بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 55 « ★ Baap Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘ ⌬ ➤ Apne Bachcho Ke Liye Ek Achcha Baap Hone Ki Haisiyat Se Hamara un Ke Saath Kaisa Sulook Hona Chaahiye Aur Hamari Kya Zimmedariyaan Hain Es Baare Me Huzur ﷺ Ki Zindagi Hamare Liye Sab Se Behtarin Misaal(Namuna) Hai ⚘ ⌬ ➤ Aap Sallallaho Alaihe wasallam Apni Auladon Se Badi Mohabbat Farmate The Aur Un Ki Tamaam Zaruri’yaat Puri Karte The Lekin Mohabbat Aur ulfat Ke Baa’wajood unhen Kabhi Bhi Galat Raaste Par Chalne Ki ijazat Nahi Dete The Aur Hamesha Shari’at Ke Mutabiq Zindagi Guzarne Ki Taakid Farmate The Hazrate Imam Hasan Radhi allaho Anho Ke Bach’pane Me Huzur Ki Baargah Me Sadqe Ka Khajur Aaya To Us Me Se Ek Khajur Hazrat-e-Imam Hasan Ne Khaane Ke Liye Utha Liya,Achanak Huzur Ki Nazar Padi To Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Fauran Un Ke Haath Se Khajur Le Liya Aur Unhen Samjhate Hue Kaha Ki Beta! Nabi Ki Auladon Ke Liye Sadqe Ki Koi Chiz Khana Jaa’iz Nahi Hai ⚘ ⌬ ➤ Hame Bhi Chaahiye Ki Ham Apne Bachchon Ki Achchhi Tarbi’yat Kare Aur Un Ke Andar Bachpan Hi Se Shari’at Ki Pabandi Karne Ki Aadat Daale Kyunki Tarbi’yat Ka Asal Zamana Bachpan Hi Ka Zamana Hota Hai Aap Sallallaho Alaihe wasallam Ne irshad Farmaya Ki Jab Tumhari Aulad Ki Umar 7 Saal Ki Ho Jaae To Use Namaaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab 10 Saal Ki Ho Jaae (Aur Nahi Padhe)To Maar Kar Padhao Aur Un Ke Bistar Alag Kardo... 📬 Sunan Abu Dawood,Hadees No.495.Tirmizi,Hadees No.407 📚 |
Share on |
0 Comments