بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 66 « ★ Malik Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Huzur ﷺ Apne Gulamo Aur Khaadimo Ke Saath Kaisi Muhabbat Aur Shafqat Farmate The Us Ka Andaaza Hazrate Zaid Ke Waqiye Se Lagaaya Jaa Sakta Hai Ki Hazrat-E-Zaid Bachpane Hi Mein Apne Maa Baap Se Bichhad Gaye Aur Gulam Ki Surat Mein Huzur Ke Darbaar Tak Pahuche Ek Zamaane Tak Un Ke Maa Baap Apne Bete Zaid Ki Judaai Mein Rote Rahe Aur un Ko Talaash Karte Rahe Aakhir Mein Jab Un Ko Maloom Hua Ki Un Ka Beta Zaid Makka Mein Hai To Apne Bete Ko Wapas Laane Ke Liye Udd Kar Makka Pahuche Aur Huzur Se Kaha Ki Aap Jitna Bhi Rupiya Paisa Lena Chaahte Hain Le Lijiye Aur Hame Hamara Beta De Dijiye To Aap ﷺ Ne Farmaya Ki Mujhe Rupiyo Ki Zarurat Nahi Haan Main Ye Chaahta Hun Ki Zaid Ko Ekhtiyar Do Agar Woh Aap Ke Saath Jaana Chaahe To Hame Koi Eteraaz Nahi Aur Agar Woh Hamaare Saath Rehna Chaahe To Us Par Zabar Dasti Nahi Karna Phir Hazrat-E-Zaid Ko Ekhtiyar Diya Gaya Ki Agar Chaaho To Apne Walid Ke Saath Apne Ghar Chale Jaao Aur Chaaho To Yahi Raho To Unho Ne Begair Kisi Jhijhak Ke Kaha Ya Rasoolallah ﷺ Main Aap Ko Chhod Kar Aur Kahein Jaane Ke Liye Soch Bhi Nahi Sakta Aap Hi Mere Baap Hai Aur Aap Hi Mere Chacha Hain Is Par Un Ke Walid Ne Kaha Aye Zaid Tum Par Afsos Hai Tum Azaadi Ke Bajaae Gulami Ko Aur Apne Maa Baap Ke Saath Rehne Ke Bajaae in Ke Saath Rehna Pasan Karte Ho Tumhein Kya Ho Gaya Hai To Hazrat-e-Zaid Ne Farmaya Aye Mere Baap Dunya Mein in Se Zyada Muhabbat Aur Pyaar Dene Wala Koi Nahi Main inhe Chhod Kar Kahin Aur Jaane Ke Baare Mein Soch Bhi Nahi Sakta.. 📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.158-159 📚 |
Share on |
0 Comments