بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 54 « ★ Beta Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘5 ⌬ ➤ Hazrat-e-Moaawiya Bin Jaahima Radhi Allaho Anho Bayan Karte Hain Ki Main Huzurﷺ Ke Paas Gaya Aur Jehaad Me Jaane Ki ijazat Maangi To Huzurﷺ Ne Mujh Se Puchha Ki Kya Tumhari Maa Zinda Hai? Main Ne Kaha Ki Haan To Aapﷺ Ne Farmaya Ki Jaao Un Ki Taazim Aur Khidmat Karo Aur Us Se Chimte Raho Kyunki Jannat Uske Qadmo Ke Paas Hai 📒 Sho’abul Imaan,Hadees No.7448 ⚘6 ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Usaid Saaedi Radhi Allaho Anho Bayan Karte Hain Ki Ham Log Huzurﷺ Ke Paas Baithe Hue The Ki Qabila Bani Salma Ka Ek Shakhs Aaya Aur Arz Kiya Ya Rasoolallahﷺ Mere Maa Baap inteqal Kar Chuke Hain To Kya Ab Bhi Un KE Saath Ehsaan Karne Ka Koi Tariqa Hai? To Aap ﷺ Ne Farmaya Ki Haan Un Ke Liye Dua Aur istigfaar Karo Aur Unhone Jo Ahad Kiya Tha Use Pura Karo Aur Jis Rishte Wale Ke Saath Unhi Ki Wajah Se Achchha Sulook Kiya Jaa Sakta Ho Un Ke Saath Achchha Sulook Karo Aur Un Ke Dosto Ki izzat Karo 📚 Abu Dawood,Hadees No.5142.Al-Mustadrak,Hadees No.7260 ⚘⌬ ➤ Yaad Rakhein Huzurﷺ Ki in Paakiza Taalim Par Amal Kiye Begair Koi Aulad Khush Haal Nahi Reh Sakti KyunKi Huzurﷺ Ne Bataya Ki Maa Baap Ki Khushi Me Allah Ki Khushi Hai Aur Un Ki Naraazgi Me Allah Ki Naraazgi Hai... 📚 Tirmizi,Hadees No.1899.Shoabul Imaan,Hadees No.7446 |
Share on |
0 Comments