Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Shab Bedari

Shabe Bedari

15 Shaban Ki Raat Yani Shab E Barat, Eid Ul Fitr Awr Eid Ul Adha Ki Raaton Me Aur Mahe Ramadan Ki Akhri 10 Raaton Me Aur Zil Hajjah Ki Ibtedai 10 Raaton Me Shab Bedari Mustahab Hai. Raat Ke Aksar Hisse Me Jagna Bhi Shab Bedari Hai. 

In Raaton Me Mehaz Jagna Shab Bedari Nahi Balke Asal Shab Bedari Yeh Hai Ke Agar Kisi Ke Zimme Qaza Namazein Ho To Wo Inhe Ada Kare Warna Tanha Nawafil Padhe, Tilawate Quran Majeed Karna, Ahadees Mubareka Padhna Ya Sunna, Durood Shareef Padhna Sab Behtareen Ibadatein Hain, Inme Mashgool Ho. Agar In Muqadas Raaton Me Deeni Masail Seekhne Sikhane Ki Majlis Mayassar Aajaye To Ye Isliye Ziada Behtar Hai Ke Ilm E Deen Ka Sikhna Har Musalman Par Farz Hai.

Inme Se Eidain Ki Raaton Me Shab Bedari Ye Hai Ke Isha Aur Fajr Dono Namazein  Jam'at E Aula Se Ho Ke Sahih Hadees Me Farmaya Gaya "Jisne Namaz E Isha Jam'at Se Padhi Isne Aadhi Raat Ibadat Ki Aur Jisne Namaz E Fajr Bhi Jam'at Se Padhi Isne Sari Raat Ibadat Ki". (Muslim)

Jo Shaks Do Tihai Raat Sona Aur Ek Tihai Raat Ibadat Karna Chahe Isse Afzal Yeh Hai Ke Pehli Aur Pichli Tihai Me Soye Aur Beech Ki Tihai Me Ibadat Kare. Agar Koi Nisf Raat Sona Awr Nisf Raat Jagna Chahe To Iske Liye Pichli Nisf Shab Ibadat Karna Afzal Hai.

✔ Aaqa O Moula ﷺ Ka Farman E Aalishan Hai "Har Raat Ka Jab Akhri Tihai Hissa Baqi Reh Jata Hai To Allah Ta'ala Aasmaan E Duniya Par Khas Tajalli Farmata Hai Aur Woh Irshaad Farmata Hai, Hai Koi Dua Mangne Wala Ke Main Iski Dua Qubool Karo, Hai Koi Mangne Wala Ke Main Isse Ata Karo, Hai Koi Maghfirat Ka Talabgar Ke Main Isse Baksh Doon". (Bukhari)

Share on Whatsapp

Post a Comment

0 Comments