بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 56 « ★ Baap Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘ ⌬ ➤Aaj Bahut Saare Log Jab Apne Bachchon Ko Shariat Ke Khilaaf Kaam Karte Dekhte Hain Ya Galat Baat Bolte Hue Sunte Hain To Use Samjhane Ke Bajaae Ye Keh Kar Chhod Dete Hain Ki “Abhi To Ye Bachcha Hai Bada Ho Kar Khud Samajh Jaaega”Ye Huzur Ka Tariqa Nahi Hai Dekha Gaya Hai Ki Jo Bachche Bachpan Me Sirf Ek Do Rupiye Churate The Bade Ho Kar Laakhon Rupiye Churate Hain Aur Kabhi Kabhi iS Ke Liye Logo Ki Jaan Bhi Le Lete Hain Aur is Tarah Se Woh Dusro Ke Liye Bhi Bure Hote Hain Aur Apni Zaat Ke Liye Bhi ⚘ ⌬ ➤ Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Woh Tohfe Jo Ek Baap Apne Bachchon Ko Deta Hai un Me Sab Se Achcha Tohfa “Nek Adab”Sikhana Hai 📬 Al-Mustadrak llil-Haakim,Hadees No.7679 📒 ⚘ ⌬ ➤Aur Aap Sallallaho alaihe Wasallam ne Farmaya Ki Allah Ki Qasam Agar Tum Me Se Koi Apne Bachche Ko Adab Sikhae To Ye Har Din Do Kilo Sadqa Karne Se Behtar Hai 📒 Al-Mustadrak,Hadees No.7680 ⚘ ⌬ ➤ is Liye Hame Apne Bachchon Ki Tarbiyat Ka Khaas Khayal RaKhna Chaahiye ⚘ ⌬ ➤ Ek Baap Jo Apne Bachcho Ki Achchhi Tarbiyat Nahi Kar Sake Woh Kabhi Bhi Ek Achchha Baap Nahi Ho Sakta... |
Share on |
0 Comments