****
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Mujaddid-e-Alfe ṡaani, Imaam-e-Rabbaani, Qayyoom-e-Zamaani, Khazinat-ul-Rahmah, Silah.
**
Aap ki wilaadat 14 Shawwaal 971 Hijri (4 June 1564 A.D.) ko Shab e Jum’aa ko Sirhind me hui.
***
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Abdul Ahad bin Zain-ul-Aabideen rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
**
Aap ke waalid ko khwaab me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne Ambiya, Auliya aur Malaa'ika ke saath aakar khushkhabari di thi.
Aap ki wilaadat ke ek hafta pehle tamaam mazaamir [Musical instruments] ka bajna band ho gaya tha.
**
Aap ne apne waalid Shaikh Abdul Ahad se ibtidaai taaleem haasil ki aur Haafiz e Qur'ān hue.
Phir Sialkot jaakar hadeeṡ, fiq'h, tafseer aur dusre uloom ki ta’aleem haasil kiya.
Aap ne Hazrat Allama Kamaal-ud-deen aur Hazrat Shaikh Maulana Ya’aqoob Surfi Kashmiri se bhi ta’aleem haasil ki.
***
17 baras ki umr me Aap ko Qaadri, Suhrawardi aur Chishti silsile ki ijaazat di gai.
Hazrat Sayyed Shaikh Sikandar Kaithali rahmatullāhi alaihi ne Aap ko Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ka Khirqa mubarak ata kiya.
**
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Ramazaan me Aap ke 10 mureedo ne aap ko roza iftaar ke liye daawat di. Aap ne sab ki daawat qubool kar li. Aur iftaar ke waqt Aap ne ek hi waqt par tamaam mureedo ke ghar par haazir hokar sab ke saath iftaar kiya.
(2) Ek baar ek shakhs ka rishtedaar shadeed beemaar tha. Us ne Aap se apne rishtedaar ki sehat ke ke liye dua karne ke liye arz kiya. Aap ne farmaaya “Jo dunya se inteqaal kar chuka hai us ke liye sehat ki dua karna munaasib nahi.” Yeh sunkar woh rone laga. Jab woh apne ghar pahuncha to pata chala ke us shakhs ka inteqaal ho chuka tha.
**
Aap 11wi sadi ke Mujaddid hain.
Aap ‘Mujaddid-e-Alfe Ṡaani’ (Reviver of Second millennium) aur ‘Imaam-e-Rabbaani’ ke alqaab se mash'hoor hain.
Aap maante the ke Shariat e islaam ke ilaawa aur koi bhi raasta sahi nahi hai.
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaaya to Aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaaya ke “Sirf deen e Islaam hi sahi hai.”
Aap ne khato ke zariye mughal baadshaah ko in galat baato se door rehne ke liye farmaya.
Aap ne ‘Wahaadat-ul-Wujood’ (oneness of being) (ya’ani tamaam chizen ALLĀH ki zaat me se wujood me aai hain) ke falsafe ke badle ‘Wahaadat-ush-Shahood’ (oneness of outer appearance) falsafa bataaya ya’ani Kaa'inat me har makhlooq ALLĀH ki qudrat se wajood me aai hai aur sab me ALLĀH ta’ala ki koi na koi sifat maujood hoti hai aur sirf Soofi hi yeh mehsoos kar sakte hain jo Fana fillāh tak pahunche ho ya’ani ALLĀH ta’ala ke liye tamaam dunyawi cheezo ko qurbaan kar chuke ho.
Us ke baad baadshaah Jahaangeer ne Aap ko sajda e ta’azeemi karne ke liye kaha to aap ne inkaar kiya. Jahaangeer ne aap ko Gwalior ke qile me qaid kar diya. 2 saal baad jab use galti ka ehsaas hua to aap ko riha kiya aur Agra bulaaya aur us ne Akbar ke jaari kiye gaye saare ghair-islaami qaanoon radd kiye.
**
Aap ne mughal baadshaah ko jo khat likhe the, wo ‘Maktubaat-e Imaam-e-Rabbaani’ (536 khutoot ka majmua) ke naam se mash'hoor hai.
Aap ne bahot saari kitaaben likhi hain,
(1) Risaala Isbat-ul-Nabuwwat,
(2) Tauheed-e-Shuhoodi,
(3) Mobada-o-Ma’ad,
(4) Ma’arif-e-Ladqiya,
(5) Makashifaat-e-Ghaibia,
(6) Risaala Telilia,
(7) Risaala Basilsila-e-Ahadees,
(8 ) Sharah Rubaeyat e Hazrat Khwaja Baaqi Billāh.
**
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Agar koi hatheli par sarso jamaakar aur hawa me udkar dikhaaye, Magar shariat par amal na karta ho to hargeez Wali nahi hoga.
(2) Jo makhlooq (insaan) par raham nahi karta ALLĀH ta’ala kabhi use rahmat aur barkat ata nahi farmata.
**
Aap ke 7 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain :
Saahabzaade :
(1) Muhammad Saadiq,
(2) Muhammad Saeed,
(3) Muhammad Ma’asoom,
(4) Muhammad Eisā,
(5) Muhammad Farrukh,
(6) Muhammad Ashraf,
(7) Muhammad Yahyā.
Saahabzaadiya :
(1) Ruqayya (Bachpan me intiqaal hua)
(2) Umme Kulṡum (14 saal ki umr me intiqaal hua),
(3) Khadeeja (Jin ka nikaah Shaikh Abdul Qaadir Faarooqi se hua).
**
Aap Hazrat Khwaja Baaqi Billāh Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko aap ke waalid Hazrat Shaikh Abdul Ahad Faarooqi rahmatullāhi alaihi se ‘Suharwardi’ aur ‘Chishti Saabri’ silsile ki, Hazrat Shaikh Ya’aqoob Sarfi Kashmiri rahmatullāhi alaihi se ‘Kubrawiya’ silsile ki, aur Hazrat Shaikh Sayyed Sikandar Kaithali rahmatullāhi alaihi se ‘Qaadri’ silsile ki khilaafat mili hai.
Aap se ‘Naqshbandi Mujaddidi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Muhammad Saadiq Sirhindi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Muhammad Sa'eed Sirhindi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Muhammad Ma’asoom Sirhindi rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Khwaja Maulana Abdul Ghafoor Samarqandi rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Sayyed Meer Muhammad Nomaan urfe Meer Bulbul Samarqandi rahmatullāhi alaihi (Burhanpur),
(6) Hazrat Haaji Khizr Khaan Afghan rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Shaikh Sayyed Mueez-ud-deen Ādam Banuri rahmatullāhi alaihi,
(8 ) Hazrat Shaikh Muhammad Taahir Lahori rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Shaikh Badi-ud-deen Ansaari Saharanpuri rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Shaikh Noor Muhammad Patni rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Shaikh Hameed Bangali rahmatullāhi alaihi,
(12) Hazrat Shaikh Muzammil Surati rahmatullāhi alaihi,
(13) Hazrat Shaikh Muhammad Taahir Badakhshani rahmatullāhi alaihi,
(14) Hazrat Shaikh Sayyed Haaji Shaah Husain rahmatullāhi alaihi (Manikpur),
(15) Hazrat Maulana Ahmad Barki rahmatullāhi alaihi,
(16) Hazrat Shaikh Hasan Barki rahmatullāhi alaihi,
(17) Hazrat Maulana Muhammad Siddeeq Kishmi rahmatullāhi alaihi,
(18) Hazrat Shaikh Abdul Hayy Shadmani Hisari Patni rahmatullāhi alaihi,
(19) Hazrat Maulana Yaar Muhammad Qadeem-ul-Taliqani rahmatullāhi alaihi,
(20) Hazrat Maulana Yaar Muhammad Jadeed-ul-Taliqani rahmatullāhi alaihi,
(21) Hazrat Maulana Shaikh Abdul Haadi Faarooqi Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(22) Hazrat Shaikh Ahmad Dibani rahmatullāhi alaihi,
(23) Hazrat Shaikh Kareem-ud-deen Abdul Kareem urfe Baaba Hasan Abdaali rahmatullāhi alaihi,
(24) Hazrat Maulana Amaanullāh Lahori rahmatullāhi alaihi,
(25) Hazrat Maulana Hameed-udd-een Ahmedabadi rahmatullāhi alaihi,
(26) Hazrat Maulana Farrukh Husain Lahori rahmatullāhi alaihi,
(27) Hazrat Maulana Abdul Waahid Lahori rahmatullāhi alaihi,
(28) Hazrat Sayyed Muhibullāh Manakpuri rahmatullāhi alaihi,
(29) Hazrat Shaikh Zain-ud-deen Tabrizi Shaafi al-Makki rahmatullāhi alaihi,
(30) Hazrat Shaikh Ali Tabrizi Shaafi al-Makki rahmatullāhi alaihi,
(31) Hazrat Shaikh Soofi Qurbaan Arkanji rahmatullāhi alaihi,
(32) Hazrat Maulana Qaasim Ali rahmatullāhi alaihi,
(33) Hazrat Shaikh Yousuf Barki rahmatullāhi alaihi,
(34) Hazrat Shaikh Abdur Raheem Barki rahmatullāhi alaihi,
(35) Hazrat Shaikh Muhammad ibn Hajar Haytami al-Makki rahmatullāhi alaihi,
(36) Hazrat Maulana Safar Ahmad Rumi al-Samawati rahmatullāhi alaihi,
(37) Hazrat Maulana Ghaazi Gujarati rahmatullāhi alaihi,
(38) Hazrat Khwaja Muhammad Saadiq Kabuli rahmatullāhi alaihi,
(39) Hazrat Khwaja Muhammad Ashraf Kabuli rahmatullāhi alaihi,
(40) Hazrat Khwaja Muhammad Saalih Nishapuri rahmatullāhi alaihi,
(41) Hazrat Shaikh Badr-ud-deen Sirhindi rahmatullāhi alaihi,
(42) Hazrat Maulana Abdul Hakeem Sialkoti rahmatullāhi alaihi,
(43) Hazrat Shaikh Khizr Bahlool Surati rahmatullāhi alaihi,
(44) Hazrat Shaikh Sayyed Shaah Muhammad Saharanpuri rahmatullāhi alaihi, (46) Hazrat Khwaja Muhammad Haashim Kishmi Burhanpuri rahmatullāhi alaihi,
(47) Hazrat Maulana Yousuf Samarqandi rahmatullāhi alaihi,
(48) Hazrat Maulana Muhammad Saalih Kulabi rahmatullāhi alaihi,
(49) Hazrat Shaikh Saleem Banuri rahmatullāhi alaihi,
(50) Hazrat Shaikh Saleem Khan rahmatullāhi alaihi,
(51) Hazrat Shaikh Muhammad Chitri rahmatullāhi alaihi,
(52) Hazrat Shaikh Daawūd Saliki rahmatullāhi alaihi,
(53) Hazrat Shaikh Muhammad Tihari rahmatullāhi alaihi,
(54) Hazrat Shaikh Haamid Tihari rahmatullāhi alaihi,
(55) Hazrat Soofi Qurbaan Qadeem rahmatullāhi alaihi,
(56) Hazrat Soofi Qurbaan Jadeed rahmatullāhi alaihi,
(57) Hazrat Maulana Haashim Khaadim rahmatullāhi alaihi,
(58) Hazrat Sayyed Baaqir Sarangpuri rahmatullāhi alaihi,
(59) Hazrat Maulana Farrukh Husain Harwi rahmatullāhi alaihi,
(60) Hazrat Maulana Haaji Muhammad Zaki rahmatullāhi alaihi,
(61) Hazrat Khwaja Ubaidullāh ibn Khwaja Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi,
(62) Hazrat Khwaja Abdullāh ibn Khwaja Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi.
**
Aap ka wisaal 28 Safar 1034 Hijri (9 Dec 1624 A.D.) ko 63 saal ki umr me hua.
****
Aap ka mazaar Sirhind (Punjab) me hai.
****
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Mujaddid-e-Alfe Ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se Sab ko Mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments