Jaye Taki Log HAQ O BATIL Ke Beech Tameez Kar Saken, Phir Aage Irshad Ho Raha Hai Ki Allah Subha'nahu Wa Tala Sab Janta Hai Ki Ahle HAQ Kaun Hain Aur Batil Parast Kaun.

DOSTON-
Islam Eik Sachcha Deen Hai Jo Kaamil Hai Mukammal Hai Aur Hamesha Rehne Wala Hai, Islam Puri Zindagi Ka Jaame Nizam Hai, Jo Insani Zindagiyon Ke Tamam Shobo'n Me Hidayat Aur Renumai Faraham Karta Hai.
Islam Itna Jame Kamil Mukammal Deen Kyun Hai?
Wo Is Liye Ki Ye Allah Ka Deen Hai Jo TAMAM Chizon Ka Paida Farmane Wala Hai, Aur Jisne Paida Farmaya Marzi Bhi Usi Ki Chale, Hukm Bhi Usi Ka Maana Jaye, Puja Bhi Usi Ki Kee Jaye, Dunya Me Islam Ke Ilawah Jo Mazahib Hain Wo Logon Ki Zehni Ikhtera (Banawat) Hai is Liye Wo Har Jagah Har Maqam Par Hamari Rehnumai Nahi Karte Bar'khilaf Unke Islam AZAL Se ABAD Tak Tamam Nasle Insani Ki Rehbari Karta Hai.

Khuda Ke Is Sachche Deen Ke Man'ne Walon Ko Musalman Kaha Jata Hai,

Islam Ke Saare AQA'ID Jo Rasool E Pak ﷺ Se Sahaba Ko Aur unse Hum Tak Qar'nan Bada Qar'nin Nasalan Bada Nasalin Pahoche Uska Zuban Se IQRAR Karna Aur Dil Se Uski Sachchai Ko Manna Yahi Islam Hai.

Musalman Hone Ke Bad Jo Kuch Allah Wa Rasool ﷺ Ki Janib Se Aaya Jise Zaruriyaate Deen Kaha Jata Hai Islam Ke Bunyadi AQA'ID Se Jaana Jata Hai Usme Se Kisi Eik Baat Ka Inkar (Jhutlana) Insan Ko Islam Se Bahar Kar Deta Hai Bhale Hi Phir Wo Naam Ki Had Tak Aur Logon Ki Nazron Me Musalman Kehlaye, Magar Wo Allah O Rasool ﷺ Ke Daftar Me Kafir Hai.

Har Shakhs Ko Sab Se Pehle Is Baat Ki Fikr Karni Chahiye Ki Mein Dunya Me Musalman Zindah Rahun Aur Meri Maut Bhi Islam Par Ho, Islam Par Zindagi Ke Liye Islam Ki Malumaat Zaroori Hai.

Islam Kya Hai Aur Ahlesunnat Kya Hai Hum Sunni Musalman Kyun Hain??

Islam Se Katne Par Kya Hukm Hoga Ahlesunnat Se Katne Par Kya Hukm Lagega..??

Daur E Hazir Me Jo Bahot Se Kalma Go Firqe Deen Ki Dawat Dete Phir Rahe Hain Wo Kis Had Tak Sahi Hain??

Kin Jamato Se Iman Ko Khatra Hai Unki Pehchan Unki Tareekh unke Aqa'id Kya Hain,?

Jis Mazhab Ahlesunnat Wa Jamat Par Hum Hain Kya Yahi Firqae Najiyah (Najat Pani Wali jamat) Hai?

Agar Islam Deen Hai To Ahlesunnat Kya Hai??

Kya Sirf Musalman Hona Zaroori Nahi Sunni Musalman Hona Hi Zaroori Hai???

Agar Ahlesunnat Hi Musalman Hain To Aur Jamaton Ka Kya Hukm Hai?

Shia Aur Qadyani Ko Chhod Kar Kya Ahlehadees Deobandi AhleQuran Bhi Ahlesunnat Me Dakhil Hain?

Hum Ahlesunnat Ke AQA'ID Quran O Hadees Ke Mutabiq O Mawafiq Hain Ya Digar Firqon Ke??
In Tamam Baton Ki Tafseel Janna Har Sunni Barelvi Musalman Ke Liye Zaroori Hai.

Hame Batil Firqon Ki Jankari Ke Sath Apne Mazhab Ki Malumaat Bhi Zaroori Hai Agar Hame Malumaat Hi Nahi Hogi To Hum Iski TABLEEG Karenge Kaise????

Pichle Ambiya عليهم السّلام Ki Ummaton Ke Zimmah 2 Kaam The Eik Allah Aur Apne Nabi Par Iman Lana Aur Dusra Unke Hukmo Par Chalna Magar Is Ummat Ke Ke Zimmah In Do Ke Alawah Tisra Kaam Ye Bhi Hai Ki Ise Phailana Logon Ko Sidhi Raah Dikhana Unhe HAQ Ki Taraf Bulana Aur Jab Hum Khud Hi Gafil Honge To Auron Ki Rahnumai Kaise Karenge?

Lihaza IS KITAB Ko Ba'gaor Padhiye Aur HAQ WA BATIL Ke Beech Ka Farq Quran O Hadees Ki Roshni Me Samjhiye, Gande AQIDE Jis Par Quran O Hadees Se Daleelen Dee Ja Rahi Hai Aur Kufr Ko Islam Aur Islam Ko Kufr Banane Ki Mazmoom Koshishen Ki Ja Rahi Hai Use Samjhna Hamari Pehli Koshish Honi Chahiye. Aur usee Bachna Logon Ko Bachana Hamara Farz Hai.
Bholi Bhali Awam Ko Khushnuma Naaro Ke Zarye Yun Behkaya Jata Hai.

Allah Aur Rasool ﷺ Ka Kalma Padhne Wale Sab Musalman Hain Aur Apas Me Bhai Bhai Hain, Quran Ne Hame Islam Par Chalne Ki Takeed Ki Firqon Me Batne Se Mana Kiya, Sahaba Sirf Musalman The Sunni Wahabi Deobandi Nahi, Lihaza Mera Koi FIRQAH Nahi Main Sirf Musalman Hun Aur Main Har Us Shakhs Ko Musalman Janta Hun Jisne  Allah Wa Rasool ﷺ Ka Kalma Padha.

Quran Hame Kehta Hai,

"Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aur Apas Me Phoot Na Dalo"
(القرآن الكريم)

Sunne Me Ye Batein Kitni Bhali Maloom Hoti Hai Aur Aam Logon Ka isse Muta'assir Hona Bhi Ta'ajjub Ki Baat Nahi.

Hum Puchte Hain Kya Sirf Zabani Dawe Se Islam Ke TAQAZE Pure Honge???

Zuban Ko Harkat Dee Aur Kalime Ka Wird Kiya To Musalman Ho Gaya???

Dr IQBAL Kehte Hain:-

"Zuba'n Se Keh Bhi Diya LA ILAH To Kya Hasil,
Dil O Nigah Musalman Nahi To Kuch Bhi Nahi."

Is Ummat Ka Firqon Me Batna Girohon Me TAQSEEM Hona MUQADDAR Ho Chuka Hai, Aur Jo Kahe Main FAQAT MUSALMAN Hun Mera Koi Firqah Nahi Hamare NAZDEEK WO BATIL FIRQON Ka Majoon E Murakkab Yani MUNAFIQ Hai.

Beshak Islam Hi Deen E HAQ Hai Lekin Islam Par Amal Ahlesunnat Wa Jamat Ke Bina Mumkin Hi Nahi Hai.

Huzoor E Pak ﷺ Ne Is Ummat Ke Girohon Aur FIRQON Me Batne Ki Peshangoi Pehle Hi Farma Dee Hai, Agar Ye FIRQA Bandiyan Na Hoti To Deene Islam Ko Pehchan Ke Liye Ahlesunnat Ka Naam Bhi Nahi Diya Jata, Chunki Ye Tamam Batil Firqe Musalmano Me Hone The, Ye Sab Quran O Hadees Ka Naam Le Kar Uthne Wale The, Ye Sab Allah Wa Rasool ﷺ Ke Deen Par Chalne Ka Dawa Karne Wale The Lihaza Zaroori Hua Ki Jab Sabhi Islam Ka Naam Lekar Uthe'n To Unme WAQAI Jo HAQ Par Ho Use Ek Khas Naam Se Pukara Jaye Aur BAQI Tamam Batil Firqon Ki Nishaniyan Bhi Batai Jaye.

Phir Wo Jamat Jo HAQIQATAN Allah Wa Rasool ﷺ Ke Deen Ke Taabe Rahi use Ahlesunnat Wa Jamat Ka Naam Diya Gaya, Aur Aisa Hargiz Nahi Hai Ki Ye Naam Kisi Molvi Maulana Ya Imam O Mujtahid Ka Diya Hua Ho, Balki iski Asl Quran O Hadees Me Maujood Hai Aur Ye Naam Khud Allah Ke Pyare Mehboob ﷺ Ne Ata Farmaya.

Huzoor ﷺ Farmate Hain:-

وان بنى إسرائيل تفرقت على ثنتين وسبعين ملة وتفترق امتى على ثلاث وسبعين ملة كلهم فى النار، الا ملة واحدة قالو من هى يا رسول قال ما انا عليه واصحابى

Tarjamah-
Bani Isra'eel 72 Firqon Me Bat Gaye The Meri Ummat Zaroor 73 Firqon Me TAQSEEM Hogi, Unme Se 72 Dozakhi Honge Sirf Ek Hi Firqa Jannati Hoga, Sahaba Ne Arz Kiya Wo Kaunsa Firqa Hoga ?
Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Jis TARIQE Par Main Aur Mere Sahaba Hain Us Par Qa'im Rehne Wale.
{مشكوة  شريف، باب الاعتصام بالكتاب والسنة صفحه-٣٠،، ترمذی شریف، جلد-٢، صفحه-٨٩،، ابو داؤد شریف، جلد-٢، صفحه-٢٧٥،، ابن ماجه شريف صفحه-٢٩٦}

Hadees Se Maloom Hua Ummat Ka Firqon Me TAQSEEM Hona Taye Ho Chuka Hai, Aur HAQ Par Ek BAQI Sab Batil Par...
Huzoor ﷺ Ne Ye Kyun Nahi Farmaya Jo Jannati Honge Wo Musalman Honge Unki Jamat Islam Hogi???
Is Liye Aisa Nahi Farmaya Chunki Sabhi Islam Ke Dawedar Honge Sabhi Ba'zome Khesh (apne khayal Me) Jannati Honge, To Zaroori Hua Ki Jannati Jamat Ko Ek Naam Diya Jaye Aur Usi Naam Ki Jamat Wale Afraad HAQIQATAN ISLAM Par Honge.

73 Firqon Wali Hadees Ki Sharah Ulma e Islam Muhaddiseen E izam Se Suniye Hujjatul islam Sayyedna Imam Gazali رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Farmate Hain:-

الفرقة الناجية هم الصحابة فانه عليه السلام، لما قال الناجى منها واحدة قالو يا رسول الله ومن هم قال اهل السنة والجماعة فقيل وما اهل السنة والجماعة قال ما انا عليه واصحابى

Tarjamah-
Sahaba Ki Jamat Firqah Naaji (Najat Pani Wali) Hai, Is Liye Ki Jab Huzoor ﷺ Ne FIRQAH NAJIYAH Ke Muta'alliq Farmaya To Sahaba Ne Pucha Wo Kaunsa Firqah Hai? To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ahlesunnat Wa Jamat Hai, Sahaba Ne Pucha Ahlesunnat wa Jamat Kaun Hain Huzoor Ne Farmaya Jis TARIQE Par Mein Aur Mere Sahaba Hain.
{احياء العلوم جلد-٣، صفحه-١٦١، الملل والنحل للشهر ستانى، جلد-١، صفحه-١٣}

73 Firqon Wali Hadees Ki Sharah Karte Huye Sharahe Bukhari Hazrat Mulla Ali Qari رحمه الله تعالى Farmate Hain.?

(الناجية منها) اى من تلك الفرق (واحدة) اى فرقة واحدة كما فى نسخة صحيحة وهم الذى قال فيهم النبى صلى الله عليه وسلم الذى على ما انا عليه واصحابى وهم اهل السنة والجماعة من الفقهاء كا الائمة الاربعة والمحدثين والمتكلمين من الأشاعرة والما تريدية لخلو مذاهبهم من البدعة

Tarjamah-
Naaji FIRQAH Wahi Hai Jis Par Nabi E Pak ﷺ Aur Aapke Sahaba Hain, Aur Wo Firqah Sirf Ahlesunnat Wa Jamat Hi Hai, Aur Isi Firqe Me Fuqhaye Kiram Jaise Aimmahe Arba (Imame Azam, Imame Shafai, Imame Malik, Imame Ahmad Bin Hambal) Muhaddiseen E Kiram Aur Mutakallimeen Ashariyah Ma'turediyah Se Hain Inke Mazahib Bid'at Se Khali Hain
{شرح شفا، جلد-١، صفحه-٦٧٩}

Hazrat Mulla Ali Qari Mazeed Likhte Hain.?

فلا شك ولا ريب انهم هم اهل السنة والجماعة
Maloom Hua Ahlesunnat Wa Jamat Ke Naaji Hone Me Koi Shakko Shubah Nahi.
{مرقات شرح مشكوة، جلد-١، صفحه-٢٠٤}

Peere Peera'n Meere Meera'n Sayyedna Shaikh Abdul Qadir Jilani Hasani Husaini Huzoor Gausul Azam Dastageer رضی اللہ تعالیٰ عنہ 72 Firqon Ki Pehchan Karate Huye Ahlesunnat Ke Hawale Se irshad Farmate Hain.?

واما الفرقة الناجية فهى اهل السنة والجماعة
Jo Firqah Najat Pane Wala Hai Wo Sirf Ahlesunnat Wa Jamat Hai.
{غنية الطالبين، صفحه-١٦٤}

Ahlesunnat Ke Firqa E Najiyah Hone Par Jahan Hame Quran O Hadees Se Ba'kasrat Daleelen Milti Hain Wahi Gairon Ne Bhi Iska HAQ O Sahi Hona Tasleem Kiya Hai, Gair Muqallideen Aur Deobandiyon Ke Shaikhul Islam Ibne Taimiyah Likhte Hain.?

"Ki Ye Firqah (Naaji) Ahlesunnat Wa jamat Ka Hai, Jab Sahaba Ne Pucha Ya Rasulallah ﷺ Wo Kaunsa Firqah Hai To Aap ﷺ Ne Farmaya
هم من كان على مثل ما انا عليه اليوم واصحابى
Mein Aur Mere Sahaba Jis Raah Par Hain Wo Log (Ahlesunnat) Usi Raah Ko ikhteyar Karenge, Isse Malum Hua Ahlesunnat wa Jamat Hi Aisi Eik Jamat Hai Jo Ki Khalis Islam Par Kar'band Hai, jisme Kisi Qism Ki Milawat Nahi, Inhi Logon (Ahlesunnat) Me Se Siddiqeen Shohada Aur Saleheen Hain, Aur Inhi Me Hidayat Ke Roshan Sitare Aur Bade Fazayel Ke Log Hain, Inhi Me Se Bade Bade Abdal Aur Aimmahe Deen Paida Huye, Jinho Ne Logon Ko Hidayat Dee, Aur Khud Bhi HAQ Par Qa'im Rahe, Yahi Kamyab Giroh Hai Jiski Allah Pak Hamesha Madad Karega, Jiske Muta'alliq Huzoor ﷺ Farmate Hain.?

لا تزال طائفة من امتى على الحق منصورة لا يضرهم من خالفهم ولا من خذلهم حتى تقوم الساعة
Yani Meri Ummat Me Hamesha Eik Jamat HAQ Par Jami Rahegi- Aur Allah Ki Madad Uske Haal Me Shamil Rahegi Aur Unka Mukhalif Unka Kuch Na Bigad Sakega Aur Na Hi Use Chhodne Wala Uska Kuch NUQSAN Kar Sakega Qayamat Tak Wo Isi Halat (HAQ) Par Qa'im Rahenge.
{العقيدة الواسطيه صفحه-٣١٦}

Ye Puri Ibarat Ibne Taimiyah Hambali Ki Hai Isse Jahan Ye Malum Hua Ki Ahlesunnat Wa Jamat Hi HAQ Hai, Wahi Ye Bhi Pata Chala Ki Auliya Asfiya Atqiya Aimmah Saleheen Isi Jamat Me Hain, Aur Sach Bataiye Is Zamane Auliya Ulma Sulha FUQHA FUQRA Aimmah Ka Adb O Ehteram Karni Wali Aur Unke Raste Chalne Wali Jamat Kaunsi Hai.?

Sirf Ahlesunnat Wa Jamat Barelvi Hai.

Deobandi Aur Ahlehadees Agarche Apne Ko Zabardasti Ahlesunnat Me Shamil Karna Chahte Hain Magar Unki Ye Koshish Be'sood Hai Jaise "MAKHMAL ME TAAT KA PEWAND" Chunki Dunya Janti Hai Ki Auliya Allah Se In 2no Firqon Ko Kis Qadar Dushmani Hai, Unki Mazaraat Ko Girana Unki Mohabbat Ka Dam Bharne Walon Par Kufr O Shirk Ke Fatawe Dagna Ye Wabai Mazhab Ka Mehboob Mashgala Hai, Aur Ye Bhi Zahen Me Rakhe Hadees Me Irshad Hua Jaisa Ki Upar Ki Ibarat Me Ibne Taimiyah Ne Bhi is Hadees Ko NAQL Kiya Ki Eik Jamat Hamesha HAQ Par Qa'im Rahegi Deobandi Aur Ahlehadees Agarche Apas Me Ladte Rehte Hain Magar Jab Baat Aati Hai Ahlesunnat Barelvi Ki To Dono Eik Ho Jate Hain Iska Baarha Mushahadah Ho Chuka Hai, Dono Nasha E Tauheed Me Choor Ahlesunnat Par Kufro Shirk Aur Bid'aat O Khurafaat Ke ilzamat Lagte Hain, Dono Ba'wajood Ikhtelaf Ke Eik Dusre Ki IQTEDA Karte Hain Garaz Ki Chor Chor Mosere Bhai Wali Baat Hui...
Bas is Zamane Me HAQIQI Ahlesunnat Wa Jamat Wahi Hain Jo Maslake Alahazrat Yani Barelvi Maslak Wale Hain, Jo Har Batil Firqe Ka Radd Danke ki Chott Par KARTE Hain Aur Allah Wa Rasool ﷺ Ke Dushmano Se Har Qism Ka Rishta Ta'alluq Dosti Yaari Ko Haram Jante Hain Aur Batil Se Kabhi ittehad Nahi Karte.

Ibne Taimiyah Ki NAQL Kardah Hadees Me Ye Bhi Padhen Ki Ahlesunnat Ko Chhodne Wala Uska Kuch NUQSAN Na Kar Sakega Aap Jaante Hain Aaj Jitne Wahabi Deobandi Hain Ye Sab Ahlesunnat Se Kat Kar Bane Hain Aaj Bhi Bahot Se Gharon Me Baap Sunni To Beta Wahabi Mamu Sunni To Bhanja Wahabi Aur Jitne Wahabi Hain Inke Baap Dada Zaroor Sunni The Yaani Ye Ahlesunnat Ke Darya Se Kate Ye Na Aasman Se Tapke Na Zameen Se Nikle Hum Hi Me Se Kate Hain Kya Isse Ahlesunnat Ki HAQQANIYAT Sabit Nahi Hoti???

Ibne Taimiyah Ki Bhari Bharkam Aur Wazni Shahadat (Bad'mazhabo Ke Liye) Ke ILAWAH Aaiye Hum Ahadees E Rasool ﷺ Aur Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Wa Buzurgane Deen Ke AQWAL O AARA Bhi Padhen.

In Tamam Hawalo Se Maloom Hua Ki Ummat Ka 73 Firqon Me Bat'na Aur Unme 72 Ka Dozakhi Aur Eik Ka Jannati Hona YAQEENI Hai,
Aur Jo Jannati Hai Us Jamat Ka Naam "AHLE SUNNAT WA JAMAAT" Hai Jaisa Ki Aap Ne Upar Hadees E Pak Ki Tashreeh Ke Tahet Aimmah Islam Ki Tasrihaat Mulahaza Farmai.

Ab Aaiye Hum Ahlesunnat Wa Jamat Ki Mukhtasar Tashreeh Lughat Aur Quran O Hadees Se Dekhen Ki Is Jamat Ka Naam Quran O Hadees Me Kahan Kahan Aaya Hai?

"AHLE SUNNAT KA LUGHWI MAANA"

AhleSunnat Wa Jamat Ye 2 Lafzon Se Murakkab Hai.
1- "SUNNAT" Aur "JAMAT"

SUNNAT Arbi Lafz Hai Aur Lughat (Dictionary) Me Sunnat Ka Mana Hai?

SUNNAT- Rah, Rawish, Adat
(Gayasul Lughat)

SUNNAT-  Seerat, Tabi'at, Shari'at
(Al'munjid)

SUNNAT- Tariqah, Khas Zabtah
(AL Qamusul Jadeed)

SUNNAT- Wo Tariqah Jis Par Rasulullah ﷺ Aur Sahaba Ne Amal Kiya Ho, Rah, Rawish, Dastoor, Adat, Sunnate Nabwi Yani Rasulullah ﷺ Ka Tariqah
(FERUZUL LUGAT Urdu Dictionary)

SUNNI- Musalmano Ka Wo Firqah Jo Khulafaye Rashedeen Ko Bar'HAQ Manta Ho Huzoor ﷺ Aur Sahaba Ki Sunnat Par Amal Karne Wale.
(FERUZUL LUGAT Urdu Dictionary)

Lugat Ke Hisab Se Sunnat Huzoor ﷺ Aur Dusre Ke TARIQE Ko Bhi Sunnat Kaha Jata Hai, Lekin Shariat Ke Mutabiq Sunnat Khas Huzoor ﷺ Ke Tariqe Ko Kaha Jata Hai Khwah (خواه ) Qaulan Ya Felan Ya Amalan Ho.

Peshwae Auliya Sayyedna Sarkar Shaikh Abdul Qadir Jilani Hasani Husaini Huzoor Gausul Azam Dastageer رضی اللہ تعالیٰ عنہ Farmate Hain.?
فالسنة ما سنة رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم
Maloom Hua Sunnat Rasulullah صلى الله تعالى عليه وسلم Ke TARIQE Ko Kehte Hain.
(غنية الطالبين)

Muhaddise Azam Allama Mulla ALI Qari Hanafi رحمه الله تعالى Mishkat Ki Sharah Mirqat Me Sunnat Ki Tareef Ke Tahet Tehreer Farmate Hain.?

والمراد بالسنة هنا اقواله، افعاله، واحواله المعتبر عنها بالشرعية الطريقة والحقيقة

Yahan Sunnat Se Murad Aap ﷺ Ke Irshadat (Jo Kaha) Aur Af'aal (Jo Kiya) Hain Jinse Shariat Tariqat Aur HAQIQAT Tabeer Ki Gai.
(المرقات المفاتيح شرح مشكوة المصابيح)

Jab Lafz Sunnat Ka Bola Jata Hai To Zahen Me Sab Se Pehle Sarkare Do Alam ﷺ Ka TARIQAH Aata Hai, Sunnat Ke Andar Asal Kya Hai?
Is Par Lisanul Arab Ki Ibarat Padhiye ?

والاصل فيه الطريقة والسيرة واذا اطلقت فى الشرع فانما يراد بها ما امر به النبیﷺ ونهى عنه وندب اليه قولاً فعلاً بما لم ينطق به الكتاب العزيز
Tarjamah-
Sunnat Me Asal Hai TARIQAH Aur Adat, Shariat Me iska ITLAQ Us Cheez Par Hota Hai Jiska Aap ﷺ Ne Hukm Diya Ho Ya Usse Roka Ho.
(لسان العرب)

In Tamam Hawalon Se Maloom Hua Ahle Islam Me Jitni Jamaten Hain (Is Waqt) Unme FAQAT Ahlesunnat Hi Wo Giroh Hai Jo Pyare AAQA Ke Pyare AQWAL O IRSHADAAT Aur Unke MUBARAK TARIQON Par Chal Raha Hai, Aur Uski Hifazat O Pasbani Kar Raha Hai, Aur Use Dusron Tak Paohchane Me Laga Hai,
Ahlesunnat Ke Maana Hi Hai Huzoor ﷺ Ke TARIQAYE HASANA Ki Itteba Karne Wale Log Aur Yahi Wo Ta'ifae Mansoorah (Kamyab Giroh) Hai Jise Gaib Daan Nabi Ne Apni Zubane AQDAS Se Jannat Ki Basharat Ata Farmai.

"Wo Zuban Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahen,
Uski Nafiz Hukumat Pe Lakhon Salam.!!!!!!!
(Sayyedi Alahazrat عليه الرحمه)

Ahlesunnat Huzoor ﷺ Ki Sunnat Aur Aapke Khulafae Rashedeen Ki Sunnat Par Chalne Walon Ko Kehte Hain.

Is Silsile Me Hum Ne Arbi & Urdu Lughaat Ke Hawale Bhi Pesh Kiye Hain.

Musalman Ke Liye Huzoor ﷺ Ki ita'at Aur Aap Se Mohabbat Aapke Hukmo Ki Ta'meel Har Farz Se Bada Farz Hai Chunki Iman Kehte Hain.
التصديق بما جاء النبیﷺ
Jo Kuch Huzoor ﷺ Le Kar Aaye Dil Ki Gehrai Se Use Maan Lena Hi Iman Hai, Iman Eik Zaroori Cheez Hai, Momin Ki Zindagi Ka Aagaz Hi Iman Se Hai Agar Iman Nahi To Aap Use Insan To Keh Sakte Hain Magar Momin Ya Musalman Nahi.

Huzoor ﷺ Ki ita'at Aap ﷺ Ki Itteba Aapke Hukmo Par Chalna Aur Jisse Aap ﷺ Ne Mana Farmaya Usse Ruk Jana, In Tamam Chizo  Ki Hidayat Hame Allah Ki Janib Se Quran Me Mil Rahi Hai....?

"QURAN"
Aye Iman Walo Hukm Mano Allah Ka Aur Hukm Mano Rasool (ﷺ) Ka, Aur Unka Tum Me Jo Hukumat Wale Hain.
{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٥٩}

"QURAN"
Aur Aye Mehboob Hum Ne Tume Sab Logon Ke Liye Rasool Bheja, Aur Allah Kafi Hai Gawah, Jisne Rasool Ka Hukm Mana Beshak Usne Allah Ka Hukm Mana.
{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٨٠}

"QURAN"
Aye Mehoob Tum Farma Do, Logon Agar Allah Ko Dost Rakhte Ho To Mere Farma'bardar Ho Jao.
{القرآن الكريم، الجزء-٣، سورة ال عمران، الايت-٣١}

"QURAN"
Aur Jo Kuch Rasool (ﷺ) Tume Ata Farmayen Wo Le Lo Aur Jisse Mana Farmayen Baaz Raho.
{القرآن الكريم، الجزء-٢٨، سورة الحشر، الايت-٧}

"QURAN"
Beshak Tume Rasulullah Ki Pairwi Behtar Hai.
{القرآن الكريم، الجزء-٢١، سورة الأحزاب، الآية-٢١}

In Tamam Aayaat Se Maloom Hua Ki Halal O Haram Ka ikhteyar (Power) Huzoor ﷺ Ko Bhi Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki Ita'at Hi Allah Ki Ita'at Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki Zindagi E Mubarak Tamam Nasle Insani Ke Liye Behtareen Uswah (Namuna) Hai, Aur Agar Insan Allah Pak Ki Muhabbat Chahta Hai To Uska Zarya Sirf Huzoor ﷺ Ki Sunnat Ka Aapki Shari'at Ka Itteba Hai Aur Aapke Tariqon Par Chalna Hi Hai.

In Qurani Hukmo Par Jinka Amal Hai Wo Ahlesunnat Wa Jamat Ka Giroh Hai Jo Huzoor ﷺ Aur Aapke Sahaba Ki Pairawi Karta Hai.

Aaiye Ab Hum Ye Maloom Karen Kya LAFZ Sunnat Jisse Hamari Jamat Ka Naam Bana Hai Ahlesunnat Kya Ye LAFZ Sunnat Quran Me Aaya Hai???

Jee Haan Quran Me 25 Se Za'id Martaba Ye Lafz Maujood Hai Mukhtasaran 3 Hawale Padhen.?

"QURAN"
سنتة الله التى قد خلت من قبل ولن تجد لسنة الله تبديلا
Allah Ki Sunnat (Dastoor) Jo Pehle Guzar Chuki Aur Tum Hargiz Allah Ki Sunnat Ko Badalta Na Paoge.
{القرآن الكريم، الجزء-٢٦، سورة الفتح الآيه-٢٣}

"QURAN"
وقد خلت سنة الاولين
Pehlo Logon Ki Sunnat Guzar Chuki.
(القرآن الكريم، الجزء-١٤، سورة الحجر-١٣}

"QURAN"
فلن تجد لسنة الله تبديلا ولن تجد لسنة الله تحويلا
To Tum Hagiz Allah Ki Sunnat Ko Badalta Na Paoge, Aur Hargiz Allah Ki Sunnat Ko Talta Na Paoge.
{القرآن الكريم، الجزء الجزء-٢٢، سورةفاطر الايه-٤٣}

Sunnat Tariqea, Adat, Qanoon, Dastoor, Aa'een, Ko Kehte Hain Jaisa Ki Lughat Me Aaya Hai,, Aur Istelahe Shari'at (Shariat Ki Bol Chal) Me Sunnat Khas Nabi E Pak Ke Tariqe Ko Kehte Hain Aur Us Par Chalne Ki Takeed Quran Se Aap Padh Chuke Hain Ab Ahadees Ki Roshni Me Sunnat Pe Amal Ki Takeed Padhen Aur Pehchane Ki HAQIQI Ahlesunnat Kaun...?

"HADEES"
تركت فيكم امرين لن تضلو ما ان تمسكتم بهما كتاب الله وسنة رسوله
Tarjama.
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Mai Tum Me 2 Chizen Chhod Kar Ja Raha Hun, Jab Tak Thame Rahoge Gumrah Na Honge, Eik Allah Ki Kitab Dusri Uske Rasool ﷺ Ki Sunnat.
{موطا}

"HADEES"
من تمسك بسنتى عند فساد امتى فله اجر مائة شهيد
Tarjama.
Fasade Ummat Ke WAQT Jo Shakhs Meri Sunnat Ko Pakdega Use 100 Shahidon Ka Sawab Milega.
(مشكوة المصابيح)

"HADEES"
من احب سنتى فقد احبنى ومن احبنى كان معى فى الجنة
Tarjamah.
Jisne Meri Sunnat Se Mohabbat Ki Goya Usne Mujh Se Muhabbat Ki Aur Jo Mujh Se Muhabbat Karta Hai Wo Jannat Me Mere Sath Hoga.
(مشكوة المصابيح)

"HADEES"
من يعيش منكم بعدى فيسرى اختلافاً كثيرا فعليكم بسنتى وسنة الخلفاء الراشدين المهديين وعضوا عليها بالنواجد
Tarjamah-
Jo Shakhs Tum Me Se Mere Bad Zindah Rahega Wo Bahot Ikhtelaf Dekhega, Pass Tum Par Meri Sunnat Aur Mere Hidayat Yaftah Khulafae Rashedeen Ki Sunnat Lazim Hai Aur Ise Daant Se Mazbooti Se Pakde Rehna.
(مشكوة المصابيح، باب الاعتصام بالكتاب والسنة)

Ahadees E Mubarikah Se Ye Baat Maloom Hui Jannati Firqah Wo Hai Jo Huzoor ﷺ Aur Aapke Sahaba Ki Sunnat Par Chalta Hai Kyun Ki Bar Bar Sunnat Pe Chalne Ki Takeed Ki Gai,

EIK KHAS NUKTA-
Musalmano Me Jitne FIRQE Hain Unme Apne Ko Ahlesunnat FAQAT 3 Hi Kehte Hain, Eik Barelvi Dusre Deobandi Tisre Ahlehadees Ab Inhe 3 Me Se Dekhna Hai HAQIQI (Sachcha) Sunni Kaun ?

Ahlehadees To Ho Hi Nahi Sakte Q Ki Wo Ahlehadees (Hadees Wale) Hain, Ahlesunnat (Sunnat Wale) Nahi, Aur Nabi Ne Sunnat Pe Amal Ka Hukm Diya Hadees Par Nahi.
Hadees Me Lafz "Alaikum Bi'sunnati" Aaya Hai "Alaikum Bihadisi" Nahi, Aur Dusri Baat Nabi Ne Khulafa E Rashedeen Ki Sunnat Pe Bhi Chalne Ka Hukm Diya Jab Ki Gair Muqallideen Ke Nazdeek Sahaba Ka Amal Deen Me Hujjat Nahi Aur Sahaba Meyare HAQ Nahi Isi Liye 20 Rakat Taraveeh Nahi Padhte.

Dusre Number Par Deobandi Inka Mustaqil Radd Aage Aaraha Hai Hum Bas Itna Hi Kahenge Ki Deobandiyon Ka Sunni Hona To Bahot Door Wo Apna Halka Sa Rishta Bhi Islam O Iman Se Sabit Karen, Jinke Akabir Ne Muh Bhar Bhar Galiyan Baragah E Risalat Me Baki Aur Likhi Aur Isi Par Mare Aur Unki Talimaat Ko Aam Karne Wala Har Deobandi Islam Se Apna Har Ta'alluq Tod Chuka Hai, Bhala Jo Musalman Hi Na Ho Wo Sunni Kaisa????

Lafze Sunnat Quran Hadees Se Dekhne Ke Bad JAMAT Ka Lafz Bhi Hadees Me Dekhiye.

"HADEES"
عن ابى هريرة قال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول من خرج من الطاعة وفارق " الجماعة " فمات مات ميتة جاهلية
Tarjamah-
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Rasulullah ﷺ Se Suna Hai Ki Jo Shakhs Ita'at Se Nikal Gaya (Ameer Ki) Aur JAMAT Ko Chhod Diya Aur Phir Mar Gaya To Wo Jahiliyat Ki Maut Mara.
{مشكوة المصابيح، كتاب الامارة والقضاء، حدیث نمبر-٣٤٩٩}

"HADEES"
وعن ابن عمر رضی اللہ تعالٰی عنهما قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم ان الله لا يجمع امتى أو قال امة محمد على ضلالة ويدالله على "" الجماعة "" ومن شذ شذ فى النار
Tarjamah-
Hazrat IBNE Umar Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne.
Allah Pak Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jama Nahi Farmayega... Aur Allah Pak Ka Hath "JAMAT" Par Hai, Aur Jo Shakhs Jamat Se Alag Hai Wo Dozakh Me Dala Jayega.
{رواه الترمذي، مشكوة المصابيح، باب الاعتصام بالكتاب والسنة، الحديث-١٦٣}

"HADEES"
عن ابى هريرة قال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول من أتاكم وأمركم جميع على رجل واحد يريد أن يشق عصاكم أو يفرق "" جماعتكم "" فاقتلوه
Tarjamah-
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne.
Jo Shakhs Tumhare Pas Is Halat Me Aaye Ki Tum Sab Eik Ameer Ki Ita'at Par Jama Ho Aur Wo Ye Chahe Ki Tumhari Lathi (TAQAT) Ko Phaad Dale, Ya "JAMAT" Me Judai Dale To Use Qatl Kar Do.
{رواه مسلم، مشكوة المصابيح، كتاب الامارة والقضاء، الحديث-٤٥٠٧}

"HADEES:
عن الحارث الاشعرى قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم امركم بخمس
"" بالجماعة "" والسمع والطاعة والهجرة والجهاد فى سبيل الله وإنه من خرج من""الجماعة"" قيد شبر فقد خلع ربقة الاسلام من عنقة الا ان يراجع
Tarjamah-
Hazrat Haris Ash'ari Se Riwayat Hai Rasulullah ﷺ Ne Farmaya.
Mein Tume 5 Chizon Ka Hukm Deta Hun, 1-"JAMAT" Ke Sath Raho, 2-Sunne Ki Adat Dalo, 3-ita'at Karo, 4-Hijrat Karo, 5-Allah Ki Raah Me Jihad Karo, Aur Jo Shakhs Jamat Se Balisht Barabar Bahar Nikla To Beshak Usne Islam Ka Patta Gardan Se Utara Magar Ye Ki Wo Laut Aaye.
{رواه أحمد والترمذي، مشكوة المصابيح، كتاب الامارة والقضاء، الحديث-٥٣٢٣}

Ahlesunnat Wa Jamat Ke Dono Lafz Hum Ne Quran O Hadees Se Sabit Kiye, Aur Isi Par Chalne Ki TALQEEN Aur isse Bahar Nikalne Par Wa'ied Bhi Dikha Dee.

Wallah Ahlesunnat Ke Ahlejannat Hone Me Koi Shubah Nahi Iske FIRQAH NAJIYE Hone Me Habba Barabar Shak Nahi Aur Iske Hote Dusre Firqe Sab Ke Sab Gumrah Be'deen Aur Daraye islam Se Kharij Hain.

Hum Sab Ke Alahazrat Imame Ahlesunnat Kya Khoob Farmate Hain.?

"AhleSunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor ﷺ....
Najm Hai Aur Naao it'rat Rasulullah ﷺ Ki.!!!

Firqa E Najiyah Ahlesunnat Wa Jamat Ki Fazilat Aur MANQABAT Me Jis Qadar Ahadees Aur Riwayaat Maujood Hain Agar Hum Tamam Ko NAQL Karen To Eik Achcha Khasa Daftar Taiyyar Ho Jaye, Magar Bajaye Tafseel Me Padne Ke Hum Ikhtesar Ke Sath Kuch Hadeesen Is Silsile Me Pesh Karte Hain.
Taki Maloom Ho 72 Me Eik Hi HAQ Hai Aur Wo Ahlesunnat Hi Hai Aur Uski Pehchan Ye Hai ?

"HADEES"

عن ثوبان قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم لا تزال طائفة من امتى ظاهرين على الحق لا يضرهم من خذلهم حتى يأتى امر الله.
Tarjamah-
Hazrat Soban Bayan Karte Hain Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya.
Meri Ummat Ka Eik Giroh Hamesha HAQ Par Qayem Rahega, Jo Shakhs Unhe Ruswa Karna Chahega Wo Unko NUQSAN Nahi Paohcha Sakega Wo Isi Haal Me Rahenge Hatta Ki Qayamat Aajayegi.
{صحيح البخاري، جلد-١، صفحه-١٦، صحيح مسلم. كتاب الامارة، باب- لا تزال طائفة من امتى ظاهرين على الحق لا يضرهم من خالفهم، جلد-٢، صفحه-١٤٤،،، سنن دارمی، جلد-١، صفحه-٧٣}

Is Hadees Me Jo AHLE HAQ Ki Nishani Batai Gai Wo Ye Hai Ki Wo Jamat Hamesha Rahegi Aur Digar Firqe Uski Mukhalifat Karenge Magar Kuch Bigad Na Sakenge...
Kaun Nahi Janta is WAQT Musalmano Me 3 Hi FIRQE Ahlesunnat Hone Ke Dawedar Hain Aur Unme Deobandi & Gair Muqallideen Ahlesunnat Barelvi Se Ladne Ke Liye Hamesha Eik Hote Hain (Halaki Inki Apas Me Bhi Nahi Banti) Jiska Muzaherah Umuman Ye 2no Miladun'nabi ﷺ Ke Mauqe Aur Mahe Muharram Me Nasawae Rasool ﷺ Ki Shahadat Ke Mauqe Par Aur 11wi Sharif Me Aulade Rasool ﷺ Huzoor Gause Pak Ki Niyaz Ke Mauqe Par Karte Hain.

Maloom Hua HAQIQI Ahlesunnat Sirf Barelvi Hain Jinki Mukhalifat Tamam Batil Firqe Khususan Wahabi Deobandi Karte Hain.

"HADEES"

وعن معاوية قال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول لا يزال من امتى امة قائمة بامرالله لا يضرهم من خذلهم ولا من خالفهم حتى يأتى أمرالله وهم على ذلك
Tarjamah-
Hazrat Mu'awiyah Kehte Hain Mai Ne Allah Ke Rasool ﷺ Se Suna Hai Ki Meri Ummat Ka Eik Giroh Hamesha Aisa Rahega Jo Allah Ke Hukm Par Qayem Rahega Jo Use Ruswa Karna Chahega Ya unki Mukhalifat Karega Wo Unka Kuch NUQSAN Na Kar Sakega Yahan Takki Allah Ka Hukm (Qayamat) Aajaye Aur Wo Usi Raste (Ahlesunnat) Par Qayem Honge.
{متفق عليه، مشكوة المصابيح، باب-ثواب هذه الامة، الحديث-٦٠٢٢}

Is Hadees Ka Mafhoom Bhi TAQRIBAN Pehli Hadees Ki Tarah Hi Hai..

Tamam Firqon Me Ahlesunnat Ka Sachche Raste Par Hona Sabit Ho Gaya Aur Wahabi Deobandi Is Liye Ahlesunnat Me Nahi Chunki Ye Gustakh Hone Ke Sath Munafiq Bhi Hain Inka Qaul Kuch, Amal Kuch, Ye Ahlesunnat Barelvi Ko Bid'ati Aur Mushrik Bhi Kehte Hain Aur Sunni Imam Ke Piche Namaz Bhi Padhte Hain, Sunniyon Se Rishta Bhi Karte Hain Jab Ki Hadees Me Ahlesunnat Ki Pehchan HAQ GO Batai Gai, Hum Ahlesunnat Barelvi Ko Dekhen Danke Ki Chott Par Inhe Kafir Kehte Aur Samajhte Hain, Na Inki Masjido Me Jate Hain Na Inki IQTEDA Karte Hain Na Inke Ghar Rishta Karte Hain, is Hadees Ki Nishani Me Sirf Ahlesunnat Barelvi Hi Dakhil Hain Aur Koi Nahi.

"Mujh Se Na Ho Sakega Batil Ka Ehteram,
Meri Zuba'n Ke Waste Taale Kharid Lo.!!!!!!!

"HADEES"

قال قال حميد بن عبدالرحمن سمعت معاوية خطيبا يقول سمعت النبیﷺ من يردالله به خيراً يفقه فى الدين وانما انا قاسم والله يعطى ولن تزال هذه الامة قائمة على امرالله لا يضرهم من خالفهم حتى يأتى امرالله
Tarjamah-
Humaid Bin Abdur'rahman Se Riwayat Hai Ki Mai Ne Hazrat Mu'awiyah Ko Daurane Khutbah Ye Kehte Suna Ki Mein Ne Rasulullah ﷺ Ko Ye Farmate Suna Hai Ki Allah Jiska Bhala Chahta Hai Use Deen Ki Samajh (FIQAH) Ata Farmata Hai, Beshak Allah ATAA Farmata Hai Aur Mein TAQSEEM Karta Hun, Ye Ummat (Eik Giroh) Hamesha Kalimah (Deen) Par Qayem Rahegi Koi Mukhalif Use NUQSAN Na De Sakega Yahan Tak Ki Qayamat Aajaye.
{الصحيح البخاري، كتاب العلم، باب- من يردالله خيراً يفقه فى الدين، جلد-١، صفحه-١٢٨}

Is HADEES Me HAQ Wali Jamat Ki Eik Nishani
"TAFAQQOH FIDDEEN"
(تفقہ فى الدين)
Batai Gai..........

Dunya Janti Hai Ki FIQAH Par Amal 4 Hi Mazahib Ke Muqallideen Karte Hain, Lihaza Yahi 4 Imamo Ke MUQALLIDEEN Ahlesunnat Hain, Gair Muqallideen To FIQAH Ke Pakke Dushman Hain Balki FIQAH E HANAFI Ke Aadhe Adhure Masayel Dikha Kar Ye Logon Ko Gumrah Karte Hain.
Lihaza Naam Nihad Ahlehadees Hargiz Ahlesunnat Me Dakhil Nahi.

Hafiz Ibne Hajar ASQALANI SHAFAI رحمه الله تعالى Is Hadees Ki Sharah Karte Huye Farmate Hain.?

وفى ذالك بيان ظاهر لفضل للعلماء على سائر الناس ولفضل تفقه فى الدين على سائر العلوم
Is Hadees Me Saaf Taur Par Ulma Ki Tamam Logon Par Aur ILME FIQAH Ki Tamam Uloom Par Fazilat Bayan Ki Gai Hai.
(فتح الباری، جلد-١، صفحه-١٣٦}

Aur Is Hadees Me Jo Alfaz Hain.
من يردالله خيرا يفقه فى الدين
Allah Pak Jiska Bhala Chahta Hai Use Deen Ki Samajh (ILME FIQAH) ATA Farmata Hai, Inhi Alfaz Ke Sath Ye Riwayat Hazrat Abdullah Bin Abbas Se Bhi Marfu'an Marwi Hai.
{مسند دارمى، جلد-٢، صفحه-٢٩٧}

Deen Ki Sahi Samajh Quran O Hadees Ke Mu'aani Wa Mafaheem Samajhne Ki Salahiyat Aur Unse Masayel Ka istembaat Sirf Allah Tala Ki Ata Hi Se Mumkin Hai, Aur FIQAH Wahi Hasil Karta Hai Jisse Allah Pak Khush Ho Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Koofi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ne Isi FIQAH Se 12 Lakh Masayel Hal Farmaye, Sochiye Allah Pak Un Par Kis Qadar Maherbaan Hai Aur Unse Kitna Khush Hai, Aur Gair Muqallideen Unse Hasad Rakhte Hain, Neez Fiqah Ko Hasil Karna Bura Jante Hain, Maloom Hua Gair Muqallideen Hargiz Ahle HAQ Me Se Nahi, Is Hadees Me Ye Bhi Hai Ki Allah Ki Nematon Ke Qasim Huzoor Rehmate Alam ﷺ Hain, Aur Wahabi Deobandi Dharam Ki Mustanad Kitab TAQWIYATUL IMAN Me Saaf Likha Hai?

Nabi ﷺ  Ko Apni Jaan Ka Bhi Ikhteyar Nahi ........ Aur Nabi ﷺ Ke Chahne Se Kuch Nahi Hota.
{تقوية الايمان، صفحه-٦٨، ناشر- مكتبه تهانوى ديو بند)

JIS NABI KI ZUBANE AQDAS SE AHLE HAQ KI Ye Nishani Batai Gai Aur Sath Me Nabi ﷺ Ne Hi Apne Qasim E Nemat Hone Ka Zikr Farmaya Usi Nabi Ke Hawale Se Wahabi Deobandiyon Ka Ye Khabees AQEEDAH Hai, Bhala Phir Ye Kaise Ahlesunnat Me Dakhil Ho Sakte Hain Aur Ahle HAQ Honge??????

Is Hadees Me ILME FIQAH Ahle HAQ Ki Pehchan Batai Gai Aur Huzoor ﷺ Ka Qasime Nemat Hona BATAYA Gaya Ahlehadees Munkire Fiqah Hone Se Is JAMATE HAQQAH Se Kharij Hain Aur Deobandi Huzoor ﷺ Ke Qasime Nemat Hone Ke Munkir Hone Se Is Jamate HAQQAH Se Kharij Hain.

"Haakim Hakeem Daado Dawa De'n Ye Kuch Na De'n,
Mardood Ye Muraad Kis Ayat Khabar Ki Hai.?
(Huzoor Alahazrat Barelvi)

AhleSunnat Ke Ahle HAQ Hone Par Jis Qadar Riwayaat Pesh Ki Gai Wo Kafi Thi, Magar Aaiye Itmame Hujjat Aur Ahle HAQ Ki Nishani Janne Ke Liye Rasool E Pak ﷺ Ke 4 Aur irshad is Silsile Me Padhen.....

"HADEES"

عن المغيرة قال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول لن يزال قوم من امتى ظاهرين على الناس حتى يا تيهم امرالله وهم ظاهرون
Tarjamah-
Hazrat Mugirah Bin Shaba Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Allah Ke Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Suna Hai
"Meri Ummat Me Eik Giroh HAMESHA HAQ Par Galib Rahega Hatta Ki Qayamat Aajayegi"
{الصحيح المسلم، كتاب الامارة، باب-قوله لا تزال طائفة من امتى ظاهرين على الحق لا يضرهم من خالفهم، جلد-٢، صفحه-٦٥٩}

"HADEES"

عن جابر بن سمرة عن النبیﷺ انه قال لن يبرح هذا الدين قائما يقاتل عليه عصابة من المسلمين حتى تقوم الساعة
Tarjamah-
Hazrat Jabir Bin Samurah Bayan Karte Hain Ki Nabi E Pak ﷺ Ne Farmaya..
Ye Deen HAMESHA Qayam Rahega, Aur Musalmano Ki Eik Jamat is Deen Ke Liye Qayamat Tak Ladti (Batil Se) Rahegi.
{وقال المسلم، وفى موضع آخر، ج-٢، ص-٦٥٩}

"HADEES"

وحدثنى هارون بن عبدالله وحجاج بن الشاعر قال حدثنا حجاج بن محمد قال قال ابن جريج اخبرنى ابو الزبير انه سمع جابر بن عبدالله يقول سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول لا تزال طائفة من امتى يقاتلون على الحق ظاهرين الى يوم القيامة
Tarjamah-
Hazrat Jabir Bin Abdullah رضی اللہ تعالیٰ عنہ Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Allah Ke Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Suna Hai Ki Meri Ummat Me Eik Jamat Hamesha HAQ Ke Liye Ladegi (Batil Se) Wo Logon (Batil) Par Galib Rahenge Hatta Ki Qayamat Aajayegi.
{وقال المسلم، وفى موضع آخر ج-٢، ص-٦٥٩، الحديث-٤٩٣١}

"HADEES"

حدثنا يزيد بن الاصم قال سمعت معاوية بن سفيان ذكر حديثا رواه عن النبیﷺ لم اسمعه روى عن النبیﷺ على منبره حديثاً غيره قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم من يردالله خيراً يفقه فى الدين ولا تزال عصابة من المسلمين يقاتلون على الحق ظاهرين على من ناوأهم الى يوم القيامة
Tarjamah-
Yazeed Bin Asam Kehte Hain Mein Ne Hazrat Mu'awiyah Bin Abu Sufyan رضی اللہ عنہما Ko Eik Hadees Bayan Karte Huye Suna Jo Mein Ne Kisi Aur Se Mimbar Par Nahi Suni, Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya, Ki Allah Jiske Sath Bhalai Ka Iradah Farmata Hai Use Deen Ki Samajh (FIQAH) Ata Farmata Hai, Aur Musalmano Ki Eik Jamat Hamesha HAQ Ke Liye Ladti Rahegi (Batil Se) Aur Apne Mukhalifeen Par QAYAMAT Tak Galib Rahegi.
{وقال المسلم، وفى موضع آخر، ج-٢، ص-٦٦٠}

In Tamam Ahadees Ka Khulasah Ye Hai Ki Jo HAQ Par Hoga Wo Batil Se Jang Karega Ulmae Ahlesunnat Ne Har Daur Me Apni Zuban O Qalam Se Rahe Khuda Me Jihad Kiya, Deen O Mazhab Ki BAQA Ho Ya Mulk Ki Azadi Ho Har Mod Par Apni Jane'n Tak Qurban Ki Aur Aaj Bhi Ulmae Ahlesunnat Jinki Pehchan is Zamane Me Barre Sageer Barelvi Se Hoti Hai Apne Wazo Bayan Aur Kitabon Me Batil Ke Parkhache Udate Hain.

Aur Akhri Hadees Me Batil Ke Sath Ladne Ke Ilawah AHLE HAQ Wo Hain Jo Ahle FIQAH Honge, Gair Muqallideen To Bechare Fiqah Se Mehroom Hain Balki Fiqah Ke Rad Me Inke Bayan Aur inki Kitaben Maujood Hain.

Wo Kamyab Giroh Ahlesunnat Hi Hai Jisne Dunya Ko Mujahid, Mohaddis, Zahid, Munazir, FUQHA, ULMA, MUBALLIGEEN Diye Hain Aur Ye Tamam Log Apne Apne Shobon Me Shabo Roz Deene HAQ Ki Isha'at Me Lage Hoye Hain.

Ab Tak Jitni Hadee'sen Ahle HAQ Ki Pehchan Me Bayan Hui Wo Siwaye Ahlesunnat Ke Kisi Me Nahi Pai Jati Bas Gaur O Fikr Kijiye.

■AHLE HAQ KI JAMAT KA EIK NAAM SAWADE AZAM BHI HAI■

AhleSunnat Wa Jamat Ka Eik Naam SAWADE AZAM (Bada Giroh) Bhi Hai.

Is Silsile Me Kuch Riwayaat Aur Ulam E Kiram Ki Tas'hrihaat Mulahaza Farmayen.

"HADEES"

وعن ابن عمر رضی اللہ عنہما قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم اتبعو "السواد الاعظم" فانه شذ شذ فى النار
Tarjamah-
Abdullah Bin Umar Riwayat Karte Hain Ki Farmaya Rasool E Pak ﷺ Ne.
Sab Se Badi Jamat Ki Pairwi Karo Jo Isse Kata Wo Kat Kar Jahannam Me Gaya.
{مشكوة المصابيح، كتاب الايمان، باب الاعتصام بالكتاب والسنة)

"HADEES"
Hazrat Anas Riwayat Karte Hain Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya.
ان امتى لن تجتمع على ضلالة فاذا رأيتم الاختلاف فعليكم "بالسواد الاعظم"
Tarjamah-
Beshak Meri Ummat Gumrahi Par Jama Nahi Hogi, Jab Tum IKHTELAF Dekho To Badi Jamat Ke Sath Ho Jao.
{كتاب النهايه لابن اثير، ص-١٨، مستدرك للحاكم، كنزالعمال، جلد-١، صفحه-٩٠٩}

Hadees Me Jo Lafz SAWADE AZAM Aaya Hai Usse Kaun Murad Hain, Akbir Ulma Se Suniye.

1》Imam Abdul Wahab Shorani Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain.?
كان سفيان الثورى يقول المراد "بالسواد الاعظم" هم من كان اهل السنة والجماعة
Hazrat Suyan Soori رحمه الله تعالى Farmate Hain Sawade Azam Se Wahi Murad Hain Jo Ahlesunnat Wa Jamat Kehlate Hain.

2》Hazrat Mulla Ali Qari رحمه الله تعالى NAJI GIROH Aur Sawade Azam Ahlesunnat Wa Jamat Hi Ko Qarar Dete Huye Farmate Hain.?
فلا شك ولا ريب انهم هم اهل السنة والجماعة
Koi Shakk O Shubah Nahi Beshak Wo Ahlesunnat Wa Jamat Hi Hai.
{مرقاة المفاتيح شرح مشكوة المصابيح، ج-١، ص-٧}

3》MUHAQQIQE ALAL ITLAQ Hazrat Shaikh Abdul HAQ Muhaddise Dahelvi رحمه الله تعالى Sawade Azam Ke Hawale Se Farmate Hain.?کہ بالجملہ سواد اعظم در دین اسلام مذہب اہلسنت و جماعت است
Yani Deen E Islam Me Sawade Azam Se Murad Ahlesunnat Wa Jamat Hi Hain.
{اشعة اللمعات، فارسى جلد-١، صفحه-١٤١، سطر-٩}

4》imamul Hind Shah Waliullah Mohaddise Dahelvi رحمه الله تعالى Eik Mazhab Ki Pabandi Karte Huye Farmate Hain.?

"Sarkare 2 Aalam ﷺ Ne Farmaya Badi Jamat Ki itteba Karo Aur Ab Siwaye in 4 Mazahib (Hanafi/Shafai/Malki/Hambali) Ke Sab Khatm Ho Gaye To Ab Inki Itteba Karna Hi Sawade Azam Ki Pairwi Hai, Aur Isse Bahar Hona Sawade Azam Se Katna Hai.
{عقد الجيد، صفحه-٣٣، سطر- ١ تا ٩}

Wo Tamam Nishaniyan Ahle HAQ Ki Jo Hum Ne Ab Tak Ahadees Ki Roshni Me Bayan Ki Hai, Use Samjha Jaye To Is Daur E Pur'fitan Me Ahle HAQ Ki Jamat Ko Pana Koi Mushkil Nahi,.

Gair Muqallideen Naam Ke Ahlehadees Bhale Ahlesunnat Hone Ka Dawa Karen Magar Aap Rasool E Pak ﷺ Ka Farman Padho Ki Musalmano Me Jitne FIRQE Honge Unme Jo Sab Se Badi Jamat Hai Wahi Ahle HAQ Ki Hai, Ab Aap Zara Se Apne Zahen Aur Mushahadah Ko Takleef Den Aur Khud Dekhen Ki MUQALLIDEEN Ke MUQABLE Me Gair Muqallideen Kitne Hain 
Aate Me Namak Ki Haisiyat Bhi Nahi Inki, Hum Apne Shaher Ki Baat Karen To Mumbai Me Ahlesunnat Ki Agar 2000 Masajid Hain To Gair Muqallideen Ki 100-50 Phir Ye Sawade Azam Kaise Huye??????

Aur Sawade Azam Me Aaj Ki awam Nahi Balki Zamanae Risalat Se Aaj Tak Ke Tamam Log Jode Jayenge. Deobandiyon Ka Napak Wajood Bhi Hindustan Me Angrezon Ki Ataa Hai 150 Saal Pehle Inka Koi Wajood Nahi Tha, Zamanae Risalat Se Aaj Tak Ahlesunnat Jinki Ab Pehchan Barelvi Maslak Se Hoti Hai Yahi Log Hain, To Bada Giroh Kaunsa Hua Wahabi/Dobandi Ya Barelvi ?

Har Musalman Ko Chahiye Ki Insaf Pasandi Se Tareekh Ka Mutala Kare Aur Quran O Hadees Ko Samajh Kar Padhe To Insha'Allah Wo Batil Firqon Ke Fareb Me Nahi Aayega Aur Use Maloom Ho Jayega Ki HAQIQI AHLESUNNAT BARELVI Hi Hain Isi Jamat Me Tamam Sahaha Wa Taba'een, Tabe Taba'een, Gazi Wa Mujahideen, Auliyae Kamileen, Muhaddiseen, FUQHA Wa Mujtahideen, Mufassireen Wa Munazireen, ULMA Wa Sawaliheen, SUFYA Wa Masha'ikheen, Rahe Hain.
Yahi Hai Girohe Najiya Sawade Azam Ahlesunnat Wa Jamat Yani Ab Masalke Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Qadri Barelvi عليه الرحمة والرضوان.

"Ahlesunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor ﷺ....
Najm Hai Aur Naao It'rat Rasulullah ﷺ Ki.!!!
(Huzoor Alahazrat Barelvi)

■AHELSUNNAT KI PEHCHAN■

Ahlesunnat Wa Jamat Hi FIRQAH E NAJIYAH Hai Aur Iska Naam Le Kar Huzoor ﷺ Ne Ise Yaad Farmaya Hai.

Eik "Marfoo Hadees" Jise Allama Abdul Kareem Shehristani رحمه الله تعالى Ne Apni Kitab Me NAQL Farmaya Hai.

"HADEES"

Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Jald Hi Meri Ummat 73 FIRQON Me Bategi, Unme Se Sirf Eik Hi Najat Pane Wala Hoga BAQI Sab Halaak Hone Wale Honge,
Pucha Gaya Ya Rasulallah ﷺ Wo Najat Pane Wala Firqah Kaunsa Hoga ?
Aap ﷺ Ne Farmaya AHLESUNNAT WA JAMAT Pucha Gaya Ahlesunnat Wa Jamat Se Kya Murad Hai?
Aap ﷺ Ne Farmaya Wo Tariqah Jis Par Mein Aur Mere Sahaba Hain Aaj Ke Din.
{الملل النحل، جلد-١، صفحه-٢٠}

BATIL FIRQON Ne Jaan Liya Ki Hadees Me Sirf Ahlesunnat Hi Ko Naji Firqah Kaha Gaya To Ab Log Apne Kufri AQIDE Ko Islami Rang Dene Ki Koshish Me Hain, Aur Zabardasti Ahlesunnat Me Dakhil Hone Ki Koshish Kar Rahe Hain Deobandi Aur Ahlehadees Ke Sath Ab Shi'a Aur Qadyani Bhi Apne Ko Sunni Kehne Lage, Lekin Maze Ki Baat Ye Hai Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Sirf Jannati FIRQE Ka Naam Hi Nahi Bataya Balki Uski Kuch Nishaniyan Bhi Irshad Farmai Hai, Hum Ikhtesar Se Kuch Likhte Hain, Phir Unhe Aap Maujoodah Batil Firqon Me Dekhen.

"HADEES"

الا ومن مات على حب آل محمد مات على السنة والجماعة
TARJAMAH-
Ahelsunnat Wa Jamat Wo Hoga Jo Meri Ahle Bait Ki Muhabbat Me Marega.
{تفسر ابن عربى، جلد-٢، صفحه-٢١٢}

Huzoor ﷺ Ki Aale Pak Se Sachchi Mohabbat Aale Rasool ﷺ Ka Adabo Ehteram Karne Wala Sunni hai, Aur Kaun Nahi Janta Wahabi Deobandi Nawasa E Rasool Jigar Gosha E Batool Hazrat Imame Husain رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Shahadat Ka Kaisa MAZAQ Udate Hain Balki Imame Husain Ka Zikr Unki Niyaz Ko Haram Batate Hain.

Deobandiyon Ke Imame Rabbani Maulana Rasheed Gangohi Apni Kitab Me Likhte Hain.

"Muharram Me Zikre Shahadat Imame Husain Alahissalam Karna Agar'che Ba'riwayate Sahiha Ho Ya Sabeel Lagana Sharbat Pilana Ya Chandah Dena Ya Dhoodh Pilana Sab Na Durust Aur Tashabboh Rawafiz Ki Wajah Se Haram Hai"
{فتاوى رشیدیہ، صفحه-١٣٩، ديوبند}

Deobandiyon Ke Imam O Peshwa Ki Ye Ibarat Ahle Bait E Pak Se Dushmani Ka Muh Bolta Saboot Hai.

Ye To Nawasa E Rasool Imame Husain Ke Liye Hukm Tha Ab Zara Inki Hindu Nawazi Kafir Dosti Ka Bhi Eik Namuna Dekhen Isi Kitab Me Likhte Hain.

"Hindu Ke Tehwar Holi Ya Diwali Ki Kochori Aur Puri Ka Tohfa Lena Uska Khana Durust Hai"
(فتاوی رشیدیہ، صفحه-٥٧٥, ديوبند)

Deobandiyon Ko Musalman Janne Wale In Dono Ibarton Ko Padhen Aur Allah Ke Rasool ﷺ Ka Irshad Bhi Padhen Aur Batayen Kya Deobandi Sunni Hain???

Imame HUSAIN Jinki Muhabbat Ka Hukm Nabi Ne Diya Wo Maidan Karbala Me Apne Khutbe Me Apne Nana Jaan Rasool ﷺ Ka Ye Irshad Yazidiyon Ko Suna Rahe Hain.

ان رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم قال لى ولاخى انتما سيدا شباب اهل الجنة وقرة عين اهل السنة والجماعة
TARJAMAH-
Rasulullah ﷺ Ne Mujhe Aur Mere Bhai Ke Liye Farmaya Ki Tum Jannati Jawano Ke Sardar Ho Aur Ahlesunnat Wa Jamat Ki Ankhon Ki Thandak Ho.
{تاريخ كامل لابن الاثير، جلد-١، صفحه-١٣٤}

IMAME HUSAIN Ne Dashte Karbala Me Apne Nana Ka Ye Irshad Suna Diya Ki Husain Ka ASHIQ Sunni Hai Aur Husain Ka Bagi Dozakhi.

Is Daur Me Ahle Bait E Pak Se Sachchi Muhabbat Unki Tazeem O Takreem Sirf Ahlesunnat Wa Jamat Barelvi Maslak Ke Log Hi Karte Hain, Shia Agar Che Ahle Bait E Pak Se Muhabbat Ke Dawedar Hain Magar Sahaba Ke Dushman Hain, Aur Yahi Haal Gair Muqallideen Ka Bhi Hai Wo Ahle Bait Ke Sath As'habe Rasool ﷺ Ke Bhi Dushman Hain Aur Hadees Me Sunni Ki Nishani Ahle Bait Aur Sahaba Dono Se Muhabbat Batai Gai Hai. Jaisa Ki 72 Firqon Wali Hadees Me Hai Ki Sunni Wo Hai Jo Mere Aur Mere Sahaba Ki Raah Chalega.

"HADEES"

قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم إذا رأيتم الذين يسبون أصحابى فقولو لعنة الله على شركم
Tarjamah-
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Dekho Un Logon Ko Jo Mere As'haab Ko Bura Bhala Keh Rahe Hain To Kaho Allah Tumhare Sharr (fitne) Par Lanat Kare.
{ترمذی شریف، جلد-٢، صفحه-٢٢٥}

Is Hadees Se Maloom Hua Shia Hargiz Sunni Nahi Kyun Ki Sahaba Ko Galiyan Dete Hain Aur Gair Muqallideen Bhi Hargiz Sunni Nahi Kyun Ki Sahaba Ke Amal Ko Hujjat Nahi Mante Balki Bahot Se Sahaba Ko Fasiq Kehte Hain, Aur Deobandi Bhi Qat'an Ahlesunnat Me Dakhil Nahi Chunki Ahle Bait E Pak Khususan Imame Aali MAQAM Sayyedna Imam E Husain رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Hasad Rakhte Hain Aur Unke Zikr Ko Unki Niyaz Ko Haram Kehte Hain.

Maloom Hua HAQIQATAN Agar Koi Sunni Hai To Is Zamane Me Sirf Barelvi Maslak Wale Hi Hain Kyu Ki Wo Tama Alamaat (Nishaniyan) Wo Tamam Ishare Jo Hadison Me Jannati Firqe Ke Liye Aaye Hain Uska Awwaleen MISDAQ Kamil Taur Par Uske HAQDAR Sunni (Hanafi/Shafai/Malki/Hambali) Barelvi Hain.

Hum Sab Ke Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Qadri Barelvi عليه الرحمة والرضوان Farmate Hain.

"AhleSunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor ﷺ.....
Najm Hai Aur Naao it'rat Rasulullah Ki ﷺ....!!!!

■ROSHAN CHEHRE WALE■

Ahle Sunnat Ki Khush Nasibi Aur Ferozah Bakhti Ke Kya Kehne, Allah Ke Mehboob ﷺ Ise Firqah E Najiyah Farmayen Inki Nishani Batayen Inki Sifaat Dikhayen Aur Allah Pak Apni MUQADDAS Kitab Me Is Jamat E Haqqa Ka Zikr Farmaye, SUBHAN'ALLAH....

Allah Kareem جل جلاله Apni Kitabe MUQADDAS Me Roze Qayamat Ka Zikr Karte Huye Farmata Hain.?

Tarjamah-
Jis Din Kuch Muh Ujle Honge Aur Kuch Kaale, To Wo Jinke Muh Kale Huye (Unse Kaha Jayega) Kya Tum Iman La Kar Kafir Huye, To Ab Chakho Azab Badla Apne Kufr Ka, Aur Wo Jinke Muh Ujle Huye Wo Allah Ki Rehmat Me Hain Aur Hamesha Usme Rahenge, Ye Allah Ki Ayaten Hain Ki Hum Tum Par Theek Theek Padhte Hain.
{القرآن الكريم، الجزء-٤، سورة ال عمران، الايت-١٠٦، ١٠٧، ١٠٨، الركوع-٢}

Is Ayate Karimah Me Jinke Muh Ujle (Safed) Honge Unse Murad Sunni Hain, Is Ayat Ki Tafseer Bade Bade Mufassireen Se Suniye.?

Imam Jalaluddin Suyuti Shafai رحمه الله تعالى  Apni Mash'hoor E Zamana Tafseer, Tafsire Durr E Mansoor Me Likhte Hain.?

"HADEES"

Hazrat Abdullah Bin Umar رضی اللہ تعالیٰ عنہما Huzoor ﷺ Ki Marfoo Hadees Ke Hawale Se Farmate Hain, Ahle Sunnat Ke Chehre Safed Aur AhleBid'at Ke Chehre Kale Honge.
{تفسير در منثور، جلد-٢، صفحه-٦٧}

"HADEES"

Hazrat Abu Sa'ied Khudri رضی اللہ تعالیٰ عنہ Huzoor Se Riwayat NAQL Karte Hain Ki Aap ﷺ Ne Farmaya.
تبيض وجوه اهل السنة والجماعة وتسود وجوه اهل البدعة والهواء
Ahlesunnat Wa Jamat Ke Chehre Chamakdar Aur Ahle Bid'at Ke Aur Un Logon Ke Jo NAFS Ki Khawahishat Par Chalte Hain Ke Chehre Kaale Honge.
{تفسير در منثور، جلد-٢، صفحه-٦٧}

Imame Suyuti رحمه الله تعالى Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ka Qaul NAQL Karte Hain.?

"AhleSunnat Wa Jamat Ke Chehre Roshan Aur AhleBid'at O Zalalat Ke Chehre Kale Honge"
{تفسير در منثور، جلد-٢، صفحه-٦٩}

Allama Ibne Kaseer Likhte Hain.?

"Hazrat Abdullah Bin Abbas Ka Irshad Hai, Ahlesunnat Wa Jamat Ke Muh Safed Aur Noorani Honge Aur AhleBid'at Ke Muh Kaale"
{تفسير ابن كثير، جلد-١، صفحه-٣٩٠}

Hazrat Qazi Sanaullah Pani Pati Farmate Hain.?

"Hazrar Ibne Abbas Farmate Hain Ahlesunnat Ke Chehre Roshan Aur AhleBid'at Ke Chehre Siyah Honge"
{تفسير مظهرى، جلد-٢، صفحه-١١٦}

Quran E Kareem Me Sure Aale Imran Ki Ayat No-106, 107, Ki Aap Ne Kai Tafsiren Padhi Aur Bhi Bahot Hain, Magar Tafseel Se Bachne Ke Liye ikhtesar Se Kaam Liya, Qayamat Me Ahlesunnat Wa Jamat Roshan Chehre Wale Honge Aur Tamam Batil Firqe Ke Log Kale Kale Honge. Uska Namuna Allah Pak Ne Dunya Me Bhi Rakha Hai Aap Wahabi Deo'Bhangiyon Ka Muh Dekho Unke Ullu'ma Ke Chehre Dekho Aur Ulma E Ahlesunnat Wa Jamat Barelvi Maslak Walon Ke Pur'noor Chehre Bhi Dekho Aapka Dil Gawahi Dega Yahi Hain Ahlesunnat Ahlejannat.

"Tujh Se Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho,
Hum Rasulullah ﷺ Ke Hain Jannat Rasulullah ﷺ Ki.!!!!
(Huzoor Alahazrat Barelvi)

■AHLESUNNAT AUR AQWAL■

AhleSunnat Wa Jamat Ke Hawale Se Quran O Hadees Ke ALAWAH Taba'een Wa Tabe Taba'een, Aimmae Deen, Mufassireen Wa Muhaddiseen, Mu'arrikheen, Aur Digar Ulama E Ummat Ke AQWAL Ba'kasrat Maujood Hain.

Unme Se Chand Mulahaza Farmayen.

☆ Imam E Ilmur Roya Sayyedna Imam Muhammad Bin Sireen (Taba'ee) رضی اللہ عنہ  Farmate Hain.?

عن ابن سيرين قال لم يكونو سيئلون عن الاسناد فلما وقعت الفتنة قالو سمو لنا رجالكم فينظر "الى اهل السنة" فيؤ خذ حديثهم وينظر "الى اهل البدع" فلا يؤ خذ حديثهم
Tarjamah-
Muhammad Bin Sireen Bayan Karte Hain Pehle Log (Sahaba) Sanade Hadees Ki TEHQEEQ Nahi Karte The, Lekin Jab Deen Me Buri Bid'aten Aur Fitne Dakhil Ho Gaye, To Log Sanade Hadees Ki TEHQEEQ Karne Lage, Aur Jis Hadees Ki Sanad Me "Ahlesunnat" Rawi Hote Usko Qubool Karte Aur Jiski Sanad Me Ahle Bid'at Rawi Hote Use Chhod Dete.
{مقدمہ صحيح مسلم، باب-بيان ان الاسناد من الدين.....إلخ. جلد-١، صفحه-٩}

☆ Imamae Ahlesunnat Hujjatul Islam Sayyedna Imam Muhammad GAZALI رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Apni Kitab Me TAQWA Ke Bab Me Tehreer Farmate Hain.?

يعلم تفصیل ذلك الا بالاقتداء بالفرقة الناجية وهم الصحابة فانه عليه السلام لما قال الناجى منها واحدة قالو يا رسول الله ومن هم قال اهل السنة والجماعة فقيل من اهل السنة والجماعة قال ما انا عليه واصحابى
TARJAMAH-
Wara Aur TAQWA Ki Tafseel Najat Pane Wale Firqe Ki Tabedari Ke Ba'gair Maloom Nahi Ho Sakti, Isse Murad Sahabae Kiram Hain, Is Liye Ki Aap ﷺ Ne Najat Pane Walon Me Eik Firqe Ka Zikr Kiya Hai, Phir Aap ﷺ Se Pucha Gaya, Ya Rasulallah ﷺ Wo Eik Kaunsa Hai?
Aapne Farmaya "Ahlesunnat Wa Jamat" Phir Aap ﷺ Se Pucha Gaya Ahlesunnat Wa Jamat Kaun Hain ?
Aap ﷺ Ne Farmaya Mere Aur Mere Sahaba Ke TARIQE Wale Log Ahlesunnat Wa Jamat Hain.
{احياء العلوم جلد-٣، صفحه-١٤٣ عربى}

☆ Imam Jalaluddin Suyuti Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain Ki Isma'eel FAQEEH Farmate Hain Ki Mein Ne Khawab Me HAFIZ ABU HAKIM AHMAD Ko Dekha Aur Pucha
اى الفرق اكثر نجاه عندكم
Tumhare Nazdeek Najat Pane Wala Firqa Kaunsa Hai ?
فقال اہل السنة
Unho Ne Kaha "Ahlesunnat"
(شرح الصدور فى احوال الموتى والقبور، صفحه-١٤٠}

☆ Imamul Hind Hazrat Shah Waliullah Mohaddise Dahelvi رحمه الله تعالى Farmate Hain.

"In Aakhri Zamano Me Is Tarah Ka Siwaye in 4 Mazahib (Hanafi Shafai Malki Hambali) Ke Koi Mazhab Nahi Hai, Haan Imamiyah Aur Zai'diyah To Zaroor Hain Magar Wo Ahle Bid'at Se Hain Ahlesunnat Me Nahi"
{عقد الجيد، صفحه-٢٥}

Shah Sahab Ke Mutabiq Ahlesunnat Ke 4 Hi Mazhab Hain, Yani Gair Muqallideen Ahlesunnat Me Nahi Aur Na Hi Inka Wajood Hazrat Ke Daur Me Tha Warna Hazrat 4 Ke Sath Inki Taraf Bhi Ishara Zaroor Karte Jaisa Ki Shiyon Ki Taraf Kiya.

Shah Sahab Dusre Maqam Par Wazahat Se Farmate Hain.

"JAB MAZAHIBE HAQQA IN 4 KE SIWA (Jo Pehle The, Fiqhi Mazhab) MITT GAYE TO AB INKI PAIRWI HI SAWADE AZAM (BADE GIROH) KI PAIRWI HAI, AUR IN 4 Se Alag Hona Sawade Azam Se Alag Hona Hai"
{عقد الجيد، صفحه-٣٩}

73 Me Eik Hi HAQ Hai, Yani Ahlesunnat Wa Jamat Aur Ahlesunnat Wa Jamat Ke 4 FIQHI Mazahib Hain Hanafi Shafai Malki Aur Hambali Ye 4 Firqe Nahi Balki Ahlesunnat Ki 4 Shakhen Hain.

☆ Hazrat Qazi Sanaullah Pani Pati رحمت اللہ تعالیٰ علیہ (wafat 1225-Hijri) Ko Kaun Nahi Janta?

Aap Ahlesunnat Barelvi Deobandi Aur Gair Muqallideen Ke Musallam Peshwa Hain, Aur Hazrat Mirza Mazhare Jane Jana Ke Muride Khas Hain Aap Apni Mash'hoor Tafseer, Tafsire Mazhari Me Farmate Hain.?
فان أهل السنة قد افترق بعد القرون الثلاثة او الاربعة على اربعة مذاهب ولم يبق مذا هب فى السائل الا هذا الاربعة
Tarjamah-
3 Ya 4 Sadi Ke Bad Ahlesunnat Ke 4 Mazhab Ban Gaye. Masayel Far'iyyah Me in 4 Mazahib Ke Siwa Ahlesunnat Me Koi Mazhab Nahi
{تفسير مظهرى، جلد-٢، صفحه-٦٧}

Iske Bad Hazrat Ne Yahan Tak Keh Diya Ki Ahlesunnat Me 4 Ke Bad 5wa Koi Mazhab Hai Hi Nahi,

فقد انعقد الإجماع المركب على بطلان قول يخالف كلهم
Is Par Ijma Ho Gaya Ki Har Aisi Baat Jo in 4 Mazahib Ke Khilaf Ho Batil Hai.
{تفسير مظهرى، جلد-٢، صفحه-٦٧}

Yahan To Gair Muqallideen Ka Ahlesunnat Se Bahar Hona Confirm, Aur Deobandi Jo Bholi Bhali Awam Ko Ye Kehte Hain Janab Maslak To 4 Hi hai Ye 5wa Maslak, "Maslake Alahazrat" Kahan Se Aagaya??
Doston Maslak 4 Nahi Balki Mazhab 4 Hain, Jaisa Ki Buzurgon Ki IBARAAT Se Upar Guzra warna To Deobandi Khud Apne Ko Hanafi Deobandi Kehte Hain, Magar Hum Ne To Kabhi Aiteraz Nahi Kiya Ki Ye Deobandi Maslak Kahan Se Aa Gaya??

Ye Baat Har Khurd O Kalan (Chote & Bade) Par Roze Roshan Ki TARAH Wazeh Hui Ki Ahlesunnat  Ahlejannat Hain Aur Ahelsunnat Me Dakhil Fee Zamana Sirf Maslakan Barelvi Hazraat Hi Hain.

MUQAQI'QE ALAL ITLAQ Imame Ahlussunnah Shaikh Abdul HAQQ Muhaddis Dahelvi Hanafi رحمت اللہ تعالیٰ علیہ (Wiladat-958 Wafat-1052 Hijri) Hindustan Me ILME HADEES Ki Isha'at Farmane Wale 50 Saal Tak Dehli Me Hadees Ka Dars Dete Rahe Aap Ki Zaat Par Alame Islam Ko Naaz Hai,
Aap Ahlesunnat Ke FIRQAH NAJIYAH Hone Par Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Eik Riwayat Ki Sharah Karte Huye Farmate Hain.?

Farsi Ka Tarjamah-

Agar Puchen Ki Ye Kaise Maloom Hua Ki Ahlesunnat Wa Jamat Hi FIRQAH NAJIYAH (Najat Pane Wala Giroh) Hai Aur Yahi Sidhi Raah Par Hai Aur Allah Walon Ka Rasta Hai Aur BAQI Tamam Raste (Firqe) Jahannam Ki Taraf Jate Hain, Aur Har Firqa Yahi Dawa Karta Hai Ki Wo Sidhi Rah Par Hai Aur Usi Ka Mazhab HAQ Par Hai- Iska Jawab Ye Hai Ki Sirf Dawa Kar Dena HAQ Par Hone Ki Zamanat Nahi Balki uske Liye Daleel Chahiye.. Aur Ahlesunnat Ke HAQ Par Hone Ki Ye Daleel Hai Ki Ye Deene Islam NAQL Se Sabit Hai, Parkhne Ke Liye Kori AQL Hi Kafi Nahi Jabki Ahlesunnat Ki HAQQANIYAT MUTAWATIR AKHBAR (Lagatar Khabron) Ke Zarye Sabit Hoti Hai, Aur Ahaadeese O Aasaar (Huzoor Aur Sahaba Ke Farman) Me Gaur O Fikr Karne Se Ye Pukhta Yaqeen Ho Jata Hai Ki Salf Saleheen Yaani Sahaba Wa Taba'een Aur unse Bad Ke Tamam Buzurg Yahi AQIDAH Rakhte The, Aur isi TARIQE Par The, Aur Mazhab Wa Irshadate Akabir Me Bid'at O Hawas Ki Milawat Sadre Awwal Ke Bad Hui, Aur Sahaba O Salf Me Se Koi Bhi Unke TARIQE Par Na Tha, Wo Aise Raston Se Bari (Azad) The, Buzrugon Ki Sohbat O Muhabbat Ke Rishte Ko Dusre Firqon Ne Tod Diya Aur Uska Radd Kiya.. Aur Saha Sitta (Hadis Ki 6 Sahi Kitaben) Aur Dusri Mash'hoor O Motamad Kutbe Ahaadees Ke Islami Ahkam Ka Jin Par Daro Madar Hai Aur 4ron Mazahib (Hanafi/Shafai/Malki/Hambali) Ke Aimmae Mujtahideen O Fuqha Wagera Sab Ahlesunnat Wa Jamat Firqe Se The, Sab Isi MAZHAB Par The, Aur Ashariyah O Ma'turediyah Ye Hai Ki Usule Kalaam Ke Imam The, Aur Unho Ne Bhi Salf O Saleheen Ke Mazhab Ki Ta'eed Ki Aur Ise AQLI Dalayel Se Sabit Kiya, Aur Jo Rasulullah ﷺ Ki Sunnat Aur Ijame Salf Se Sabit Hai Ise Mo'akkad Kiya Isi Wajah Se Is Jamat Ka Naam Ahlesunnat Wa Jamat Pad Gaya, Agarche Jannati Firqe Ka Ye Naam Bad Me Pada Lekin Unka Mazhab Aur AQIDAH Qadeem Hai, Aur Unka TARIQAH NABI E PAK ﷺ Ki Ahaadees Ka Itteba Karna Aur Salf O Saleheen Ke Aasaar Ki IQTEDA Karna Aur Nusoos Ko Unke Zahir Par Mahmool Karna Hai.
{اشعة اللمعات، فارسى، جلد-١، صفحه-١٤٢، ١٤٣}

Hazrat Muhaddis Ki Ibarat Ko Bar Bar Padhen Aur Gaor Karen Hazrat Ne Ahlesunnat Ko Ahlejannat Kaise Sabit Kiya Aur Kya Wahabi Deobandi Ahlesunnat Se Hain? Iska Jawab Bhi Hazrat Ki Tehreer Me Maujood Hai Ahlesunnat Ki Alamaat Aur Wahabi Deobandiyon Ki Khabees Harkaat Me Kis Qadar FARQ Hai Shah Sahab Ki Ibarat Ki Roshni Me Dekhen.

■IMAME RABBANI■

Mazhabe Ahlesunnat Wa Jamat Ki HAQQANIYAT Uspe Isteqamat Usse Katne Ke NUQSANAT Tafseel Se Janne Ke Liye Imame Rabbani Shaikhe La'sani Hazrat Mujaddide Alf Saani Shaikh Ahmad Sarhindi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki "MAKTUBATE IMAM RABBANI" Ka Mutala Zaroor Karen Insha'Allah Dil O Dimagh Roshan Ho Jayega.

Usme Se Chand Khutoot Nasi'hat Aur Barkat Ke Liye Hum NAQL Karte Hain Magar Usse Pehle Hazrat Ki Mubarak Zindagi Ka Ijmali Khaka Pesh Karte Hain.?

WILADAT-
Aapki Wiladat Baroz Juma 14/10/971 Hijri Ba'mutabiq 26/May/1564-Esvi Ko Aadhi Rat Ke Bad Sarhind Sharif Hindustan Me Hui,
Aap Amirul Momineen Sayyedna Umar Farooq رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Auladon Me Se Hain, Aapke Walid Shaikh Abdul Ahad Apne WAQT Ke Jayyed Aalime Deen The.

BAI'AT-
Aap Hazrat Khwaja BAQI BILLAH Se SILSILAYE NAQSHBANDIYAH Me Murid Huye.

ILMI KAMAAL-
Aapke ilm O Buzurgi Ke Charche Room Sham Hijaze MUQADDAS Afghanistan Aur Tamam Alame islam Me Phail Gaye.

MUJADDID KA LAQAB-
Aapko Mujaddide Alf Sani Kaha Gaya Yani 1000 Saala Mujaddid Sab Se Pehle Mujaddid Hazrat Umar Bin Abdul Azeez The Aur unke Bad Har Sadi Me Huye Magar Islami 10vi Sadi Hijri Ke Mujaddid Aap Hain, Aap Ko Mujaddide Alf Sani Ka LAQAB Hazrat Mulla Abdul Hakeem Siyalkoti Ne Diya.

KARNAMAH-
Mughal Badshah Akbar Ne Gair Muslimo Ko Khush Karne Ke Liye Hindustan Me Eik Naye Dharam Ki Bunyad Rakhi Jiska Naam DEENE ILAHI Rakha, Jo Kufr O Shirk Ka Majoone Murakkab Tha, Jisme Subah Subah Suraj Ki Puja Karna Badshah Ko Sajdah Karna Mathe Par Tika Lagana Zaroori Tha, Aur Gaye (Cows) Ki Qurbani Ko Haram Qarar Diya, Garz Ki Usne Islam Ki Surat Bigadni Chahi, Magar Us WAQT Hazrat Mujaddid Alf Sani Hi Wo Zaat Thi Jinho Ne Badshah Ke Khilaf Alame JIHAD Baland Kiya, Aur Khullam Khulla Badshah Ki Takfeer Ki, Akbar Ke Marne Ke Bad Uske Bete Jahangeer Ne Uske Mazhab Ko Aage Badhana Chaha Magar Uske Raste Ki Sab Se Badi Rukawat Hazrat Mujaddid Sahab Ki Zaat Thi, Usne Apne Darbar Me Hazrat Ko Talab Kiya Use Pata Tha Ki Hazrat Badshah Ko Sajdah Nahi Karege Chunki Aap Sajdahe Tazeemi Ke Haram Hone Ka Fatwa De Chuke The, Usne Apne Darbar Me Aane Ke Liye Eik Choti Si Khidki Banwai Taki Jab Hazrat Uske Darbar Me Aayen To Khidki Se Sar Jhuka Kar Andar Dakhil Hon, Magar Hazrat Jab Badshah Ke Darbar Me Gaye To Dekha Wahan Jane Ke Liye Eik Hi Choti Si Khidki Hai, To Aapne Us Khidki Me Pehle Apna Eik Pair Phir Dusra Pair Dakhil Kiya aur Ulte Ho Kar is Tarah Ki Sar Piche Ki Taraf Tha Dakhil Huye, Badshah Aapki Zahanat Dekh Dang Reh Gaya,
Aap Ne  Badshah Ke Samne Bid'at O Khurafat Par Aur Sajdahe Tazimi Ke Haram Hone Par Eik Jame TAQREER Ki Jis Bina Par Badshah Ne Aapko Gawaliyar Ke Qile Me Qaid Kar Diya.

Dr. IQBAL Inhi Khidmaat Ko Yaad Kar Likhte Hain.?

"Gardan Na Jhuki Jiski Jahangeer Ke Aage-
Jiske Nafse Garm Se Hai Garmiye Ahraar.

"Wo Hind Me Sarma E Millat Ka Nigehban,
Allah Ne Bar'WAQT Kiya Jisko Khabardar.!!!!
(Kulliyat E IQBAL)

AAP Tamam Umr Deen E HAQ Mazhabe Ahlesunnat Wa Jamat Ki Hifazat O TAQWIYAT Me Lage Rahe Aap Mazhaban Sunni Hanafi Aur Mashraban NAQSHBANDI The,

INTEQAL-
ISLAMI TARIKH 14/10/971 Hijri, Ko Hindustan Me Tuloo Hone Wala Ye Suraj Hamesha Hamesha Ke Liye Ba'roz Mangal 28/02/1034-Hijri, Ko Ba'mutabiq 10/12/1624 Ko Guroob Ho Gaya.
Muddate Hayat 62-Saal 4-Maah 14-Din Thi, Mazar Pak Sarhind Sharif Panjab Hindustan Me Hai.!!!!

"JAAN KAR MIN'JUMLA AHLE KHANA MUJHE,
MUDATTON ROYA KARENGE JAMO PAIMANA MUJHE.!!!!

Hazrat Mujaddid Alf Sani Shaikh Ahmad Sarhindi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ki Hayate Pak Ki Mukhtasar Si Jankari Ke Bad Aapki Nasihaten Padhen, Hazrat Ne Apne Murideen Motaqideen Muta'wassileen & Shagirdon Ko Jo Khutoot Likhe Unhe MAKTUBATE IMAM RABBANI Ke Naam Se Chapa Gaya Hai, Usme Se Kuch Khaton Ki Ibarten Padhen.

Eik Khat Me Apne Mureed Ko Likhte Hain.

"Huzoor ﷺ Ne Farmaya Bani Isra'eel 72 Firqon Me Bat Gaye The Jinme 1 Ke Siwa Sab Jahannami The, Qareeb Hai Ki Meri Ummat 73 Firqon Me Bat Jaye, Jinme Se Eik Jannati Hoga BAQYA Sab Jahanami, Sahaba Ne Arz Ki Ya Rasulallah ﷺ Wo Eik NAJAT Pane Wala Giroh Kaunsa Hoga?
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Wo Usi Tariqe Par Hoga Jis Par Mein Aur Mere Sahaba Hain, Aur Usi Najat Pane Wale Firqe Ka Naam Ahlesunnat Wa Jamat Hai, Aur Wo Log (Ahlesunnat) Huzoor ﷺ Ki Ita'at Ko Aur Aapke Sahaba Ki Pairawi Ko Zaroori Qarar Dete Hain, Aye Allah Hame Ahlesunnat wa Jamat Ke AQIDE Par Qa'im Rakhna Isi Jamat Par Hame Maut Dena Aur Un Hazraat Me Hi Hamara Hashr O Nashr Farmana.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat No-67}

Eik Mureed Ke Naam Maktoob (Khat) Me Nasihat Farmate Huye Likhte Hain.?

"MAKTOOB"
Pas Chahiye Ki Ahlesunnat Wa Jamat Ke Mutabiq Apne AQA'ID Rakhe, Aur Ayre Gaire Ki Baton Par Kaan Na Lagaye, Dusron Ki Laffazi Aur Charbe Zabani Par Aitemad Karna Apne Deen Ko Barbaad Karna Hai, Firqah Najiyah Ki TAQLEED Zaroori Hai, Taki Najat Ki Ummid Ho Warna Saari Mehnat Bekar Jayegi.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat No-251}

Eik Khat Me Najat Pani Wali Jamat Ki Nishan Dahi Karte Huye Farmate Hain.?

"MAKTOOB"
Jaan Le Najat Aur Faoze Darain (Deen O Dunya Ki Kamyabi) Faqat Ahlesunnat Wa Jamat Ki Itteba Me Hai, Allah Subha'nahu Wa Tala Ahlesunnat Ke AQWAL O AF'AAL Aur Usool O Furoo Me Barkaten Marhamat Farmaye, Kyu Ki Naaji To Yahi Hai BAQYA Sab Naari Aur Sababe Kharabi, Aur Unki Halakat Ka ILM Aaj Nahi To Kal Baroze Qayamat Sab Par Khul Jayega Lekin Fayedah Nahi Hoga.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-69}

Eik Jagah Hazrat Ahlesunnat Ke 4 Mazahib Me Se Kisi Eik Ki TAQLEED Ki Takeed Karte Huye Tehreer Farmate Hain.?

"MAKTOOB"
Allah Jalla Shanahu Ke SHUKR Ada Karne Ka Tariqah Ye Hai Ki Sab Se Pehle AQA'ID Ko FIRQA E NAJIYAH Ahlesunnat Wa Jamat Ke MUTABIQ Durust Kiya Jaye,  Uske Bad Is Giroh Ke Aimmae Mujtahideen (Imame Azam Abu Hanifah, Imame Shafai, Imame Malik, Imame Ahmad Bin Hambal رحمهم الله تعالى عليهم) Ki TEHQIQAAT Ki TAQLEED Karte Huye Ahkame Shar'aiyyah Par Amal Kare.
{Maktoobat E Imam Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-71}

Hazrat Mujaddide Alfe Sani Ke Nazdeek Ahlesunnat Hi Ahlejannat Hai Aur 4 Me Se Kisi Eik imam Ki TAQLEED Deen Par Amal Ke Liye Zaroori Hai, Jo TAQLEED Ko Shirk O Kufr Gumrahi Qarar Dete Hain Wo Apne Liye Sunni Hone Ka Dawa Kaise Karte Hain?????
Imame Rabbani Ki Zaat Sirf Ahle Hind Ke Liye Hi Nahi Tamam Alame Islam Ke Liye Wajibul Ehteram Hai, Afsos Gair Muqallideen Unhe Apne Peshwa Manne Ke Ba'wajood Unki Raye Se ittefaq Nahi Rakhte.

Mirza Badi'uzzaman Ko Khat Likhte Huye Hazrat Imame Rabbani Mujaddie Alfe Sani Shaikh Ahmad Sarhindi Faruqi Hanafi Naqshbandi رضی اللہ تعالٰی عنہ is HAQIQAT Ko In Lafzon Me Bayan Farmate Hain▼

"Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sachchi Ita'at Is Tarah Hoti Hai Ki Sab Se Pehle Apne Aqa'id Durust Kiye Jayen, Uske Bad Fiqah Ke Zaroori Masayel Ka ILM Hasil Kiya Jaye Aur Wasile Se Allah Ta'ala Ki Riza (Khushi) Talab Ki Jaye, Allah Tumhe Salamti Aur Aafiyat Ke Sath Rakhe, Darain (Deen & Dunya) Ki Kamyabi Huzoor E Pak صلى الله عليه وسلم Ki Pairwi Me Hai, Lekin Us Tariqe Par Jaise Ulmae AhleSunnat Ne Bayan Ki, Yani Sab Se Pehle Apne AQA'ID Durust Kiye Jayen, Dusre Darje Me Halal O Haram Aur Farz O Wajib Sunnat O Mustahib Mubah & Mushtabah (Shak Wali Chizen) Ka ILM Sikha Jaye, Aur In Uloom Ke Zarye Amal Karna Zaroori Hai, Ye Amal Aur AQIDAH Do Par Hain Agar Allah Pak Bakhshe To Alame Quds Ki Taraf Udna Naseeb Hoga.
{Maktubate imame Rabbani,  Daftar No-1, Khat Number-75}

Eik Buzurg Shaikh Kabeer عليه الرحمه Ko Khat Me Imame Rabbani Is Tarah Nasi'hat Farmate Hain.!

"Allah Tume Aur Hame Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ki Roshan Sunnat Ki Itteba Aur Us Par isteqamat Ki Taufeeq Bakhshe, Sab Se Zaroori Aur Karne Wala Kaam Yahi Hai Ki Pehle Ulmae AhleSunnat Ki Aara (Raye) Ke Mutabiq AQA'ID Durust Kiye Jayen Kyun Ki Yahi Firqah E Najiyah Hai Iske FIQHI Ahkam Ke Mutabiq ILM O AMAL Ko Apne Upar Lazim Kar Lena Chahiye, In 2 AQIDAH AUR AMAL Ke Par Lagne Ke Bad Alame Quds Ki Taraf Udna Chahiye.
{Maktubate imame Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-94}

Jamaluddin Husain Badakhshi Ko Khat Me Nasihat Karte Huye Farmate Hain.

"Sab Se Pehle AhleSunnat Wa Jamat Ke Mutabiq Apne AQIDE Durust Karo, Allah Pak Un Buzurgon (Ulmae AhleSunnat) Ki Koshishon Ko Qubool Farmaye, Iske Bad FIQHI MAZAHIB (Hanafi/Shafai/Malki/Hambali) Ke Mutabiq Shari Ahkam Par Amal Kare, Tisre Darje Me Girami Qadr Sufiyah Ke Tariqa E Sulook (Qadri Chishti Naqshbandi Soharwardi) Se Chimte, Jise Ye Chizen Naseeb Hui Usne Maidan Maar Liya Aur Isse Mehroom Raha Abdi (Hamesha) Ghate Me Raha.
{Maktubate imame Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-177}

Hazraat-
Mujaddie Alfe Sani Ki Deeni Khidmaat Chamkte Suraj Ki Tarah Roshan Hain Aur Aap Ko AhleSunnat Barelvi Aur Deobandi & Wahabi (Gair Muqallideen) 3no Apna Peshwa Mante Hain. Lekin Gaur Kijiye Hazrat Ne Ta Hayat Kya Taleem Di Kis Baat Par Baar Baar Zor Diya?
Kin Chizon Ko Deen Aur Dunya Ki Kamyabi Qarar Diya?
Aap Ne Ab Tak Hazrat Ke Kai Khat Ka Mazmoon Padha, Hazrat Ne 3 Baten Takeed Se Farmai Hai.

1-
AQIDAH AHLESUNNAT Ke Mutabiq Ho.
Jab Ki Wahabi, Deobandi & Kharji Ambiya Wa Auliya Ke Bad'tareen Gustakh Hain Lihaza Sunniyat Se Bahar.

2-
Deen Par Chalna Bagair FIQAH Ke Mumkin Nahi Aur Fiqah Par Amal Ke Liye Ab 4 Hi Mazahib Hanafi Shafai Malki Hambali Hain In 4 Me Se Kisi Eik Ki TAQLEED Zaroori Hai Jab Ki Gair Muqallideen TAQLEED Ko Shirk Kehte Hain Phir Ye Kaise Sunni Huye? Aur Imame Rabbani Inke Buzurg Kaise Huye?

3-
Hazrat Ne Tisri Baat Farmai Jaise Fiqah Par Amal Ke Liye 4 Mazahib Hain Waise Hi Safaye Qalb Tazkiya E Batin Husne Akhlaq Me Nikhar Allah Wa Rasool Ka Qurb Tariqat Ke 4 Salasil Se Judne Ke Bad Hasil Hoga, Jab Ki Wahabi Deobandi Dharam Me Buzrugon Se Nisbat Unke Astane Par Hazri Aade WAQT Me Unhe Pukarna Unka Wasila Talab Karna Sab Shirke Azam Hai To Ye Dono Angrezi Fitne Sunni Kaise Huye Aur Hazrat Imame Rabbani Se Inka Kya Lena Dena???

Wo 3 Baten Fee Zamana FAQAT AhleSunnat Wa Jamat Jinki Pechan Barelvi Maslak Se Hoti Hai Me Hi Paai Jati Hai Aur Fakhr Se Kehte Hain Imame Rabbani Mujaddide Alfe Sani Hamare Hain Aur Hum Unke.

Eik Baat Aur Wahabi Deobandi Dharam Me, Mazaar Par Jana Hi Shirk Aur Unhe Tod Kar Zameen Bos Karna Farz Hai, Hazrat Mujaddide Alfe Sani Ki Shandar Mazare Pak Alishan Imarat Aur Gumbad Ke Sath 400 Salon Se Sarhind Sharif Me Hai, Agar Barelvi Naya Firqa Hai Aur Barelvi AhleSunnat Nahi To 400 Saal Pehle Mujaddid Sahab Ki Mazar Kisne Banai Wahabi Deobandiyon Ne?

Hazrat Mujaddid Sahab Ki Aur Digar Auliya E Kiram Ki Mazarat Jo Hindustan Aur Digar Mamalik Me Sadyon Se Bani Hai Is Baat Ka Pata De Rahi Hai Ki Maujoodah Barelvi Maslak Hi HAQIQI AhleSunnat Hai Aur Isi Maslak Ke Log Buzurgane Deen Ki Taleemaat Par Chal Rahe Hain.

Hazrat Khawaja Abdullah Aur Hazrat Khawaja Ubaidullah رحمهم الله تعالى Ko Khat Me Hazrat Muajaddide Alfe Sani Shaikh Ahmad Sarhindi Faruqi Hanafi Naqshbandi رضی اللہ تعالٰی عنہ AhleSunnat Ke AQA'ID Kya Hai Likh Kar Bhejte Hain To Unse Pehle AQA'ID Ki Ahmiyat Kya Hai Batate Huye Farmate Hain.

"Allah Pak Aapko Sa'adat Mand Kare, AQALMANDON Ka Pehla Farz Ye Hai Ki Apne AQA'ID O Nazaryaat Ko Ulmae AhleSunnat Ke Aqa'id Ki Roshni Me Durust Kare, Kyun Ki Yahi Firqae Najiyah Hai"
(Maktubate imame Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-266}

Eik Mureed Ko Khat Me Is Tarah Irshad Farmate Hain.

"AhleSunnat Ke Khilaf AQIDAH Rakhna Bad'eteqadi Hai Jo Zehre Qatil Hai, Aur Natija Iska Hamesha Ki Maut Aur Azab Hai, Amal Me Susti Ya Kotahi Ho To Ummid Bakhshish Ki Hai Lekin AQIDE Me Kharabi Hui To Najat Ki Koi Ummid BAAQI Nahi Rehti"
(Maktubate imame Rabbani, Daftar No-1, Khat Number-67}

Kai Qiston Me Aap Ne Hazrat Mujaddide Alfe Sani Ki Iman Afroz Nasihaten Padhi, Ab Aiye Eik Aur Buzurg Jo AhleSunnat Wa Jamat Barelvi Aur Firqah Wahabi Deobandi Ke Musallam Peshwa Hain Yani 13wi Sadi Ke Mujaddid Hazrat Shah Abdul Azeez Dahelvi رحمت اللہ تعالیٰ علیہ Jo Imamul Hind Hazrat Shah Waliullah Muhaddise Dahelvi Ke Bete Aur Wahabi Deobandiyon Ke Imam O Peshwa Mulla Isma'eel MAQTOOL Dahelvi Ke Chacha Hain, Hazrat Shah Abdul Azeez Ki Wo Zaat Hai Jinse Allah Ne Bahot Azeem Kaam Liya. Aapki Mash'hoore Zamana Kitab "TOHFA ASNA ASHARYA" Radde Rafziyat Par Hai Jisne Hindustan Me Shiyat Ki Bunyaden Hila Dee.
Shah Sahab Ka Ta'alluq Ilmi Khandan Se Hai Baap Dada Par Dada Sabhi Aalim The, Hazrat Shah Abdul Azeez Dahelvi Ki Muhabbat Ka Dam Bharne Wale Wahabi Deo"Bhangi Shah Sahab Ki Is Ibarat Ko Ba'gaor Padhen.

اما مذاهب مختلفه اهل السنة والجماعة مثل اشعريه وما تريده در عقائد ومثل حنفی شافعی مالكي وحنبلى در فقيهات،، ومثل قادرى چشتی نقشبندی سہروردی در سلوک ایں ہمہ را فقیر بر حق میداند
Tarjamah-
AhleSunnat Wa Jamat Wo Hain Jo AQA'ID Me Ash'ari Ya Ma'turidi Hon Aur Fiqah Me Hanafi Shafai Malki Ya Hambali Me Se Ho, Sulook Aur Tasawwuf Me Qadri Chishti Naqshbandi Soharwardi Hon FAQEER (Shah Sahab) in SAB Ko HAQ Janta Hai.
{فتاوى عزيزى، جلد-٢، صفحہ-٧٥}

Shah Shaba Ki Is Ibarat Ko Padhne Ke Bad Har Zee'Hosh Ye Faisla Kar Sakta Hai Ki AhleSunnat Ki Jo Pehchan Huzoor Shah Sahab Ne Batai Wo Daure Maujoodah Me FAQAT Barelviyon Me Hi Pai Jati Hai.

Shah Sahab Ke Nazdeek AQA'ID Me 2 Me Se Kisi Eik Imam Ki TAQLEED Kare Jo Ki Gair Muqallideen Nahi Karte Fiqah Me 4 Me Se Kisi Eik Imam Ki TAQLEED Kare Gair Muqallideen Ke Yahan Ye TAQLEED Bhi Shirke Azam Hai, Lihaza Gair Muqallideen Sunni Nahi Aur Sunni Nahi To Naji Nahi, Balki Gumrah Aur Be'deen Hai Ab Rahe Deobandi Jo AQA'ID Aur Fiqah Dono Me TAQLEED Karte Hain Phir Bhi Sunni Kyun Nahi????.

Kyu Ki Aage Shah Sahab Ne TARIQAT Me Bhi 4 Salasil Ki Itteba Ko Zaroori Qarar Diya Hai Jab Ki Deobandi Dharam Me Auliya Se Nisbat Unse AQIDAT Unki Tazeem Wa Takreem Unke Bargah Ki Hazri Dargah Ki Ziyarat Ye Sab Shirk Hai, Aur Sunni Hone Ke Liye Shah Sahab Ke Nazdeek AQA'ID FIQAH SULOOK 3no Me TAQLEEDI Nisbat Zaroori Hai.

●AQA'ID E AHLESUNNAT●

ALLAH PAK PAR AQIDAH KAISA HO.????

Firqah E Najiyah AhleSunnat Wa Jamat Ki Pehchan Uski Alamaat Aur Uska HAQ O Sahi Hona Quran Wa Hadees Aur AQWALE SALF O Saleheen Se Janne Ke Bad Har Musalman Mard O Aurat Par Zaroori Hai Ki AhleSunnat Wa Jamat Ke AQA'ID Kya Hain Ye Janne.

AhleSunnat Ahlejannat Apne Sahi Aqa'id Ki Bina Par Hai, Aur Digar Kalma Go Batil Firqe Jahannami Fasid Aqa'id Ki Bina Par Hai.

Wo Sahi AQA'ID Kya Hain Jis Bina Par Musalman Sunni Jannati Hota Hai ?
Uski Mukhtasar Malumaat Pesh Ki Jati Hai, Tafseel ke Liye Fatawa Razviyah, Bahar-e-shari'at Jaisei Zakheem Kitabon Ka Mutala Mufeed Hoga.

Allah سبحانه وتعالى Aur Amibya علیہم السلام Neez Farishton Aur Jannat O Dozakh Aur TAQDEER Ke Hawale Se AhleSunnat Ke AQA'ID Ye Hone Chahiye.

AQIDAH-
Koi Cheez Khud Ba'khud Nahi Hoti Balki Uska Koi Na Koi Banane Wala Zaroor Hai, Ye Ka'inaat 7 Tabaq Zameen Aasman Chand O Suraj Jannat O Jahannam Tamam Makhluqaat Ko Paida Karni Wali Eik Hi Zaat Hai Aur Wo ALLAH Pak Ki Zaat Hai.

AQIDAH-
Allah Eik Hai Uska Koi Sajhi Nahi, Na Uski Zaat Me, Na Uski Sifaat Me, Na Uske Kaamo Me, Na Uske Naamo Me, Na Uske Hukmo Me.
Khud Zindah Hai Aur Auron Ko Zindagi Ata Farmata Hai Wo Azli (Pehle Se) Hai Aur Abadi (Hamesha Rahega) Bhi, Hameshgi Usi Ki Zaat Ko Hai, Siwaye Uske Sari Chizen Usi Ne Paida Farmai Usko Kisi Ne Nahi Paida Kiya.
{اعتقاد الأحباب فى الجميل والمصطفى وﻵل والاصحاب، صفحہ-١٣، رسالة الإمام أحمد رضا خان القادری رحمه الله تعالى}

AQIDAH-
ALLAH Pak Jism, Aur Aazaye Jism (Jaise Chehra Hath Pair Pandli Wagerah) Aur Lawazime Jism (Jaise Khana, Peena, Dorna, Kodna, Chadhna, Utarna, Badhna Aur Ghatna) In Sab Chizon Se Pak Hai, Quran O Hadees Me Jahan Kahin Allah Pak Ki Taraf Azaye Jism Ya Makhlooq Ki Sifaat Ki Nisbat Ki Gai Hai Wahan Zaheri Maana Bil'ittefaq Nahi Hai, Balki Wo Allah Ta'la Ki Baaz Sifaat Ki Tabeeraat Hain, Phir Ulamae Muta'Qaddimeen (Pehle Ke Ulma) Ke Nazdeek Wo Sifaat Mutashabihaat Me Se Hain, Aur Unki HAQIQAT Aur Sahi Murad Ko Siwaye HAQ Ta'la Ke Koi Nahi Janta.
Jabki Muta'Akhkhireen (Bad Ke Ulma) Ke Nazdeek Unki HAQIQAT Aur Sahi Murad Darja E Zann Me Hai, Jaise Quran Me Allah Ke Liye Lafze Yad (hath) Aya Hai, To Usse Qudrat Murad Hai, Hadees Me Hai Ki Shabe Bar'at Me Allah Pehle Asman Par Tashreef La Kar Tulooye Fajr Tak Nida Farmata Hai Usse Murad Uski Gayate Rahmat Ka Bandon Ki Taraf Muta'wajjeh Hona Hai.
{الحديقة الندية، جلد-١، صفحہ-٢٦٧}

Allah Ko Jism Manna Kufr Hai Aur Gair Muqallideen ke Nazdeek Allah Pak Jism Hai Jaisa Ki Ibne Taimiyah Ne Likha Hai.

AQIDAH-
Allah جل جلاله Ka Kalaam Sachcha Hai, Aur Jo Ye AQIDAH Rakhe Allah Ta'ala Jhoot Bol Sakta Hai Ya Bol Chuka Wo Kafir Hai, Uska Kalam (Baat) Awaz Se Pak Hai, Jis Tarah HAQ Ta'la Ki Zaat Qadeem (Purani/Pehle Se) Hai, Waise Hi Uski Jumla Sifaat Qadeem Hai, Aur HAQ Ta'la Ka Kalaam Bhi Uski Sifat Hai, Quran Allah Ka Kalaam Hai Aur Wo Qadeem Hai, Aur Na Makhlooq Hai Na Haadis (New) Jo Quran Ko Makhlooq Jane Use Hamare Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Aur Digar Aimmahe Islam Ne Kafir Kaha, Balki Uski Takfeer Jamate Sahaba Se Sabita Hai.
{الفتاوى الرضوية، جلد-١٥، صفحہ-٣٤٤، از- اعلى حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمه الله تعالى}

AQIDAH-
Har Cheez Ka Wajood O Adam (Hazir O Gayeb) HAQ Ta'la Ke Qabzaye Qudrat Me Hai, Har Cheez Ki Kaifiyat, Khasiyat, Aur Taseer Aur Uska Hona Ya Na Hona Sab Usi Ke Ikhteyar Me Hai.
Wo Musabbibul Asbab Hai Kainaat Ke Asbaab Usi Ki Makhlooq Hain, Aur Asbab Ki Sababiyyat Bhi Uski Makhlooq Aur Uski Mashiyyat Ke Tabe Hai, Dunya Ki Koi Cheez Apni Zaat Me Mu'assar (Asar liye Huye) Nahi, Na LUTF O SAWAB Na Qehr O Azab Na Khauf O Hisab Balki Wo Jisme Jo Chahe Taseer Paida Farmaye. Wo Jise Chahe Aasmane Izzat Par Bithaye Jise Chahe Zillat Ki Pastiyon Me Giraye, Jise Chahe Chain O Sukoon Aaram O Aasaish Ilm O Hikmat Izzat O Shohrat Zillat O Musibat Ata Farmaye Ye Uski Hikmat Hai Jo Bandon Ki Samajh Se Baala Tar Hai, Wo Malikul Mulk Hai Jise Chahe IKHTEYAR O IQTEDAR Ata Farmaye Jisse Chahe Chheen Le.
(تفسير البغوي، جلد-٤، صفحہ-٤٢٢، الجزء-٣٠، تحت اﻵية-٥، فالمدبرات امرا}

AQIDAH-
Usne Jis Cheez Me Jo Taseer Paida Farmai Wo Uske Khilaf Par Bhi Qadir Hai. Masa'lan Aag Me Jalane Ki Taseer Pani Me Dubane Ki Taseer Chaqu Me Katne Ki Taseer,  Magar Aag Ne Hazrat ibraheem عليه السلام Ko Jalaya Nahi, Pani Ne Hazrat Musa عليه السلام Ko Dubaya Nahi, Chauqu Ne Hazrat isma'eel عليه السلام Ko Kata Nahi, Maloom Hua Asl Taseer Uske Hukm Me Hai Chizon Me Nahi.
(تفصیل از- كتب عقائد}

AQIDAH-
Uske Karishme Aur Uski Qudrat Tak Zehne Insani Ki Rasai Nahi, Dastoor Ye Hai Ki Mard O Zan Se Bachcha Paida Ho Usne Bina Maa Baap Ke Hazrat Adam عليه السلام Ko Paida Farmaya, Dastoor Yahi Hai Ki Aurat Jane Magar Usne Hazrat Adam  عليه السلام Ki Pasli Se Hazrat Maa Hauwwa رضی اللہ تعالٰی عنہا Ko Paida Farmaya, Qaidah Yahi Hai Ki Mard Ki Sohbat Se Aurat Hamelah Ho Usne Apni Qudrat Ka Izhar Hazrat Esa عليه السلام Ko Bin Baap Ke Faqat Hazrat Jibra'eel عليه السلام Ki Phoonk Se Hazrat BiBi Maryam رضی اللہ تعالٰی عنہا Ko Hamela Farma Kar Paida Farmaya.
(تفصیل از- كتب عقائد}

"Teri Qudrat To Wo Hai Jiski Koi Had Hai Na Hisab,
Tu Jo Chahe To Uthe Sinaye Sehra Se Hubab.!!!
(Dr- IQBAL Marhoom)

AQIDAH-
Allah سبحانه وتعالى Aalimul Gaib Wash' Shahadah Hai, Uska ILM Zaati Hai Kisi Ka Diya Nahi, Aur Ambiya O Auliya Ko Jo Gaib Ka ILM Hai Wo Allah Hi Ka Diya Hai, Jo Be Khuda Ke Diye Kisi Ko Eik Zarrah ILM (GAIB O SHAHADAT KA) Mane Wo Kafir Hai, Uske ILM Ki Koi Inteha Nahi Azal Se Abad Tak Jo Hua Aur Jo Hoga Wo Sab Janta Hai, Chizen Badalti Hai Uska ILM Nahi Badalta, Dilon Me Guzarne Wale Wasawis O Khatrat Ki Use Khabar Hai.
{الدولة المكية با المادة الغيبية، صفحة-41، از- امام اهل السنة والجماعة الشيخ امام أحمد رضا خان الهندى. رحمه الله تعالى }

AQIDAH-
Har Burai Bhalai Usne Apne Ilme Azali Ke Mawafiq Likh Dee, Jaisa Hone Wala Aur Jo Jaisa Karne Wala Tha Usne Apne ILM Se Jaana Aur Waise Hi Likh Diya, To Ye Nahi Ki Usne Jaisa Likha Waisa Hi Hame Karna Padta Hai Balki Jaisa Hum Karne Wale The Usne Waisa Hi Likha, Zaid Ke Zimmah Burai Likhi Is Liye Ki Zaid Burai Karne Wala Tha, Agar Zaid Bhalai Karne Wala Hota To Wo Uske Liye Bhalai Likh Deta, Uske ILM Ya Uske Likh Dene Ne Kisi Ko Majboor Nahi Kar Diya, Jo TAQDEER Ka Inkar Kare Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Use Is Ummat Ka Majoos (aag ka pujari) Farmaya Hai.
(Bahare-e-Shari'at Hissa-1, Page-13}

AQIDAH-
QAZA Wa Qadar (TAQDEER) Ke Masayel Aam AQLON Me Nahi Aa Sakte, Inme Ziydah Gaur O Fikr Karna Sababe Hilakat Hai, Hazrat Abu Bakar Siddiq & Hazrat Umar Farooq Ko Bhi Is Bahes Me Padne Se Mana Farmaya Gaya, To Maa O Shuma (hum Aur Aap) Kis Ginti Me Hain?
Itna Samajh Lo Ki Allah Subha'nahu Wa Tala Ne Aadmi Ko Misl Patthar Ke Be'his O Harkat Nahi Paida Kiya Balki Use Eik Tarah Ikhteyar Diya Hai Ki Eik Kaam Chahe Kare Ya Na Kare Aur Sath Hi AQL Bhi Di Hai Ki Bhale Bure Nafa Nuqsan Ko Pehchan Sake.
Apne Aap Ko Bilkul Majboor Samajh Lena Ya Bilkul Mukhtar (Power Full) Samajhna Dono Gumrahi (Ahlesunnat Se Kharij) Hai.
{Bahare-e-Shari'at, Hissa-1, Page-14}

AQIDAH-
Allah سبحانه وتعالى Ka Deedar Dunya Me Jagte Huye Koi Nahi Kar Sakta.
Ye Sharf Sirf Hamare AAQA O Maula Huzoor Sarware kainaat صلى الله عليه وسلم Ke Liye Khas Hai,
Aur Akhirat Ki Zindagi Me Har Musalman Allah Pak Ka Didar Karega, Raha Qalbi Didar Ya Khawab Me Didar Karna To Ye Bahot Se Ambiya عليهم السلام Balki Auliya E Kiram Ko Bhi Hasil Hua.
(المعتقد المنتقد، صفحة-58}

Hamare Imamul Aimmah Sirajul Ummah Sayyedna imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zuta Koofi رضى الله تعالى عنه Ne 100 Martabah Halate Khawab Me Allah Pak Ka Didar Kiya.
(جاءالحق، حصه-2}

AQIDAH-
Wo Jo Chahe Aur Jaisa Chahe Kare, Kisi Ko Is Par Qabu Nahi, Aur Na Koi Uske Irade Se Use Baaz Rakhne Wala Hai, Usko Na Oongh Aaye Na Neend, Tamam Jahano Par Nigah Rakhne Wala, Na Thake Na Uktaye, Tamam Alam Ka Palne Wala, Maa Baap Se Ziydah Maherban Hilm Wala, Usi Ki Rehmat Toote Huye Dilon Ka Sahara Hai, Usi Ke Liye Badai Aur Azmat Hai, Maa'on Ke Pet Me Jaisi Chahe Surat Banane Wala, Gunahon Ka Bakhshne Wala, Taubah Ka Qubool Farmane Wala, Qehr O Gazab Farmane Wala, Uski Pakad Nihayat Sakht Hai, Jisse Be Uske Chhudaye Koi Chhoot Nahi Sakta. Jise Chahe Sidhi Rah Par Laye Jise Chahe Rah Se Alag Farmaye, Jise Chahe Apna Qurb De, Jise Chahe Mardood Kare, Wo Jo Kuch Karta Hai ADL  O Insaf Hai, Zulm Se Pak O Saf Hai, Nihayat Baland O Baala. Nafa O Nuqsan Usi Ke Hath Me Hai.
(بہار شریعت، حصہ-1، صفحہ-15، مصنف- حضور صدرالشریعہ علیہ الرحمہ)

Allah جل وعلا Ke Muta'alliq Uski Zaat O Sifaat Ke Hawale Se Musalmano Ke Kya AQIDE Hone Chahiye Hum Ne Ikhtesar Se Bayan Kiya, Ise Janna Iske Mutabiq AQIDAH Rakhna Har MUSALMAN Par Farz Hai.
Islam Le Aaya Ya Musalman Ke Ghar Paida Hua To Itna Hi Kafi Nahi Hai Musalman Hone Ke Liye, Balki Jo Kalima Padh Kar Islam Laya Us Kalime Ke Pehle Juz "لا اله الا الله" Ke Taqazo'n Ko Bhi Samjhe, Deen Ke Bunyadi AQIDE Sikhna Har Musalman Mard O Aurat Par Farz Hai.
La Ilmi Me Bahot Se Musalman Aise Kilmaat Zuban Se Nikal Dete Hain Jisse Wo Islam Se Kharij Ho Jate Hain, is Liye Bahot Zaroori Hai Ki In Bunyadi Aur Ibtedai Baton Ko Sikhen Samjhen Aur Apne Dost O Ahbab Tak Ise Paohchayen.

●AMBIYA KA BAYAN●

Har Musalman Ko Jis Tarah Allah Pak Ki Zat O Sifaat Ke Bare Me Janna Zaroori Hai Usi Tarah Ambiya عليهم السلام Ke Bare Me Bhi Janna Zaroori Hai.

Bahot Mumkin Hai Ki Admi Na'dani Me Ya Gumraho Ki Sohbat Se Aisa AQIDAH Rakhe Jiski Quran O Hadees Me Gun'jaish Na Ho Aur Ba'wajood Musalman Kehlane Ke Wo Kafir Hi Hua Rahe.
Aur Aisa Batil AQIDAH Uski Dunya Wa Deen Bar'bad Kar De.

Amibya عليهم السلام Ke Hawale Se Wo Bunyadi AQIDE Bayan Kiye Jate Hain Jiska Rakhna Har Musalman Ko Zaroori Hai.

AQIDAH-
Nabi Aise Insan Ko Kehte Hain Jo Allah Ki Janib Se Bandon Ki Hidayat Ke Liye Bheja Gaya Ho, Nabi Aisia Bashar (Admi) Hota Hai Jis Par Allah Ki Janib Se Wahi Ki Jati Hai, Phir Ye Wahi Farishte Ke Zarye Ho Ya Direct Allah Pak Ata Farmaye.
Ambiya (Nabi Ki Jama+) Sab Ke Sab Bashar (Admi) The Koi Jinn Ya Farishta Nabi Nahi Hua, Rasool Hone Ke Liye Bashar Hona Zaroori Nahi, Haan Jinnat Ke Nabi Bhi Insan Hi The, Bahot Se Malaykah (Farishte) Bhi Rasool Hain.
{الجامع لأحكام القرآن، للقرطبي، جلد-7، الجزء الرابع عشر، ص-233}

AQIDAH-
Bahot Se Ambiya عليهم السلام Par Allah Ne Sahife Aur Kitaben Nazil Farmai, Jis Zamane Me Jis Nabi Par Jo Kitab Nazil Hui Wo Bar'haq Aur Sachi Thi Uski Taleem Par Amal Karna Unki Ummat Par Farz Tha. Bad Ke Logon Ne Un Kitabon Ke Ahkam Ko Ghata Badha Diya Is Liye Ab in Muharraf Kitabon Par Hamara Iman Nahi Chunki Wo Kitaben Apni Asal Shakal Me Mehfooz Nahi Balki Jis Surat Me Wo Nazil Hui Thi Un Par Hamara Iman Hai Lekin Amal Nahi.

4 Kitaben Mash'hoor Hain Unme Sab Se Afzal Aur Qayamat Tak Rehne Wali Kitab Quran E Kareem Hai. Pichli Tamam Kitaben Mansookh Ho Chuki Hai, Ab Wajibul itteba Aur Madare Najat Sirf Quran E Kareem Hi Hai.
{تكميل الإيمان، صفحہ-65}

AQIDAH-
Nubuwwat (Nabi Hona) Kasbi (Mehnat Se) Nahi Balki Wahbi (وهبى، Allah Ki Ata Se) Hai. Allah Pak Jise Chahta Hai is Mansab ke Liye Chun Leta Hai, Lekin Chunta Usi Ko Hai Jo is MAQAME RAFEE Ke Layeq Hota Hai, Jo Qable Ataye Nubuwwat Wa Bade Ataye Nubuwwat Tamam Akhlaqe Taiyyibah Ki Manzil Taye Kar Chuka Hota Hai, Aur Wo Apne Qaul O Fel Halat O Jism Aur Nasab Me Aisi Tamam Baton Se Pak O Saf Hota Hai Jisse Log Nafrat Karte Hon.
Wo Masoom Yani Tamam Chote Bade Gunaho Se Pak Hota Hai Uski Tabedari Karna Farz Hai, Ba'juz Ambiya Ke Kisi Ko Masoom (Gunaho Se Pak) Janna Gumrahi Wa Be'deeni Hai.
{خلاصہ متعدد کتب عقائد}

Shia 12 imam Ko Masoom Jante Hain Aur Sath Hi Un Par Nuzoole Wahi Ka AQIDAH Rakhte Hain, Balki Unka Ye Bhi AQIDAH Bhi Hai Ki Imam Ki Wahi Se Nabi Ki Wahi Mansookh Hoti Hai, Aisa AQIDAH Kufr Hai.

AQIDAH-
Jo Ye Mane Ki Admi Kasb O Riyazat (Mehnat Aur ibadat) Se Nabi Ho Sakta Hai Wo Kafir Hai.
{بہار شریعت، حصہ-1، صفحہ 17}

AQIDAH-
Ambiya عليهم السلام Ne Allah Ki Janib Se Jo Kuch Un Par Nazil Hua Wo Sab Paohcha Diya. Jo Ye Kahe Ki Kisi Nabi Ne Kuch Chupaya Khaof (Darr) Ya Kisi Aur Wajah Se Nahi Paohchaya Wo Kafir Hai.
{Bahare-e-Shari'at, volume-2, Page-17}

AQIDAH-
Ambiya عليهم السلام Wafat E Zaheri Ke Bad Bhi Apni Qabron Me Usi Tarah Nabi Wa Rasool Hain Jaise Apni Hayate Zaheri Me Nabi Wa Rasool The, Al'batta Pichle Ambiya Ki Shari'at Mansookh Hui Aur Ab Qayamat Tak Najat Hazrat Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ki Shari'at Ki Itteba Me Hai, Jo Shakhs Kisi Nabi Se Nubuwwat Ka Zawal Maane Wo Kafir Hai.
{المعتقد المنتقد، مسئلة: النبوة ليست كسبية......إلخ صفحة-218}

AQIDAH-
Ambiya E Kiram Tamam Makhlooq Se Yahan Tak Ki Jo Rusoole Malaykah (Farishton Me Jo Rasool Hain) Se Afzal Hain. Wali Kitna Hi Bada Ho Kisi Nabi Ke Barabar Nahi Ho Sakta, Jo Kisi Gaire Nabi Ko Nabi Se Afzal Bataye Wo Kafir Hai.
{Bahare-e-Shari'at, Hissa-1, Page-19}

AQIDAH-
Ambiya E Kiram Jannati Mitti Se Banaye Gaye Isi Liye Unke Pak Ajsam Par Koi Keeda Makoda Paida Nahi Hota, Na Balon Me Juyen Hoti Hai, Na Jism Par Makhkhi Baithti Hai, Na Wo Kabhi Mohtalim (Unhe Neend Me Ehtelam Nahi Hota) Hote Hain Aur Na Hi Unki Neend Unka Wazu Todti Hai, Un Pak Histiyon Ka Sona Sirf Ankhon Ka Hota Hai Aur Dil Bedar Hote Hain, Unka Khawab Bhi Wahi Ke Hukm Me Hai, Unki Shaan Aali Maratib Baland O Baala Bar'tar Az Qayas Hai. Unki Adna Tauheen (Gustakhi) Ya Takzeeb (Jhutlana) Kufr Hai Unki Tazim O Takreem Tamam Fara'iz Se Badh Kar Farz Hai, Jo unke Liye Itni Hi Fazilat Ka Qayel Ho Ki Ambiya Hamare Bade Bhai Ki Tarah Hai Wo Kafir Hai.
{جواهر البحار، ج-3، ص-123}

AQIDAH-
Ambiya Ki Tadad Mu'ayyan Karna Jayez Nahi Aur Mu'ayyan Tadad Par Iman Rakhna Kisi Nabi Ko Nubuwwat Se Kharij Manne Ya Gaire Nabi Ko Nabi Janne Ka Ehtemal Hai Aur Ye Dono Baten Kufr Hain. AQIDAH Ye Hona Chahiye Ki Allah Pak Ke Har Nabi Par Hamara Iman Hai.
{Bahare-e-Shari'at, Hissa-1, Page-22}

Allah Pak Ne Kitne Nabi Bheje Iska Qatiyyat Ke Sath Me Kisi Ko Ilm Nahi Siwaye Allah wa Rasool Ke. Hum Yun Kehte Hain 1 Lakh 24 Hazar Kam O Besh, Kam Bhi Ho Sakte Hain Ziydah Bhi, Ya 2 Lakh 24 Hazar Kam O Besh, Quran Me Tamam Ambiya Ke Naam Nahi Aaye Hain Kuch Mash'hoor Ambiya Ka Zikr Hua Hai, Hume Yun Kehna Chahiye Allah Pak Ne Jitne Ambiya Bheje Hamara Sab Par Iman Hai Isi Me Ehtiyat Aur Iman Ki Salamati Hai.

AQIDAH
Allah تبارك وتعالى Ne Ambiya عليهم السلام Ko Uloome Gaib (Chupi Baton Ka ILM) Ata Farmaya.
{Al-Quran, Para-4, Sure Ale Imran Ayat No-179, Para-5, Sure Nisa Ayat No-113, Para-29, Sure Jinn Ayat No-27, Para-3, Sure Ale Imran Ayat No-49, Para-30, Sure Takveer, Ayat No-24}

AQIDAH-
Ambiya عليهم السلام Ke Darajat Mukhtalif Hain, Baz Ko Baz Se Fazilat Hai, Aur Sab Me Afzal Hamare AAQA O MAULA Sayyedul Mursaleen Hain, Huzoor Ke Bad Sab Me Bada Martaba Hazrat Ibraheem عليه السلام Ka Hai, Phir Hazrat Musa Ka Phir Hazrat Esa Aur Nooh Ka... Ye 5Wo Hazraat Hai Jo Tamam Ambiya Wa Mursaleen Ins O Malak (Insan Aur Farishte) O Jinn Wa Jamee Makhluqate ilahi Se Afzal Hain, Jis Tarah Huzoor Tamam Rasulon Ke Sardar Aur Sab Se Afzal Hain Bila Shubah Huzoor Ke Sadqe Me Aapki Ummat Tamam Ummaton Se Afzal Hai.
{Bahare-e-Shari'at, Hissa-1, Page-28}

AQIDAH-
Tamam Ambiya Allah Ke Huzoor (Bargah Me) Azeem Wajahat Wale Hain. Unhe Allah Tala Ke Nazdeek Chodha Chamar Ki Misl Kehna Khuli Gustakhi Aur Kalimaye Kufr Hai.
{Bahare-e-Shari'at- Hissa-1, Page-28}

Wahabi Deo'Bhangi Jamat Ke Imam O Peshwa Molvi Isma'eel Dahelvi Ne Apni Mash'hoor Kitab TAQWIYATUL IMAN Me Ye Khabis Ibarat Likhi Hai Jo Aaj Bhi Wahabi Deobandi Shaoq Se Tilawat Karte Hain Us khabees Ne Is Kitab Me Jagah Jagah Ambiya Alaihimussalam Ki Gustakhiyan Ki Hai, Is Liye Wahabi Deobandi Bat'tareen Kafir Unka Kufr Yahudo Nasara Aur Hunood O Majoos Se Badh Kar Hai.
Jo Unke Kufr O Azaab Me Shak Kare Wo Khud Kafir Hai.

AQIDAH-
Tamam Ambiya عليهم السلام Apni Apni Qabron Me Apne Dunyawi Jismo'n Ke Sath Bata'alluq Rooh Bagair Kisi Takleef Aur Bagair Lawazime Dunya Ke Zindah Hain, Aur Mukhtalif Jehton Ke Atebar Se Unki Is Hayat Ke Mukhtalif Naam Hain, Jise Hayate Dunyawi, Hayate Jismani, Hayate Barzakhi, Hayate HAQIQI, Hayate Ruhani Wagerah..
Ambiya Par Wadae ilahi Ke Mutabiq Eik Aan Ke Liye Maut Zaroor Aai Magar Phir Zindah Kiye Gaye Aur Unki Barzakhi Zindagi Dunyawi Zindagi Aur Shohda Ki Hayat Se Bahot Badh Kar Hai, Wo Jis Tarah Dunya Me Khate Pite The Chalte Phirte The Apni Qabron Me Bhi Khate Pite Aur Jahan Chahen Aayen Jayen. Ambiya Ki Wafate Zaheri Ke Bad Unka Maal TAQSEEM Nahi Hoga Na unki Azwaaj (Biwiyon) Se Nikah Jayez Hai.
{البدائع والصنا ئع، جلد-2، صفحة-70}

"Hadees"

Hazrat Abu Dardah رضى الله عنه Se Riwayat Hai Ki Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne... Beshak Allah Ne Zameen Par HARAM Qarar Diya Ki Wo Ambiya Ke Jismon Ko Khaye Ambiya Apni Qabron Me Zindah Hain Aur Unhe Rizq Diya Jata Hai.
{سنن ابن ماجه، كتاب الجنائز، ذكر وفاته ودفنه، جلد-2، الحدیث-1637}

"Hadees"

Famraya Allah Ke Rasool Ne Beshak Ambiya Apni Qabron Me Zindah Hain aur Namazen Bhi Padhte Hain.
{مسند أبى يعلى،،،، الحديث-3412}

Hayate Ambiya Par Saikdon Dalilen Maujood Hain Jinhe Aap Kutbe Ahadees Wa Tafaseer Me Mulahazah
Farma Sakte Hain. Wahabi Deobandiyon Ke Imam O Peshwa Mulla Dahelvi Ka AQIDAH Hai Ki Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Mar Kar Mitti Me Mil Gaye Aisa AQIDAH Rakhne Wala Kafir Hai, Aur Uski Itteba Me Jo Aisa AQIDAH Rakhe Wo Bhi Kafir Hai.

●Huzoor ﷺ KI FAZILATEN●

Nafse Nubuwwat Me Tamam Ambiya Barabar Hain Unke Beech FARQ Hai To Maratib Ka Qurb Ka, Tamam Ambiya Majmae Khubi Wa Kamaal Hain Aur Ab Tak Jo AQA'ID Bayan Huye Usme Tamam Ambiya Shamil Hain, Ab Wo Fazilaten Jo Huzoor Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Liye Hi Khas Hai Unme Huzoor Ka Koi Shareek Nahi Hai Bayan Ki Jati Hai, Har Musalman Ko Chahiye Ki Wo Huzoor Ke Hawale Se Apne AQA'ID Aise Hi Rakhe.

AQIDAH-
Huzoor عليه السلام Awwalul Ambiya Afzalul Ambiya Imamul Ambiya Aur Akhirul Ambiya Hain. Nubuwwat Ka Wo Inaam Jo Dunya Me Hazrat Adam عليه السلام Se Shiru Hua Tha Huzoor Par Khatm Kar Diya Gaya, Jo Nabi Aane The Aap Se Qabal Aa Chuke, Aap صلى الله عليه وسلم Par Nubuwwat O Risalat Ka Silsila Khatm Kar Diya Gaya, Ab 7 TABAQ Zameen Aur 7 TABAQ Aasman Me Huzoor ﷺ Ke Bad Jadeed Nabi (New Nabi) Mane Ya Paida Hone Ka Qa"il Ho Wo Kafir Hai, Ab Koi Naya Nabi Kisi Bhi Maana Ke Lihaz Se HAQIQI, ATAI, MAJAZI, AARZI, ZILLI, BURUZI, Nahi Paida Ho Sakta, Aur In Mana Ke Lihaz Se Huzoor ﷺ Ke Bad Jo Kisi Ko Nabi Maane Wo Kafir Hai, Jo Huzoor ﷺ Ko Khata'mal Ambiya Na Maane Ya Lafze Khatam Ke Maana Me Taavile Batil (lafz Khatam Ka Naya Mana) Kare Wo Kafir Hai.
{المبين ختم النبيين، صغحه-١٨، از- اعلحضرت امام أحمد رضا بریلوی عليه الرحمه}

Note-
Deobandi Molvi Qasim Nanotwi Ne Apni Kitab Tehzirun'nas Me 3 Jagah Huzoor Ke Aakhri Nabi Hone Ka Na Sirf Inkar Kiya Balki Naya Nabi Paida Hona Bhi Mumkin Likha Hai Aur Isi Ibarat Ki Aad Lekar Qadyan Panjab Me Mirza Gulam Qadyani Ne Dawae Nubuwwat Kiya.

Az Hukme Shara Tamam Qadyani Kafir O Murtad Hain, Aur Wo Tamam Deobandi Jo Molvi Qasim Nanotvi Baani-Darul Uloom Deoband Ki Is Khabis Balki Akhbas Ibarat Ko Sahi Jane Kafir Hain.

AQIDAH-
Pichle Ambiya Khas Eik Qaum Ki Taraf Aaye Jaisa Ki Quran Se Maloom Hai Ki Hazrat Esa Khas Bani Isra'eel Ke Liye Nabi O Rasool Banke Tashreef Laye Magar Hamare AAQA Jumla MAKHLOOQ E ILAHI Ke Liye Nabi Wa Rasool Ho Kar Aaye, Jis Tarah Insano Ke Zimma Huzoor ﷺ Ki Ita'at Farz Hai Usi Tarah Tamam Makhlooq Par Jinn (aag Ki Makhlooq) Malaykah (Noori Makhlooq) Haiwanat (Janwar) Jamadat (Be'jan Chizen) Nabataat (ugne Wali Chizen) Par Huzoor Ki Ita'at Wa Farmabardari Zaroori Hai.
{مدارج، صفحہ-١٨٩. الشيخ عبد الحق محدث دہلوی رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ}

AQIDAH-
Huzoor Afzal Jamee Makhlooq E ilahi Hain, Ki Aoron Ko Jo Kamalaat Ata Huye Huzoor Me Wo Sab Jama Kar Diye Gaye Hain.

آنچہ خوباں ہمہ دارند تو تنها داری
"Dunya Ke Tamam Haseen Apni Zaat Me Jitni Khubiyan Rakhte Hain Wo Tanha Aapki Zaat Me Jama Kar Di Gai.
{المواهب اللدنية، جلد-٢، صفحہ-٢٥٣}

AQIDAH-
Kuch Kamalaat (Khubiyan) Huzoor Ko Aise Ata Huye Jinme Aapke Siwa Dusra Koi Shamil Nahi, Balki Auron Ko Jo Kuch Mila Huzoor Hi Ke Tufail Me, Balki Huzoor ﷺ Hi Ke DASTE AQDAS Se Mila, Balki Kamaal is Liye Kamaal Hua Ki Huzoor ﷺ Ki Sifat Hai, Aur Huzoor ﷺ Apne Rab Ke Karam Se Apne Nafse Zaat Me Kamil O Akmal Hai.
{بہار شریعت، حصہ-١، صفحہ-٣٧}

"MUSTAFA E ZAATE YAKTA AAP HAIN,
YAK NE JIS KO YAK BANAYA AAP HAIN.!!!!!!

AQIDAH-
Tamam Jahano Ki Imdad Farmane Wale Huzoor ﷺ Hain, Is Liye Ki Huzoor ﷺ Bargahe ilahi Ke Waris Aur Bila Wasta Khuda Se Madad Lete Hain, Aur Tamam Aalam Allah Ki Madad Huzoor Ke Wasile Se Leta Hai, To Jis Kaamil Ko Jo Khubi Mili Jo Madad Mili Huzoor Hi Se Mili.
{العطايا النبوية في الفتاوى الرضوية، ج-١٢، ص-٣١٢}

"Wo Khuda Ne Hai Martabah Tujh Ko Diya, Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila,
Ki Kalame Majeed Ne Khai Shaha, Tere Shehr O Kalam O BAQA Ki Qasam.!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Wo Tamam Halaat O WAQIYAT Jinka Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Zara Sa Bhi Ta'alluq Hai Aur Wo Log Jinko Huzoor ﷺ Se Adna Si Bhi Nisbat Hai Unka Zikre Khair Karna Nihayat Pasandidah Aur Mustahab Amal Hai.
{مدارج النبوة}

"Unke Har Nam O Nisbat Pe Naami Durood,
Unke Har WAQT O Halat Pe Lakhon Salam.!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor Masjid E Haraam Se Masjide AQSA Tak Wahan Se 7wo Asman Se Upar Sidrah Tak Wahan Se Arsh Ke Pare La Makan Tak Raat Ke Mukhtasar Se Hisse Me Apne Jisme AQDAS Ke Sath Tashreef Le Gaye, Aur Mathe Ki Ankhon Se Jamale ilahi Ka Deedar Kiya Aur Allah Ka Kalaam Bila Wasta Sama'at Farmaya, Aur Zamin O Asman Me Jo Kuch Hai Uska Zarra Zarra Mulahazah Farmaya, Aur Ye Aap Hi Ke Liye Khas Hai, Allah Ka Aisa Qurb (Nazdeeki) Na Kisi Nabi Ko Mili Na Kisi Jinn Ya Fairshte Ko.
{سنن الدرامي، كتاب الرؤيا، ج-٢، ص-١٦٥، الحديث-٢١٤٩}

"FARQ MATLUB O TALIB KA DEKHE KOI,
QISSA E TOOR MERAJ SE SAMJHE KOI,
KOI BE HOSH JALWON ME GUM HAI KOI,
"KIS KO DEKHA YE MUSA SE PUCHE KOI,
AANKH WALON KI HIMMAT PE LALHON SALAM.!!!
(Huzoor Alahazrat)

"Aur Koi Gaib Kya Tum Se Niha'n Ho Bhala,
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karoron Durood.!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Tamam Makhlooq Hazarat Aadam Ta Ein Dam Aur Qayamat Tak Jitne Honge Jo Ho Kar Guzre Sabhi Huzoor ﷺ Ki Nazre Karam Ke Mohataj Aur Unki Riza Ke Talib Hain. Hatta Ke Hazrat Ibraheem عليه السلام Bhi.
(صحيح مسلم، كتاب فضائل القرآن، ص-٣٩٩، الحديث-٨٢٠}

"Karun Ambiya Se Arz Kyun Maliko,
Kya Nabi Hai Tumhara Hamara Nabi.!!!!
(Huzoor Alahazrat)

"Hote Kahan Khaleel O Bina Kaba O Mina,
Laolak Wale Sahebi Sab Tere Ghar Ki Hai.!!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor Ki Muhabbat Jane Iman Hai Balki Iman Isi Muhabbat Ka Naam Hai, Khud Huzoor Farmate Hain Tum Me Ka Koi Momin Ho Hi Nahi Sakta Jab Tak Mujhe Maa Baap Aulad Hatta Ki Tamam Jahaon Se Ziydah Muhabbat Na Kare.
{القرآن، الجزء-١٠، سورة التوبة الآية-٢٤،،، صحيح البخاري، كتاب الإيمان، ج-١، ص-١٩}

"Unhe Jana Unhe Mana Na Rakha Gair Se Kuch Kaam,
Lillahil Hamd Mein Dunya Se Musalman Gaya.!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Qayamat Ke Din Shafa'ate Kubra Ka Taaj Aaphi Ke Sare Anwar Pe Hoga, Jab Tak Aap Shafa'at Ka Darwaza Nahi Kholenge Kisi Ko Majale Shafa'at Na Hogi. Maidane Meshar Me Eik Jhanda Hoga Jise MAQAME MEHMOOD Kaha Gaya Wahan Tamam Momineen Wa Kafireen, Mawafiqeen O Mukhalifeen, Auwwaleen O Akhireen, Huzoor ﷺ Ki Hamd Karnege, Huzoor ﷺ Bahot So Ko Bila Hisab Jannat Dilayenge, Bahot Se Jo Jahannam Me Ja Chuke Unhe Nikalwayge, Bahot So Se Azab Kam Karwayenge Bahot So Ke Darje Baland Farmayenge Unka MAQAME RAFEE HAQIQATAN SAB ANKHEN QAYAMAT Ke Din Dekhengi.
{صحيح البخاري، كتاب الأدب، الحديث-٢٢٠٨}

"SABA Wo Chale Ki Bagh Phale, Wo Phool Khile, Ki Din Ho Bhale,
Liwa Ke Tale, Sana Me Khule, Raza Ki Zuba'n Tumhare Liye.!!!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor ﷺ Ki ita'at Allah Ki Ita'at Hai, Ba'gair Huzoor ﷺ Ki Ita'at Ke Allah Ki Ita'at Na Mumkin Hai, Yahan Tak Ki Aadmi Farz Namaz Me Ho Aur Huzoor ﷺ Yaad Farmayen To Faoran Jawab De, Aur Hazire Khidmat Ho, Aur Ye Shakhs Kitni Hi Der Tak Huzoor ﷺ Se Kalam Kare Ba'dastoor Namaz Me Hai Isse Namaz Me Koi Khalal Nahi.
{Bahar-e-shariat, Hissa-1, Page-47}

"Maula Ali Ne Waari, Teri Neend Par Namaz.,
Aur Wo Bhi Asar, Sab Se Jo Aala Khatar Ki Hai.!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor عليه السلام Ki Tazeem Jis Tarah Us WAQT Thi Ki Huzoor ﷺ Is Alame Zaheri Me Nigahon Ke Samne The, Ab Bhi Usi Tarah Farze Azam Hai, Jab Huzoor ﷺ Ka Zikr Aaye To Ba'kamale Khushu Wa Khuzu Wa Inkesar Ba'adab Sune, Aur Naame Pak Sunte Hi Durood Padhna Wajib Hai.
{Bahar-e-shariat, Hissa-1, Page-47}

Mas'ala-
Zindagi Me 1 Bar Durood Padhna Farz Hai, Aur Mehfil Me Jab Aapka Zikre Mubarak Ho To 1 Dafa Salato Salam Padhna Wajib Hai Aur Bar Bar Padhna Mustahab Hai.
(Khulasa- Kutbe Hadees O Fiqah)

"Kaba Ke Bad'Rudduja Tum Pe Karoron Durood,
Taibah Ke Shamsud Doha Tum Pe Karoron Durood.!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor ﷺ Se Mohabbat Ki Alamat Ye Hai Ki Ba'kasrat Aapka Zikr Kare, Aur Duroode Pak Ki Kasrat Kare Aur Jab Naame Pak Likhe To Pura صلى الله تعالى عليه وسلم Likhe Baz Log (Wahabi/Deobandi) Ikhtesar (Short) Se ص Ya صلعم Likhte Hain Ye Mahez Na'jayez O Haram Hai.
{Fatawa Razviyah Jild-6, Page-388}

"Momin Wo Hai Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se,
Tazeem Bhi Karta Hai Najdi To Mare Dil Se.!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Jab Bhi Zikre Pak Aap ﷺ Ka Kiya Jaye To Alfaz Aise Istemal Kiye Jayen Jo Adab O Mohabbat Me Dubye Huye Hon, Khabardar Aisa Lafz Jisse Shane AQDAS Me Kami Maloom Ho Ya Tauheen Ka Pehlu Nikle Ya Uska Eik Maana Achcha Aur Eik Maana Bura Ho Hargiz Hargiz Aise Alfaz Zuban Par Na Laye.
{Fatawa Razviyah, Jild-30, Page-156}

"Farishte Jo Puchen Mera Deen O Imaa'n,
Tumhari Hi Janib Ishara Karun Mein.!!!!!!
(Huzoor Muftiye Azam)

AQIDAH-
Zameen Ka Wo Hissa Jo Aapke Wajoode Pur'Noor Se Laga Hai Wo Kai'naat Me Sab MAQAMAT Se Afzal Hai Hatta Ki Kabatullah Aur Arsh O Kursi Se Bhi Afzal Hai.
{Madarijun'nabuwwah)

"Taibah Na Sahi Afzal Makka Hi Bada Zahid,
Hum ISHQE Ke Bande Hain Kyun Baat Badhai Hai.!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Is Liye Har Momin Khususan Hujjaj Roza E Pak Ki Ziyarat Zaroor Kare, Aur Jab Sarkar ﷺ  Me Hazri Ho To 4 Hath Ke Fasle Se Hath Bandhe Namaz Jaisa Khada Ho Bahot Qareeb Na Jayen Aur Aankhen Niche Ho Labon Se Durood O Salam Ka Wird Jari Rahe, Idhar Udhar Na Dekhe, Aur Hoshiyar Ye Sultane Kaunain Ki Bargahe Aali Hai Yahan Ke Aadaab Allah Ne Bataye Hain Lihaza Yahan Chilla Pukar Awaz Ko Uncha Karna Tamam Umr Ke Aamal Ko Bar'bad Kardega.
{Khulasa- AL'Quran Para-26, Sure Hujuraat Ayat No-2}

"Lab Waa'n Hain Aankhen Band Hain Phaili Hain Jholiyan,
Kitne Maze Ki Bheek Tere Pak Dar Ki Hai.!!!!!

"Haan Haan Rahe Madinah Hai Gafil Zara Tu Jaag,
Wo Paon Rakhne Wale Ye Jaa Chashm O Sar Ki Hai.!!!
(Huzoor Ala Hazrat)

AQIDAH-
Huzoor ﷺ Par Qabre Anwar Me Ummat Ke Achche Bure Aamaal Pesh Hote Hain Lihaza Aapki Qabre Pak Par Zaroor Zaroor Shafa'at Talab Kare,
Aur Jab Hazri Madinah Pak Ki Ho To Niyyat Rozae Aqdas Aur Masjide Nabawi Aur Digar MUQADDAS MAQAMAT Ki Karna Afzal Aur Ba'ise Ajro Sawab Hai, Albatta Khalis Qabre Anwar Ki Ziyarat Ki Niyyat Se Safar Karna Sab Se Behtar Hai Kyu Ki Isme Aapki Tazeem Ziydah Hai.
{Khulasa Kutbe Ahadees}

"Kham Ho Gai Pushte Falak Is Tane Zamee'n Se,
Sun Hum Pe Hai Madinah Wo Rutbah Hai Hamara.!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Huzoor E AQDAS صلى الله تعالى عليه وسلم Allah Ke Na'ibe MUTLAQ Hain, Tamam Jahan Huzoor ﷺ Ke Zaire Tasarruf (Hukm Ke Niche) Kar Diya Gaya Hai, Jo Chahen Jise Chahen De'n Jisse Jo Chahen Wapas Le'n, Tamam Jahano Me Unke Hukm Ka Pherne Wala Koi Nahi, Tamam Admiyon Ke Malik Hain, Jo Unhe Malik Na Jane Halawate Sunnat (Sunnat Ki Mithas) Se Mehroom Rahe, Tamam Zameen Unki Milk Hai Tamam Jannat Unki Jageer Hai, Jannat O Dozakh Ki Kunjiyan Unke DASTE AQDAS Me Dee Gai, Rizq O Khair Aur Har Qism Ki Atayen Huzoor ﷺ Hi Ke Darbar Se TAQSEEM Hoti Hai, Ahkame Tash'riya Huzoor ﷺ Ke Qabze Me Kar Diye Gaye Ki Jis Par Jo Chahen Haram Farma Den Aur Jiske Liye Jo Chahen Halal Farma Den Aur Jo Farz Chahen Muaaf Farma Den.
{بہار شریعت، حصہ-١، صفحہ-٤٨}

"KHALQ KE HAKIM HO TUM, RIZQ KE QASIM HO TUM,
JO MILA TUM SE MILA TUM PE KARORON DUROOD.!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Sab Se Pehle Martabe Nubuwwat Huzoor ﷺ Ko Mila, Roze Misaq Tamam Ambiya Se Huzoor ﷺ Par Iman Lane Aur Unki Nusrat Karne Ka Ahed Liya Gaya, Aur Isi Shart Par Unko Ye Mansab Diya Gaya, Huzoor ﷺ Nabiyul Ambiya Hain Aur Tamam Ambiya Unke Ummati.
{بہار شریعت، حصہ-١، صفحہ-٤٨}

"Karun Ambiya Se Arz Kyun Maliko,
Kya Nabi Hai Tumhara Hamara Nabi.!!!!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Jo Sarkare Azam صلى الله تبارك وتعالى عليه وسلم Ke Kisi Qaul (Baat) Fel (Kaam) Amal Ya Halat Ya Aapse Mansoob Cheez Ko Ba"niyyate Istekhfaf (Tauheen Ki Nazar) Ya Ba'nazre HIQARAT (Halki Nigah) Se Dekhe Wo Kafir Hai.
{الفتاوى قاضي خان، ج-٤، ص-٤٧٢}

"Al Garaz unke Har Moo Pe Lakhon Durood,
Unki Har Khoo Wa Khaslat Pe Lakhon Salam.!!!!
(Huzoor Alahazrat)

AQIDAH-
Ambiya Kiram Se Jo Lagzishen WAQE Hui'n Unka Zikr Tilawate Quran Aur Riwayate HADEES Ke Siwa Haram Sakht Haram Hai, Auron Ko Unki Sarkaron (Bargah) Me Lab Kushai Ki Kya Majal.?
Allah Tala unka Malik Hai Jis Mahel Par Chahe Tabeer Farmaye, Wo Uske Pyare Bande Hain, Apne Rab Ke Liye Jis Qadar Chahen Tawazo Farmayen, Dusra Un Kalimaat Ko Sanad Nahi Bana Sakta, Aur Khud Unka ITLAQ Kare To Mardoode Bargah Ho. Eik Lagzishe Aadam Ko Dekhiye Wo Na Hoti To Na Jannat Se Utarte Na Dunya Abad Hoti Na Kitaben Utarti Na Rasool Aate Na Jihad Hote.
{بهار شريعت، حصہ-١، صفحہ-٤٩}

Alahazrat Imame AhleSunnat Ash'shaikh Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمه الله تعالى Ambiya Alaihimussalm Ki Lagzishon Ke Zikr Se Rokte Huye Farmate Hain,

"Aise Umoor (Mu'amlaat) Me Sakht Aihtiyaat Farz Hai, Allah Tala Apne Mehbubon Ka Husne Adab Ata Farmaye"
(الفتاوى الرضوية، ج-١}
                  
●MALAIKAH KA BAYAN●

Allah Pak Ne Farishton Ko Noor Se Paida Farmaya, Ye Hamari Nazron Se Gayeb Hain Lekin Hain Zaroor, Na Mard Hain Na Aurat, Allah Pak Ne Jo Kaam Unke Zimmah Lagaya Hai Use Karne Me Lage Rehte Hain, Farishton Ki Tadad Allah Pak Ko Hi Maloom, Kabhi Insani Shakl Me Zahir Hote Hain Kabhi Dusri Shaklon Me, Unke Wajood Par Iman Zaroori Hai Aur Unka Inkar Kufr Hai.
Nechri Firqah Jiska Bani Sir Sayyed Ahmad Khan Tha Ye Log Farishton Ke Munkir Hain.

AQIDAH-
Farishte Wahi Karte Hain Jo Kaam Allah Pak Ne Unke Zimmah Lagaya Hai, Allah Ke Hukm Ke Khilaf Kuch Nahi Karte Na Bhool Kar Na Jaan'Bujh Kar Na Galti Se Har Qism Ke Chote Bade Gunahon Se Pak Hain ise Liye Masoom Kahe Jate Hain.
{تفسير كبير، ج-١، ص-٣٨٩، تحت الآية سورة البقرة-٣٠}

AQIDAH-
Har Fairshte Ke Zimmah Alag Alag Kaam Hai Kisi Par Ambiya عليهم السلام Par Wahi Lana, Pani Barsana, Hawa Chalana, Rozi Paohchana, Maa Ke Pet Me Allah Ke Hukm Se Bachche Ki Surat Banana, Insano Ke Nama E Aamal Likhna, Rooh Nikalna, Qabr Me Sawal O Jawab Karna, Azab Dena, Soor Phunkna, Kuch Ka Kaam Hai Musalmano Ka Durood O Salam Sarkare 2 Alam ﷺ Me Paohchana Aur Bhi Bahot Se Kaam Farishton Ke Zimmah Hain.
{الحبائك في اخبار الملائك، ص-١٢، للإمام جلاالدين السيوطي رحمه الله تعالى}

AQIDAH-
4 Farishten Mash'hoor Hain Aur Tamam Malaykah Me Afzal O Aala, Hazrat Sayyedna Jibreel, Hazrat Sayyedna Mika'eel, Hazrat Sayyedna Isra'feel, Hazrat Sayyednaa Izra'eel عليهم السلام Aur In 4 Me Afzal Aur Sab Ke Sardar Sayyedul Malaikah Hazrat Jibreel عليه السلام Hain.
{تكميل الإيمان، صفحہ-٦٢}

Mas'ala:
Ambiya Aur Farishton Ke Ilawah Kisi Ke Liye Alaihissalam Kehna Jayez Nahi, Aur Masoom Samajhna Bhi Jayez Nahi, Kuch Log Chote Bachcho Ko Masoom Kehte Hain Ye Galat Hai.
(از- كتب فقه)

AQIDAH-
Kisi Farishte Ki Adna Si Gustakhi Kufr Hai, Baz Log Dushman Ko Dekh Kar Hazrat Izra'eel Maut Ka Farishta Keh Dete Hain Baaz Jahil Kisi Ko Azab Ke Farishte Munkar Nakeer Keh Dete Hain Ye Sab Baten Kufr Se Qareeb Hain Aur Aisi Baten Muh Se Nikalne Me Ahtiyat Chahiye.
{الفتاوى الهندية، الباب التاسع في أحكام المرتدين، فصل- رجل عاب ملكاً من الملائكة كفر، جلد-٢، صفحہ-٢٦٦}

AQIDAH-
Neki Ka Naam Farishta Aur Burai Ka Naam Shaitan Samajhna Aur Is Tarah Farishton Aur Shaitan Ke Wajood (Hone Ka) Ka inkar Karna Kufr Hai, Jo Aisa AQIDAH Rakhe Kafir Hai.
{شرح شفاء، جلد-٢، صفحہ-٥٢٢}

Apne AQIDE QURAN HADEES KI Roshni Me Mazhabe Ahlesunnat Wa Jamat Ke Mutabiq Rakhen.
Aur Iske Liye Zaroori Hai Ke Apne Maslak Ke Ulma Se Jude Rahen Taki Iman O AQIDE Ki Salamati Rahe.

■MUTAFARRIQAT■

AQIDAH-
Jinnat Aisi Makhlooq Hai Jise Allah Pak Ne Aag Se Paida Farmaya, Unme Achche Bhi Hain Aur Bure Bhi Nek Bhi Hain Aur Badd Bhi Unme Musalman Bhi Hain Aur Kafir Bhi Unme Sunni Bhi Hain Aur Bad'mazhab Bhi, Wo Shadi Biyah Bhi Karte Hain Marne Ke Bad Unhe Bhi Azab O Sawab Hota Hai, Al'batta Unme Koi Nabi Nahi Jinnat Ke Nabi Insan Hi Me Huye Hain, JINNAT Ke Wajood Ka Inkar Ya Burai Ko Jinn Ya Shaitan Samjhna Kufr Hai.
{الفتاوى الحديثية، صفحہ-١٦٩}

AQIDAH-
Allah Ki Taraf Se Jitni Kitaben Ambiya Par Nazil Hui Sab Bar'Haq Aur Sachchi Thi, Albatta Ab Itteba Sirf Quran Ka Kiya Jayega Quran Ka Sure Fatiha Se Wannas Ki Seen Tak Eik Eik Harf Mehfooz Hai Jo Kisi Eik Harf Ka inkar Kare Ya Quran Ko Muharraf (Badla Hua Jane) Wo Kafir Hai.
(ماخوذ از-كتب عقائد}

AQIDAH-
SAHABA Wo Mubarak Jamat Hai Jisne Iman Ki Halat Me Jagte Huye Huzoor ﷺ Ke Muqaddas Chehre Ki Ziyarat Ki.
Jinhe Huzoor ﷺ Ki Sohbat Hasil Hui Aur Unka Khatma Iman Par Hua, Sahaba Meyare HAQ O SADAQAT Hain Yani AQA'ID O Aamaal Wahi Chalege Jo Sahabae Kiram Ke AQA'ID O AMAAL The, Sahaba Har Qism Ki Tanqeed Se Bala'Tar Hain, Qabr Aur Akhirat Me Har Qism Ke Azab Se Mehfooz Hain, Wo Agarche Masoom Nahi Albatta Mehfooz Zaroor Hain.
{اسد الغابه، صفحہ-١٨}

AQIDAH-
Sahaba Aur Ahlebait E Pak Dono Se Mohabbat Sunni Hone Ke Liye Zaroori Hai, Dono Ya Dono Me Se Eik Se Bughz Gumrahi Wa Be'deeni Hai.
{شرح العقائد النسفية}

Shia Sahaba Ki Dushmani Se Gumrah Aur Wahabi Deobandi Ahlebait E Pak Se Bughz Me Gumrah Huye Aur Kamyab Hain Ahlesunnat Wa Jamat Wale.

AQIDAH-
Huzoor عليه السلام Ki Azwaje Pak (Biwiyan) Momino Ke Maayen Hain Unka Adbo Ehteram Aur Unhe Pak Daman Janna Zaroori Hai Jo Unme Se Kisi Par Tohmat Lagaye Wo Gumrah Hai.
{شرح العقائد النسفية}

AQIDAH-
Khilafate Rashedah HAQ Hai Pehle Khalifah Hazrat Abu Bakar Phir Hazrat Umar Phir Hazrat Usman Phir Hazrat Ali Jo in Charon Ko Ya Pehle 3 Ko Khalifae BAR'HAQ Na Maane Wo Gumrah Hai.
{اسد الغابه}

AQIDAH-
Jange Karbala Me Hazrat Imame Husain Ko HAQ Par Aur Yazeed Ko Galti Par Janna Zaroori Hai Jo Iske Khilaf Samjhe Wo Gumrah Hai.
{ماخوذ از- كتب عقائد}

AQIDAH-
Wali Us Shakhs Ko Kehte Hain Jo Gunaho Se Bache Aur Sunnat Ka Itteba Kare Jo Jitna Sunnat Ka Muttabe Hoga Utna Hi Bada Wali Hoga. Wilayat Wahbi (وهبى) Cheez Hai Lekin uske Husool Ka TARIQAH Kasbi Hai Yani TAQWA TAHARAT AUR ITTEBAE SUNNAT Se Bhi Banda Wali Ban Sakta Hai Jabki Nubuwwat Khalis Wahbi (وهبى) Hai Yani Allah Ki Ata Se. Auliya Se Kashf O Karamaat Ka Hona Bar'HAQ Hai Auliya Allah Se Khilafe Aadat Jo Kaam Hote Hain Use KARAMAT Kehte Hain Iska Inkar Allah Ki Qudrat Ka Inkar Hai Jo Ki Gumrahi Hai.
{ماخوذ از- كتب عقائد}

AQIDAH-
Ruhani Bimariyon Ki Pehchan Aur Unke Sahi ilaj Ka Naam Hai Tasawwuff Jisko Quran Me TAZKIYAH NAFS Aur Hadees Me Ehsan Kaha Gaya, AQA'ID O AAMAL Ki Islah Farz Hai Jiske Liye Sahihul AQIDAH Peer Jo Sunnat Ka Paband Ho Jiska Silsilae TARIQAT Huzoor ﷺ Se Milta Ho Use Itna ILM Ho Ki Kam Se Kam Apne Deeni Masayel Kitabon Se Nikal Se Aise Peer Se Bai'at Hona Mustahab Balki Wajib Ke Qareeb Hai.
{تحصيل التعرف الى معرفت الفقه والتصوف، صفحہ-١١٣}

AQIDAH-
Dua Me Ambiya Wa Auliya Ka Wasila Lena Jayez Hai, Unka Wasila Unki Hayat Aur Baade Wafat Dono Me Jayez Hai.
Aur Isi Tarah Apne Nek Aamal Ka Wasila Bhi Jayez Hai.
{احسن الوعا صفحة-١٤}

AQIDAH-
Masayele FIQH Me Kisi Eik Imam Ki TAQLEED WAJIB Hai Aur Is Par Puri Ummat Ke Ulma Ka Ijma Hai Jo TAQLEED Na Kare Aur Usse Roke Gumrah Wa Be'deen Hai.
{ماخوذ از- كتب فقه}

AQIDAH-
AhleSunnat Ke Nazdeek Deen Me Hujjate Shar'ie 4 Chizen Hain.
Quran, Hadees, Ijma, Aur Qayase Sharie,
Inka Inkar Gumrahi Hai.
{ماخوذ از-كتب عقائد}

●ALAME BARZAKH●

Marne Ke Bad Tamam Insano O Jinnat Ko Dunya Aur Qayamat Ke Beech Eik Aalam Hai Jise Barzakh Kehte Hain Wahan Rehna Hai, Barzakh is Dunya Se Bahot Bada Hai Aur Wahan Jo Hain Unme Kisi Ko Aaram Hai Aur Kisi Ko Takleef.

AQIDAH-
Jiski Jitni Zindagi Likhi Hai Usme Na Kami Ho Sakti Hai Na Ziyadati, Jab Kisi Ka WAQT Pura Hota Hai To Us WAQT Hazrat Izra'eel Alaihissalam Uski Rooh Qabz Karte Hain. Marne Wale Ke Pas Dayen Bayen Jahan Tak Nigah Jati Hai Farishte Hote Hain, Musalman Ke Pas Rehmat Ke Farishte Aur Kafir Ke Pas Azab Ke Farishte. Us WAQT Har Marne Wale Ko ISLAM Ki HAQQANIYAT Maloom Hoti Hai Magar Us WAQT Ka Ilam Lana Faydah Nahi Dega Chunki Allah Ka Hukm Hai Ki "IMAN BIL GAIB" Lao Yani Jannat Dozakh Farishte Jinnat Wagerah Ko Bina Dekhe Ian Lana, Chunki Ab Farishton Ko Dekh Liya To Iman Motabar Nahi.
{ تفسير الطبري، جلد-١١، صفحہ-٨٣}

AQIDAH-
Marne Ke Bad Agar Che Rooh Badan Se Juda Hoti Hai Lekin Uska TA'ALLUQ Badan Se Baqi Rehta Hai, Badan Pe Jo Kuch Guzrega (Azab O Sawab) Rooh Ko uska Ehsas Zaroor Hoga.
{شرح العقائد النسفية، مبحث عذاب القبر، صفحہ-١٠٤}

AQIDAH-
Har Rooh Ke Rehne Ka Eik Thikana Hai Kuch Ki Unki Qabr Par, Kuch Ki Zamzam Sharif Par, Kuch Ki Asman O Zameen Ke Beech, Baz Ki Pehle Dusre Aur 7we Asman Par, Aur Kuch Ki Asmano Se Upar Aur Baz Ki Arsh Ke Niche Aur Baz Ki "Aala Illi'een" Me Kuffaron Ki Unke Marghat Par Kuch Ki Barhoot Ke Naale Par Kuch Ki Sijji'een Me, Rooh Kahi Bhi Ho Uska TA'ALLUQ Jism Se Baqi Rehta Hai Jo Unke QABR Par Aaye Use Dekhte Sunte Aur Pehchante Hain.
{شرح الصدور، صفحہ-٢٣٣}

Ye Khayal Ki Rooh Kisi Aur Badan Me Jati Hai (Jaise Hiduwon Me 7 Janam Ka Aqidah) Kufr Hai, Maut Ka Maana Ye Hai Ki Rooh Jism Se Juda Hoti Hai Marti Aur Fana Nahi Hoti, Jo Rooh Ko Fana Mane Wo Bad'mazhab (Ahlesunnat Se Kharij) Hai.

AQIDAH-
Murdah Baat Bhi Karta Hai Magar Uski Baat Jinn O Ins Ke Siwa Tamam Haiwanat Wagerah Sunte Bhi Hain, Murde Ko Dafn Karne Ke Bad Qabr Use Dabati Hai Momin Ko Pyar Se Kafir Ko Sakhti Se, Log Jab Dafn Kar Ke Jate Hain To 2 Farishte Munkir Nakeer Apne Danton Se Qabr Cheerte Huye Aate Hain Unka Badan Kala Shakal Daroni Ankhen Neeli Aur Kali, Baal Sar Se Paon Tak aur Unke Dant Hath Se Bade, Aate Hi Murde Ko Uthate Hain Aur 3 Sawal Kart Hain.

1- Tera Rab Kaun Hai ?
2- Tera Deen Kya Hai?
3- Inke (huzoor ke) Bare Me Kya Kehta Hai?

Momin Sahi Jawab Dega Aur Kafir Kahega Hey Afsos Mein Nahi Janta. Momin Ke Liye Asman Se Nida Hogi Ki Mere Bande Ne Sach Kaha Iski Qabr Kushadah Karo Jannat Ka Libas Pehnao Jannat Ka Bichona Bichao Aur Iske Liye Jannat Ka Darwaza Khol Do, Aur Kafir Ke Liye Aasman Se Awaz Aaygi Iske Liye Aag Ka Bichona Bichao Aag Ka Libas Pehna Kar Jahannam Ka Eik Darwaza Iske Liye Khol Do.
{شرح الصدور، صفحہ-١٣٧}

AQIDAH-
Azabe Qabr Aur Sawabte Qabr Bar'HAQ Hai Rooh Aur Jism Dono Par Hai Aur Qabr Ke Sawal Bhi Bar'HAQ Hain Jo Iska Inkar Karega Wo Gumrah Bad'deen Hai.
{الحديقة النديقة ، جلد-١، صفحہ نمبر-٣٠٣، من أنكر عذاب القبر فهو مبتدع}

 ●QAYAMAT KA BAYAN●

Beshak Eik Din Aisa Aayega Jisme Zameen O Aasman Aur Jo Kuch isme Hai Sab Fana Ho Jayega Hameshgi Aur BAQA Sirf Allah Pak Ko Hai.
Qayamat Se Pehle Qayamat Ki Kuch Nishaniyan Batai Gai Hai Jo Zahir Hogi.

AQIDAH-
Dunya Me Beha'ya'iee Begairti Phail Jayegi, Haram O Halal Ka Fafq Mitt Jayega, Log Masjidon Me Sharab Piyege, Zina Aam Hoga Aulad Na'farman Hogi, Phir Dajjal Nilklega Jo Khudai Ka Dawa Karega.
Wo Murde Zindah Karega Asman Se Pani Barsayega Wo Tamam Dunya Ka Daurah 40 Din Me Karega Siwaye Makka aur Madinah Sharif Ke.
Uske Sath Yahoodiyon Ki Faoj Hogi Jab Wo Sari Dunya Ghoom Kar Mulke Sham Ko Jayega To Us WAQT Hazrat Esa Alaihissalam Aasaman Se Jama Masjid Ke Minare Par Utrenge Subah Ka WAQT Hoga Phir Hazrat Imam Mehndi Namaze Fajr Padhayenge, Dajjal Hazrat Esa Ki Saans Ki Khushbu Se Pighalna Shiru Hoga Phir Wo Bhagega Magar Hazrat Esa Use Neza Maar Ka Jahannam Raseed Karege. Hazrat Esa Saleeb Ko Todege Aur Khinzeer (suwwar) Ko Qatl Karenge Tamam Ahle Kitab (Yahud O Nasara) Sab Iman Layenge Aur Tamam Jahan Me Eik Deen Hoga Islam Aur Eik Hi Mazhab Hoga Ahlesunnat, Hazrat Esa Nikah Bhi Karenge Aulad Bhi Hogi Phir WAFAT Ke Bad Unhe Huzoor ﷺ Ke Roza E Anwar Me Dafn Kiya Jayega.
{مرقاة المفاتيح، جلد-٩، صفحہ نمبر-٤٤٢}

AQIDAH-
Hazrat Esa Aur Imam Mehndi Ka Aana Dajjal Ka Qatl Hona Phir Yajooj Majooj Ka Nikalna Dhuwan Ka Nikalna Phir "Dabbatul Arz" Ka Nikalna Ye Dabbatul Arz Har Musalman Ke Mathe Par Hazrat Musa Ke Asaa Se Eik Noor Ka Nishan Banayega Aur Hazrat Sulaiman Ki Anguthi Se Kafir Ke Peshani Par Eik Nishani Jo Kali Hogi, Phir Tamam Muslim O Kafir Zahir Ho Jayege Ye Nishani Kabhi Nahi Badlegi Phir Jo Kafir Hai Iman Nahi Layega Na Musalman Kafir Banega, Phir Suraj Magrib Se Niklega Aur Taubah Ka Darwaza Band Hoga, Hazrat Esa Ki Wafat Ke Bad Jab Qayamat Ko 40 Sal Rahege To Tamam Musalmano Bhi Dunya Se Uth Jayenge Aur Bachenge Kafir Aur Qayamat Kafiron Par Hi Aayegi.
{صحيح مسلم، كتاب الفتن وأشراط الساعة، الحديث-٧٣٧٣}

AQIDAH-
Beshak Qayamat Qa'im Hogi Uska Inkar Karne Wala Kafir Hai.
{Para-17, Sure Haj Ayat No-7}

AQIDAH-
Qayamat Ka Maidan Mulke Sham Me Hoga Jahan Hazrat Aadam Se Dunya Ke Akhri Insan Tak Sab Allah Ke Huzoor Hazir Honge Aur Sab Ka Hisab Hoga Jo Hisab Ka Inkar Kare Wo Kafir Hai.
{Shifa Sharif, Volume-2, Page-90}

AQIDAH-
Phir Jiska Jo Badla Hoga Allah Ke Fazl Aur Adl Se Use Usme Jana Hai Yani Jannat O Jahannam Me Beshak Jannat O Dozakh HAQ Hai Inka Inkar Karne Wala Kafir Hai.
{الحديقة النديقة، جلد-١، صفحہ-٣٠٣}

AQIDAH-
Jannat Khushi Ka Aaram Ka Nematon Aur Rahaton Ka Ghar Jo Badla Hai Iman Ka Islam Ka Aur Achche Aamal Ka, Aur Dozakh Kufr Ka Zulm Ka Nafarmani Ka Aur Bure Kamo Ke Badle Ka Ghar Hai, Jisme Zillat Ruswai Azab Takleef Hai, Jannat O Dozakh Pehle Se Hai Ab Bhi Maujood Hai, Qayamat Me Dobara Uthaya Jana Hashr O Hisab Azab O Sawab Jannat Wo Dozakh Sab Ke Wahi Maana Hai Jo Musalmano Me Mash'hoor Hai, Jo in Chizon Ko HAQ Mane Lekin Uski TAWEEL E BATIL (New Maana Bayan Kare) Kare, Jaise Sawab Mana Apni Neki Ko Dekh Kar Khush Hona Ya Azab Mana Apne Bure Aamal Ko Dekh Kar Gamgeen Hona Ya Phir Hashr Sirf Ruhon Ka Hoga Jismo Par Nai Aisa Shakhs Kafir Hai.
{Bahar-e-shariat, Hissa-1, Page-88}

Qayamat Aur Uski Tamam Nishaniyan Maidane Mehshar Ka Pura Haal Jannat O Dozakh Ki Mukammal Tafseel Janne Ke Liye Bahar-e-Shariat Ke Hissa Awwal Ko Zaroor Padhen In'sha'Allah Tafsili ilm Hasil Hoga.

●IMAN O KUFR KA BAYAN●

Allah Wa Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Jo Kuch Farmaya Jo Kuch Nazil Hua Yani Jo Baten Bunyade Deen Qarar Di Gai Use Sachche Dil Se Manna Zaruriyate Deen Hai, Aur Zaruriyate Deen Me Se Kisi Eik Baat Ka Inkar Ya Taveele Batil Karna Kufr Hai, Agar Che Baqya Tamam Baton Ko Manta Ho, Jis Tarah Zaruriyate Ahlesunnat Ke Inkar Ya Taveele Batil Se Gumrahiyat Lazim Aati Hai, Aise Hi Zaruriyate Deen Ke Inkar Ya Taveele Batil Se Kufr Lazim Aata Hai. Zaruriyate Deen Wo Hai Jise Har Khas O Aam Jante Hain Jaise,

1-Wahdaniyat
Allah Pak Ki Wahdaniyat (Eik Hona)

2-Nubuwwat
Tamam Ambiya Par Iman Lana Aur Huzoor Ko Akhirul Ambiya Manna.

3-Mee'aad
Marne Ke Bad Uthaye Jana Hashro Nashr Jannat O Dozakh Wagerah Ko Manna.

Mas'ala-
Dihati Ya Jangal Me Rehne Wala Jise Theek Se Kalma Padhna Bhi Na Aata Ho Agar Wo Yun Kahe Ki Mein Deen Ki Tamam Baton Ko HAQ Janta Hun Wo Musalman Hai Agar Che Tafseel Se Use Tamam Baton Ka ILM Na Ho.
{شرح العقائدالنسفية، فى مبحث الإيمان، صفحة-120}

Mas'Alah-
Asle Iman Sirf TASDEEQ Ka Naam Hai (Dil Se Zaruriyate Deen Ko Sachcha Janna) Raha Aamale Badan (Namaz Roza Hajj O Zakat Wazu Wagera) Aslan Iman Nahi TAQAZA E IMAN Hai.
{الحديقة النديقة، جلد-1، صفحة-282}

Mas'ala-
Musalman Hone Ke Liye Ye Shart Hai Ki Zaban Se Kisi Aisi Cheez Ka Inkar Na Kare Jo Zaruriyate Deen Me Se Ho Agar Che Baqi Baton Ka IQRAR Karta Ho Agar Che Wo Yun Kahe Ki Faqat ZABAN Se Inkar Karta Hun Dil Se Nahi, Tab Bhi Kafir Hoga.
{فتاوى قاضى خان، كتاب السير، جلد-2، صفحة-343}

Masa'ala-
Koi Shakhs Is Baat Par Majboor Kiya Gaya Ki Kufr Bake Warna Maar Diya Jayega Ya Phir Aazaye Badan Kate Jayenge Aur Dhamki Dene Wala WAQAI Aisa Kar Bhi Sakta Ho Tab Is Halat Me Rukhsat (Ijazat) Dee Gai Hai, Magar Is Shart Par Ki Dil Me Wahi Itmenane Imani Ho Jo Pehle Tha, Phir Bhi Afzal Yahi Hai Ki Qatl Ho Jaye Magar Kalimae Kufr Na Kahe.
{الفتاوى الهندية، كتاب الإكراه، الباب الثاني.....إلخ، جلد-خامس، صفحة-41}

Mas'Alah-
Badan Ke Amaal Dakhile Iman Nahi, Albatta Kuch Aamaal Aise Hain Jo Iman Ke Bilkul Khilaf Hain aur Unke Karne Wale Ko Kafir Kaha Jayega, Jaise Murti Ya Chand O Suraj Ko Sajdah Karna Kisi NABI Ka Qatl YA Tauheen Ya Mushaf Sharif (Quran) Ya Kaba Mu'azzama Ki Tauheen Ya Sunnat Ko Halka Janna Ye Baten YAQINAN Kufr Hain, Aur Kuch Chizen Aamale Kufr Ki Alamat Hain, Jaise Zunnar (Aisa Dhaga Ya Dori Jo Hindu Sikh Wagerah Gale Se Kamar Tak Bandhte Hain) Bandhna, Sar Pe Chutiya Rakhna (Jaisa Hindu Mannat Ke Taur Par Bachcho Ko Rakhte Hain), Qashqah (Hindu Jaise Mathe Par Tika Ya Tilak Lagate Hain) Lagana, Aise Kaam Ke Karne Walon Ko FUQHA Kafir Kehte Hain To Jab in Kamo Se Kufr Lazim Aata Hai To Inke Karne Walo Ko Az Sare Nao Islam Lane Aur Apni Biwi Se Tajdide Nikah Ka Hukm Diya Jayega.
{فتاوى رضويہ، جلد-14، صفحہ-399}

Allah Tabaraka Wa Tala Apni Muqaddas Kitab Me Irshad Farmata Hai,

AL-QURAN-
To Jo Kuch Tumhari Zuban'en Jhoot Bayan Karti Hain Ki Ye Halal Hai Aur Ye Haram Hai Taki Tum Allah Par Jhoot Bandho (Aur) Jo Log Allah Par Jhoot Bandhte Hain Wo Kamyab Nahi Hote.
{القرآن الكريم}

AL-QURAN-
Allah Ke Zimme Wahi Jhoot Bandhte Hain Jo Imaan Nahi Rakhte. (القرآن الكريم)

Alahazrat Imame Ahlesunnat Mujaddide Azame Deen O Millat Ash'shah Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمت الله تعالى عليه Tehreer Farmate Hain,

"Kutbe Aqa'id Me Tasreeh Hai Ki Tehleele Haram (Halal Ko Haram Samajna) Wa Tehrime Halal (Haram Ko Halal Janna) Dono Kufr Hain, Yani Jo Chiz Mubah Ho Jise Allah Wa Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Mana Na Farmaya Ho Use Mamnoo Janne Wala Kafir Hai, Jab Ki Uski Abahat O Hillat Zaruriyate Deen Se Ho Ya Kam Az Kam Hanafiyah Ke Taur Par Qattai Ho Warna Isme Shak Nahi Ki Be-Manaa Khuda Wa Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Mana Karne Wala Shari'at Par Iftera Karta Hai, Allah Par Bohtan Uthata Hai Aur Iska Adna Darjah Fisqe Shadeed O Kabirah Wa Khabisah Hai.
{الفتاوى الرضوية، جلد-21، صفحة-175}

Wahabi Deo'Bhangi Jis Chiz Ko Chahte Hain Apni Taraf Se Haram O Shirk Keh Dete Hain Wo Apni AQLON Ko Thikane Par Rakhen.

Mas'ala:
Jis Chiz Ki Hillat Nasse Qatai Se Sabit Ho Use Haram Kehna Aur Jiska Haram Hona YAQINI Ho (Jaise Sharab, Jua etc) Use Halal Kehna Kufr Hai Jabki Ye Hukm Zaruriyate Deen Se Ho, Aur Munkir (Inkar Karne Wala) Is Hukme Qattai Se Aagah Ho.
{تفسير الخازن، جلد-1، صفحة-468}

MAS'ALA-
Iman Me Kami Ya Ziyadati Nahi Hoti, Chunki Ye Chizen Wahan Hoti Hai Jise Napa Ja Sake Ya Jo Ginti Me Aasake Jiski Lambai Ya Chaodai Ho, Haan Iman Me Shiddat O Zo'af  (Mazbooti O Kamzori) Hoti Hai, Jaise Hazrat Abu Bakar Siddiq Ke Akele Ka Iman Is Ummat Ke Tamam Logon Ke Imano Par Galib Hai.
{شعب الإيمان، باب القول في زيادة الايمان ونقصانه....إلخ، جلد-1، صفحة-69، الحديث الشريف-36}

Mas'Alah-
Zuban Se Islam Ka Dawa Karna Aur Dil Me Islam Se Inkar Ise NIFAQ Kehte Hain Aur Ye Bhi Khalis Kufr Hai, Aur Allah Pak Ne Aise Logon Ke Liye Jahannam Me Sab Se Nichla TABQAH Taiyyar Farmaya Hai.
{Quran, Sure Nisa, Ayat No-145}

Mas'Alah-
Jo Kisi Kafir Ke Marne Par Uske Liye Duae Magfirat Kare Ya Kisi Murdah Murtad (Wahabi, Deobandi, Shia, Qadyani, Wagerah) Ko Marhoom Ya Magfoor Kahe Ya Kisi Hindu Ko Sorg Basi (Jannat Ka Haqdar) Kahe Wo Khud Kafir Hai, Kafir Ke Liye Dua E Maghfirat Wa Quran Khawani Kufre Khalis Aur Quran Ko Jhutlana Hai.
{الفتاوى الرضوية، جلد-21، صفحة-228}

Ye Sare Masayel Sarsari Taur Par Padh Kar Guzar Jane Ke Nahi Hai Balki Ise Padh Kar Achche Se Zehno Me Bithayen Aur Har Musalman Bhai Tak Ise Paohchayen Taki Uske Iman Ki Bhi Hifazat Ho.

Mas'Alah-
Musalman Ko Musalman Aur Kafir Ko Kafir Janna Zaruriyate Deen Se Hai, Agar Che Kisi Khas Shakhs Ki Nisbat Ye Nahi Kaha Ja Sakta Ki Iska Khatma Iman Ya Maz'Allah Kufr Par Hua, TA WAQTE Ki Uske Khatme Ka Haal Dalile Shar'ie Se Sabit Na Ho, Magar Isse Ye Na Hoga Ki Jis Shakhs Ne Qattai Kufr Kiya Ho Uske Kufr Me Shak Kiya Jaye Ki Qattai Kafir Ke Kufr Me Shak Bhi Aadmi Ko Kafir Bana Deta Hai.
{بهار شریعت، حصہ-١، صفحہ-٩٦}

Mas'alah-
Khatma Kaise Hua Iska Faisla Qayamat Ke Din Hoga, Aur Shari'at Ka Hukm Zahir Par Lagta Hai, Isko Yun samjho Ki Koi Kafir Masalan Yahudi Ya Nasrani Ya But Parast Mar Gaya To YAQEEN Se Nahi Kaha Ja Sakta Ki Kufr Par Mara Magar Hum Ko Allah Wa Rasool ﷺ Ka Yahi Hukm Hai Ki Use Kafir Hi Jane, Uski Zindagi Me Aur Maut Ke Bad Wahi Mamlat Kare Jo Kafiron Ke Liye Hain, Masalan Shadi Biyah Namaze Janazah Kafan Dafan Jab Usne Kufr Kiya (Zaheri Taur Par) To Farz Hai Ki Hum Use Kafir Hi Jane'n Aur Khatma Ka Haal ILME ILAHI Par Chhoden, Jis Tarah Jo Zahiran Musalman Ho Aur Usse Koi Qaul O Fel Khilafe Iman Na Ho Farz Hai Ki Hum Use Musalman Hi Mane'n Agarche Hame Uske Khatme Ka Bhi Haal Maloom Nahi, Is Zamane Me Baz Log Ye Kehte Hain Ki Miyan..!
Jitni Der use Kafir Kahoge Utni Der ALLAH ALLAH Karo Ye Sawab Ki Baat Hai Iska Jawab Ye Hai Ki Hum Kab Kehte Hain Ki Kafir Kafir Ka Wazifah Karo?
Maqsad Ye Hai Ki Use Kafir Jano Aur Pucha Jaye To Qat'an Kafir Kaho Ye Na Ho Ki Apni Sulah Kul Se Uske Kufr Par Pardah Dalo.
{Bahar-e-shari'at, Hissa-1, Page-100}

IS MAZMOON Me Ahlesunnat Wa Jamat Ki HAQQANIYAT USKE FIRQA E NAJIYAH Hone Par Quran O Hadees Se Ba'kasrat Daleelen Pesh Ki Gai, Ahlesunnat Ke AQA'ID Bayan Huye Aur Iman O Kufr Ka Mukhtasar Bayan Hua Ummid Hai Aapne Mukammal Padha Hoga.

Ahlesunnat Wa Jamat Par Qa'im Rahiye Ye Har Farz Se Bada Farz Hai Aimmahe Arba Ki TAQLIDI NISBAT Se Judiye Chunki Ahlesunnat Inhi 4 Aimmah Ke Muqallideen Ko Kehte Hain Sahaba Taba'een Auliya E Kiram Salf O Saleheen Ke Raste Par Chaliye Yahi HAI HAQIQI AHLESUNNAT AHLEJANNAT.

نسأل الله العفو والعافية فى الدين والدنيا والآخرة والاستقامة على الشريعة الطاهرة وما توفيقى الا بالله عليه توكلت وإليه انيب، وصلى الله تعالى على حبيبه واله وازواجه وصحبه وابنه وحزبه أبدالابدين،، والحمد لله رب العالمين آمين يارب العالمين.!!!

دعا گو و طالب دعا.
احقر العباد کلیم حنفی قادری غفرلہ.
قصر ابو حنیفہ، کرلا  (مغرب) ممبئی مہاراشٹر، الہند.

 

 

 

Post a Comment

0 Comments