بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 65 « ★ Malik Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Ek Achhchha Malik Hone Ki Haisiyat Se Hamara Apne Khidmat Karne Wale Aur Naukaro Ke Saath Kaisa Sulook Hona Chahiye? is Baare Mein Nabi Kareem ﷺ Ki Seerat Puri Dunya Ke Liye Sab Se Behtarin Missal Hai. ⚘⌬ ➤ Aap ﷺ Ka Apne Khaadimo Ke Saath Sulook ⚘⌬ ➤Hazrat-e-Anas Radhi Allaho Anho Bayan Karte Hain Ki Main 10 Saal Tak Aap ﷺ Ki Khidmat Mein Raha Allah Ki Qasam Aap Ne Kabhi Mujhe Uff Tak Nahi Kaha Aur Nahi Kabhi Ye Kaha Ki Tum Ne Falan Kaam Kyun Nahi Kiya Ya Falan Kaam Kyun Kiya? 📬 Sahi Muslim,Hadees No.2309 📒 ⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Aaisha Radhi Allaho Anha Bayan Karti Hain Ki Huzur ﷺ Ne Jehaad Ke Elawah Kabhi Kisi Ko Apne Haath Se Nahi Maara,Nahi Kisi Naukar Ko Maara Aur Nahi Kisi Aurat Ko... 📚Shamaail-E-Tirmizi,Page No.596 |
Share on |
0 Comments