TARAWEEH 20 RAKAT YA 8 RAKAT?
PART 1:
¤ HADEES: Hazrat Yazeed bin Rumaan رضي الله تعالى عنه ne bayaan kiya ki Hazrat Umar bin khattaab رضي الله تعالى عنه ke daur mein log 23 rakat (20 taraweeh + 3 Witr) padhte the.
[¤ Muwatta Imam Malik, kitabus Salaat fi Ramadaan, Baab al targeeb fi al salaah fi ramadaan,jild 1;
¤ Baihiqi fi Sunan e Qubra,jild 2;
¤ Shobul Imaan,jild 3;
¤ Ibne Hajar Asqalani fi Fath ul Baari
¤ Ibn e Abdul Bar fi al Tamheed
¤ Zurqani fi Shara al Muwatta
¤ Ibne Qudama fi al Mugni]
¤ NOTE: TARAWEEH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SAABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 2:
NOTE: Gair Muqalideen (wahabi) 8 rakat tarawih ke suboot mein Sahih Bukhari ki ek Hadees pesh karte hai jo Haqeeqat mein Tarawih ke baare mein hi nahi hai.
Gair Muqalideen (wahabi) ki daleel aur uska jawaab:
Daleel:
HADEES: ¤ Abu Salma bin Abdur Rahmaan رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai unhone Hazrat Aisha (radiallahuanaha) se RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Namaz ke mutaliq pucha. Aap ki Namaz kaisi thi? Unhone kaha Ramzan ho ya Gair e Ramzan, 11 rakato se zyadah kabhi na padhte the. 4 rakate aisi padhte unki Umdagi aur tawalat ke baare mein to pucho hi nahi, phir 4 rakate adaa farmate unki umdagi aur tawalat ka kya kehna. Phir 3 rakat padhte. Hazrat Aisha kehti hai, maine arz kiya Yaa RASOOLALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ! Aap witr padhne se pehle so jate hai? Aap ne farmaya, Aisha meri Aankhe to so jaati hai lekin dil nahi sota.
[Sahih Bukhari, jild 1, pg 451]
JAWAB:
Is Hadees mein to sirf itna hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ saara saal 11 rakat padhte the. Is mein Tarawih ki sarahat to nahi hai. Is Hadees mein to Tahajjud ki namaz ke baare mein hai. 11 rakat se muraad 8 rakat Tahajjud aur 3 rakat Witr. Kyuki is Hadees ko Tamaam Muhadiseen (Imam Muslim, Imam Abu Dawood, Imam Nasai, Imam Tirmizi, Imam Abdur Razzaq wagaira رضي الله تعالى عنه ) Tahajjud ke baab mein laaye hai. Aur is Hadess mein us Namaz ka zikr hai jo Pura saal padhi jaati hai aur Tarawih saara saal nahi padhi jaati. Agar is namaz se tarawih muraad hoti to Gair e Ramzan ke alfaaz na hote. Is Hadees ke aakhir mein hai ki 3 rakat witr padhte the Jabki Gair Muqallideen Ahle Hadees Kehlane wale ya Jamatul Muslimeen kehlane wale to ek rakat witr padhte hai. Agar is Hadees ke pehle hisse se Tarawih muraad lekar pehle hisse par amal karte hai to phir dusre hisse par amal kyu nahi karte? Aur Tamaam Ahaadees ki kitabon mein is Hadees ko Imam Malik رضي الله تعالى عنه ki sanad se laaya gaya hai jabki khud Imam Malik radiyallahu ta'ala anhu 8 rakat taraweeh ke qaail nahi.
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SAABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 3:
¤ Imam Abu Esaa Tirmidhi رضي الله تعالى عنه ne apni sunan mein farmaya, Aksar Ahle Ilm ka Mazhab 20 RAKAT TARAWIH hai jo ki Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه , Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه aur Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke deegar As-haab se marwi hai aur yahi (kibaar Tabe'een) Hazrat Sufyaan Sawri رضي الله تعالى عنه , Abdullah bin Mubarak رضي الله تعالى عنه aur Imam Shafi'e رضي الله تعالى عنه ka qaul hai aur Imam Shafi'e ne farmaya Maine apne sheher Makkah mein 20 RAKAT TARAWIH padhte paya".
[¤ Tirmidhi Sharif, Kitab: Al Sawm an Rasulallahi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ, Baab Maaja fi Qiyaamu Shahro Ramadaan]
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 4:
HADEES:
¤ "Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه se marwi hai farmaya ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ RAMADAAN mein Witr ke alawa 20 RAKAT TARAWIH padha karte the".
[¤ Musannaf Ibne Abi Shaiba,jild 2;
¤ Tabrani fi al mawjamul awsat, jild 1, wa fi al Mawjamal Kabeer;
¤ Baihiqi fi Sunan e Qubra, jild 2
¤ Khateeb Bagdadi fi tareekh al Bagdaad, jild 6;
¤ Haithami fi Majmu al Zawaid,jild 3;
¤ Ibne Abdul Bar fi Tamheed,jild 7;
¤ Asqalani fi Fath ul Baari shareh Bukhari,
¤ Suyuti fi Tanweer ul hawalik,jild 1;
¤ Jahbi fi Mizaan ul Aetadaal,jild 1;
¤ Zarqani fi Sharah al Muwatta,jild 1]
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI . MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 5:
(Ibne taymiyah wahabiyon ka peshwa hai)
¤ "Ibne Taymiyah ne apne fatawa mein kaha ki saabit huwa ki Hazrat Abi bin Ka'ab رضي الله تعالى عنه Ramadaan mein logon ko 20 rakat Tarawih aur 3 witr padhate the to aksar ahle Ilm ne ise 'SUNNAT MAANA HAIN'. Isliye ki woh Muhajireen aur Ansaar (tamaam)Sahaba ke darmiyaan (unki maujoodgi mein) Qiyaam karte (20 rakat padhate) aur un mein unhi se kabhi bhi kisi ne nahi roka"
[Majmu'aa Fatawa -Ibne Taymiyah,jild 1]
¤ Pata chala ki Tamaam Sahaba 20 rakat Tarawih padhte the aaj tak kisine bhi 8 rakat nahi padhi aur yahi Sahaba ke aqeede mein Sunnat tha. Jo Hazraat Tarawih Amal e Sahaba ke khilaaf jaa kar 8 rakat saabit karne ki naakaam koshish karte hai unhe kam se kam Sahaba ki nahi to apne Shaikh Ibne Taymiyah ki to baat maan hi leni chaahiye.
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE
PART 6:
¤ Hazrat Maalik رضي الله تعالى عنه ne Dawood bin Hussain رضي الله تعالى عنه se riwayat kiya, unhone Hazrat A'araj. رضي الله تعالى عنه ko farmate huwe suna ki maine logon ko is haal mein paaya ki woh Ramadaan mein kaafiron par laanat kiya karte the unhone farmaya (namaz e tarawih) mein Qaari Surah Baqarah ko 8 rakaton mein padhata aur jab baaqi 12 rakatein padhi jaati to log dekhte ki Imam unhe halki (mukhtasar) kar deta"
NOTE: "Rawahu Malikun wal Baihiqi wal Faryabiyun wa Qala: Isnaaduhu Qawiyun"
¤ Hazrat Shah Waliullah Dehelvi ne (is hadees ki sharah mein) bayaan kiya ki 20 Rakat Tarawih aur 3 witr Shawafe aur Ahnaaf ka mazhab hai.
Isi tarah Mahli ne Imam Baihiqi se bayaan kiya.
[¤Muwatta Imam Maalik, kitab us salaat fi Ramadaan, Baab maa jaa fi qiyamur ramadaan;
¤ Baihiqi fi al Sunan e Qubra, jild 2, wa fi Shobul Imaan, jild 3;
¤ Suyuti fi al Tanweer al hawalik sharah Muwatta Malik;
¤ Zarqani fi Sharah al Muwatta
¤ Waliullah Dehelvi fi al Masawi min ahaadees al muwatta]
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 7:
¤ Hazrat Saaib bin Yazeed رضي الله تعالى عنه ne bayaan kiya hai ki hum Hazrat Umar (radiallahuanhu) ke zamane main Fajr ke kareeb Tarawih se faarig hote the aur hum (ba shamul witr) 23 rakat padhte the"
[Musannaf Abdur Razzaaq,jild 4]
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
PART 8:
¤ "Majmuaa til Fatawa al Najdiya main hai ki Abdullah bin Muhammad bin Abdul Wahhab ne taadaad e rakaat e Tarawih se mutaliq sawaal ke jawaab main bayaan kiya ki jab Umar رضي الله تعالى عنه ne logo ko Hazrat Ubai bin ka'ab رضي الله تعالى عنه ki iqtida main namaz e tarawih ke liye jama kiya too woh unhe 20 rakat padhaate the".
[Akhraja Ismail bin Muhammad Ansari fi tashih hadees salatil tarawih Ashrain rakah, jild 1]
¤ NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.
0 Comments