Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

HALATE NAMAZ ME MOBILE KI RING BAJE TO KYA KARE?


*🌹SAWAL:-🌹*
Halate Namaz Me mobile ki Ring baje to kya karna chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma farmate he,
_Halate namaz me agar mobile ki ring baje to use ek hath se band kar sakta he jab ke amale kaseer ki hajat na ho, Or agar amale kaseer ki hajat ho to namaz fasid ho jaegi us soorat me us ko chhod de._

Agar kabhi bhul se phone band na karne ki wajah se namaz ke dauran ring bajne lage to use ehtiyat se bandh karne ki koshis kijiye, jeb me hath daal kar ma'amooli harkat se use band kiya ja sakta he kyu ke daurane namaz khafeef harkat se namaz fasid nahi hoti yaani phone band karne ke liye itni zyadah harkat na kare ki jis se dusra dekhne wala ye samje ki aap namaz nahi padh rahe, taham aysa bhi na kijiye ke agar namaz me ghanti baje,jeb se phone nikala,call karne wale ka naam ya number dekha fir itminan se band kar diya, or andaz ye apnaya ki dekhne wala samje ki hazrat namaz me nahi to ye amale kaseer he jo namaz ko fasid kar deta he. Ba'az dafa gaano ki mausiqi sari masjid me gunjti rahti he use use bandh karna mumkin he uske bawajood nahi karte kyu ke hame ilm nahi ki ayse waqt kya karna chahiye,wahi baat ke darte he ki kahi namaz na toot jae.

_Hukme Sharai yahi he ki amale qaleel se mobile bandh kar diya jae ki is se namaz nahi tootti lihaza ek hath jeb me daal kar mobile ko bandh karna, or agar na ho to jeb se nikal kar batan dekh kar bandh karne se bhi namaz nahi tootegi ki ye sab amale qaleel ki soorate he,_

Amale kaseer w qaleel ki ta'areef bayan karte hue Allama shami rahematullah alaihi likhte he "door se dekhne wale ko uske namaz me na ho ne ka shak na ho to amale kaseer he or agar door se dekhne wale ko shak ho ki namaz me he ya nahi to amale qaleel he.
*📚(RADDUL MUHTAR, J-1, S-625)*

Agar ek hi rukn me teen martaba amale qaleel se mobile bandh kiya to namaz fasid ho jaegi ki teen martaba hath ki harkat amale kaseer he. Ba'az log hatta ki imam sahban tak ko ye kahte hue suna he ki mobile phone bandh karle ya vibration par lagade halaki ye durust nahi ki is me agarche masjid ki be adbi or dusro ki namaz ka yaqeeni taur par tahaffuz he lekin apne khushu'a w khuzu'a ka tahaffuz nahi he ki jab phone aaega to vibration ki soorat me yaqeeni taur par tawajje bategi. Is liye mobile ko pahle se hi bandh kar de.

Namaz Shuru'a karke use todna nasse qat'ai qura'an najaiz he. Allah ta'ala irshad farmata he.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَالَكُمْ
Tarjama: Ay iman walo Allah or us kw rasool ki ita'at karo or aone aa'mal ko batil na karo.
*📚(SURA E MUHAMMAD, SOORAT NO-47, AAYAT NO-33)*

_Iske bawajood hukm sharai ye he ki agar mobile ki tone aysi he ki jis ki wajah se vo khud or dusre namazi tashwees me padh gae he or us ki or dusre namaziyo ki namaz me khalal waqe'a ho raha he to is soorat me agar amale qaleel se band kar sakta he to fauran band karde or agar amale qaleel se band nahi ho sakta to namaz tod de, tone band kare, fir namaz nae sare se shuru'a kare jaisa ki fuqha ne pakhana wagairah ki shiddat ki wajah se namaz tod ne ka hukm diya he or us ki illat khushu'a w khuzu'a ka khatm hona batai he._

Allam Alauddin haskafi alaihir rahma farmate he " peshab w pakhana or reeh ki hajate shadeeda ke waqt namaz makroohe tahrimi he.(waqt me wus'at he to tod kar farig ho kar dobara padhna farz he.)
*📚(DURRE MUKHTAR, J-1, S-641)*

*BA-HAWALA: 📚MOBILE PHONE SHARIYAT KE AAINE ME, S-140,141,142)*

Wallahu Aa'alam bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

Post a Comment

0 Comments