Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Barkaat E Ramzan


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

Ramzane Kareem Ki Jumla Ibadaat Ke Tafsili Masayel Quran O Sunnat Aur FIQHE HANFI Ki Roshni Me Bilkhusus 20 Rakat Taraveeh Par Mu'arkatul AARA Tasneef.

"BARKAAT E RAMZAN"

   
        ~☆Musannif☆~

Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

(Khalifah Huzoor Amine Shariat)

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-

9146122911
9820672770

--------------------------------------------------------------------------------

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم.
الحمد للہ رب العالمین والعاقبة للمتقين، والصلوة والسلام على خاتم الأنبياء والمرسلين سيدنا ومولانا محمد، وعلى آله وصحبه اجمعين بارك وسلم تسليماً كثيراً كثيرا.... اما بعد


"Chand Dekhne Ka Bayan".

Quran:

Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye Awqaat Hain.
{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}

Hadees:

Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo Aur Chand Dekh Kar Aftar Karo, Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo.
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، الحديث-1909}

Hadees:

Ummul Momineen Hazrat Aisha رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki Is Qadar Hifazat Karte Ki Itni Kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte.
Phir Chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru Karte.
Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.
{ سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر، الحديث-2325}

Chand Ke Hawale Se Masayel Fiqhe Hanafi Ki Roshni Me.

✏Mas'ala:

5 Mahino Ka Chand Dekhna Wajibe Kifayah Hai.

Shaban
Ramzan
Shawwal
Zee Qadah
Zil Hijjah

Shaban Ka Is Liye Ki Agar Ramzan Ka Chand Dekhte Waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki Ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare,
Aur Ramzan Ka Is Liye Ki Roza Rakhna Hai, Shawwal Ka Is Liye Ki Roza Khatm Karna Hai, Aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil Hajja Me Chand Dekhna Hai Aur Zil Hajja Ka Is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai.
{الفتاوى الرضوية، جلد-10، صفحہ-451}

✏Mas'ala:

Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar Uski Gawahi Qubool Na Hui Fasiq (Dadhi Katta, Ya Khule Aam Gunahe Kabira Karne Wala Fasiq Hai) Hone Ki Wajah Se, Ya Kisi Eik Hi Admi Ne Chand Dekha Aur Uski Gawahi Maani Nahi Gai To Ab Ye Bhi Roza Rakhe Agarche Isne Chand Dekha Ho.
Isko Roza Todna Jayez Nahi, Aur Todega To Kaffara Lazim Nahi.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-975}

✏Mas'ala:

Abar Aur Gubar Me Ramzan Ka Saboot Eik Musalman Aaqil Baligh Mastoor Ya Aadil Shakhs Se Ho Jata Hai, Chahe Wo Mard Ho Ya Aurat, Azad Ho Ya Baandi, Ya Uspe Zina Ki Had Jari Ho Chuki Ho Jab Ki Tauba Kar Liya Ho.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-975}

Aadil Hone Ka Mana Ye Hai Ki Kam Se Kam Muttaqi Ho Yani Bade Gunaho Se Bachta Ho Aur Chote Gunah Hamesha Na Karta Ho, Aur Aisa Kaam Na Karta Ho Jo Murawwat Ke Khilaf Ho Masalan Bazar Me Khana.
{Bahar-E-Shariat}

Quran:

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ كُتِبَ عَلَيْكُمُ ٱلصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ أَيَّامًا مَّعْدُودَٰتٍ ۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ ۚ وَعَلَى ٱلَّذِينَ يُطِيقُونَهُۥ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ ۖ فَمَن تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهُۥ ۚ وَأَن تَصُومُوا۟ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ.....

Aye Imam Walon Tum Par Roza Farz Kiya Gaya, Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye,Taki Tum Gunaho Se Bacho, Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Baad Roza Rakhe), Aur Jo Taqat Nahi Rakhte (Boodha Admi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone Ki Ummid Na Ho) Wo Fidya Den, Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187, ترجمہ، کنزالایمان، از-اعلی حضرت علیہ الرحمہ}

Roze Ki Fazilat Me Ba-Kasrat Hadeesen Aain Hain, Huzoor Sarkare Do Aalam Janabe Muhammadur Rasulullah صلی اللہ علیہ والہ وسلم Ke Muqaddas Irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain,

✒Hadees:

Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain, Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain.
{صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}

✒Hadees:

Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate.
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}

✒Hadees:

Hazrat Salman Farsi رضی اللہ تعالٰی عنہ Kehte Hain Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Shaban Ke Akhri Din Waz Farmaya, Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme Eik Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai, Iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye, Aur Iski Raton Me Qayam (Namaz Padhna) Aur Jo Isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai Jaise Kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya.
Aur Isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye, Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai, Aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, Is Mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya Jata Hai, Aur Jo Isme Roza Dar Ko Aftar Karaye Uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, Aur Uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi, Aur Aftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega, Hum Ne (Sahaba Ne) Pucha Ya Rasulullah صلى الله عليه وسلم Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Nahi Pata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah Pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Eik Ghunt Doodh Ya Eik Khajoor Ya Eik Ghunt Pani Se Roza Aftar Karwaye.
Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Hauz (Hauze Kausar) Se Pilayega Aisa Ki Kabhi Pyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga, Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 Din) Rehmat, Jiska Awsat (11 Se 20 Din) Magfirat, Jiska Aakhir {21 Se Akhri Tak) Jahannam Se Azadi Hai, Jo Is Mahine Me Apne Gulam (Kaam Karne Wale Nokar Chakar Mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (Kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahannam Se Azad Farmayega.
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}

Allahu Akbar Kabeera, Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki Iske Aane Se Qabal Hi Huzoor Iski Barkato Aur Rehmaton Ko Zikr Farma Rahe Hain Aur Isme Kiye Jane Wale Sawab Ke Kaam Irshad Farma Rahe Hain.

Subhan'allah Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki Iske Ahtemam Ko Allah Ke Mehboob Paigambar Hamare Aaqa O Maula صلى الله عليه وسلم Bayan Farma Rahe Hain.

✒Hadees:

Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain.
{صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257}

✒Hadees:

Roza Aur Quran Bande Ki Shafa'at Karenge, Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se Ise Din Me Rok Diya, Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma, Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz Rakha Meri Shafa'at Iske Haq Me Qubool Farma Dono Ki Shafa'aten Qubool Hogi.
{المسند، للإمام أحمد بن حنبل، ج-2، ص-586}

✒Hadees:

Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai, Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Uski Jaza Dunga, Banda Apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai, Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik Iftar Ke Waqt Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke Waqt Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai, Aur Roza Dhaal Hai (Admi Ke Liye Bachao Ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-Hudah Na Bake Na Chillaye, Aur Jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun.
{مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959}

✒Hadees:

Jisne Allah Ki Riza Ke Liye Eik Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se Itna Door Kar Dega Jaise Kawwa Jab Bachcha Tha Us Waqt Se Udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara.
{المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619}

Kawwa Bahot Lambi Umr Paata Hai 100 Saal Tak Ya Usse Ziyadah, To Wo Apni Umr Me Jitna Udta Hai Bachpan Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Pak Rozedar Se Jhannam Ko Door Farma Dega.

✒Hadees:

Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli Roza (Ramzan Ke Ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona (Gold) Diya Jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua, Uska Sawab (Sahi Badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega.
{مسند أبي يعلي. الحديث-6104}

Subhan'allah Hum Gunehgaron Ke Bakhshish Ke Kaise Kaise Saman Diye Gaye Aur Ab Bhi Hum Ise Pura Na Kare To Kaisi Mehroomi Hai.

Ye Sab Farman Allah Ke Mehboob Malike Kaunain Sultane Darain صلى الله عليه وسلم Ki Zubane Aqdas Se Jaari Huye Hain, Inki Sachchai Pe Musalman Ko Pura Yaqeen Rakhte Huye Ramzane Kareem Me Apne Rozo Ko Pura Karna Hai.

Hadees:

Ibne Khuzaimah Ne Abu Masood Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain,
Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho.
{صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان......إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}

"Roze Ki Tareef"

Shariat Ki Istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subhe Sadiq Se Suraj Doobne Tak Apne Aapko Qasdan (Jante Huye) Khane Peene Aur Jima (Sohbat) Se Baaz Rakhna.

Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (M.C & Bachcha Paida Hone Ke Baad Jo Khoon 40 Din Tak Ata Hai) Se Pak Hona Shart Hai.

✏Mas'ala:

Roze Ke 3 Darje Hain,
1-Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.
2-Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.
3-Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966}

✏Mas'ala:

Aurat Haiz O Nifas Wali Thi Usne Raat Me Niyyat Ki Aur Subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Paak Ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya
{Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-969}

✏Mas'ala:

Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe Kubra (Suraj Jab Theek Sar Pe Aajaye Aur Admi Ka Saya Uske Pairon Me Aajaye Use Zawal Ya Zahwe Kubra Aur Nisfun"Nahare Shari Kehte Hain) Se Pehle Niyyat Kar Le.
Zahwe Kubra Niyyat Ka Waqt Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke Waqt Niyyat Ki To Roza Na Hua.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-394}

✏Mas'ala:

Jis Tarah Aur Jagah Bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zuban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab (Achcha) Hai, Agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe.
"Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye Is Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga"
Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe,
"Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga"
Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-968}

✏Mas'ala:

Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua.
{Bahar-E-Shariat, Volume-5, Page-968}

✏Mas'ala:

Raat Me Niyyat Ki Aur Kha Pee Liya To Niyyat Khatm Na Hui Pehli Niyyat Hi Kafi Hai, Phir Se Niyyat Zaroori Nahi, Bas Subhe Sadiq Se Guroobe Afatab Tak Na Khaye To Roza Bhi Ho Gaya.
{Alamgiri, Jild-1, Page-195}

✏Mas'ala:

Jis Tarah Namaz Me Baat Karne Ki Niyyat Kee Magar Baat Na Ki To Namaz Nahi Tooti, Isi Tarah Roze Me Roza Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi Tootega Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare.
{Bahar-E-Shariat , Volume-5, Page-969}

✏Mas'ala:

Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (New) Niyyat Zaroori Hai.
Pehli Ya Kisi Tarikh Me Poore Ramzan Ki Niyyat Ki To Ye Niyyat Sirf Usi Eik Din Ke Haq Me Hai Baqi Dino Ke Liye Nahi.
{Bahr-E-Shariat Volume-5, Page-969}

"Jin Chizon Se Roza Nahi Toot'ta Unka Bayan"

✒Hadees:

Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya,
Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya Wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya.
{ Sahi Muslim, Hadees No-1155}

✒Hadees:

3 Chizo Se Roza Nahi Toot'ta,
1-Pachhna (Badan Se Fasid Khoon Nikalwana Jise Hijama Bhi Kehte Hai}
2- Qaye (Ulti, Jo Khud Se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)
3-Ehtelam (Sote Me Mani Ka Nikalna, Ya Bemari Ya Boojh Uthate Waqt Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya)
{Tirmizi, Jild-2, Page-177, 719}

Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot'ta Wo Zail Me Hain,

✏Mas'ala:

Bhool Kar Khaya Piya Ya Jima (Sex) Kiya To Roza Nahi Toota, Chahe Roza Nafl Ho Ya Wajib Ya Farz.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-981}

✏Mas'ala:

Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (Dhool Mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot'ta Chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho, Ya Galle Ka Gubar Ho, Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi Agarche Rozadar Hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota, Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho Phir Chahe Jis Chiz Ka Dhuwan Ho, Yahan Tak Ki Agarbatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak Se Dhuwa'n Khicha To Roza Toot Gaya.
Yun Hi Huqqa Peene Se Bhi Roza Toot Gaya, Aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir Huqqa Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega (61 Roze Rakhne Honge)
{Bahar-E-Shariat, Volume-5}

✏Mas'ala:

Pachhna Alagwaya Ya Tel (Oil) Ya Surma Lagaya To Roza Na Gaya, Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza Halaq Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta Ho Jab Bhi Nahi Tootega.
{Bahar-E-Shariat Hissa-5}

Albatta Surma Roza Ya Gaire Roza Ki Halat Me Mard Ko Zinat Ke Liye Lagana Makrooh Hai.

✏Mas'ala:

Bosa (Kiss) Liya Magar Inzal Na Hua (Mani Nahi Nikli) To Roza Nahi Toota, Yun Hi Aurat Ki Sharmgah Ki Taraf Nazar Ki Magar Hath Na Lagaya Aur Inzal Ho Gaya Agarche Bar Bar Nazar Karne & Jima Karne Ke Khayal Se Inzal Hua Agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa Hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota.
{Bahar-E-Shariat Hissa-5}

✏Mas'ala:

Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya.
{Alamgiri, Jild-1, Page-203}

✏Mas'ala:

Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya, Magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza Hon Gunah O Haram Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa -5, Page-984}

"Roza Todne Wali Chizon Ka Bayan"

✏Mas'ala:

Huqqa Cigarette Se Roza Toot Jata Hai Agar Che Iska Dhuwan Halaq Tak Nahi Pahochta Hai... Isi Tarah Tambaku Pan In Sab Chizon Se Roza Toot Jata Hai.
Agar Che Iski Peek Thook Dee Jati.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-986}

✏Mas'ala:

Aisi Chiz Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jati Ho Muh Me Rakh Ke Thook Nigal Gaya To Roza Toot Gaya Jaise Shakar Wagera, Yun Hi Danton Me Koi Cheez Chane Barabar Ya Zayadah Thi Use Kha Gaya To Roza Toot Gaya.
Yun Hi Danton Se Khoon Nikal Kar Halaq Se Niche Utra Aur Khoon Thook Se Ziyadah Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Me Mahsoos Hua To In Sab Surton Me Roza Toot Gaya, Aur Agar Khoon Thook Se Kam Tha Aur Uska Maza Nahi Maloom Hua To Roza Nahi Toota.
{الدرالمختار، كتاب الصوم، باب ما يفسد وما لا يفسد، ج-1، ص-424}

✏Mas'ala:

Naak Ke Nathnon Se Dawa Chadhai Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya Aur Pani Kan Me Dala To Nahi Toota.
{الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب الرابع فيما يفسد، ج-1، ص-203}

✏Mas'ala:

Kulli Kar Raha Tha Aur Pani Halaq Se Utar Gaya Ya Nak Me Pani Chadhaya Aur Dimagh Me Chadh Gaya Roza Toot Gaya,
Agar Rozadar Hona Yad Nahi Tha To Nahi Toota, Kisi Ne Rozadar Ki Taraf Koi Chiz Phenki Aur Wo Uske Halaq Me Chali Gai To Roza Toot Gaya.
{المر جع السابق}

✏Mas'ala:

Neend Me Pani Pee Liya Ya Kuch Kha Liya Ya Muh Khula Tha Aur Pani Ka Qatra Ya Baraf Halaq Me Chala Gaya To Roza Toot Gaya.
{المرجع السابق}

✏Mas'ala:

Muh Me Rangeen Dhaga Rakha Tha Jisse Thook Rangeen Hua Phir Thook Nigal Liya To Roza Toot Gaya.
{المرجع السابق}

✏Mas'ala:

Aansu Ya Pasina Muh Me Gaya Agar Qatra 2 Qatra Tha To Roza Nahi Toota... Agar Ziyadah Tha Jiski Namkeeni Pure Muh Me Mahsoos Hui To Toot Gaya.
{المرجع السابق}

"Roze Ke Makruhaat" (Jisse Roze Me Kaharat Aur Sawab Me Kami Hoti Hai)

✒HADEES:

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Roze Me Buri Baat Kehna Aur Uspe Amal Karna Na Chhode To Allah Pak Ko Uski Koi Parwa Nahi Ki Usne Khana Peena Chhod Diya Hai.
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، باب من لم يدع قول الزور والعمل به في الصوم، ج-1، ص-228، الحديث-628}

✒HADEES:

Farmaya Allah Ke Pyare Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Roza Iska Naam Nahi Ki Khane Peene Se Baaz Rahe, Roze Me To Lagu (Bekar) Aur Behudah (Gandi) Baton Se Bacha Jaye.
{المستدرك، للحاكم، ج-2، ص-68، الحديث-1611}

✏MAS'ALA:

Jhoot, Geebat, Chugli, Gali, Dena, Gandi Baat, Kisi Ko Takleef Dena, Ye Chizen Waise Bhi Na-Jayez O Haram Hai Roze Me Aur Ziyadah Haram Hai Iski Wajah Se Roza Makrooh Hota Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-996}

✏MAS'ALA:

Roze Me Aurat Ka Bosa (Kiss) Lena Gale Lagana Aur Badan Chhuna Makrooh Hai Jab Ki Is Baat Kar Dar Ho Inzal (Mani) Ho Jayega, Ya Jima (Sex) Me Mubtela Hoga, Hont Aur Zaban Chusna Roze Me MUTLAQAN Makrooh Hai.
{ردالمحتار، كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده، مطلب: فيما يكره للصائم، ج-3، ص-454}

✏MAS'ALA:

Mooh Me Thook Jama Kar Ke Nigal Jana Bina Roze Ke Bhi Achchi Baat Nahi Aur Roze Me Kare To Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-998}

✏MAS'ALA:

Sehri Khane Me Der Karna Aur Aftar Me Jaldi Karna Mustahab (Achcha) Hai Lekin Sehri Me Itni Der Karna Ki Subah Hone Ka Ka Shak Ho Makrooh Hai, Aur Aftar Us WAQT Kare Jab Guroob Ka Guman Ho (Suraj Doob Jane Ka Yaqeen Ho) Jab Tak Gumane Galib Na Ho Aftar Na Kare, Agarche Mo'azzan Ne Azan Keh Dee Ho, Aur Abar Ke Dino Me Aftar Me Jaldi Na Kare.
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-459}

✏MAS'ALA:

Rozedar Ko Kisi Chiz Ka Chakhna Aur Chabana Makrooh Hai, Chakhne Ke Liye Uzr (Majboori) Ye Hai Ki Kisi Aurat Ka Shohar Bad-Mizaj Ho Namak Kam O Besh Hoga To Naraz Hoga Is Wajah Se Chakhne Me Harj Nahi, Aur Chabane Ka Uzr Ye Hai Ki Itna Chota Bachcha Jo Ki Roti Nahi Kha Sakta Aur Koi Narm Giza Nahi Jo Use Khilai Ja Sake Aur Wahan Koi Be-Roza Nahi Jo Chaba Kar De To Us Bachche Ko Khilane Ke Liye Chaba Kar De Sakte Hain Isse Na Roza Tootega Na Makrooh Hoga.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-453}

Aaj Kal Chakhna Is Tarah Samjha Jata Hai Ki Kisi Chiz Ka Maza Maloom Karne Ke Liye Thoda Sa Kha Liya Isse Roza Makrooh Nahi Balki Toot Hi Jayega. Chakhne Ka Ye Maana Hai Ki Zaban Pe Rakh Ke Maza Malum Kiya Aur Thook Diya Usme Ka Kuch Bhi HALAQ Me Na Jane Paye.

✏MAS'ALA:

Koi Chiz Kharidi Aur Uska Chakhna Zaroori Hai Agar Nahi Chakhega To NUQSAN Hoga To Chakhne Me Harj Nahi, Warna Bila Zarurat Chakhna Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-997}

"8 Aur 20 Rakat Taraveeh Par Nafees Bahes"

Ramzan Ka MUQADDAS Mahina Aalame Ruhaniyat Aur Meraje Insaniyat Ka Mausame Bahar Hai.Iski Khas Ibadaton Me Din Ka Roza Aur Raat Ka Qayam (Yani Namaze Taraveeh) Badi Ahmiyat Ki Hamil Hai. Is Mahine Ki Barkaton Ka Ye Aalam Hai Ki Isme Eik Nafl Ka Sawab Farz Ke Barabar Aur Eik Farz Ka Sawab 70 Farz Ke Barabar Kar Diya Jata Hai.

Huzoor Kahtamul Ambiya, Awwalul Ambiya, Afzal Ambiya, Imamul Ambiya, Nabiyul Ambiya Yani Hamare AAQA O MAULA Janabe Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Is MUBARAK Mahine Me Kasrat Se Ibadat Farmate Is Mahine Ki Aamad Se Pehle Iski Fazilat O Ahmiyat Ko Sahaba Se Batate (Jaisa Ki Piche Hazrat Salman Farsi Ki Riwayat Me Guzra) Huzoor Alaihissalam Khud Bahot Ibadat Farmate Aur Apne As'hab Ko Iski Sakht Talqeen Farmate.

Chunanche Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa Farmati Hain.

✒HADEES:

Jab Ramzan Ka MAHINA Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Kamar (Himmat) Kass Lete, Aur Apne Bistar Par Tashrif Na Late, Yahan Tak Ki Ramzan Guzar Jata.
{شعب الایمان للبيهقي، فضائل شهر رمضان، جلد-3، صفحہ-310}

Aur Aakhri Ashre Ke Bare Me Farmati Hain,

✒HADEES:

"Huzoor صلى الله عليه وسلم Akhri 10 Dino Me Jo Koshish Farmate (Ibadat Ke Silsile Me) Wo BAQI Dino Me Nahi Farmate.
{صحيح مسلم، باب الاجتهاد في العشر الأواخر......إلخ، جلد-1، صفحہ-382}

Bhala Sochiye Allah Ke Mehboobe Azam صلى الله عليه وسلم Jinke Sadqa O Taufail Allah Ne Sab Kuch Banaya Jinki Riza Aur Khushi Allah Ki Riza Aur Khushi Hai Wo To Is Maahe Kareem Me Mahina Bhar Raat O Din Apne Rabbe Kareem Ki Ibadat Karen Aur Hum Gunaho Ke Pahad Aur Paap Ke Putle Is Mahine Ki Qadr Na Kare.????

Is Maah Me Digar Mahino Se Ibadato Ke Silsile Badha Diye Jate Hain, Jaise Roza Taraveeh Sehro Iftar Sadqaat O Khairat Shabe Qadr Ka Inaam Ye Pura Mahina Hi Aisa Hai Ki Isme Kasrat Se Ibadat Kee Jaye.

Magar Afsos Musalmano Me Eik Aisi Jamat Bhi Paida Hui Jo Amal Me Kotaah Deen Ke Usool O Zawabit Aur Nizam Ke Badalne Pe Tuli Hai.

Wo Deen Ko Aasan Kar Rahe Hai, Quran O Hadees Ka Naam Lekar Logo Ko Mazhab Ki Pabandiyon Se Azad Kiya Ja Raha Hai Apne Ko Ahlehadees (Hadees Wala) Kehte Hain Magar Sach Ye Hai Ki Ye Log Ahlehugees (Har Waqt Gandagi Karne Wale) Hain.

Jis Chiz Pe Amal Na Karna Ho Uske Bare Me Kehte Hain Ki Ye Sahi Hadees Se Sabit Nahi Aur Isi Tarah Hadis O Ka Sunnato Ka Ijmae Ummat Ka Aur Buzrugane Deen Ke Mamulaat Ka Inkar Kiya Ja Raha Hai.

Bina Topi Ke Namaz Padh Lee, Kehte Hain Topi Zaroori Nahi, Sunnat O Nafl Ko Chhod Diya Kehte Hain Sahi Hadees Se Sabit Nahi, Hawa Bina Awaz Ke Nikle To Kehte Hain Wazu Nahi Toot'ta, Aurat Ko 3 Talaq Dene Par Aurat Mard Pe Haram Ho Gai Bina Halala Kiye Usse Mard Ka Rishta Nahi Ho Sakta Magar Ye Saheban Kehte Hain 3 Talaq Eik Hi Hai Aurat Naikah Me Baqi Hai, Itni Azadi Itni Chhoot Ke Shaitan Bhi Piche Reh Gaya Ab To Had Hi Kar Dee Taraveeh Jiski 20 Rakat Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ada Farmai Hazraate Khulafe Rashedeen Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman Aur Hazrat Ali Aur Tamam Sahaba O Tabaeen O Aimmah Mujtahideen O Awliyae Kamileen O Salaf Saleheen Isi 20 Rakat Ke Qayel The Aur Har Islami Mulk Me 1400 Saalon Se 20 Hi Rakat Hote Aai Hai Isi Par Kul Ummate MUSLEMAH Ka Ijamae Qattai Mun'aqid Hai Jo Kasrat Se Ahadees Aur Fuqhaye Ummat Ki Tas'rihaat Se Sabit Hai Is 20 Rakat Ko In Angrezi Paidawar Ne 8 Kar Diya.

Aur Khud To 8 Padhte Hi Hain Magar Afsos Bhole Bhale Musalmano Ko 8 Padhne Ki Galat Salat Be-Bunyad Riwayaat Dikha Kar 8 Padhne Par Majboor Kar Rahe Hain Aur Aise Oot Patang Messages Ka Silsila Social Networking Sites Par Phaila Diya.
Goya Ibleese Azam Ne Apne In Beton Ko Theka De Rakha Hai Ummat Ko Gumrah Karne Ka.

20 Rakat Taraveeh Par Qaahir Dalayel Diye Ja Rahen Hain Is Kitaab Me, Jis Kisi Gair Muqallid Ahlehugees Me Dam Ho Hamari Pesh Kar'Dah Riwayat Ko Galat Sabit Kare Aur Muh Manga Inam Leta Jaye.

!! LAFZ TARAVEEH KI LUGHWI (Dictionary) TAREEF !!

Grammar Ke Lihaz Se Arbi Dunya Ki Digar Zubano Me Sab Se Alag Hai, Isi Liye Mamooli Arbi Janne Wale Ya Saal 6 Maah Ka Arbic Speaking Course Karne Wale Ko Hargiz Ye HAQ Hasil Nahi Ki Wo Quran O Sunnat Ke Pechidah Masayel Ki Tashreeh Kare Ya Apni Taraf Se Uska Koi Matlab Bayan Kare Ya Bagair Kisi Amal Ki Sahi Tafeef Ahle Lughat Aur Udaba Ke Kalam Se Jane Us Me Apni Raaye Thunse.

Naam Hihad Ahlehadees Yani Gair Muqallideen Jinme Aksaryat Jahilon Ki Hain Aur Jinho Ne Thodi Bahot Taleem Pet Paalne Ke Liye Hasil Bhi Ki Hai To Wo Bhi Mauqe Mauqe Par Apne Johla Se Badh Jate Hain Jaise Ramzan Kareem Me Taraveeh Ka Masala Isme Kya Aalim Kya Jahil Sabhi Barsati Mendkon Ki Tarah Uchalne Lagte Hain Aur Musalmano Ko Kasrat Se IBADAT Karta Dekh IBLEES Ke In Chelon Ke Pet Me Dard Shuru Hota Hai Aur Shirk O Bid'at Ka Raag Alapne Lagte Hain, Aur Chahte Hain Ki Musalman Kam Se Kam Namaz Padhe Maaz Allah.

In Madarzaaz Yatimul Ilm Becharon Ko Na Lughwi Tareef Pata Hai Na Quran O Hadees Ke Gazmizh Dalayel Ki Hawa Lagi Hai.

QA'IDAH:

Arbi Me Agar Eik Ko Khitab Ho Ya Koi Eik Chiz Muraad Ho To Uske Liye Sega Wahid (Singular) Istemal Karte Hain, Masalan MUREED (Ek Murid) Aur 2 Ko Kehna Ho To Tasniyah Hoga Yani Muridain (2 Mureed)  Aur Arbi Me Jama (Plural) 3 Se Kam Par Nahi Bola Jata, Jaise Murideen (3 Ya Usse Ziyadh Mureed) Arbi Ke Ilawah Dunya Ki Kisi Dusri ZUBAN Me Bhi Ye Qaidah Nahi Hai, Har Zuban Me Sirf WAHID (Singular)  Aur Jama (Plural) Hi Hai Eik Ke Liye Wahid Aur Eik Se Ziyadh Ke Liye Jama Jab Ki  Arbi Me 1 Ke Liye Wahid,
2 Ke Liye Tasniyah, 3 Ya Usse Ziydah Ke Liye Jama.

Isi Liye Arbi Dunya Ki Sab Se Wasee (Badi) Mushkil (Taff) Aur Achchi Zuban Hai Chunki Isme Har Baat Ki Aasani Aur Gunja'ish Maujood Hai, Har Zuban Ke Alfaz Ka Sahi Maana Wa Mafhoom O ITLAQ Samajhne Ke Liye Us Zuban Ki Lughat Aur Iske Udaba Ka Kalaam Uske Istemalaat Wa Muhaweraat Ko Dekhna Zaroori Hai, Ab Aaiye Hum Lafz Taraveeh Ka Maana Janen.

Taraveeh (تراویح) Arbi Ka Lafz Hai Aur Ye Lafz Tarveeha (ترویحہ) Ki Jama Hai, Aur Tarveeha Us Baithne Ko Kehte Hain Jisme Kuch Sukoon Mile.

Chunki Taraveeh Me 4 Rakaten Puri Hone Ke Baad Kuch Der Baith Kar Dua Padhte Hain Jisse Namaziyon Ko Kuch Aaram Mil Jata Hai, Is Tarah Taraveeh Me 4 Rakat Ko 1 Tarveeha Kaha Jane Laga,
Aur Chunki Puri Taraveeh Me 5 Tarviha Hote Hain Is Liye 5 Tarveeha Ko Mila Jaye  Tab Ja Kar Eik Taraveeh Puri Hoti Hai.

Aap Khud Sochiye Jo 8 Padhega Wo Kitni Baar Baithega?
2 Baar Baithega, Phir Ye Lughat Ke Aitebar Se Bhi Taraveeh Nahi Hui Balki Tarveeha Hua, Ajeeb Baat Hai Jo Taraveeh Padhte Hi Nahi Hai (Chunki 8 Rakat Padhna Taraveeh Hai Hi Nahi) Wo Taraveeh Ke Masle Me Ahlesunnat Wa Jamat Ahnaaf Se Ulajhte Hi Kyun Hain??

Gair Muqallideen Ko Mera Khula Hua Challenge Hai Ki Wo Quran O Hadees Ki Gehri Bahes Me Na Ja Kar (Chunki Ye Un Jaise Be AQLON Ke Samajhne Ki Cheez Hai Bhi Nahi Aur Na Wahan Se 8 Rakat Taveeh Sabit Hai) Sirf Arbi Zuban Ki Lughat Se Hi 8 Rakat Par Taraveeh Ka ITLAQ Sabit Karen Aur Mujh Faqeer-E-Hanfi (Sufi) Kaleem Razvi Se Muh Manga Inaam Lete Jayen.

LUGHWI Tareef Samajhne Ke Baad Aaiye Namaze Taraveeh Ki Fazilat Aur Uski Tadade Rakaat Neez Gair MUQALLIDEEN Ki Pesh Kardah Dalayel Ka ILMI WA FANNI Jayezah Len.

"FAZA'ILE TARAVEEH"

Taraveeh Wo Namaz Hai Jo Ramzane Pak Ke Mahine Me Isha Ki Namaz Ke Baad Ba-Jamat Padhi Jati Hai. Chunanche Sharahe Bukhari Hazrat Hafiz Hajar Asqalani رحمه الله تعالى Farmate Hain,

سميت الصلوة فی الجماعة فی لیالی رمضان التراويح

Ramzan Ki Raton Me Namaz Ba Jamat Ka Naam Taraveeh Hai.
{فتح الباري شرح صحيح البخاري، جلد-4، صفحہ-250}

✒HADEES:

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Riwayat Karte Hain,

كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يرغب فى قيام رمضان من غير ان يامرهم فيه بعزيمة فيقول من قام رمضان ايمانا واحتسابا غفرله ما تقدم من ذنبه فتوفى رسول الله صلى الله عليه وسلم والامر على ذلك ثم كان الامر على ذلك فى خلافة ابى بكر وصدرا من خلافة على عمر من ذلك

Tarjamah-

Rasulullah صلى الله عليه وسلم Qayame Ramzan (Taraveeh) Par Ubharte The, Bagair Uski Had Aur Takeed Ka Hukm Diye, Chunanche Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate The, Jisne Ramzan Ki Raton Me Imaan O Ehtesab Ke Sath Namaz (Taraveeh) Padhi Uske Agle Gunah (Sagerah) Muaaf Kar Diye Jayenge, Pas Rasulullah صلى الله عليه وسلم Is Dunya Se Tashreef Le Gaye Aur Ye Mamla Chalta Raha Phir Hazrat Abu Bakar Ki Khilafat Aur Hazrat Umar Ki Ibtedai Aimmaye Khilafat Me Bhi Isi Tarah Raha.
(صحیح بخاری، ج-1، ص-269، صحیح مسلم، ج-1، ص-259، سنن ابی داؤد، ج-1، ص-210)

Is Hadees E Pak Se Jahan Namaze Taraveeh Ki Fazilat Sabit Hui Wahi Yeh Bhi Pata Chala Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ramzan Me Taraveeh Ka Shaoq Dilaya Magar Uski Koi Tadad Rakato Ki Fix Nahi Kee.

Na Koi Takeed Ki Is Liye Ki Kahi Ye Ummat Pe Farz Na Ho Jaye, Balki Har Shakhs Ki Himmat Pe Ise Aap صلى الله عليه وسلم Ne Chhoda Jisse Jitna Ho Sake Padhe Kam Ya Ziyadah Ya Padhe Ya Na Padhe, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Hayate Zaheri Me Bhi Yahi Halat Rahi Yahan Tak Hazrat Abu Bakar Siddiq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Muddate Khilafat Me Bhi Yahi Haal Raha Phir Hazrat Umar Farooq رضی اللہ تعالٰی عنہ Ka Zamana Khilafat Aaya, Aap Eik Raat Masjid Me Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Padhte Paya Aur Kuch Log Mil Ke Padh Rahe The, Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Ye Dekh Kar Farmaya Mai Munasib Samajhta Hun Sab Ko Eik Imam Ke Sath Jama Kar Dun To Behtar Hai, Aap Ne Sab Ko Jama Farmaya Aur Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضی اللہ تعالٰی عنہ Ko Imamat Ka Hukm Diya Aapne 20 Rakat Taraveeh Logo Ko Ba-Jamat Padhai.
{صحيح البخاري" كتاب صلاة التراويح، باب فضل من قام رمضان، جلد-1، صفحہ-658، الحديث-2010}

Ye Bada Almiyah Hai Ki Log Ramzan Me Kasrat Se Ibadat Ko Haram O Jayez Aur Bid'at Se Tabeer Kar Rahe Hain.

Qayamat Me Fara'iz Ki Kami Nawafil Se Puri Hogi Aur Hadise Qudsi Me Rab Ka Irshad Hai Ki Bandah Nawafil Se Mera Qurb (Nazdeeki) Hasil Karta Hai Magar Ajeeb Mamla Hai Ramzan Me Kuch Log Ziyadh Namaz Padhne Se Rokte Hain Aur Khud Bhi Nahi Padhte Aur Isi Kaam Naam In BE'AQLON Ne Amal Bil Hadees (Hadees Par Amal) Rakha Hai.

Awwal To Huzoor صلى الله عليه وسلم؛ Se 8 Rakat Namaze Taraveeh Sabit Hi Nahi Hai Uske Bawajood 8 Padhne Wale Aur 20-Rakat Taraveeh Par Challenge Challenge Chillane Wale GAIR MUQALLIDEEN Se Faqeer-E-Hanfi Kaleem Razvi Ka Sirf Eik Sahi HADEES Ka Mutalbah Hai Agar Pesh Kar Sake To Wazan Barabar American Dollar's Aur Saudi Riyal Inaam Me Dunga.

Gair Muqallideen Ahlesunnat Wa Jamat Par Ye Bohtan Bandhte Hain Ki Hum Quran O HADEES Chhod Kar Imamo Ki Baat Mante Hain Is Liye Hum Gumrah Hain, Aur Khud Ke Bare Me Ye Dawa Karte Hain Ki Unka Har Amal Quran O Hadees Ke MUTABIQ O MUWAFIQ Hai Aur Wo Quran Aur Sahi Hadees Ke Khilaf Nahi Karte Aur Jo Karte Hain Use Quran Aur Sahi Hadees Se Sabit Bhi Kar Sakte Hain.

20rakat Taraveeh Par Hame Challenge Karne Wale Gair Muqallideen Jinka Ramzan Me Ye Amal Hai.

Taraveeh 8 Rakat Padhte Hain,
Aur Jamat Ke Sath Padhte Hain,
Chand Nazar Aane Ke Baad Se Shuru Karte Hain,
Isha Ke Faoran Baad Padhte Hain,
Har Masjid Me Pura Mahina Padhte Hain,
2+2 Rakat Se Padhte Hain,
Aur 27wi Shab Ko Taraveeh Me Khatme Quran Karte Hain.

Apne Is Amal Ko Dunya Bhar Ke Tamam Gair Muqallideen Mil Kar Quran Ya Sahi Hadees Ya Sahaba Ke Amal Se Sabit Karen Agar WAQAI Apni Maa Ka Doodh Piya Ho Kisi Kutya Ka Nahi To Sabit Karne Wale Gair Muqallid Ko Hasbe Wada Inam Diya Jayega.

"TADADE RAKAT TARAVEEH"

Dunya Ke Sare Gair Muqallideen Bhi Agar Jama Ho Jayen Tab Bhi In'sha Allah 8 Rakat Taraveeh Ba'hisabe Lughat Aur Ahadees Ki Roshni Me Sabit Kar Hi Nahi Sakte, 8 Rakat Ke Silsile Me Gair Muqallideen Jo Hadees Pesh Karte Hain Wo Sahi Bukhari Ki Ye Riwayat Hai,

عن ابی سلمة بن عبد الرحمن انه سأل عائشة كيف كانت صلوة رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان فقالت ما كان يزيد فى رمضان ولا فى غيره على احدى عشرة ركعة يصلى اربعافلا تسأل عن حسنهن وطولهن ثم يصلى ثلاثا

Tarjamah-

Abu Salma Bin Abdur Rehman Ne Hazrat Aishah Se Daryaft Kiya Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ramzanul Mubarak Me Namaz Kaisi Hoti Thi?
Aap Farmati Hain, Aap Ramzan Aur Gaire Ramzan Me 11 Rak'aton Se Ziydah Nahi Padhte The, Pehle 4 Rakat Padhte (Ek Salam Se) Phir Kuch Na Pucho Wo Kitni Haseen Aur Taveel Hoti, Phir 4 Padhte Aur Uske Bhi Husn O Tawalat Ka Haal Na Pucho, Phir 3 Rakat (Witr) Padhte The.
(صحيح بخارى. ج-١، ص-١٥٤، صحيح مسلم، ج-١،ص-٢٥٤)

Ye Hai Gair Muqallideen Ki Sab Se Badi Daleel Aap Khud Dekhen Kya Is Hadees Se Sarahat Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Ho Rahi Hai?

1= Hazrat Aisha Siddiqah رضى الله تعالى عنها Farma Rahi'n Hain Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ramzan Aur Gair Ramzan Me Hamesha Mamool Tha 11 Rakat Padhne Ka, Kya Taraveeh Saal Bhar Padhi Jati Hai??
 
2= Is Hadees Me 4+4 Rakaton Ko Eik Salam Se Padhne Ka Zikr Hai Jab Ki Taraveeh Me 2+2 Rakat Par Salam Phera Jata Hai, Phir Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Kaise Hui?

3= Aur Is Hadees Me Huzoor Ka Tanha 11 Rakaten Padhna Sabit Hai Jab Ki Huzoor Ne 3 Din Taraveeh Jamat Se Ada Farmai  Iski Hadees Aage Aarahi Hai.

4= Ye Hadees Taraveeh Ke Muta'alliq Nahi Balki Tahajjud Se Muta'alliq Hai Chunki Tahajjud Hi Ramzan Wa Gair E Ramzan Me Padhi Jati Hai, Aur Jise Tahajjud Padhni Ho Uske Liye Afzal Ye Hai Ki Wo Witr Ko Tahajjud Se Milaye Huzoor Ne 8 Tahajjud Aur 3 Witr Is Tarah 11 Rakat Ada Farmai.

5=Agar Ye Hadees Taraveeh Ke Bare Me Hi Hai To Gair Muqallideen Batayen Sahi Muslim, Abu Dawood, Tirmizi,  Nisai, Sahi Ibne Khuzaimah Motta, Imam Malik Me Ye Hadees Taraveeh Ke Bayan Me Kyun Nahi NAQL Ki Gai??

Khud Gair Muqallideen Ke Imam O Peshwa Ibne Qaiyyim Hambali Ne Apni Mash'hoor Kitab Zadul Mee'aad Ke Volume-1, Page-86 Me Ye Hadees Tahajjud Ke Bab Me NAQL Kee Hai.

Sharahe Bukhari Allama Ibne Hajar Asqlani رحمه الله تعالى Is Hadees Ke Hawale Se Farmate Hai,

قال القرطبي اشكلت روايات عائشة على كثير من اهل العلم حتى نسب بعضهم حديثها الى الاضطراب

Imam Qartabi Ne Farmaya Hazrat Aisha Ki Riwayat Se Bahot Se Ahle Ilm Ko Mushkilen Aai, Yahan Tak Ki Unme Se Baaz Ne Use IZTERAB Ki Taraf Mansoob Kar Diya.
(فتح الباری،  ج-3، ص-21)

Jab Hadees Hi Muztarib Ho To Usse Gair Muqallideen Kaise 8 Rakat Ko Finally Adad Qarar De Rahe Hain?

Iske Ilawah Jo 8 Rakat Taraveeh Ki Riwayaten Hain Wo Sab Zaeef Aur Na Qabile Istedlal Hain Is Liye Unka Zikr Aur Tafseel Zaruri Nahi Gair Muqallideen Ki Sab Se Mazboot Daleel Yahi Hadees Hai.

Aaj Kal Gair Muqallideen Kehne Lage Hain Sahab Taraveeh Aur Tahajjud Ek Hi Namaz Hai. Ajeeb Baat Hai Jo Tahajjud Ki Namaz 11 Maah Nafl Rahi, Jo Ghar Me Padhi Jati Rahi, Raat Ke Akhri Hisse Me Padhi Jati Rahi, Aur Akele Padhi Jati Rahi, Wo Achanak Ramzan Me Pahoch Kar Sunnate Mo'akkeda Ho Gai?
Ba Jamat Padhi Jane Lagi Aur Uska Naam 11 Maah Tahajjud Tha Aur Ramzan Me Taraveeh Ho Gaya?

Koi Apni Biwi Ko 11 Maah Biwi Kahe 1 Maah Amma Kahe To Chalega?

Inke Insano Wali Khopdi Me AQAL To Gadhon Wali Hai Aur Dawa Hai Quran Fehmi Aur Hadees Daani Ka.

Eik Aur Riwayat Gair Muqallideen Sahi Ibne Khuzaima Aur Sahi Ibne Habban Se 8 Rakat Taraveeh Par Pesh Karte Hain.

✒HADEES:

Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Marwi Hai,

صلى بنا رسول الله صلى الله عليه وسلم فى رمضان ثمان ركعات الوتر

Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ne Hame Ramzan Me 8 Rakaten Aur 3 Witr Padhai.
Hazrat Jabir Ki Is Riwayat Me Sirf Ek Raat Padhane Ka Zikr Hai Jaisa Ki Isi Riwayat Me Aage Hai.

فلما کانت الليلة القابلة اجتمعنا فى المسجد رجونا ان يخرج فيصلى بنا فاقمنافيه حتى اصبحنا فقلنا يا رسو الله رجونا ان تخرج فتصلى بنا فقال انى كرهت او خشيت ان يكتب عليكم الوتر

Pas Jab Agli Raat Hui To Hum Sab Phir Jama Huye Is Ummid Par Ki Huzoor Niklenge Aur Hame (Kal Ki Tarah) Namaz Padhayenge Pas Hum Subah Tak Wahin Rahe Hum Ne Arz Ki (Subah Ke WAQT)  Aye Allah Ke Rasool Hame Ummid Thi Ki Aap Niklenge Aur Hame Namaz Padhyenge Aapne Farmaya Mujhe Khauf Hua Ki Kahi'n Tum Par Witr Farz Na Ho Jaye.
(صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨)

Awwal To Ye Hadees Ek Raat Namaz Ki Hai Jab Ki Taraveeh Pure Maah Padhi Jati Hai.
Dusri Baat Is Riwayat Me 3-3 Rawi Za'eef Hain, Ye Hadees Hazrat Jabir Bin Abdullah Se 2 Sanadon Se Aati Hai.

1= Is'haq, Abu Rabee, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah Hazrat Jabir Bin Abdullah.

2= Muhammad Bin Humaid Razi, Yaqoob Qummi, Esa Bin Jariyah, Hazrat Jabir Bin Abdullah. Ye Hadees Gair Muqallideen Kisi Bhi Kitab Se Dikhayen Uska Silsilae Sanad Inhi 2  TARIQON Se Milega.

Hazrat Jabir Bin Abdullah Se Is Hadees Ko Riyawat Karne Ka Dawa Karne Wale Esa Bin Jariyah Hai Aur Esa Ke Bare Me Khud Ibne Khuzaima Ke Hashiye Par Hai,

عيسى بن جاريه فيه لين

Esa Bin Jariyah Me Kamzori Hai.
( صحيح ابن خزيمة، ج-٢، ص-١٣٨)

Jab Esa Bin Jariyah Kamzoor Nikla To Puri Riwayar Hi Kamzor Hui Aur Is Hadees Ki Dono Sanado Me Esa Aata Hai.
Aur Padhiye Digar Aimmae Hadees Is Esa Ke Bare Me Kehte Hain,

Hazrat Yahya Bin Moin رحمه الله تعالى Farmate Hain,

ليس بذاك عنده مناكير

Wo (Esa) Qawi Nahi Hai Uske Pas Aksar Munkar Riwayaten Hain.

Hazard Imam Abu Dawood O Nasai Kehte Hain,

منكر الحديث

Wo Mukarul Hadees Hai.

Imame Nasai رحمه الله تعالى Farmate Hain متروك Wo Matrukul Hadees Hai Yani Uski Hadison Ko Tark Kiya Jata Hai.
Imam Saaji Aur Aqeel رحمهم الله تعالى Farmate Hain Wo ضعفاء Kamzor Logon Me Shamil Hain.
Imam Adi رحمه الله تعالى Kehte Hain Uski Hadees Mehfooz Nahi Hain.
(تهذيب التهذيب، ج-٨، ص-٢٠٧،، ميزان الاعتدال، ج-٢،ص-٣١١)

Ye Kul 6 Aimmahe Hadees Hain Jinho Ne Esa Bin Jariyah Par Sakht Jarhen Ki Hain, Itna Hi Nahi Balki Imam Zahbi Allama Hajar Asqalani Ne Bhi Ise Munkarul Hadees Kaha Hai.

Is Riwayat Ke Dusre Rawi Yaqoob Qummin Ko Bhi Aimmahe Hadees Ne Zaeef Jhuta Munkarul Hadees Kaha Hai Tafseel Ki Yahan Gunja'ish Nahi Hai.

Ajeeb Baat Hai Quran Aur Sahi Hadees Par Chalne Ke Dawedar Khud Zaeef Aur Mardood Riwayaton Se Kaam Chalate Hain??

Gair Muqallideen Ke Bade Aalim Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Likhte Hain,

"Munkarul Hadees Hona Aadmi Ka Aisa Wasf Hai Jiski Bina Par Uski Hadees Qabile Tark Ho Jati Hai"
(ابكار المنن، صفحه-١٩١)

"Rakate Tarveeh Ka Muhaqiqana Jayezah" "TARAVEEH KI MUTAAIYYAN RAK'ATEN"

Is Baat Ko Achche Se Zahen Nasheen Kar Len Ki Sarkare 2 Aalam صلى الله عليه وسلم Se Tarveeh Ki Na 8 Sarahat Se Sabit Hai Aur Na 20 Jo 2no Qism Ki Riwayaat Hain Wo Zo'af Aur Ehtemaal Se Khali Nahi.

Imam Jalaluddin Suyuti رحمه الله تعالى Farmate Hain,

ان العلماء اختلفوافى عددها ولو ثبت ذالك من فعل النبى صلى الله عليه وسلم لم يختلف فيه

Ulma Ne Taraveeh Ki Rak'aat Me Ikhtelaf Kiya Hai, Aur Agar Ye (Taraveeh Ki Fixed Rakaten) Huzoor Ke Amal Se Sabit Hoti To Ye Ikhtelaf Na Hota.
(تحفة الاخيار ص-٤٢)

Allama Tajuddin Subki Shafai رحمه الله تعالى Farmate Hain,

اعلم انه لم ينقل كم صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فى تلك الليالى هل هو عشرون اوأقل

Tum Ko Maloom Hona Chahiye Ki Rasulullah صلى الله عليه وسلم Se Ye MANQOOL Nahi Ki In Raton Me Kitni Rakaten Padhe'n 20 Ya Kam.
(تحفة الاخيار، ص-١٩٦)

Ab Raha Hum 20 Kyun Padhte Hain?
To Beshak 20 Wali Hadees Bhi Zaiful Isnaad Hai Magar Is Amal Ko TAQAT Milti Hai Ijamaye Sahaba Se, Tawatur Se, Ummat Ki 1400 Sala Tareekh Me 20 Hi Par Amal Hota Aaya Hai, Aur Sahaba 20 Hi Rakat Ke Qayel The Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Wale Sahaba Hain, Unki Sannaton Par Chalne Wale Sahaba Hain, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ke Shareh Sahaba Hain, Islam Ke Awwaleen Mukhatib Sahaba Hain, Aur Deen Me Mujtahid Sahaba Ka Amal Bhi Hujjat Hai, Ab Aaiye 20 Rakat Taraveeh Ki Ahdees Aur Amale Sahaba Wa Taba'een Salf O Saleheen Aur Puri 1400 Sala Tareekhe Islam Par Eik Sar Sari Nazar Dalen.

✒HADEES:

عن ابن عباس ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلى فى رمضان عشرين ركعة والوتر انتهى

Tarjamah-

Hazrat ABDULLAH BIN ABBAS Farmate Hain Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ramzanul Mubark Me 20 Rakate Aur Witr Padha Karte The.
{بحوالہ--- مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-2،صفحہ-394،،،،! بيهقی، جلد-2، صفحہ-496،،،،! المعجم الكبير الطبراني، جلد-3، صفحہ-148،،،! منتخب مسند حميد بن حميد، جلد-1، صفحہ-73،،،! وغيره}

Note-Iske Silsilae Sanad Me Bhi Eik Zaeef Rawi Ibraheem Bin Usman Maujood Hai. Jabki 8 Wali Hadees Me 2 Zaeef Rawi Hain.

Khulasa Ye Ki Huzoor صلى الله عليه Se Taraveeh Ki 20 Ya 8 Rakat Sarahat Ke Saath Kisi Sahi Hadees Me Maujood Nahi Hai.

Aur 20 Rakat Padhna Sahaba Wa Tabaeen Aur Jumla Ulamae Mohaqqiqeen Se Sabit Hai Aur Jamhoor Ka Yahi Mazhab Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.

Aur 20 Rakat Padhne Ka Saboot Sahi Sanado Se Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali Aur Jumla Sahaba Ke Amal Se Maujood Hai. Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ummat Ko Hukm Farmaya Ki Meri Aur Mere Khulafae Rashideen Ki Sunnat Par Chalo.
{جامع الترمذي، أبواب العلم، باب ماجاء في الأخذ بالسنة......إلخ، جلد-4، صفحہ-308، الحديث-2658}

Challenge-

Naam Ke Ahlehadees Hame 8 Rakat Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Kar Dikhayen Aur Eik Marfoo Hadees Is Silsile Me Pesh Karen Aur Is Faqeer Kaleem Razvi Se Muh Manga Inam Lete Jaye..
Insha'Allah Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Ki Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale Gair Muqallideen Is Silsile Me Eik Bhi Sahi Sareeh Marfoo Hadees Me Huzoor Ke Amal Se Ramzan Me 8 Rakat Taraveeh Padhne Ki Hadees Pesh Kar Payen.

Kyu Ki Inke Shaikhul Islam IBNE TAIMIYAH  Hambali Ne Khud Iska IQRAR Kiya Hai,

من ظن ان قيام رمضان فيه عدد معين مؤقت عن النبي صلى الله عليه وسلم لا يزاد عليه ولا ينقص فقد أخطأ

TARJAMAH-

Jo Ye Samjhe Ki Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Silsile Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Koi Muta'aiyyan (Fixed) Adad Manqool Hai Jisme Na Kuch Kam Ho Sakta Hai Na Ziyadah Wo Galti Par Hai.
{مرقات، ج-٢، ص-١٧٥)

Inke Ek Aur Bade Allama Qazi Shokani Likhte Hain,

والحاصل الذين دلت عليه احاديث الباب وما يشابهما هو مشروعية القيام فى رمضان والصلوة فى جماعة وفرادى فقصر الصلوة المسماة با لتراويح على عدد معين وتخصيصها بقرأة مخصوصه لم ترد به سنة

TARJAMAH-

Ramzan Ka Qayam (Taraveeh) Mashroo Hai, Aur Namaz Jamat Se Padhi Jayegi Aur Tanha Bhi, Pas Taraveeh Ko Kisi Muta'aiyyan Adad Ke Sath Khas Karne  Aur Kisi Bhi Qirat Se Khas Karne Ki Koi Hadees Maujood Nahi.
{نيل الاوطار، ج-٣،، ص-٥٣}

"TARAVEEH AUR AMALE SAHABA رضوان الله عليهم أجمعين"

TARAVEEH Ke Silsile Me Chand Baten Jise Zahen Me Khas Taur Se Rakhna Chahiye Taki Aap Gumrahon Ke Fareb Me Na Aa Sake.

1= Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Bhi Padhi Magar Rakaton Ki Had Aur Takeed Sanade Sahi Se Sabit Nahi.

2= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Bhi Taraveeh Padhte The Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ise Dekh Kar Pasand Farmaya.

3= Ye Taraveeh Ba'jamat Bhi Hoti Thi Magar Eik Hi Imam Ke Piche Nahi Nahi Balki Kai Kai Jamaten Hoti Thi.

4= Taraveeh Ki Ye Jamaten Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Bhi Hoti Rahi Aur Aapke Baad Bhi, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Hone Ki Riwayat Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه Aur Hazrat Solab Bin Abi Malik Qarzi رضى الله عنه Ki Sunane Behaqi Me Maujood Hai,  Aur Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه Ke Zamane Me Hone Ka Zikr Hazrat Abdur Rehman Bin Abdul Qari رحمه الله تعالى Ki Riwayat Sahi Bukhari Volume-1, Page-269 Me Aur Hazrat Nofil Bin Ayas Hazli رحمه الله تعالى Ki Asarus Sunan Me Maujood Hai.

5= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Se Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Zamane Tak Taraveeh Ki Jo Jamat Alag Alag Hoti Thi Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Taman Logon Ko Jama Farma Kar Eik Imam Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضى الله عنه Ke Piche Kar Diya Jinke Hawale Se Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ye Irshad Maujood Hai,

أقراكم ابى بن كعب

Tum Me Sab Se Achcha Quran Padhne Wala Ubai Bin Ka'ab Hai.

6= Haan Tamam Riwayaat Par Nazar Dalne Se Ye Nahi Pata Chalta Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba Kitni Rak'at Taraveeh Padhte The??

Magar 8 To Hargiz Nahi Padhte The Is Liye Ki Hazrat Dawood Bin Haseen رضى الله عنه Ki Moatta Imam Malik Me Ye Riwayat Maujood Hai.

عن داؤد بن الحصين انه سمع الاعرج يقول ما ادركت الناس الاوهم يلعون الكفرة فى رمضان وكان القارى يقرأ سورة البقرة فى ثمان ركعات فاذا قام بها فى اثنى عشرة ركعة رأى الناس انه قد خفف

Dawood Bin Haseen Se Marwi Hai Ki Hunho Ne Hazrat A'raj Ko Kehte Suna Ki Mein Ne Logon Ko (Sahaba Ko) Paya Ki Wo Ramzan Me Kuffar Par Lanat Bhejte The Aur Imam 8 Rakaton Me Surah BAQRAH Padh Dalta Phir Jab 12wi Ra'kat Me Khada Hota To Logon Ko Lagta Ki Ab Usne Qirat Me Kami Ki.
(موطا امام مالك، ص-٤٣)

Is Hadees Ki Sanad Me Kisi Ko Kalaam Nahi Iski Sanad Sahi Hai Aur Isme Sahaba Ka 8 Se Ziydah Padhna Maloom Hua Kyu Ki 8 Tak To Sure BAQRAH Imam Padhta Aur 12 Wi Rakat Me Kuch Kam Karta, Dhiyan Dijiye 12 Ke Aage Padhna Is Me Mana Bhi Nahi Hai Yani 12wi Rakat Me Qirat Kam Hoti Yani Sahaba Isse Bhi Ziydah 20 Padhte The.

7= Taraveeh Ke Silsile Me Ye Point Sab Se Ziydah Important Hai Ki Hazrat Umar رضى الله عنه Se Pehle Jo Hua So Hua Lekin Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Hazrat Ubai Bin Ka'ab رضى الله عنه Ko 20 Hi Rakat Padhane Ka Hukm Diya.

(Aur Iski Riwayaat Aage Aarahi Hai) Ajeeb Baat Hai Jab Hazrat Umar 20 Rakat Padhane Ka Hukm De Rahe Hain To Us WAQT AJALLA SAHABA HAYAT The Kisi Ne Bhi Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Faisle Ki Mukhalifat Kyun Nahi Ki Agar Taraveeh 8 Hi Rakat Thi To???

Khud Ummul Momineen Sayyedah Aisha رضي الله عنها Hayat Thi'n Jinki Tahajjud Wali 8 Ko Gair Muqallideen Taraveeh Ki Riwayat Samajhte Hain Unho Ne Hazrat Umar رضى الله عنه Ko Roka Kyun Nahi Toka Kyun Nahi Ki Aap Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ki Mukhalifat Kar Rahe Hain Iska Matlab Yahi Hai Ki Ummul Momineen Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Hi Rakat Sunnat Thi, Khalifae WAQT Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Baad Tamam Sahaba Ne Unki TAQLEED Karte Huye 20 Hi Rakat Taraveeh Ba Jamat Padhi Aur Is Tarah Maslaye Taraveeh Ijam Sahaba Se Sabit Hua Aur Ab Jo Iski Mukhalifat Karta Hai Wo Gumrah Hai Bedeen Hai.

Kya Hazrat Umar رضى الله عنه Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Marzi Ke Khilaf Kar Sakte The?
Aur Kya Sahaba رضوان الله عليهم أجمعين Hazrat Umar Ko Khilafe Amale Rasool صلى الله عليه وسلم Karte Paa Kar Apna Khilafa Maan Lete?

Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Kehne Walon Hosh Ke Nakhun Lo Kaun Umar?
Jinke Hawale Se Hadees Me Aya Hai Ki Quran Hazat Umar رضى الله عنه Ki Raye Ke Mutabiq Nazil Hota, Umar Wo Hain Jinke Bare Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain,

لو كان بعدى نبى لكان عمر

Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hote.
Aur Farmaya Allah Ke Rasool Ne,

ان الله جعل الحق على لسانه عمر وقلبه

Allah Ne HAQ Ki Boli Umar Ke Dil Aur Zuban Par Jari Farma Diya Hai.
Eik Jagah Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain,

ان الشيطان يخاف منك يا عمر

Aye Umar Tujh Se Shaitan Bhi Darta Hai.
(مشكوة المصابيح، ج-٢، ص-٥٥٦)

Sach Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Shaitan Kal Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Tha Aur Aaj Ka Gair Muqallid Shaitan Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Hai.

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Se Agar Che Taraveeh Ki Tadade Rakat Ka Sande Sahi Se Koi Pukhta Saboot Nahi Magar Tamam Sahaba Ke Amal Aur Ijma Se Sabit Ho Gaya Ki Huzoor 20 Hi Padhte The Aur Ab Hazrat Abdulullah Bin Abbas Wali Riwayat Bhi Qabile Istedlal Ho Gai Aur Suniye Imam Abu Dawood Sijtani Farmate Hai,

ان تنازع الخبران عن النبى صلى الله عليه وسلم ينظر بما اخذبه أصحابه

Hamare Samne Jo 2 Hadisen Takraye To Dekha Jayega Ki Sahaba Ka Amal Kis Ke MUTABIQ Tha.
(ابو داؤد شريف، ج-١، ص-٢٦٣)

8 Wali Hazrat Jabir Bin Abdulullah رضى الله عنه Ki Riwayat Par Kisi Sahabi Ka Amal Nahi Tha Aur Hazrat Abdulullah Bin Abbas Ki 20 Wali Hadees Par Tamam Sahaba Ka Amal Tha.

Na Sirf Sahaba 4ro Imam Tamam Muhaddiseen Fuqha Wa Mujtahideen Wa Jamla Muslimeen Ka Amal Hai Aur Ab Angrezi Paidawar Shariat Bezar Nafs Aur Shaitan Ke Pairokar Gair Muqallideen Ka Inkar Hai.

Chaliye Eik Aasan Nukta Aapko Samjha Den.

Waise To 8 Rakat TARAVEEH Hai Hi Nahi Magar Khuda Na Khawsta TARAVEEH 8 Ho Jaye Aur Ba'roze Mehshar Jab Allah Ki Bargah Me Namazon Ka Hisab Hoga To 8 Walon Aap Khush Ho Jana Kyun Ki Aap Ki Baat Sahi Thi Magar Sach Batao 20 Wale Kaunse Ghate Me Rahege?

Hum To 20 Lekar Gaye Hain Kya 8 Rakat 20 Ke Andar Nahi Aati?
Aur 20 Hi Nikli To Aapki Ruswai Kitni Buri Hogi Zara To Socho.

"TARAVEEH 20 PAR SAHABA KA AMAL AUR IJMA"

20 Rakat Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Keh Kar Manne Se Inkar Karne Wale Gair Muqallideen 8 Rakat To Sabit Kar Hi Nahi Sakte Bas Wo Hame Ye Batayen Ki 8 Ho Ya 20 Ramzan Ke Pure Mahine Me Taraveeh Jamat Se Padhna Ye Kis Ki Sunnat Hai??

Ye Bhi To Hazrat Umar Hi Ki Sunnat Hai, Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Ek Maah Ba Jamat Taraveeh Padhna Gair Muqallideen Sabit Kar Sakte Hain.?

Ajeeb Baat Hai Ek Sunnat Me Ita'at Ek Me Mukhalifat.

20 Rakat Taraveeh Padhna Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Hai Jaisa Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Hain Ki Riwayat Se Sabit Hua, Is Par Tamam Sahaba Ka Amal Aur Ijma Hai Aur Tawatur Se Yahi Chala Aaraha Hai.

Hazrat Umar, Hazrat Usman, Aur Hazrat Ali  رضى الله عنهم Ke Ahde Khilafat Me Taraveeh Ka 20 Rakat Hona Darj Za'il Riwayaton Se Sabit Hai Jo Sab Ki Sab Sanad Ke Lihaz Se Sahi Hai.

1= Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Umar Farooq رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh.

Hazrat YAHYA Bin Sa'eed رحمه الله تعالى Se Marwi Hai,

ان عمر بن الخطاب امر رجلاً يصلى بهم عشرين ركعة

Hazrat Umar Bin Khattab رضى الله عنه Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko 20 Rakat Taraveeh Padhaye.
(مصنف ابن ابى شيبه، ج-٢، ص-٣٩٣)

Hazrat Yazeed Bin Roman رحمه الله تعالى Kehte Hai,

عن يزيد بن رومان انه قال كان الناس يقومون فى زمان عمر بن الخطاب فى رمضان بثلاث وعشرين ركعة

Yazeed Bin Roman Kehte Hain Log (Sahaba Wa Taba'een) Hazrat Umar Ke Zamane Me 23 Rakat Padhte The (20-Taraveeh 3-Vitr)
(مؤطا امام مالك، ص-٤٣)

Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain,

عن عبد العزيز بن رفيع قال كان ابى بن كعب يصلى بالناس فى رمضان باالمدينة عشرين ركعة ويوتر بثلاث

Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Logon Ko Ramzan Me Madinah Me 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhate The.
(مصنف ابن ابى شيبه،، ج-٢، ص-٣٩٣)

2= Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Usman Bin Affan رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh.

عن السائب بن يزيد قال كانو يقومون على عهد عمر بن الخطاب فى شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانو يقرون باالمئين وكانو يتوكون على عصيهم فى عهد عثمان بن عفان من شدة القيام

Hazrat Sayeb Bin Yazeed Farmate Hain Ki Hazrat Umar Aur Hazrat Usman رضى الله عنهما Ke Zamane Me (Sahaba E Kiram) Ba'jamat 20 Rakat Taraveeh Padhte The, Aur (Imam) 100-100 Aayaat Wali Surten Padhte The, Aur Log Lambe Qayam Ki Wajah Se Hazrat Usman Ke Daur Me Lathiyon Ka Sahara Lete The.
(السنن الكبرى للبيهقى،  ج-٢، ص-٤٩٦، باب- ماروى فى عدد ركعات القيام فى شهر رمضان)

3= DAURE Amirul Momineen Sayyedna Hazrat Ali رضى الله عنه Aur 20 Rakat Taraveeh,

حدثنى زيد بن على عن أبيه عن جده عن على انه امر الذى يصلى بالناس صلاة القيام فى شهر رمضان أن يصلى بهم عشرين ركعة يسلم فى كل ركعتين ويراوح ما بين كل اربع ركعات فيرجع ذوالحاجة ويتوضأ الرجل وأن يوتر بهم من آخر الليل حين الإنصراف

Imam Zaid Apne Walid Hazrat Imam Zainul Abideen Se Wo Apne Walid Saiyyedna Imam Husain Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Ne Jisko Ramzan Me Taraveeh Ka Imam Banaya Use Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20-Rakat Padhaye Aur Har 2 Rakat Pe Salam Phere, Aur Har 4 Rakat Me Itna Aaram Kare Ki Kisi Ko Hajat Ho To Wo Farig Ho Le Aur Sab Se Akhir Me Witr Padhaye.
(مسند الامام زيد، ص-١٥٨، باب القيام فى شهر رمضان)

عن أبى الحسناء أن عليا أمر رجلا يصلى بهم فى رمضان عشرين ركعة

Hazrat Abul Hasna Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Ne Eik Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhaye.
(مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٣، كم يصلى فى رمضان من ركعة؟ رقم الحدیث-٧٧٦٣)

TARAVEEH Ki Jo Namaz Huzoor Se Hazrat Amirul Momineem Sayyeda Abu Bakar Siddiq Ke Zamane Tak Akele Ya Kai Kai Jamaton Ki Shakl Me Hoti Thi Wo Hazrat Umar Ke Zamane Se Ba'qaidah Ba'jamat Ek Imam Ke Piche Hone Lagi, Aur Tab Se Ab Tak 20 Hi Ka Mamool Ban Gaya.

Khulafa E Rashideen (Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali رضى الله عنهم) Ke Ilawah Bhi Digar Sahaba Se 20 Hi Rakat Taraveeh Manqool Hai, Chand Mash'hoor Sahaba Wa Taba'een Ka Amal Ikhtesar Se Pesh Kiya Jata Hai.

Sahabiye Rasool صلى الله عليه وسلم Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنه Ka Amal,

Hazrat Zaid Bin Wahab (زيد بن وهب) Farmate Hain,

كان ابن مسعود يصلى بنا فى شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الاعمش كان يصلى عشرين ركعة ويوتر بثلاث

Tarjamah-

Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Ramzanul Mubarak Me Hame Taraveeh Padhate The Aur Ghar Laut Jate To Raat Abhi Baqi Hoti Thi, Hadees Ke Rawi Imame Aa'mash Farmate Hain Aap 20 Rakat Aur 3witr Padhate The.
(قيام الليل للمروزى، ص-١٥٧)

Hazrat Ataa Bin Abi Ribah رحمه الله تعالى Jalilul Qadr Taba'ee Hain 200 Sahaba Ki Ziyarat Ki Hai Aap Farmate Hain,

ادركت الناس وهم يصلون ثلاثا وعشرين ركعة بالوتر

Mein Ne Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhte Paya.
(مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٤، رقم الحدیث ٧٧٧٠)

Hazrat Shutair Bin Shakl رحمه الله تعالى Mash'hoor Taba'ee Hain Hazrat Ali رضى الله عنه Ke Shagir Hain Aapke Bare Me Riwayat Hai,

عن شتير بن شكل وكان من اصحاب على انه كان يو مهم فى شهر رمضان بعشرين ركعة ويوتر بثلاث

Tarjamah-

Hazrat Shutair Bin Shakl Jo Ki Hazrat Ali Ke Shagirdon Me Hain, Logon Ko Ramzan Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3-Vitr Padhate The.
(السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٩٦)

Hazrat Suwed Bin Gaflah رحمه الله تعالى Bade Taba'ee Hain Aapne Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Hai Aur Unse Riwayat Lee Hai Aapke Bare Me Hazrat Abul Khaseeb Farmate Hain,

كان يومنا سويد بن غفلة فى رمضان فيصلى خمس ترويحات عشرين ركعة

Tarjamah-

Hazrat Suwed Bin Gaflah Hame Ramzan Me 5 Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhate The.
(السنن الكبرى للبيهقى، ج-٢، ص-٤٩٦)

Hazrat Sa'eed Bin Jubair (سعید بن جبیر) رحمه الله تعالى Bade Taba'een Me Shumar Hote Hain, Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Ibne Zubair, Hazrat Ibne Umar, Hazrat Adi Bin Hatim رضى الله عنهم Ki Ziyarat Ki Aur Unse Riwayat Lee, Aapko Hajjaj Bin Yusuf Ne Zulman Qatl Kiya Tha, Aapke Muta'alliq Isma'eel Bin Abdul Malik رحمه الله تعالى Farmte Hain,

كان سعيد بن جبير يومنا فى شهر رمضان فكان يقرء بقرائتين جميعا، يقرءليلة بقراءةابن مسعود فكان يصلى خمس ترويحات

Tarjamah-

Hazrat Sa'eed Bin Jubair Ramzanul Mubarak Me Hamari Imamat Farmate The, Aap Dono Qir'aten Padhte The, Ek Raat Ibne Masood Ki Qirat Padhte (Aur Dusri Raat Hazrat Usman Wali Qirat) Aap 5-Tarvihe Yani 20-Rakat Taraveeh Padhte The.
(مصنف عبد الرزاق، ج-٤، ص-٢٠٤، رقم الحدیث-٧٧٧٩)

Amale Sahaba Wa Taba'een Se Bhi Taraveeh Ka 20-Rakat Hi Hona Sabit Ho Gaya, Mgair Muqallideen In'sha'allah Qayame Qayamat Tak Aise Qate Dalayel Pesh Na Kar Sakenge.

"20-Rakat Taraveeh Aur 4 Imam"

Sawade Azam Ahlesunnat Wa Jamat Ke 4 FIQHI Mazahib Jinki TAQLEED 12 Sadyon Se Ummat Karti Aarahi Hai Aur In 4 Mazahib Ke Aimmah Imame Azam Abu Hanifah, Imame Malik, Imame Shafai, Imame Ahmad Bin Hambal رضى الله عنهم Jinko Bil Ijma Puri Ummat Ne Apna Imam O Peshwa Qubool Kiya Hai Aur Ab Qaymat Tak Tamam Musalmano Par Inme Se Kisi Eik Ki TAQLEED Karni Wajib Hai, Aur Jo Inme Se Kisi Ek Ki TAQLEED Na Kare Aur Gair Muqallid Bane Wo Aalim Ho Ya Jahil Muhaqqiq Ho Ya MUDAQQIQ Beshak Wo Gumrah Aur Gumrah Gar Hai, In 4ron Imamo Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Rakat Hai, Haan FAQAT Imame Malik Ke Bare Me 2 Riwayate Hain Ek 20 Ki Aur Ek 36 Rakat Ki, Aur 36 Rakat Wo Is Liye Ki Makka Sharif Wale Har 8 Rakat Ke Baad 7 Martaba Khanae Kaba Ka Taawaf Karte The Aur Madine Ke Rehne Wale Is Par Qadir Na The To Ahle Madina Ne Iska Badal Ye Nikala Ki Har Tawaf Ke Badle 4 Rakat Ka Izafa Kiya Imame Malik Ne Bhi Isi Ko Ikhteyar Kiya Yani 16 Za'id Nawafil.

Hazrat Ibne Qudamah Muqaddasi Hambali رحمه الله تعالى Farmate Hain,

انما فعل هذا اهل المدينة لانهم ارادوامساواة اهل مكة فان اهل مكة يطوفون سبعا بين كل ترويحتين فجعل اهل المدينة مكان كل سبع اربع ركعات

Tarjamah-

Ahle Madinah Ne Ye Is Liye Kiya Tha Taki Ahle Makkah Se Barabari Ho Jaye Kyun Ki Ahle Makkah Har 2 Tarvihon Ke Darmiyan 7 Martaba Baitullah Ka Tawaf Karte The, Lihaza Ahle Madina Ne Har 7 Tawaf Ki Jagah 4 Rakaten Badha Dee.

Phir Ibne Qudamah Likhte Hain,
Lekin Chunki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Se 20 Hi Rakat Marwi Hai Is Liye Hame Isi Ki Itteba Karni Chahiye Khawah Kisi Jagah Bhi Rahen, Kyu Ki As'haabe Rasool صلى الله عليه وسلم Hi Sab Se Behtar Hain Aur Itteba Ke Ziydah HAQDAR Hain.
(المغنى، ج-٢، ص-١٦٧)

Gair Muqallideen Ki Baat To Yahan Aur Bhi Bigdegi Kyun Ki Imame Malik 20 Aur 36 Dono Ke Qayel Hain, Magar 8 Ke To Hargiz Nahi Hain, Balki 20 Aur 36 Ke Hain Aur Gair Muqallideen Nafs Parast Log Deen Me Aasani Paida Karne Wale Ise Kab Qubool Karenege??

In 4 Aimmahe Haq Me Sab Se Afzal O Aala Baland O Baala, Buzurg O Bartar, Girton Ko Uthane Wale, Doobton Ko Bachane Wale, Raahe Hidayat Dikhane Wale, 72 Sahaba Ki Ziyarat Farmane Wale, Huzoor Pur'noor Sayyedna Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Bin Zoota Kufi رضى الله عنهم Ke Mazhabe HAQ Me Bhi Taraveeh 20-Hi Rakat Hai.

Imam Fakhruddin رحمه الله تعالى Fatawa Qazi Khan Me Likhte Hain,

عن ابى حنيفة قال القيام فى شهر رمضان سنة..... كل ليلة سوى الوتر عشرين ركعة خمس ترويحات

Tarjamah-

Imame Azam Abu Hanifah رضى الله عنه Farmate Hain Ki Ramzan Me Har Raat Me 5 Tarvihe (20-Rakat Taraveeh) Padhna Sunnat Hai 3 Witr Ke Ilawah.
(فتاوى قاضى خان، ج-١، ص-١١٢)

Malki Mazhab Ke Imam O Peshwa Rehbare Ahlesunnat Wa Jamat Ashiqe Sadiq Rasool E Pak صلى الله عليه وسلم Imame Darul Hijrat Huzoor Saiyyedna Imam Malik Bin Anas رضى الله عنه Ka Amal Bhi 20 Rakat Taraveeh Par Hai,

Allam Ibne Rushd Malki رحمه الله تعالى Farmate Hain,

واختار مالك فى أحد قوليه....... القيام بعشرين ركعة

Imam Malik Ne Ek Qaul Me 20 Rakat Taraveeh Ko Pasand Farmaya Hai. Dusra Qaul 36 Ka Hai Jisme 20 Taraveeh Aur 16 Za'id Nawafil
(بداية المجتهد،،، ج-١، ص-٢١٤)

Shafai Mazhab Ke Imam O Peshwa Ataye Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Huzoor Saiyyedna Imam Muhammad Bin Idrees Shafai رضى الله عنه Farmate Hai,

وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة

Mein Ne Apne Shaher Makka Sharif Me Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhte Paya Hai.
(جامع الترمذي،،، ج-١، ص-١٦٦)

Imam Ibne Qudamah Hambali رحمه الله تعالى Apne Mazhab Ke Imam O Peshwa Imame Ahlesunnat Wa Jamat Saiyyedna Imam Ahmad Bin Hambal رضى الله عنه Ke Hawale Se Likhte Hain,

والمختار عندأبى عبدالله فيها عشرون ركعة وبهذا قال الثورى وأبو حنيفة والشافعى

Tarjamah-

Imam Abu Abdullah (Ahmad Bin Hambal) Ke Nazdeek Mukhtar Aur Rajeh 20-Rakat Hi Hai, Aur Imam Sufyan Soori, Imame Azam Abu Hanifah, Aur Imam Shafai Bhi 20 Hi Ke Qayel Hain.
(المعنى لابن قدامه، ج-٢، ص-٣٦٦، مسئله-٢٤٧)

Sahabe Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Wa Taba'eene Izam رحمهم الله تعالى Wa Mujtahidine Kiram Auliyae Islam Sab 20 Ya Usse Za'id Ke Qayel Hain 8 Rakar Le Qayel Wala Hame Door Door Tak Mash'hoor Islami Shaksiyaton Koi Nazar Nahi Aata.

20 Par Ijma Wa Tawatur Hai Magar Kuch Ulma Isse Bhi Ziyadah Ke Qayel Hain Jaisa Ki Tirmizi Sharif Ki Is Riwayat Se Pata Chalta Hai,

واختلف اهل العلم فى قيام رمضان فرأى بعضهم ان يصلى احدى واربعين ركعة مع الوتر وهو قول اهل المدينة والعمل على هذا عندهم بالمدينة وأكثر اهل العلم على ما روى عن على وعمر وغيرهما من اصحاب النبى صلى الله عليه وسلم عشرين ركعة وهو قول الثورى وابن المبارك والشافعى وقال الشافعى وهكذا ادركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة

Tarjamah-

Ahle Ilm Ne Qayame Ramzan (Taraveeh) Ke Bare Me Ikhtelaf Kiya Hai, Unme Se Baaz Vitr Samet 41 Ra'akton Ke Qayel Hain, Yani Ahle Madinah Ka Qaul Hai Aur Isi Par Unka Amal Hai, Aur Ziydah Tar Ahle Ilm 20 Rakaton Ke Qayel Hain Jo Hazrat Ali, Hazrat Umar In Dono Ke Ilawah Digar As'habe Nabi صلى الله عليه وسلم Se Manqool Hai, Yahi Sufyan Soori Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Shafai Ka Qaul Hai, Aur Imam Shafai Ne Farmaya Mein Ne Apne Shaher Makka Me Paya Hai Ki Wo 20 Rakat Taraveeh Padhte Hain.
(ترمذى شريف، ج-١، ص-٩٩)

Ahle Madinah 36 Rakat Taraveeh Aur 5 Rakat Vitr Ke Qayel The, Piche Jo Ahle Madinah Ki Taraf 36 Rakat Taraveeh Ke Qayel Hone Ka Qaul Guzra Wo Vitr Ko Chhod Kar Tha, 5 Rakat Vitr Mila Kar Wo 41 Rakaton Ke Qayel The Pehli Aur Is Riwayat Me Koi Tazad Nahi Hai.
(فتح البارى، ج-٤، ص-٢٥٣)

Gaur Kijiye Imam Tirmizi رحمه الله تعالى Ne Kai Hazraat Ke Naam Ginwa Diye, Inme Se Koi Bhi 8 Ka Qayel Nahi Sab 20 Ya Usse Ziydah Hi Ke Qayel Hain.

Gair Muqallideen Aur Deobandiyon Ke Shaikhul Islam Ibne Taiymiyah Hambali Ne Bhi 20 Rakat Hi Ko Sunnat Aur Sahi Qarar Diya Hai Wo Likhte Hain,

فانه قد ثبت ان ابى بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة فى قيام رمضان ويوتر بثلاث فرأى كثير من العلماء ان ذالك هوالسنة لانه اقامه بين المهاجرين والأنصار ولم ينكره منكر

Tarjamah-

Ye Baat Sanade Sahi Se Sabit Hai Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Logon (Sahaba Wa Taba'een) Ko Ramzanul Mubarak Me 20-Rakat Taraveeh Aur 3 Vitr Padhate The, Lihaza Bahot Saare Ulma Isi Ko Sunnat Qarar Dete Hain, Kyu Ki Hazrat Ubai Bin Ka'ab Ne 20 Rakat Taraveeh Hazraate Muhajireen O Ansaar Ki Maujudgi Me Padhai Thi'n Aur Kisi Ne Bhi Inkar Nahi Kiya.
(فتاوى ابن تيمية، ج-٢٣،، ص-١١٢)

Garaz Ki Jo Mamool Hazrat Umar Ke Daur Se Chala Wo Hunooz Chala Aaraha Hai Ummat Ke Sabhi Auliya Ulma Muhaddiseen Mujtahideen Mufassireen Ne Is Par Amal Kiya Hai, Aur Ye Masla Ijama'ee Ho Gaya Hai, Ab Isse Farar Ki Koi Surat Nahi.

Hujjatul Islam Sayyedna Imam Muhammad Gazaali رضى الله عنه Ko Kaun Nahi Janta Hai, Aap Farmate Hain,

التراويح وهى عشرون ركعة وكيفيتها مشهورة وهى سنة مكدة

Taraveeh 20 Rakaten Hain Jinka Tariqah Mash'hoor O Maroof Hai, Aur Yahi Sunnate Mo'akkedah Hai.
(احياءالعلوم، ج-١، ص-٢٤٣)

Piron Ke Peer Roshan Zameer Huzoore Gausul Azam Dastageer Sayyedna Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللہ تعالٰی عنہ Jinko Musalmano Ka Bachcha Bachcha Bade Peer Ke Naam Se Janta Hai Aap Farmate Hain,

صلوة التراويح سنة النبى صلى الله عليه وسلم وهى عشرون ركعة

Taraveeh Ki Namaz Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sunnat Hai, Aur Yeh 20 Hi Rakat Hai.
(غنية الطالبين،،، ص-٢٧٨)

Mazeed Dekhiye Ahde Risalat Se Aaj Tak Tamam Bilaade Islamiyah (Islami Shehron) Me Isi Par Amal Hota Aaya Hai, Harmain Sharifain (Makka Aur Madinah) Me Bhi Isi Par Aaj Tak Amal Ho Raha Hai.

"20-RAKAT TAVEEH KI 1400-SALA TAREEKH"

Gair Muqallideen Ki Maali Madad Saudi Se Hoti Hai Aur Hind O Pak Me Wahabi Deobandi Ahlesunnat Wa Jamat Ko Amaale Khair (Niyaz Fatihah, Durudo Salam, Milad) Se Rokne Ke Liya Makka Aur Madinah Sharif Ki Dhons Jamate Hain, Aisa To Saudi Me Nahi Hota Jo Saudi Me Hota Hai Wahi Mano Islam To Saudi Se Aya Hai Etc.

Magar Kya Aapko Pata Hai Namaze Taraveeh Makka Aur Madinah Sharif Me Kitni Rakat Hoti Hai?

Gair Muqallideen Se Guzarish Hai Ki Taraveeh Me Bhi Saudiyon Ki Itteba Karen.

Masjide Nabwi صلى الله عليه وسلم Ke Mudarris Madinah Sharif Ke Qazi Saudi Arab Ke Mash'hoor O Maroof Aalim Shaikh Atiya Saalim Ne Arbi Me Ek Kitab Likhi Hai,
التراويح اكثر من الف عام
(Taraveeh Ki Hazar Saal Se Ziydah Tareekh)
(Ye Kitab Aasani Se Hujjaj Ke Zarye Saudi Se Mangwa Sakte Hain, Ya Mumbai Delhi Se Urdu Tarjame Wali Kharidi Ja Sakti Hai)

Is Kitab Me Unho Ne Bataya Ki Masjide Nabwi Aur Harame Kaba Me SAHABA E KIRAM رضوان الله عليهم أجمعين Ke Zamane Se Aaj Tak Kitni Rakat Taraveeh Ho Rahi Hai, Wo Kitab Ke Muqadme Me Likhte Hain,

"Masjide Nabwi Me Taraveeh Ho Rahi Hoti Hai To Kuch Log 8 Padh Kar Bhag Jate Hain, Unka Khayal Hai Ki 8 Padhna Behtar Hai, Aur Isse Ziydah Jayez Nahi, Is Tarah Ye Log Masjide Nabwi Me Baqya Taraveeh Ke Sawab Se Mehroom Hote Hain, Unki Is Mehroomi Ko Dekh Kar Afsos Hota Hai Lihaza Ye Kitab Likh Raha Hun Taaki Un Logon Ke Shukook O Shubhaat Khatm Hon, Aur Unhe Bhi 20 Hi Rakat Padhne Ki Taufeeq Mil Jaye"
(التراويح اكثر من الف عام،، ص-٦)
Phir Uske Baad Atiya Saalim Ne Pehli Sadi Hijri Se 14wi Sadi Tak Ka Mamool Bataya Hai, Wo Likhte Hain,

"Pehli Dusri Tisri Sadi Hijri Me Taraveeh Vitr Ke Sath Masjide Nabwi Me 23 Aur 39 Tak Hui Hai"
4thi 5wi 6thi Hijri Ke Bare Me Likhte Hain,

عادت التراويح فى تلك الفترة كلهاالى عشرين ركعة فقط بدلا من ست وثلا ثين فى السابق

Tarjamah-

In 3 Sadiyon Me Taraveeh 36 Ke Bajaye Hasbe Sabiq (Purane Tariqe Par) Phir 20-Rakat Padhi Jane Lagi.
(التراويح اكثر من الف عام، ص-٤٢)

Phir 7wi Se 13wi Sadi Tak Yani 600—Saal Tak Ke Bare Me Likhte Hain,

فكان يصلى التراويح اول الليل بعشرين ركعة على المعتاد ثم يقوم آخر الليل فى مسجد بست عشرين ركعة

Tarjamah-

Shuru Raat Me Hasbe Dastoor 20-Rakat Taraveeh Padhi Jati Thi, Phir Raat Ke Aakhri Hisse Me 16 Rakaten Nafl Padhi Jati Thi.
(التراويح اكثر من الف عام،،، ص-٤٧)

Phir 14sadi Hijri Ke Shuru 50 Saal Ke Bare Me Likhte Hain,

"14wi Sadi Ke Pehle 50 Saal Tak Masjide Nabwi Me Taraveeh Ka Yahi Silsila Qa'im Raha, Pehle 20 Rakat Taraveeh Padhi Jati Thi, Phir Raat Ke Akhri Hisse Me Mazeed 16 Rakaten Padhi Jati Thi, Phir 14wi Sadi Ke Akhri 50-Saal Me Aale Saud Ki Hukumat (Maujudah Najdi Hukumat) Qaim Hui To Makka Sharif Aur Madinah Sharif Dono Jaghon Ki Masjidon Me 5 WAQT Ki Namaz Aur Jamat Aur Taraveeh Ke Nizam Ko Ziydah Behtar TARIQE Se Intezam Kiya Gaya.

اما عدد الركعات وكيفية الصلوة فكانت عشرين ركعة بعد العشاء وثلاث وتر وذالك طيلة الشهر

TARJAMAH-

Rakaat Ki Aur Namaz Ki Kaifiyat Ka Haal Ye Hai Ki Namaze Isha Ke Baad 20-Rakat Taraveeh Aur 3-Vitr Padhi Jati Hain, Pure Ramzan Aisa Hi Rehta Hai.
(أيضاً،، ص-٥٤)

Natijatan Atyah Saalim Likhte Hain,

فتكون التراويح قد استقر على عشرين ركعة على ما يدل عليه العمل فى جميع البلاد

TARJAMAH-

Is Tarah Taraveeh Ka 20-Rakat Padhna Bilkul Pukhta Aur Mazboot Ho Gaya Jaisa Ki Ab Tamam Mulkon Aur Shehron Me Isi Par Amal Hai
(أيضاً،، ص-٦٥)

Maujudah 15wi Sadi Me Bhi Harmain Sharifain Me 20 Hi Rakat Taraveeh Hoti Hai, Aur Ise Dunya Bhar Ke Lakhon Karodon Hujjaj Wa Za'ireen Apni Aakhon Se Dekhte Hain Kaba Sharif Me Me 2 Hafiz Hote Hain Ek 10 Padha Kar Piche Aata Hai Aur Dusra 10 Padhata Hai Aur Pehla Dusre Ke Piche Apni BAQYA 10 Padhta Hai.

Garaz Ki Ahde Sahaba Se Aaj Tak In MUQADDAS SHERON Me Kabhi 20 Rakat Se Kam Taraveeh Hui Hi Nahi.

Agar Hui Bhi Thi To Ziyadh Kam Nahi NASLAN BADA NASLIN QARNAN BADA QARNIN Tawatur Se 20 Rakat Muntaqil Hoti Aarahi Hai Aur Tawature NAQL Khud Hujjate Shari Hai.
1400 Saala Tarikhe Taraveeh Likhne Ke Baad Atiya Saalim Ne Jo Tabserah Aur Nasihat Kee Hai Wo Padhne Se TA'ALLUQ Rakhta Hai, Wo Kehte Hain,

Arbi Ka Tarjamah-

"Iske Tarikhi Tafsili Tajziyah Ke Baad Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Ki Masjide Nabwi Me Taraveeh Ke Aagaz Se Ab Tak 1400 Saala Tareekh Me Kya Taraveeh 8 Rakat Padhna Sabit Hai Ya 8 Na Sahi 20 Se Kam Padhna Sabit Hai, Balki Sabit To Yahi Ho Raha Hai Ki In Puri 14 Sadiyon Me Jo Taraveeh Padhi Gai Wo 20 Hai Ya Usse Ziyadh 40 Tak.
Is Tarah Hum Qari'een Se Puchna Chahte Hain Maazi Me Kisi Sahabi Ya Aalim Ne Ye Fatwa Diya Hai Ki 8 Se Ziydah Taraveeh Jayez Nahi, Aur Usne Hazrat Aishah Siddiqah رضى الله عنها Wali Hadees Ko Apne Fatwe Ki Bunyad Banaya Hai?
Algaraz In 14 Sadiyon Me Koi Aisa Qabile Zikr Shakhs Hame Nahi Milta Jo Kahe Taraveeh 8 Se Ziyadh Jayez Nahi,
Aur Naahi Yeh Sabit Hota Hai Ki Masjide Nabwi Me Ba'jamat Sirf 8 Rakat Taraveeh Padhi Gai Ho, Phir Jo Log 8 Par Zidd Karte Hain Aur Dusron Ko 8 Padhne Ki Dawat Dete Hain, Hum Unse Bas Itna Arz Karenge Ki KHULAFA E RASHIDEEN Ke Zamane Se Aaj Tak Musalmano Ke Marakiz (Makka Aur Madina) Me Jo 20 Rakat Taraveeh Hoti Aarahi Hai Usi Par Chale'n Aur Sabeele Momineen (Musalmano Ke Raste) Se Juda Na Ho'n Aur Unki Mukhalifat Se Bachen"
(التراويح اكثر من الف عام،،، ص- ١٠٨،١٠٩)

Ye Kitab Kisi Sunni Hanfi Barelvi Aalim Ki Nahi Balki Hambali Najdi Saudi Aalim Ki Hai Jahan Ke Rupye Paise Se Gair Muqallideen Ki Dukane Chal Rahi Hai, Gair Muqallideen Saudi Ja Kar Salfi (Buzurgon Ke Raste Par Chalne Wala) Bante Hain Lekin Hum Sab Jante Hain Ki Inka Imamo Waliyon Hatta Ki Sahaba Se Tak Ikhtelaf Hai Ye Dogle Log Jo Bholi Bhali Awam Ko Quran O Sunnat Ke Naam Se Dhoka De Rahe Hain Ye Angrezi Fitna Hai Musalman Inke Fareb Me Na Aayen Aur Inki HAQIQAT Ko Pehchane'n.

"MASLAE TARAVEEH ME SANAD KI TEHQEEQ"

Grammer Aur Ahadees O AMALE Sahaba Wa Taba'een Se Taraveeh Ka 20 Rakat Sunnate Moakkedah Hona Bataya Gaya, Aur Gair Muqallideen Ki Pesh Kardah Ahadees Par Bhi Bit'tafseel Bahes Ki Gai Aur 1400 Saala Islami Tareekh Najdi Aalim Ke Qalam Se Humne Aapke Samne Rakh Dee.

Aaj Kal Gair Muqallideen Ki Ye Sazish Hai Ki Fuqhae Ahnaaf Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Karte Hain Unke AQWAL Ko Tod Marod Kar Apne Mizaj Ke Mutabiq Banate Hain, Hum Uska Bharpur Jayezah Apni KITAB "ULMAE E AHNAAF AUR RAKATE TARAVEEH" Me Lenge.

Ab Akheer Me Ye Baat Samjhen Jo Hasile Guftagu Ke Taur Par Pesh Ho Rahi Hai, 8 Ko Sunnat Aur 20 Ko Gair Sunnat Kehne Wale, Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى الله عنهما Ki 20 Rakat Taraveeh Wali Hadees Ko Sirf Ek Rawi Ki Wajah Se Za'eef Qarar Dete Hain, Jab Ki Wo Ye Qaidah Bhool Jate Hain Ki Sanad Dekhne Ki Zarurat Kis Hadees Ke Silsile Me Pesh Aati Hai.

Chaliye Ye Bhi Hum Hi Bata Kar Aap Par Aur Aapke Ullu'ma Par Ehsane Azeem Kar Den.

Qaidah-

Eik Hadees Wo Hai Jo Ummat Ke Beech Bil Ittefaq Qubool Ki Gai (Jaise Abdullah Bin Abbas Ki 20 Rakat Wali Hadees) Sahaba Ne Taba'een Ne Aimmah Arbah Ne Aur Ulmae Muqqiqeen Ne Qubool Kiya Aur Inme Se Har Ek Ka Amal Bhi Isi Ke MUTABIQ Hai Aur Dusri Hadees Wo Hai Jo MUKHTALAF FEEH Hai (Jisme Ikhtelaf Hai) Aur Usse Nikalne Wale Hukm Par Na Sahaba Ne Ittefaq Kiya Na Amal Aur Na Baad Walon Ne (Jaise 8 Rakat Taraveeh Wali Hadees) Zahir Hai Sanad Dekhne Ki Zarurat Is Hadees Me Hogi Na Ki Pehli Qism Ki Hadees Me.

Sanad Ki Zarurat Wahan Hoti Hai Jahan Ikhtelaf Ho, Maslan Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Namaz Me Hath Kahan Bandhe, Aameen Ahista Kahi Ya Zor Se, In Jaise Masayel Me Zamanae Sahaba Se Aaj Tak Ikhtelaf Hota Aaraha Hai Jo Jispar Aitemad Karta Hai Uske Qaul Ko Leta Hai, Aur Jahan Ekhtelaf Ki Habba Barabar Bhi Gunjaish Na Ho Hazraate Sahaba Ke MUQADDAS Daur Se Aaj Tak JUMLA MUHADDISEEN AIMMAHE MUJTAHIDEEN Aur FUQHAE KIRAM Ka Ittefaq Ho Ye ITTEFAQ Ye Amli Tawatur Aur "TULAQQI BIL QUBOOL" Khud Sanad Hai Aur Nihayat Qabile Wasooq Sanad Hai.

Gair Muqallideen Ke Motamad Hafiz Ibne Qaiyyim Hambali Ne Wassiyat Taharat Wagerah Ki Chand Hadisen Likhne Ke Baad Jo Ibarat Likhi Hai Wo Padhne Se Ta'alluq Rakhti Hai Wo Kehte Hain,

وان كانت هذه الاحاديث لا تثبت من جهة الاسناد، ولكن لما تلقتها الكافة عن الكافة غنو بصحتها عندهم عن طلب الاسنادلها

Tarjamah-

Ye Ahadees Agarche Sanad Ke Aitebar Se Sabit Nahi Hain, Lekin Jab Sab Logon Ne Sab Logon Se Riwayat Karte Huye Ise TULAQQI BIL QUBOOL (تلقى بالقبول) Ka Darjah De Diya, To Ab Sehte Hadees Ko Janchne Ke Liye Sanad Talab Karne Ki Zarurat Nahi Rahi.
(اعلام الموقعين،،، ج-١،، ص-٢٠٢)

Ab Aap Samajh Gaye Honge Naqle Tawatur Ummat Ke Tamam Logon Ka Amal Ye Khud Hujjate Shari Hai Aur 20-Rakat Ijmaye Ummat Se Sabit Ho Gai Aur Ab Iska Inkar Ya Isse Farar Na Karega Magar Gumrah.

Akheer Me Eik Dilchasp Aur Kaar'amad Baat Batata Chalun, 8 Rakat Tahajjud Wali Hadees Ko Taraveeh Samajhne Wale Munkire Hadees Firqah Ahle Quran Aur Qaydani Jamat Ke Log Hain Magar Afsos Ki Ab Gair Muqallideen Ki Samajh Daani Bhi Baanjh Ho Gai, Aur Wo Mukireene Hadees Wa Munkireene Khatme Nubuwwat Ki Raah Chalne Lage Ab Zaroori Maloom Hota Hai Ki Gair Muqallideen Ko Unhi Ke Shaikhul Islam Mualana Sana'ullah Amratsari Ki Eik Ibarat Dikhai Jaye, Unse Eik Sawal Hua Jo Ramzan Me Taraveeh Padh Le Phir Wo Tahajjud Padhe Ya Nahi, Jiska Jawab Wo Yun Dete Hain,

Jawab-

Padh Sakta Hai Kyun Ki Tahajjud Ka Waqt Subah Se Pehle Ka Hai Shuru Shab (Raat) Ka Nahi.
(فتاوی ثنائیہ،، جلد-١،، صفحہ-٢٨٢)

Lijiye Aaphi Ke Shaikhul Islam Taraveeh Aur Tahajjud Ko Alag Alag Namaz Tasleem Kar Rahe Hain.

Ek MAQAM Par Yahi Shaikhul Islam Munkire Hadees MOLVI ABDULLAH CHAKDALWI Ke Dawa "TAHAJJUD AUR TARAVEEH EIK HI HAI" Ka Rad Karte Huye Likhte Hain,

"Aise Saaf Aur Wazeh Jawab Ko Paa Kar Bhi In CHAKDALWI Sahab Ne Qubool Nahi Kiya, Aur Puri Koshish Ki Ke Taraveeh Aur Tahajjud Ko Eik Hi Kahen, Yaani Jo Namaz Shuru WAQT Me Padhi Jati Hai (Isha Ke Faoran Baad Taraveeh) Usi Ko Akhri WAQT Ki Namaz Tahajjud Kahen, To Jawab Iska Ye Hai Ki Is Dawa (Ki Taraveeh Aur Tahajjud Eik Hi Hai) Par Koi Daleel Nahi, Balki Iske Khilaf Daleel Hai, Kyun Ki Tahajjud Ke Maana Hai Neend Se Uth Kar Namaz Padhna Jaisa Ki Qamoos Me Hai تهجد Ta'hajjada, (Jabki Taraveeh Sone Se Pehle Padhi Jati Hai) Aur Hazrat Aishah Siddiqah رضى الله عنها Ki Hadees Se Bhi Sabit Nahi Hota Ki Shuru Raat Aur Akhri Raat Ki Namaz Eik Hi Hai Usse Agar Kuch Sabit Bhi Hota Hai To Bas Yahi Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم 11 Rakaten Padhte The.
(اہل حدیث کا مذہب، صفحہ-٩٣)

Tamam Gair Muqallideen Ko Chahiye Ki Apne Shaikhul Islam Ki Maane, Aur Har Saal RAMZAN Me Musalmano Ko Kasrate Ibadat Se Rok Kar Ibleese La'een Ka Sath Na Den Aur Is Puri Bahes Ko Ba'nazre Insaf Padhen Aur Akhirat Ki Fikr Karte Huye La'mazhabiyat Se Tauba Karen Aur Ahle HAQ AHLESUNNAT WA JAMAT Ke Mazahibe HAQQA Me Se Kisi Eik Ki TAQLIDI NISBAT IKHTERYAR Karen.

Allah Pak Hum Sab Ko Islam Par Zindah Rakhe Islam Par Uthaye Aur Aslaf Ke TARIQE Par Chalaye, Aur Tamam Sunni Mardo O Zann Ko Hamesha 20 Hi Rakat Taraveeh Maahe Ramzan Me Padhne Ki Taufiqe Rafeeq Ata Farmaye.

"ZAKAT KA BAYAN"

Allah Rabbul Izzat Quran E Majeed Burhane Rasheed Me Irshad Farmata Hai,

لَّيْسَ ٱلْبِرَّ أَن تُوَلُّوا۟ وُجُوهَكُمْ قِبَلَ ٱلْمَشْرِقِ وَٱلْمَغْرِبِ وَلَٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ وَٱلْمَلَٰٓئِكَةِ وَٱلْكِتَٰبِ وَٱلنَّبِيِّۦنَ وَءَاتَى ٱلْمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِى ٱلْقُرْبَىٰ وَٱلْيَتَٰمَىٰ وَٱلْمَسَٰكِينَ وَٱبْنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِى ٱلرِّقَابِ وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلْمُوفُونَ بِعَهْدِهِمْ إِذَا عَٰهَدُوا۟ ۖ وَٱلصَّٰبِرِينَ فِى ٱلْبَأْسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَحِينَ ٱلْبَأْسِ ۗ أُو۟لَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُوا۟ ۖ وَأُو۟لَٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُتَّقُونَ

Tarjamah-

Neki Iska Naam Nahi Ki Tum Apna Muh Mashriq Ya Magrib Ki Taraf Karo, Neki To Uski Hai Jo Allah Aur Pichle Din (Qayamt) Aur Malayekah Aur Kitab (Jo Asman Se Utri) Aur Ambiya (Hazrat Adam Se Huzoor Tak) Par Iman Laya, Aur Maal Ki Mohabbat Par Rishtedaron Aur Yatimon Aur Miskino Aur Musafir Aur Saai'leen Aur Gardan Chhudane Me Diya, Aur Namaz Qayam Kee Aur Zakat Dee, Aur Nek Wo Log Hain Jab Koi Mo'ahedah Kare To Apne Ahed (Wade) Ko Pura Kare, Aur Takleef Aur Musibat Ke WAQT Sabr Karne Wale, Wo Log Sachche Aur Wahi Log Muttaqi Hain.
{Para-2, Sure Baqrah Ayat-177}

Zakat Wajib Hone Ke Baad Bhi Takheer Karna Ya Na Adaa Karna Allah Pak Ke Shakht Azab Ko Dawat Dena Hai, Aise Logon Ke Hawale Se Rab Ta'ala Irshad Farmata Hai,

وَٱلَّذِينَ يَكْنِزُونَ ٱلذَّهَبَ وَٱلْفِضَّةَ وَلَا يُنفِقُونَهَا فِى سَبِيلِ ٱللَّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ،
يَوْمَ يُحْمَىٰ عَلَيْهَا فِى نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَىٰ بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنُوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ ۖ هَٰذَا مَا كَنَزْتُمْ لِأَنفُسِكُمْ فَذُوقُوا۟ مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ

Tarjamah-

Jo Log Sona Aur Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, Jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge, Aur Unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha, To Ab Chakho Maza Us Jama Karne Ka.
{PARA-10, SURE TAUBAH AYAT-35}

Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye.

✒HADEES:

Jo Sone Aur Chandi Ka Malik Ho Aur Uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga Uske Liye Aag Ke Pattar Banaye Jayenge,
Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi, Aur Unse Uski Karwat Aur Peshani Aur Peeth Daagi Jayegi, Jab Thande Hone Par Ayge Phir Waisa Hi Kiya Jayega. Ye Mamla Us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) Aur Oonton Ke Bare Me Farmaya Jayega Jo Uska HAQ Ada Nahi Karta Qaymat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont Mote Mote Hoke Aayenge Aur Use Pairon Se Kuchlenge Aur Danton Se Katenge, Jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (Cow) Aur Bakriyan Aayengi Aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi.
{صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}

✒Hadees:

Huzoore Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (Tarah Tarah Ki Bimariyan Aasmani Afaten Khuskh Saali Wo Deegar Masayeb)
?المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ-276، الحديث-4577.

✒Hadees:

Hazrat Umar Farooq رضى الله تعالى عنه Se Riwayat Hai Huzoore Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,
Jo Maal Kushki (Zameen Pe) Aur Tari (Pani Me) Talf (Barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.
?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16

Zakat Na Ada Karne Ke Azaab Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me Padhiye,

✒Hadees:

Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayenge Magar Maal Daron Ke Hathon, To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega.
?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

✒Hadees:

Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik Wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya.
? صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

✒Hadees:

Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame Hukm Hua Namaz Padhen Zakat Den, Jisne Zakat Nahi Dee uski Namaz Qubool Nahi.
?المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

✒Hadees:

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Martaba Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya,
Qasam Hai Uski Jjiske Hath Me Meri Jaan Hai, isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya, To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru Kiya, Hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai, Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar Jhalak Rahe The, To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti Ke Saath Dakhil Ho Ja.
?سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435

✒Hadees:

Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya, Tumhare Islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do.
?مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة، جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

✒Hadees:

Hazrat Abdullah Ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne,
Jo Allah O Rasool Pe Imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo Apne Mehman Ki Izzat Kare.
?المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

In Tamam Muqadsas Irshadat Ko Padhne Ke Baad Bhi Koi Kum Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Nahi Samjheha, Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Paak Na Karega To Us Badbakht Ka Kya Ilaj?

Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is paak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain Jinke Ghar Chulha Nahi Jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Paas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi Ki Un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.

Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hai Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain Imaan O Islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi Inki Bhi Khabar Le.

Hum Musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada Farz Allah O Rasool Ke Faraman Ke Aage Sar Kham Karna Hai Hame Musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni Chahiye Insha'Allah Ispe Amal Hua To Amaan Hi Amaan Qayam Hoga.

✒Hadees:

2 Aurten Huzoor Ki Khidmat AQDAS Me Hazir Hui'n, Unke Haton Me Sone Ke Kangan The, Huzoor Ne Irshad Farmaya Kya Tum Inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki Allah Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi,
Farmaya To Zakat Ada karo.
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}

"ZAKAT Ki Tareef"

Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai, Magar Wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le.

✏Mas'ala:

Zakat Farz Hai Uska Inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha'hadah Hai. (Yani Agar Wo Kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}

✏Mas'ala:

Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, Sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui Ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana De Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, Isi Tarah Zakat Ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada Ho Gai.
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas'ala:

Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,

Musalman Hona.
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}

✏Mas'ala:

Jo Maal Girwi Rakha Gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na Utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo Girwi Raha.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-877}

✏Mas'ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Baad Uske Pas Nisab Ke Barabar Maal BAQI Nahi Rehta To Uspe Zakat Nahi.
{Fatawa Hindiya, Volume-1, Page-172}

✏Mas'ala:

Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai.
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe Fiqh)

Zakat Kise Dee Jaye Aur Kise Nahi, Is Silsile Me Ahadees Aur Fiqhi Masayel.

✒Hadees:

Huzoor E Aqdas صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, Sadqah Admiyon Ka Mayel (Gandagi) Hai Aur Ye Meri Ahle Bait Ke Liye Jayez Nahi.
?الطبقات الكبرى، لابن سعد، جلد-1، صفحہ-29.

Maale Zakat Bani Hashim Ko Jayez Nahi, Bani Hashim Me Ye Log Hain
Awlade Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Aqeel رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ

✒Hadees:

Hamare Liye Sadqah Halal Nahi Aur Jis Qaum Ka Azad Kiya Hua Gulam Ho Wo Bhi Unhi Me Se Hai (Bani Hashim Ke Gulamo Ko Bhi Sadqah Zakat Dena Jayez Nahi)
?جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ماجاء في كراهية الصدقة للنبي الكريم صلى الله تعالى عليه وسلم، وأهل بيته ومواليه، جلد-2، صفحہ-142، الرقم الحديث-657

✒Hadees:

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai, Ki Imame Hasan رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Sadqe Ka Khurma Muh Me Rakha Ispe Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya Kakh Kakh (Chi Chi) Use Phenk Do, Phir Farmaya Kya Tume Maloom Nahi Ki Hum Sadqah Nahi Khate ?
صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب ما يذكر في الصدقة للنبي صلى الله عليه وسلم وآله، جلد-1، صفحہ-503، الرقم الحديث-1491..

Jinhe Zakat Dee Jaye Unme Se Kuch Ye Hain ,

1- Faqeer.
 
Faqeer Use Kahenge Jiske Pas Kuch Ho Magar Itna Na Ho Ki Khud Zakat Dene Ke Layeq Ho, Ya Nisab Ke Barabar Ho Magar Wo Chize Uski Hajate Asliya Me Ho Yani Uski Apni Zaruraton Ke Liye.
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-333}

✏Mas'ala:

Faqeer Agar Aalime Deen Ho To Use Zakat O Sadqat Dena Jahil Ko Dena Se Afzal Hai.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-187}

Magar Aalime Deen Ko Dete Waqt Uske Martabe Ka Lihaz Zaroori Hai, Is Adab Ke Saath Pesh Kare Jaise Chota Apne Bade Ko Nazr Pesh Karta Hai, Agar Dil Me Aalim Ki Hiqarat Aai To Ye Hilakat (Barbadi) Aur Sakht Barbadi Hai.

2- Miskeen

Aur Miskeen Wo Hai Jiske Pas Kuch Na Ho Yahan Tak Ki Khane Aur Badan Chupane Tak Ke Liye Mohtaj Ho, Aisa Sakhs Logo Se Sawal Kar Sakta Hai, Magar Faqeer Ko Sawal Karna Jayez Nahi, Q Ki Uske Paas To Hajat Bhar Samaan Hai.
{الفتاوى الهندية، کتاب الزکاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ 187}

3- Gaarim (غارم)

Yani Qarazdar Jispe Qarza Ho Use Bhi Zakat Dee Jasakti Hai, Magar Uspe Itna Qarza Ho Ki Agar Wo Khud Zakat Dega To Uska Maal Nisab Ke Barabar Nahi Rahega.
Agarche Uska Bhi Auron Pe Baqi Ho Magar Use Wasool Hone Ki Ummid Na Ho Ya Wo Apne Qarazdaro Se Lene Par Qadir Na Ho, Magar Qarazdar Hashmi Na Ho.
{الدرالمختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}

4- Fee Sabi'lillah.

Yani Allah Ki Raah Me Kharch Karna Uski Chand Surtein Hain, Masalan Koi Shakhs Jihad Me Jana Chahta Hai Magar Safar Kharch Paas Nahi Na Sawari Hai To Use Zakat De Sakte Hain, Agar Koi Haj Ko Jana Chahta Hai To Use Bhi De Sakte Hain, Magar Use Khud Sawal Karna Jayez Nahi.
Ya Talibe Ilm Jo Ki Deen Ki Taleem Lena Chahta Hai, Use Zakat De Sakte Hain Aur Aisa Talibe Ilm Apne Liye Sawal Bhi Kar Sakta Hai.
Yun Hi Har Nek Kaam Me Zakat Laga Sakte Hain Magar Usme Tamleek (Malik Banana) Shart Hai Bagair Malik Banaye Zakat Ada Nahi Hogi.
{الدر المختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}

5- Ibnus Sabeel.
 
Yani Musafir Jiske Pas Maal Na Raha Zakat Le Sakta Hai, Agarche Uske Ghar Maal Maujood Ho Magar Usi Qadr Le Jisse Hajat Puri Ho, Ziyadah Ki Ijazat Nahi.
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188

✏Mas'ala:

Zakat Me Ye Zaroori Hai Ki Malik Banaye, Sirf Abahat (Kharch Karna) Kafi Nahi.
Agar Koi Maale Zakat Masjid Me Kharch Kare Ya Mayyat Ko Kafan De Ya Mayyat Ka Qarza Chukaye, Ya Gulam Azad Kare, Ya Pull (Bridge), Musafir Khana, Sadak, Naher, Kuwan Khudwaye Ye Koi Kitab Wagera Waqf Kare To Ye Nakafi Hai.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188.

Jise Bhi Zakat De Use Pure Taur Se Malik Banaye Taki Wo Jahan Munasib Samjhe Kharch Kare.

✏Mas'ala:

Apni Asal (Jinke Awlad Me Se Ye Hain) Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani, Inse Upar Jitne Hain Inhe Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Apni Fara (Iski Awlad Me Jo Hain) Jaise Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi, Aur Inse Niche Jitne Hain Ko Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Sadqae Fitr O Nazr O Kaffarah Bhi Unhe Nahi De Sakta.
Raha Nafli Sadqa To Wo De Sakta Hai Balki Behtar Yahi Hai Ki Inhe Hi De.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Bahu Damad Soteli Maa Sotele Baap Ya Biwi Apne Shohar Ki Dusri Awlado Ko Ya Shohar Apni Biwi Ki Dusri Awladon Ko (Jo Isse Na Ho) Aur Rishtedaron Ko Zakat De Sakta Hai.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Aurat Shohar Ya Shohar Aurat Ko Zakat Nahi De Sakte, Haan Talaqe Mugallazah (3-Talaq) Ho Chuki Aur Iddat Puri Ho Gai To Ab De Sakte Hain.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-189.

✏Mas'ala:

Sahetmand Tandurust Ko Zakat De Sakte Hain Agarche Wo Kamane Ki Taqat Rakhta Ho, Magar Sawal Karna Use Jayez Nahi.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-929}

✏Mas'ala:

Jiski Maa Sayyadani (Bani Hashim Se) Ho Magar Baap Sayyed Nahi Aise Ko Zakat De Sakte Hain, Shariat Me Nasab Baap Se Hai Maa Se Nahi.
?بهار شریعت، بیان. مال زکاة كے مصارف، حصه-5، صفحہ-931.

✏Mas'ala:

Zakat Aur Sadqat Me Afzal (Behtar) Ye Hai Ki Pehle Apne Bhaiyon Behno Ko De, Phir Unki Awlad Ko, Phir Chacha Phuphiyon Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Mamu Khala Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Dusre Rishtedaron Ko, Phir Padosiyon Ko, Phir Apne Pesha Walo Ko Phir Apne Shaher Ya Gaon Walo Ko.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-190...

Huzoor E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,

Aye Meri Ummat Qasam Hai Mujhe Uski (Allah Ki) Jisne Mujhe Haq Ke Saath Bheja Allah Psak Us Shakhs Ka Sadqah Qubool Nahi Farmata Jiske Rishtedar Uske Sulook Ke Mohtaj Hon Aur Ye Dusro Ko De.
Qasam Hai Mujhe Uski Jiske Daste Qudrat Me Meri Jaan Hai Allah Tala Uski Taraf Qayamat Me Nazar (Rehmat Ki) Nahi Farmayega.
?مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب الصدفة.....إلخ جلد-3، صفحہ-297...

"Ahem Mas'ala"

Zakat Dena Bhi Ibadat Aur Sawab Ka Kaam Hai Ise Dete Waqt Bahot Dhiyan Aur Chhan Been Zaroori Hai. Bad Mazhab (Gumrah Jisne Zaruriyate Ahlesunnat Me Se Kisi Chiz Ka Inkar Kiya) Ko Zakat Dena Jayez Nahi. Aur Wahabi Deobandi Shia Qadyani Har Gustakhe Khuda O Rasool Jo Shane Risalat Me Khabis Kalme Kehte Hain Jihne Ulmae Harmain Tayyibain Zadallahu Sharfa Ne Bil'ittefaq Kafir O Murtad Kaha Unhe Zakat Dena Haram Sakht Haram Ashad Haram Musalman Samajh Ke Diya To Khud Kafir Hua Aur Taleefe Qalb Ke Liye Diya Tab Bhi Haram Ada Hi Nahi Hui Gunah Hua So Alag Phir Se Zakat Ada Kare.
{Bil Ittefaq Ulame Ahlesunnat Wa Jamat}

"Aitekaf Ka Bayan"

Ramzan E Pak Ki Ibadaton Me Se Eik Ibadat Aitekaf Karna Hai.

Jo Ramzan Ke Akhri Ashre Me Kiya Jata Hai.
(20we Roze Ke Suraj Guroob Hote Hi Masjid Me Jana Aur Maahe Shauwwal Ka Chand Nazar Aane Par Masjid Se Bahar Hona) Ye Aitekaf 10 Dino Ka Hai.

Khush Naseeb Hain Wo Log Jo Ise Ada Karte Hain Rat O Din Masjid Ke Nurani Mahol Me Reh Kar Chote Bade Gunaho Se Bachte Hain Aur Zikro Tilawat Duroode Pak O Nate Pak Ki Kasrat Se Apni Aakhirat Sanwarte Hain.

Is Aitekaf Ke Bade Fazayel Warid Huye Hain Jisme Se Kuch Ye Hain,

✒Hadees:

Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai,

Huzoor Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ramzane Paak Ke Aakhri Ashre Me Aitekaf Farmaya Karte The.
?صحيح مسلم، كتاب الاعتكاف، باب الاعتكاف العش الأوخر من رمضان، صفحہ-597، الرقم الحديث-1172،

✒Hadees:

Sayyedna Imame Husain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya,

Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre Kiye.
?شعب الایمان، باب في الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966

✒Hadees:

Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Farmati Hain,

Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye, Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye, Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho, Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi, Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare.
?سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.

"Ramzan Ke Akhri 10 Din Ka Aitekaf Yani 20we Roze Ko Suraj Doobte Waqt Masjid Me Ba-Niyyate Aitekaf Hona Aur 30we Ramzan Ko Suraj Doobte Hi Nikalna Ya 29 Ko Chand Nazar Aane Par Masjid Se Nikalna, Agar 20we Ramzan Ko Namaze Magrib Ke Baad Aitekaf Ki Niyyat Se Dakhil Hua To Sunnate Moakkedah Ada Na Hui, Ramzan Ka Aitekaf Sunnate Kifayah Hai, Agar Shaher Ya Gaon Ke Sab Logo Ne Chhod Diya To Sab Se Puch Hogi, Aur Agar Eik Ne Bhi Kiya To Sab Bariuz'zimmah Hain"

✏Mas'ala:

Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Thaherna Aitekaf Hai, Aur Uski Liye Musalman Aaqil (Aqal Wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart Hai, Balig Hona Shart Nahi, Balki Na'balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

✏Mas'ala:

Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (Badi Masjid) Shart Nahi, Balki Masjide Jamat Jisme Imam O Mo'azzin Muqarrar Hon Agarche Usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho, Aur Asani Isme Hai Ki Mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai, Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, Khususan Is Zamane (Gaon Dihat Me) Aksar Masajid Aisi Hain Ki Wahan Na Imam Hai Na Mo'azzin.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

✏Mas'ala:

Sab Se Afzal Aitekaf Karna Masjide Haram (Kabatullah) Me, Phir Masjide Nabwi Me, Phir Masjide Aqsa Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat Hoti Ho.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1021}

✏Mas'ala:

Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai.
Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho.
Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare.
Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho. Aur Use Pak O Saf Rakhe.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

✏Mas'ala:

Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti.
Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

Aitekaf 3 Tarah Ke Hain,

1- Wajib Yani Minnat Ka Aitekaf,
2- Sunnate Moakkedah Ye Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf Hai,
3-Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas Waqt Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya, Ye Baigar Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai. Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor Karen.

✏Mas'ala:

Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Roza Shart Hai Agar Kisi Musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua.
?الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-496.

✏Mas'ala:
Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai.
Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai.
?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497.

✏Mas'ala:

1 Mahina Aitekaf Ki Minnat Maani To Ye Minnat Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta, Balki Khas Us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

✏Mas'ala:

Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai, Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Baad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
✏Mas'ala:

Wajib Aitekaf (Minnat Ka Aitekaf) Me Motakif Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai, Agar Bagair Uzr Nikla To Aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne Se Aitekaf Toot Jata Hai.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
✏Mas'ala:

Aurat Ne Masjide Bait (Ghar Me Wo Hissa Jo Aurat Ne Apne Namaz Padhne Ke Liye Banaya Ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf Kiya Aur Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-212}
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se Nikalne Ke 2 Uzr (Wajah) Hain.
✏Mas'ala:

1- Hai Taba'ee Hajat.

Jaise Pakhana Peshab Istinja Wazu Aur Gusl, Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.

2-Shari Hajat.

Masla'lan Eid Ya Juma Ke Liye Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par Jana.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501}
✏Mas'ala:

Qazaye Hajat (Pakhana Peshab) Ko Bahar Gaya To Farig Hote Hi Chala Aaye Thaherne Ki Ijazat Nahi, Motakif Ke 2 Makan Hain Eik Masjid Se Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke Makan Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar Door Ke Makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya.
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501}
✏Mas'ala:

Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-Jamat Ke Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024}
✏Mas'ala:

Jis Masjid Me Aitekaf Kiya Tha Wo Gir Gai Ya Kisi Ne Wahan Se Nikalne Pe Majboor Kiya To Faoran Dusri Masjid Me Jaye Aitekaf Nahi Tootega.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-212}
Aaj Ke Zamane Me Shaher Ki Tamam Masjido Se Lag Kar Hi Wazu Khana Istenja Khana Aur Gusl Khana Bana Hota Hai Motakif Wahan Chala Jaye Lekin Farig Hote Hi Masjid Me Aajaye Agarche Wo Masjid Se Qarib Bane Hote Hain Lekin Hain To Kharije Masjid Hajat Puri Hone Ke Baad Wahan Thaherne Se Aitekaf Toot Jayega.

✏Mas'ala:
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Agar Dubte Ya Jalte Ko Bachane Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya Ya Mareez Ko Dekhne Ya Jihad Karne Ya Gawahi Dene Masjid Se Bahar Gaya Ya Namaze Janaza Padhane Gaya Aur Wahan Dusra Padhane Wala Nahi Tha Tab Bhi In Tamam Surton Me Aitekaf Toot Jayega.
?الفتاوى الهندية. كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-212.
✏Mas'ala:

Aitekaf E Wajib (Minnat Ka Aitekaf) Karte Waqt Ye Shart Kee Thi Ki Mariz Ko Dekhne Namaze Janaza Aur ILMI MAJALIS Me Hazir Hoga To Ye Shart Jayez Hai. Ab Agar In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Na Toota.
Magar Sirf Dil Me Niyyat Kafi Nahi Balki Zaban Se Kehna Bhi Zaroori Hai.
?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-212.
✏Mas'ala:

Motakif Pakhana Peshab Ke Liye Gaya Tha Qaraz Khawah Ne Rok Liya To Aitekaf Toot Gaya.
بہارشریعت، اعتكاف كا بيان، حصہ-5، صفحہ-1025.
✏Mas'ala:

Motakif Ne Din Me Bhol Kar Khaya Piya To Na Roza Toota Na Aitekaf, Motakif Ne Haram Maal Ya Nasha Ki Chiz Rat Me Khai To Aitekaf Nahi Toota, Magar Is Haram Khori Ka Gunah Hua Is Liye Tauba Kare.
Motakif Masjid Me Hi Khaye Piye Soye In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Fasid Hua, Magar Khane Pine Me Masjid Ki Safai Ka Khoob Khayal Rakhe Masjid Me Gandagi Na Ho, Aitekaf Me Gali Galoch Ya Jhagda Karne Se Aitekaf Nahi Toot'Ta Magar Be'Noor Aur Be-Barkat Hota Hai.
?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-213.
✏Mas'ala:

Motakif Ke Siwa Masjid Me Kisi Aur Ko Khane Pine Aur Sone Ki Ijazat Nahi, Agar Ye Kaam Karna Chahe To Masjid Me Aitekaf Ki Niyyat Kare Aur Namaz Padhe Ya Zikre ILAHI Kare Phir Ye Kaam Kar Sakta Hai.
بہارشریعت، اعتكاف كا بيان، حصہ-5، صفحہ-1026.
✏Mas'ala:

Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Chahiye Ki Halate Aitekaf Me Kasrat Se Quran E Majeed Ki Tilawat Kare, Hadees Sharif Padhe, Durood Sharif Padhe, Deen Ka ILM Sikhe Aur Sikhaye, Huzoor E Pak ﷺ Wa Deegar Ambiya Alaihimussalam Ki Sirate Tayyebah Padhe. Awliya Wa Saliheen Ki Hikayaat Padhe.
?بہار شریعت، اعتکاف کا بیان، حصہ-5، صفحہ-1027.
✏Mas'ala:

Motakif Chup Rehne Ko IBADAT Samjhe To Ye Makroohe Tehrimi Hai, Agar Sawab Samajh Ke Na Ho Aur Aise Hi Chup Raha To Harj Nahi, Agar Buri Baat Se Chup Raha To Ye Aala Darje Ki Chiz Hai Q Ki Zuban Se Buri Baat Na Nikalna Ye Wajib Hai.
?الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-507.
✏Mas'ala:

1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Maani Thi Aur Mar Gaya To Har Din Ke Badle Sadqae Fitr Ke Barabar Miskeen Ko Fidya Diya Jaye, Jabki Usne Wasiyyat Ki Ho Aur Uspe Wajib Hai Ki Wasiyyat Kar Jaye, Aur Agar Wasiyyat Nahi Kee Thi Magar Warison Ne Apni Taraf Se Diya Tab Bhi Jayez Hai.
?الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-214.
In 10 Dino Me Masjid Ke Noorani Mahol Me Apne Zahir O Batin Ko Sanware.
Aur Behtar Hai Motakif Aitekaf Me Puri Shab Nawafil Aur Tilawat E Quran Aur Taubah Istigfar Aur Duaon Me Guzaare, Agar Tamam Raton Ko Na Jaag Saka To Kam Az Kam Taaq Raton Ko Jisme Shabe Qadr Ka Raaz Poshidah Hai Jaag Kar Use Paye, Aur Motakif Hi Q Har Musalman Ko Chaiye Ki Ramzan Ke Akhri Ashre Ki Taaq Raton Me Jage 21,23,25,27,29 Ye TAAQ Raten Hain.

"Faza'ile SADQAAT"

Zakt O Sadqat Dena Ibadat Hai Aur Bade Sawab Ka Kaam Hai Aur Jo Mohtaj Faqeer Miskeen Yateem Gareeb Bewah Bekas Hain Unhe Lena Bhi Sawab Hai Aur Isse Unki Dunyawi Zaruraten Bhi Isse Puri Hoti Hai.

Magar Aaj Kal Dekhne Me Aata Hai Achche Khase Tandurust Jo Kama Kar Khud Bhi Kha Sakte Hain Auron Ko Bhi Paal Sakte Hain Magar In Logo Ne Apne Wajood Ko Bekar Kar Diya, Kaun Mehnat Kare Kahan Pasina Bahayen.
Bas Aasan Tariqa Ye Hai Logo Ke Aage Hath Phailao Aur Muft Ki Rotiyan Todo.
MUFT KI GANGA ME HARAM ME GOTE.

Aur Isse Jo Asal HAQDAR Hain Bechare Mehroom Reh Jate Hain. Kuch Logo Ko Dekha Gaya Ki Khoob Paise Wale Hain Magar Khandani Faqeer (Shah Biradari Se) Hai To Bheek Mangna Nahi Chhodte Khete Hain Sahab Ye Khandani Pesha Hai Hum Khayege To Bheek Ki Hi Khayege.
Ye Sarasar Galat Aur Haram Hai Bheek Mangna Pesha Kaise Ho Gaya???

Ye To Jab Kisi Musalman Ko Waqai Koi Musibat Hai Tangi Me Mubtela Ho To Apne Musalman Bhai Se Apni Zarurat Bhar Sawal Kare.
Bila Zarurat Sawal Karna Haram O Na'jayez Hai Aur Is Silsile Me Huzoor E AQDAS صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Aaliyah Kya Hain Ba-Gaor Padhen.

✒HADEES:

Jo Shakhs Bagair Hajat Ke Sawal Karta Hai Goya Wo Angara Khata Hai.
?المعجم الكبير، باب الحاء، جلد-4، صفحہ-15، الرقم الحديث-3506.

✒Hadees:

Aadmi Sawal Karta Rahega Yahan Tak Ki Qayamat Ke Din Is Haal Me Aayega Ki Uske Chehre Par Gosht Ka Tukda Na Hoga (Sirf Haddiyan Hogi, Nihayat Zaleel Ho Kar Aayega)
?صحيح مسلم، كتاب الزكاة، باب كراهة المسألة للناس، صفحہ-518، الرقم الحديث-1040،

✒HADEES:

Jo Shakhs Sawal Kare Aur Uske Pas Itna Hai Jo Use Be Parwa Kare To Wo Apne Liye Aag (Jahannam) Chahta Hai.
Logo (Sahaba) Ne Arz Ki Wo MIQDAR Kya Hai? Jiske Hote Admi Ko Sawal Jayez Nahi, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya SUBAH O SHAM Ka Khana.
?سنن أبي داود، كتاب الزكاة، باب من يعطى من الصدقة وحدالغنى، جلد-2، صفحہ-164، الرقم الحديث-3382.

✒Hadees:

Jise FAQAH (Khane Ko Na Mile) Paohcha Agar Usne Logon Se Bayan Kiya To Uska FAQAH Band Na Hoga, Agar Usne Allah Se Bayan Kiya To Allah Use Jald Se Be-Niyaz Kar Dega, Ya Jaldi Maut De Kar Ya Jald Maldar Farma Kar.
? سنن أبي داود, كتاب الزكاة، باب في لاستعفاف، جلد-2، صفحہ-170، الرقم الحديث-1645....

Baz Bikhari Allah Ke Naam Par Do Allah Ke Waste Do Is Tarah Ki Sadayen Lagate Hain, Halaki Hadise Pak Me Iski Sakht Mumani'at Aai Hai, Eik Hadees Me Use Maloon (Lanati) Qarar Diya Gaya, Aur Eik Hadees Me Use Bad'tareen Khalayeq (Mukhluq Me Sab Se Bura) Kaha Gaya,
Aur Masjid Me Sawal Karne Wale Ko Bhi Na De.

Ulama Farmte Hain Jisne Masjid Ke Bhikari Ko 1 Paisa Diya Wo Kaffare Me 70 Paise Khairat Kare, Amirul Momineen Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه Ne Eik Shakhs Ko Maidane Arafat Me Kisi Ko Bheek Mangte Dekha To Use Durre Lagwaye Farmaya Tu Aisi Jagah Gaire Khuda Se Sawal Karta Hai.????

Ramzan KeMahine Me Khoob Khoob Zakat O Sadqat Den Khairat Kare Apne Musalman Bhaiyon Ki Imadad Kare Magar Khayal Rahe Jo MUSTAHIQ Ho Usi Ko.

Agar Allah Pak Ne Apne Fazl O Karam Se Aapko Maldar Banaya Hai To Apne Maal Ka Sahi Istemal Rahe Khuda Me Kijiye, Dar HAQIQAT Yahi Akhriat Me Kaam Aane Wali Chizen Hain.

Us Maal Ka Kya Fayedah Jo Jama Karta Raha Aur Marne Ke Baad Dusron Ke Liya Chhod Gaya ?
Na Khud Khaya Pehna Na Akhirat Ke Liye Jama Kiya.

Zakat To Har Sahebe Nisab Par Farz Hai Hi, Magar Zakat Ke ILAWA Bhi Sadqat Khairat Karte Rehna Chahiye, Rahe Khuda Me Badh Chadh Ke Hissa Lena Chahiye Madarse Masajid Yateem Khane Sunni Tanzeem O Tehreek Ki Imadad Karni Chahiye, Ye Aapki Akhirat Ki Behtari Ke Liye Hai.

HUZOOR E AQDAS صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Padhiye,

✒Hadees:

Bandah Kehta Hai Mera Maal Mera Maal, Magar Use To Us Maal Se 3 Hi Qisam Ke Fayede Hain, Jo Kha Kar Fana Kiya, Jo Pahen Kar Purana Kiya, Aur Jo Ataa (Garibo Ko De Kar) Kar Ke Akhirat Ke Liye Jama Kiya.
?صحيح مسلم، كتاب الزهد والرقائق، باب الدنياسجن للمؤمن وجنةالكافر، صفحہ-1582، الرقم الحديث-2959,

✒Hadees:

Mere Pas Uhad Pahad Ke Barabar Sona Ho To Mujhe Pasand Nahi Ki Usme Ka Kuch 3 Raat Tak Mere Pas Rahe, Haan Agar Dain (Qarz) Ho To Kuch Rakh Lun (Taki Jiska Qarza Ho Use De Sakun)
? صحيح البخاري، كتاب الرقائق، باب قول النبي صلى الله تعالى عليه وسلم ما يسرنى أن عندى مثل احد هذا ذهبا، جلد-4، صفحہ-232، الرقم الحديث-4645،

✒Hadees:

SADQAH Karna Allah Ke Gazab (Jalal) Ko Bujhata Hai Aur Buri Maut Se Bachata Hai.
{Tizmiri, Volume-2, Page-146, Hadees No-664}

✒Hadees:

Allah Farmata Hai, Aye Ibne Adam Apna Maal Mere Pas Jama Kar Wo Na Jalega Na Dubega, Na Chori Hoga, Mai Tujhe Pura Dunha Jab Tujhe Uski Sakht Zarurat Hogi.
{Shahbul Iman, Jild-3, Page-211, Hadees No-3342}

✒Hadees:

Sadqah Burai Ke 70 Darwazon Ko Band Karta Hai.
{Al Mojamul Kabeer, Jild-4, Page-273, Hadees No-4402}

✒Hadees:

Sakhi (Sadqa Karne Wala) Admi Allah Se Qareeb Hai, Jannat Se Qareeb Hai, Logo Se Qareeb Hai Aur Jahnnam Se Door Hai.
Bakheel (Kanjoos) Allah Se Jannat Se Logo Se Door Hai Aur Jahannam Se Nazdeek Hai.
{Jame Tirmizi, Jild-3, Page-387, Hadees No-1968}

"SADQAE FITR KA BAYAN"

✒HADEES:

Abdullah Bin Umar رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Huzoor E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Zakate Fitr 1 Saa (Arab Ka Wazan) Khurma Ya Jao Gulam O Azad Mard O Aurat Chhote Aur Bade Musalmano Par Muqarrar Farmaya, Aur Ye Hukm Farmaya Ki Namaz Se Phele Ada kar De.
?صحیح البخاری، أبواب الصدقة الفطر، جلد-1، صفحہ-507، الرقم الحديث-1503،

 

✒Hadees:

Bande Ka Roza Aasman O Zameen Ke Beech Mu'allaq (Latka) Rehta Hai Jab Tak Sadqae Fitr Ada Na Kare.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-935}

Sadqae Fitr Se Muta'alliq Zaroori Masayel Dhiyan Se Padhe Aksar Ki Aapko Zarurat Pesh Aayegi.

Mas'ala:

Sadqae Fitr Wajib Hai, Iska WAQT Umr Bhar Hai, Agar Pehle Nahi Diya Tha To Ab De. Na Dene Se Uska Hukm Saqit Nahi Hoga, Aur Takheer Se Dega To Qaza Bhi Nahi Kehlayega, Magar Sunnat Ye Hai Ki Namaze Eid Se Qabal Ada Kare.
(Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Sadqae Fitr Ka Bayan, Page-935)

Mas'ala:

Eid Ke Din Subhe Sadiq Hote Hi Sadqae Fitr Wajib Hota Hai, Lihaza Jo Shakhs Subah Hone Se Pehle Mar Gaya Ya Gani (Sahebe Nisab) Tha Ab Faqeer Ho Gaya, Ya Subah Tuloo Hone Ke Baad Kafir Musalman Hua, Ya Bachcha Paida Hua, Ya Faqeer Tha To Gani Ho Gaya, To Wajib Na Hua, Aur Agar Koi Subah Tuloo Hone Ke Baad Mara To Uska Sadqae Fitr Wajib Hai, Aur Subah Tuloo Hone Se Pehle Kafir Musalman Hua Ya Bachcha Paida Hua, Ya Faqeer Gani Hua To In Sab Pe SADQAE FITR Wajib Hai.
(فتاوی عالمگیری، جلد-1، صفحہ-192)

Mas'ala:

SADQAE FITR Har Musalman Azad Malike Nisab Par Jiska Nisab Hajate Asliya Ke ILAWA Ho Uspe Wajib Hai.
SADQAE FITR Ke Liye AAQIL (AQAL WALA) Balig Aur Maal Ka Naami Hona Shart Nahi Na Maal Par Eik Saal Guzarna Bhi Zaroori Nahi.
(Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-362)

Mas'ala:

SADQAE FITR Ke Liye MAAL Ka Baqi Rehna Bhi Shart Nahi.
Maal Hilak Hua Tab Bhi Sadqa Dena Wajib Rahega.
(Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-366)

Mas'ala:

SADQAE Fitr Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahi, Kisi Uzr (Majburi) Ya Safar Ya Marz Ya Budhape Ki Wajah Se Ya Maz'allah Bila Wajah Roza Chhod Diya Tab Bhi Wajib Hai.
(Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-936)

Mas'ala:

Sadqae Fitr Unhi Ko Diya Jaye Jinhe Zakat Dee Jati Hai, Jinhe Zakat Dena Jayez Nahi Unhe Sadqae Fitr Bhi Nahi De Sakte.
Aamil (Jise Badshahe Islam Ne Zakat Wasool Karne Ka Kaam Diya Hai) Ko Sadqae Fitr Lena Jayez Nahi Haan Zakat Le Sakta Hai.
(Durr E Mukhtar, Volume-3, Page-379(

TEHQEEQ.!!!

Gehun Ya Jao Ya Anaj Dene Se Behtar Hai Ki Qimat De.
Aur Yad Rahe Jo Anaj Hum Khate Hain Usi Ki Qimat Ada Kare.
TEHQEEQ Ye Hai Ki SADQAE FITR 2kg 47gram Hai.

Ab Iski Qimat Kya Hogi Jaisa Genhun Aap Khate Hain Us Hisab Se Jod Kar De'n, Umuman Itne Gehun Ki Qimat Rs-60 Hoti Hai.
Mera Khayal Hai 75 Rupe Dene Me Ziyada Ehtiyat Hai.

10-5 Ziyadah Hone Se Bura Nahi Hai Sawab Hi Sawab Hai Eid Ke Din Kisi Gareeb Miskeen Ke Kaam Aajaye Isse Badh Kar Kya Chahiye.???
Waise Aap Hazraat Jo Qimat Ka Genhu Khate Hain Uske Hisab Se 2kg 47gm Ki Qimat Nikala Kare.


اللہ پاک ہم سب کو رمضان پاک کی قدر کرنے کی اور اس میں خوب خوب عبادت کرنے کی توفیق عطا فرمائے، اور تا حیات مذہب مہذب اہلسنت وجماعت حنفی مذہب یعنی مسلک اعلی حضرت پر قائم رکھے، اور ہر سنی بریلوی مسلمان کو رمضان المبارک میں مدینہ پاک میں سنہری جالیوں کے سامنے ایمان پر موت عطا فرمائے (آمین یا رب العالمین)

 

Post a Comment

0 Comments