*🌹SAWAL:-🌹*
Allah Ke Wali Gazi Erturgal Ke Naam Par Aaj Jo Serial Film Ya Drama Banaya Jaa Raha He Kya Tarikhe Islam Ki Maloomat Ke Liye Ise Dekhna Jaiz He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Gair muslim Or Digar Mazhab Wale Apne Jhuthe Khudao Ke Naam Par Film Or Drame Banate Aa Rahe Hai Afsos Aaj Islam Or Digar Buzurgane Deen Or Khas Islam Ki Azeem Hasti Allah Ke Walli Gaazi Erturgal Rahematullah Alaihi Ke Naam Par Bhi Drame Or Filme Banai Ja Rahi He.
Isi Tarah Islam Ke Naam Par Film Banana Haqiqat Me Ye Islam Ka Tamasha Banana He Or Jo Log Islam Ka Tamasha Banate Hai Unke Ta'alluq. Se Quraan Kareem Me Wazeh Farman Maujud He,
Allah Ta'ala Qura'an Azeem Me Irshad Farmata He,
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَتَّخِذُوا الَّذِیْنَ اتَّخَذُوْا دِیْنَكُمْ هُزُوًا وَّ لَعِبًا مِّنَ الَّذِیْنَ اُوْتُوا الْكِتٰبَ مِنْ قَبْلِكُمْ وَ الْكُفَّارَ اَوْلِیَآءَۚ-وَ اتَّقُوا اللّٰهَ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِیْن
*📚(Surah Maaida, Aayat-57)*
Ay Iman Walo ! Jo Logo Ko Tum Se Pahle Kitab Di Gai Unme Se Vo Log Jinhone Tumhare Deen Ko Mazaq Or Khel Bana Liya He Unhe Or Kafiro Ko Apna Dost Na Banao Or Agar Iman Rakhte Ho To Allah Se Darte Raho.
Lihaza Ye Film Or Drama Dekhna Or Use Aage Share Karna Najaiz W Haram He Kyuñ Ki Ye Film Bhi Or Filmo Ki Tarah He Yaani Isme Bahut Se Khilafe Shara'a Kaam Paaye Jate He,
Maslan Music, Aurte, Ishqe Mijazi Wagairah Jo Bila Shuba Qat'an Haram He.
Aur is tarah ki filmen agar dekhi jaegi to jab bhi hamare buzurgo ka tazkera hoga hamara zahan in faseeqo ki taraf jaega aur ye buzurgan e din tavhin be adabi he
Lekin Chuñki Isme Islam Ki Tarikh Batai Gai He Is Bina Par Log Samajhte Hai Ki Iske Dekhne Me Harj Nahi Or Isme Kuchh Sikhne Ko Bhi Milta He.
Lekin Ye Haqiqat Me Shaitan Ka Bahut Bada Dhoka He.
Allah Ta'ala Qura'an Majeed Me Irshad Farmata He,
زَیَّنَ لَهُمُ الشَّیْطٰنُ مَا كَانُوْا یَعْمَلُوْنَ
*📚(Surah An'aam, Aayat-43)*
Shaitan Ne Unke Aamal Unke Liye Aarasta Kar Diye The.
Yaani Kaam To Gunah Wala He Lekin Shaitan Se Bahkane Ss Ye Kaam Logo Ko Bahut Achcha Lagta He.
Khudara Tarikhe Islam Ka Mazaq Naa Udao Aaj Jo Musalman Is Drame Ko Shoq Se Dekh Rahe Hai Kal Ma'azAllah Hamare Nabi Ki Seerat Par Bhi Filme Banai Jayegi To Kya Log Ye Kah Kar Filme Dikhege Ki Is Se Kuchh Sikhne Milta He, Astagfirullaah
Jise Tarikhhe Islam Ka Shoq Hee To Vo Kitabo Ka Muta'ala Kyuñ Nahi Karta Lekin Chuñki Logo Ko Filme Dekhna Pasand He Or Ye Islam Ke Naam Par Ek Drama Banaya Gaya He Is Liye Log Apni Hawash Puri Karne Ke Liye Islam Ki Aad Me Ye Drame Dekhte Hai.
Lekin Yaad Rakhna Galat Kaamo Koo Dekhnna Bhi Galat Kaamo Par Madad Karna He Kyuñ Ki YouTube Par Uski Video Par Jitne Views Zyada Honge Utni Hi Us Fillm Banane Wala Ko Madad Milegi Or Use Maali Nafa'a Bhi Hoga.

وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ ۚ
*📚(Surah Maaidah, Aayat-2)*
Gunah Or Zyadati Par Ek Dusre Ki Madad Na Karo.
Lihaza Ye Film Or Drama Or Isi Tarah Or Filme Or Drame Bhi Dekhna Najaizo Haram He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️11 May 2020, 17 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

0 Comments