Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Sayyed Mohammad Khaalid Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Mohammad Khaalid Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi :
____________________

Aap ki wilaadat 1353 Hijri (1935 A.D.) me Ajmer me hui.
____________________
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah bin Sayyed Muhammad Jahaangeer Shaah rahmatullāhi alaihi hai.

**********************
Aap ne apne waalid e mohtaram se ta’aleem haasil ki.

Angrezo se aazaadi aur taqseeme mulk ke baad 1366 Hijri (1947 A.D.) me aap ke waalid ko Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz ne bashaarat farmaai aur Khwaja ke farmaan par aap ka pariwaar Ajmer se Hyderabad (Sindh, Pakistan) aa gaya.

**********************
Ramazaan 1373 Hijri (May 1954 A.D.) me Aap ke waalid ka inteqaal hua. Un ki wasiyat ke mutaabiq chehallum ke roz 23 Shawwaal 1373 Hijri (25 June 1954 A.D.) ko aap ko Sajjaada nasheen banaaya gaya aur tabarrulaat (Baal mubarak aur Kambli shareef) Aap ko diye gaye.

Is tarah 20 saal ki umr me hi Aap ke upar bahot zyada zimmedaari aa gai.
Aap ne sirf kaale rang ka Kurta aur Tahband hi pehanna shuru kiya.

**********************
Aap apne mureedo ko hamesha paaband e shariat rehne ki taalim dete. Aap buzurgo aur chhote tamaam ki Adab karne ki taalim dete.

Aap hamesha saadgi pasand farmaate. Aur dunyaawi cheezo se parhez karte.
Aap ALLĀH ta’ala ke siwa kisi ka khauf nahi rakhte the.

Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se be-inteha mohabbat ka izhaar karte.
Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki aur Ashaaba aur Auliya Allāh ki seerat ka tazkira karte waqt aksar rone lagte.

Aap sab se narmi se aur adab ke saath guftagu karte.

**********************
Aap ki ta’aleem aur faiz se kai logo ne Islaam apnaaya.

Aap ke faiz se ‘Chishti Saabri Jahaangeeri’ silsila Hindustan, Pakistan, South Africa aur U.K. me phaila.

**********************
Aap ne lakda khareedkar Hazrat Saabir Paak rahmatullāhi alaihi (Kaliyar) ki dargaah ke liye ek Buland darwaaza tayyaar kiya. Is ke baad aap Hazrat Saabir Paak ki turbat ke liye ek chaandi ka Kathera (silver railing) banana chaahte the. Is arse me aap ki dua se ek Hindu shakhs ka behra aur gunga ladke 3 din me me bolne aur sunne laga. Us shakhs ne kathera banaane ke liye chaandi diya. Hazrat ke mureedo ne Surat (Gujarat) me chaandi ka kathera tayyaar kiya. Shiyaasi masaa'il ki wajah se aap Hindustan na aa sake. Chunaanche Aap ke bade saahabzaade Hazrat Sayyed Mohammad Shaah ne 1409 Hijri (1989 A.D.) me Hazrat Saabir Paak ki turbat par wo kathera lagaaya.

Is ke baad aap ne Hazrat Baaba Fareed Ganj-Shakar rahmatullāhi alaihi (Pak Patan) ki dargaah par ek badi khaanqaah ta’ameer ki jo ‘Kashaana e Mas'oodiya Saabiriya’ ke naam se mash'hoor hai.
Aap ke farmaan par Aap ke mureedo ne ek sone ka kalash tayyar karke Hazrat Baaba Fareed ki dargaah ke gumbad par lagaaya.

Aap ne Hyderabad me Jashn-e-Eid-e-Meelaad-un-Nabi Organization, Ghareeb-e-Nawaaz Urs Committee aur Ghareeb Nawaaz Yateem-khaana ki shuruat ki.

**********************
1385 Hijri (1966 A.D.) me pehli baar Aap South Africa tashreef laaye. Yaha Aap ke waalid Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah ki dua se un ke mureed Janaab Ibrāheem Madaari ne 1363 Hijri (1944 A.D.) ke zariye Chishti Saabri silsile ki shuruat ho chuki thi. Is ke baad Aap 1392 Hijri (1972 A.D.), 1396 Hijri (1976 A.D.), 1401 Hijri (1981 A.D.), 1402 Hijri (1982 A.D.), 1403 Hijri (1983 A.D.) aur 1404 Hijri (1984 A.D.) me bhi South Africa tashreef laaye. Aur Aap ki mulaaqqat ke dauraan hazaaro log aap ke mureed hue. Aur Chishti Saabri silsila pure South Africa me phaila.
Aap ne kai mauqe par dars wa taqreer bhi famraai.

Aap apne mureedo aur chaahne waalo par khaas tawajjoh farmaate.
Aap ghareeb aur ameer tamaam ko yaq sa faiz ata farmaate.

Ulema aur moazzeez log bhi aap se mashwara lete the.

Aap se kai karaamten bhi zaahir hui.

**********************
Aap irshaad famraate hain :
“Zikr e Ilāhi Rooh ke liye Ghiza hai aur Rooh ko taaza rakhne ke liye Zikr karte rehna zaroori hai jis tarah Jism ke liye khuraak zaroori hai aur khuraak se jism taaza ho jaata hai.”

**********************
Aap ke 7 saahabzaade aur 7 saahbzaadiya hain.

**********************
Aap (apne waalid) Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Chishti Saabri Jahaangeeri’ silsila ke Shaikh hain.

Aap ke khalifa :
Hazrat Sayyed Mohammad Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi.

**********************
Aap ki tabiyat na-saaz hui tab Aap ke mureedo ne aap ko ilaaj ke liye South Africa bulaaya. Magar chand roz baad hi Aap ne rehlat farmaai.

Apa ka wisaal 15 Sha’abaan 1404 Hijri (16 May 1984 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar  Watville Benoni (South Africa) me hua.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Mohammad Khaalid Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments