*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum Hazrat
Mere Zakat K Muttallik Kuch Sawalat H Jo Darje Jail Hai
1. Zakat Kis Par Farz Hai Jiske Pass 7.50 Tola Sona Ho Ya 52.50 Tola Chandi Ho
Ab Sawal Ye Hai Ki Kisi K Paas Agar Dono Ho To Kya Use Sone Aur Chandi Dono Ki Alag Zakat Nikalni Hogi Ya Ek Ki
Agar Ek Ki To Kaise Aur Dono Ki To Kaise Nikalenge
2.Jaisa Ki Huqm Hai Ki 52.50 Tola Chandi Hone Par Zakat Farz Ho Jayegi
Agar Kisi K Pass Chandi Nahi Ho Aur 2 Tola Sona Ho To Baazar Kimat K Hisab Se 2 Tole Sone Ki Qimat Taqriban 60 Hazar Hoti Hai Jabki 52.50 Tole Chandi Ki Kimat Taqriban 25 Hazar Tak Hai To Kya Ab Us Shaks Par Zakat Farz Hogi Ya Nahi Jabke Uske Pass 7.50 Tola Sone Ki Miqdaar To Nahi Hai Lekin Chandi Se Jyada Kimat Ka Sona Hai
Jo 25000 Rupaye Se Jyada H
3.Maine Huzur Turabul Haq Qadri Sahab Rahmatullah Taala Alaihi Ki Aawaz M Ek Audio Suni Jisme Unhone Bataya Ki
Agar Kisi Shaks K Paas Thodi Chandi Ho Aur Thoda Sona Ho Aur Thoddi Rakam Ho Aur Sab Ko Milakar Agar 52.50 Tola Chandi Ki Miqdaar Ki Kimat Banti Hai To Us Par Zakat Farz Hai
Muje Kuch Samaj Nahi Aa Raha Hai
Hazrat In Sabhi Sawalo Ko Shayad Mai Puri Tarah Se Khul K Nahi Bata Paaya Hu
Ab Aap In Sawalo Ka Jawab Ata Farmaye Mai Bohot Uljhan Mai Hu
JazakAllah Khair
*🌹JAWAB:-🌹*
1. Agar kisi shakhs ke paas 7.5 tola sona hani 93 gram312 mili gram sona ho to us sone par bhi zakat farz he or uske alawa uske paas sona nahi he sirf chandi hi he to chandi hone ke liye zaroori he ki 52.5 tola chandi or naya wazan jo he 653 gram 184mili gram itni chandi ho to ab sone par bhi alag zakat he or chandi par bhi alag zakat he.sone ka 40 va hissa or chandi ka bhi 40 va hissa dono ka alag alag hissa zakat ka hoga
2.
Qutube fiqah me ye qayida bataya gaya he ki kisi shakhs ke paas thodi chandi ho, thoda sona ho, to ab un dono ki kimat ko milayege agar un dono ki kimat mil kar 653 gram. 184 miligram chandi ki kimat ko pahoch jae to yakinan us sone chandi ki kimat par zakat farz hogi..
Ab un dono ki kimat ko mila kar zakat ada karege.
Jaise ki saman lijiye 1 shakhs ke paas 10000 ka sona he or usi shakhs ke paas 14000 ki chandi he to ab 10000 ka sona or 14000 ki chandi ko milate he to un dono ki kimat milkar 24000 ho jati he. Or 24000 ye bazar bhav me 653 gram chandi ki kimat ko pahuch jati he to in dono ki kimat par zakat farz hogi,yahi qaida he.
Or agar kisi ke paas sona nahi he balki uske paas chandi he or kuchh rokde paise he. To un rokde paise or chandi ki kimat dono ko milayege. Or in dono ko milakar dekhege ki kya 653 gram chandi ki kimat ko pahuch jate he.
Yani Agar 24000 rupe tak pahuch jate he to ab bhi zakat faz hogi.
Jaise ki kisi shakhs ke paas 10000 rokde paise he or usi ke paas 14000 ko chandi he to un dono ko milayege
Un dono ko milane se 24000 ki rakam ho jaegi to ab us chandi or rokde ko mila kar jitni bhi rakam hogi uske 40 ve hisse par zakat farz hogi usi tarike se agar kisi shakhs ke paas chandi nahi sirf thoda sa sona he, 7.5 tola sona nahi he. To yakeenan us sone par zakat farz nahi q ki tanha sirf sona hi ho to tanha sone ka jo nisab be vo 7.5 tola he lekin agar kisi shakhs ke paas thoda sona he or thode se paise bhi he to ab un dono ko milayege. To un dono ki kimat mila kar bazar bhav me 653 gram chandi ki kimat ho jaegi to ab us thode se sone par or thode paise par zakat bhi zakat farz hogi
Wallahu aa'alam
*_✍🏻Al-jawab:-🌹KHALIFA E HUZUR ASHRAFUL FUQHA,MUFTI E PETLAD, 🌹HAZRAT MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI,_*
*_📬(DARSO TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADRIYA RAZVIYA,PETLAD)_*
=======➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza khan_*
=======➖➖➖➖========

0 Comments