Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu

Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu :


***************
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Murtaza, Haidar e Karraar, Maula e Kaa'inat, Faatih e Wilaayat, Wali e awwal, Imaam-ul-Muttaqeen, Baab-e-Madeenat-ul-ilm, Ashja-un-Naas, Asadullāhi fil ghaalib.

Kunniyat : Abu Turaab.

**********
Aap ki wilaadat 13 Rajab (23 October 600 A.D.) ko hui.

Aap ke waalid ka naam Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib aur waalida ka naam Hazrate Faatima bint Asad radiy-Allāhu ta’ala anha hai.

Aap Quraish ke Banu Haashim qabeele se ta’alluq rakhte hain.

**********
Aap ki waalida haalat e hamal me Ka’abatullāh ka tawaaf kar rahi thi aur un ko dard e zeh shuru hua aur Rab ta’ala ke hukm se wo Ka’aba shareef ke andar chali gai.
Is tarah Aap ki wilaadat Ka’abatullāh ke andar hui.

Wilaadat ke baad aap ne aankhen nahi kholi aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye to Abu Taalib ne unhe aap ki god me diya to aap ne aankhen kholi ya’ani dunya me aane ke baad aap ne sab se pehle Huzoor Sarwar e kaa'inat sallallāhu alaihi wa sallam ko dekha.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Abu Taalib se puchha ke ‘Is ka kuchh naam rakha?’ Unho ne kaha ke “Asad (lion) rakhne ka soch rahe hain. Aap ki kya raay hai?” Huzoor ne farmaaya “Is ka naam ‘Ali’ rakha jaaye.”

**********
Hazrat Abdul Muttalib ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki parwarish ki zimmedaari apne bete Abu Taalib ko di thi. Jab Huzoor ne bade hokar tijaarat karna shuru kiya aur aap ka nikaah Hazrate Khdeeja radiy-Allāhu ta’ala anhu se hua, aur Aap ne dekha ke chacha Abu Taalib ke haalat bure hain aur zyada aulaad hone ki wajah se sab ki parwarish karna mushkil hai. Aap ne un ke paas jaakar farmaaya ke “Chacha, Aap ke mujh par bahot ehsaan hain aur main chaahta hu ke aap apne kisi ek ladke ki zimmedaari mujhe de den.” Abu Taalib ne kaha “Kabhi bhi ehsaan ki baat mat karna. Lekin tum jis ladke ko chaaho apne saath le jaao.”
Aap Hazrat Ali ko apne saath le gaye aur is tarah bachpan se hi Hazrate Ali ki parwarish Huzoor ke saath un ki nigraani me hui.

**********
Ek roz jab Ali ghar me daakhil hue to dekha ke Hazrate Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrate Khadeeja namaaz padh rahe the. Ali ne yeh amal ka pehle kabhi nahi dekha tha. Jab dono ne salaam phera to Ali ne puchha ke “Aap kya kar rahe the?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Main ALLĀH ka nabi bankar aaya hu aur tumhe bhi Islaam apnaane ki daawat deta hu.” Ali ne kaha “Main apne walidain se mashwara karke faisla karna chaahta hu.” Huzoor ne farmaaya “Ali! Abhi ALLĀH ki taraf se Islaam ka aur nubuwwat ka ailaan e aam karne ka hukm nahi hua. Is liye tum kisi se mashwara nahi kar sakte. Tumhe abhi hi tay karna hoga.’ Ali ne kuchh der socha aur phir kaha ke “Main islaam apnaana chaahta hu. Kyun ki maine hamesha aap ki har baat aur amal ko sacha dekha hai. Is liye mujhe yaqeen hai ke aap ALLĀH ke nabi hain.”
Is tarah Aap 610 A.D. me 10 baras ki umr me musalman hue.
Aap bacho me sab se pehle Eimaan laaye aur as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.

**********
13 Nabawi (622 A.D.) me jab ALLĀH ke hukm se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Makka se hijrat kar rahe the tab Hazrate Ali ko apne bistar par sone ke liye kaha aur farmaaya ke “Aye Ali! Ye kuchh amaanate main tumhe dekar jaata hu. Subah ko tum un logo ko apni apni amaanaten dekar Yaṡrib (Madeena) aa jaana.”
Hazrat Ali itminaan se Nabi ke bistar par lait gaye. Kyun ki Aap ko yaqeen tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farma diya hai to Kal subah ko main sab ko amaanate dekar Madeena khairiyat se pahunch jaaunga. Mujhe koi takleef nahi de sakega.

Is ke baad Aap bhi apni waalida ke saath Makka se hijrat karke Madeena shareef aa gaye.
Aap roz raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke makaan par pehra dete the.

***********
Aap Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke daamaad hain.
1 Zil Hijjah 2 Hijri (623 A.D.) ko Aap ka nikaah Hazrate Khaatoon e jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha ke saath hua.
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Aap ne jung e Badr me jo girah mili thi use 480 dirham me bechkar us me se aadhi raqam se mehar ada kiya.
Aur baaqi raqam se Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne kuchh saamaan khareeda aur Sayyeda Faatima Zahra ko bidai ke waqt ek lihaaf, ek chamde ka gadda jis ke andar khajoor ke patte bhare hue the, 2 chakkiya, 1 mashk aur 2 mitti ke ghade diye.
Nikaah ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Sayyeda Faatima ko bulaakar irshaad farmaaya “Aye Faatima! Maine tumhara nikaah apne khaandaan ke behtareen shakhs ke saath kar diya hai.”

***********
Aap panjatan me shaamil hain.
Aap Ashra e mubashara me se hain.

Aap Aa'imma e Ahle bait ke sab se pehle Imaam hain.

Aap Faatih e wilayat aur Wali e awwal hain ya’ani Ummate Mustafa me Auliya Allāh ke silsile ki shuruat aap se hui.

Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa hain.
Aur Aap ke 4 khulfa (Imaam Hasan, Imaam Husain, Khwaja Hasan Basri, Khwaja Kumail bin Ziyad radiy-Allāhu ta’ala anhuma) se tareeqat ke tamaam ‘Alawi’ silsile jaari hain.

***********
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ke

(1) Ali mujh se hai aur Main Ali se hu.
(2) Jis ka main maula hu, Ali bhi us ka Maula hai.
[10 Hijri (632 A.D.) me Hajjatul wida ke baad Ghadeer e Khum par]
(3) Aye ALLAH! Tu us ko dost rakh jo Ali se dosti rakhe aur zaleel kar us ko jo Ali se dushmani rakhe.
(4) Ali se Mohabbat Eimaan ki nishaani he Aur Ali se Nafrat Nifaaq ki nishaani hai.
(5) Main ilm ka shaher hu aur Ali us ka darwaaza.
(6) Aye Ali! Mere nazdeek tumhara martaba aisa hai jaisa Hazrate Moosā alaihis salaam ke darbaar me Hazrate Hāroon alaihis salaam ka. (9 Hijri me Junge Tabook ke mauqe par)
(7) Qayaamat me Hazrate Ādam alaihis salaam apne bete Hazrate Sheeṡ alaihis salaam ke saath fakhr karenge aur main Ali ke saath.
(8) Aye Ali! Tum duniya me bhi sardaar ho aur aakhirat me bhi sardaar ho.
(9) Agar log is qadar roze rakhen ke kamaan ki tarah tedhe ho jaaye,
Phir agar Ali se bughz rakhe to Dozakh me jaayenge.
(10) Tamaam Nabiyo ki zurriyaat (nasab) un ki sulb me hain aur meri zurriyaat Ali ibne Abu Taalib ki sulb me hai.

************
Ek martaba Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne apna daste e aqdas apne sine mubarak par rakhkar farmaaya “Aye Ali! Tum Haadi ho aur mere baad raah paane waale tum se raah paaynge. Wilaayat ke silsile tum se jaari rahenge aur ummat ke Aulia, Ulama aur Ghauṡ o Aqtaab tum se faiz paaynge.”

Kisi ne Hazrat Ali se puchha ki “Jab Maa nahi hoti us ke bacho ko dua ka zariya kya hai?” Aap ne farmaaya “Koi Jheel agar sookh bhi jaaye to mitti me nami baaqi rehti hai, Isi tarah intiqaal ke baad bhi aulaad ke liye Maa ki duao ka aṡar jaari rehta hai.”

***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Dunya me raho magar dunya ko apne andar mat basao,
Kyun ki kashti jab tak paani ke upar rehti hai mehfooz hoti hai aur jab paani kashti me jaaye to woh doob jaati hai.

(2) Insaan duniya me is qadar mashgool hota hai ke use pata bhi nahi chalta ke
Jis kapde se us ka kafan banna hai wo bazaar me aa chuka hai.

(3) Baghair Ilm wa Zohad ke Ibaadat sirf jism ko thakaana hai.

(4) Agar koi shakhs tumhare zariye Hidaayat haasil kare
To ye tumhare liye har us cheez se behtar hai Jis par sooraj chamakta hai.

(5) Agar tum kisi ko chhota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho ya phir ghuroor se dekh rahe ho.

(6) Aye Ibne Ādam! Apne jism ko sanwaarne ki koshish me mat lage raho, Ek din use mitti me mil jaana hai.
Sanwarna hai to apni Rooh ko sanwaro, use Rab ke paas jaana hai.

(7) Khubsurti kapdo se nahi Ilm aur Adab se hoti hai.

(8) Aql jaisi koi daulat nahi aur jahaalat jaisi koi ghurbat nahi. Adab jaisi koi meethaas nahi aur mashware jaisa koi madadgaar nahi.

(9) Aql ek aisi Khudaaee ne'amat hai, Jo Ta’aleem aur Tajurbe se badhti hai.
Aur jab Ilm badhta hai to Guftagu mukhtasar ho jaati hai.

(10) Har cheez ka Sadqa hota hai.
Aql ka sadqa hai ke Jaahil ki baat sunkar bardasht kar lo, Bin zaroori Bahes mat karo.

(11) Lafz insaan ke ghulaam hote hain magar sirf bolne se pehle tak,
Bolne ke baad insaan apne alfaaz ka ghulaam ban jaata hai.

(12) Tumhari niyyat ka imtihaan us waqt hota hai jab tum aise shakhs ko madad karo jis se tumhe badla milne ki ummeed na ho.

(13) Achhe logo ki sohbat se bhalai haasil hoti hai,
Jaise hawa jab Khushbudaar cheez ke paas se guzre to woh bhi khushbudaar ho jaati hai.

(14) Bura dost koyle ki tarah hota hai,
Jab garm hota hai to haath jala deta hai,
Aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.

(15) Insaan gham (dukh) nahi dete,
Insaan se waabasta ummeede gham deti hai.

(16) Log pyaar ke liye hote hain aur cheezen istamaal ke liye.
Magar baat tab bigadti hai jab cheezon se pyaar kiya jaaye aur logo ko istemaal kiya jaaye.

(17) Achhe logon ki ek khoobi ye bhi hoti hai ke unhe yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jaate hain.

(18) Jo zara si baat pe Dost na rahe samajh lena woh kabhi Dost tha hi nahi.

(19) Sacha rishta baarish ki tarah nahi hota, Jo kuchh waqt ke liye aakar chali jaaye,
Balke Hawa ki tarah hota hai, Jo na dikhe tab bhi hamesha mehsoos hoti hai.

(20) Sache dost ki pehchaan ye hai ke use khush nahi karna padta,
Woh khud hi tum se khush rehta hai.

(21) Sacha dost agar ruth bhi jaaye to use baar baar manao,
Kyun ki heeron ki maala toot kar bhi heeron ki hi rehti hai.

(22) Kabhi apne dost ka imtihaan mat lo
kya khabar us waqt woh majboor ho aur tum ek achcha dost ganva do.

(23) Fazool bahes behtareen dost se juda kar deti hai.

(24) Kisi se bhi na-raazgi ka lamha itna taweel mat karo ke woh tumhare baghair jeena sikh le.

(25) Achhe logo ka tumhari zindagi me aana tumhari qismat hai,
Aur unhe sambhaalkar rakhna tumhaara hoonar.

(26) Agar Galat fehmiyo ko door na kiya jaaye to woh Nafrat me tabdeel ho jaati hai.

(27) Rishto ki khubsurti ek dusre ki na-gawaar baat bardaasht karne me hai.
Agar be-aib insaan dhundhoge to akele reh jaaoge.

(28) Zindagi ke har mod par suleh karna sikho.
Kyun ki jhukta wo hi hai jis me jaan hoti hai,
Akadna to murde ki pehchaan hoti hai.

(29) Zindagi ki asli khubsurti yeh nahi ke aap kitne khush ho
Balke zindagi ki asli khubsurti to yeh hai ke dusre aap se kitne khush hain.

(30) Us chiraagh ki tarah bano, jo ghareeb ki jhonpadi me bhi utni hi roshni deta hai jitni roshni ek baadshah ke mahal me deta hai.

(31) Khud ko paani ki tarah banao jo apna raasta banata rehta hai,
Us patthar ki tarah mat bano jo dusro ka raasta rok leta hai.

(32) Apni Zabaan ko Narm guftagu aur Salaam ka aadi banaao.
Is se tumhare Dost zyada aur Dushman kam honge.

(33) Tabiyat ki narmi aur Sakhaawat insaan ko Dushmano ke dilon me bhi mehboob bana deti hai.

(34) Agar koi tum se bhalai ki ummeed rakhe to use maayoos mat karo,
Kisi ki zaroorat ka tum se waabasta hona tum par ALLĀH ka khaas karam hai.

(35) Kisi ka dil mat dukhaao,
Kyun ki maafi maang lene ke bawajood use thoda sa bhi dukh zaroor rahega,
Jaise deewaar me lagi keel ko nikaalne ke baad nishaan reh jata hai.

(36) Kisi insaan ki khoobi ko pehchaano aur use bayaan karo,
Lekin agar kisi ki khaami pata chale to use bayaan na karna yehi tumhari khubi ka imtihaan hai.

(37) Hamesha dusro ke aib talaash karte rehne waale shakhs ki miṡaal us Makhi ki tarah hai jo pure jism ki khubsoorti ko chhod kar sirf jakhm waale hisse par baithti hai (gandagi pasand karti hai).

(38) Apni neki aur dusre ke gunaah ka tazkeera kisi se na karo,
Kyun ki apni neki ko chupaana tumhari Soch ka imtihaan hai aur dusre ke gunnah ko chupaana tumhare Kirdaar ka imtihaan hai.

(39) Insaan ke Kirdaar ki 2 hi Manzilen hain :
Dil me utar jaana, Ya phir dil se utar jaana.

(40) Logo ke dilo me apna maqaam is tarah bana lo ke mar jaao to tumhare liye dua karen aur zinda ho to tum se milne ki khwaahish rakhen.

(41) Zindagi ko zaroorat me rakho, Khwaahishaat ki taraf na le jaao.
Zaroorat faqeero ki bhi puri hoti hain,
Aur khwaahishaat baadshaho ki bhi baaqi reh jaati hai.

(42) Jaha tak ho sake laalach se bacho, Laalach me Zillat hai zillat.

(43) Aye Ibne Ādam! Ilm haasil kar, Ilm dil ko roshni deta hai. Daulat ki laalach se bach, Daulat ki laalach andha bana deti hai.

(44) Deen ki paabandi aadami ko museebato se bachaati hai aur dunya ki laalach aafat me daalti hai.

(45) Apni Umar aur Daulat pe aitbaar mat karo,
Kyun ki jo cheez ginti me aa jaaye wo hamesha khatm hone wali hai.

(46) Un parindo ki tarah bano jo ek ghunt paani peekar ALLAH ta’ala ka shukr ada karte hain.
Aur insaan itni saari ne'amate paakar bhi ALLĀH ta’ala ka shukr ada nahi karta.

(47) Sabr ek aisi sawaari hai jo tumhe girne nahi deti, na kisi ke qadmo me aur na kisi ki nazro me.

(48) Sabr karne waala apni kaamyaabi zaaya nahi karta zamaana chaahe kitna hi guzre.

(49) Be-sabri sabr se zyada takleef deti hai.
Raah wo pakdo jo bando ko Rab se mila deti hai.

(50) Hamesha zindagi is tarah basar karo ke dekhne waale tumhare Dard pe afsos ke bajay tumhare Sabr pe rashk kare.

(51) Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum bilkul toot chuke ho,
To yaqeen jaano tum ko kabhi koi nahi tod sakta.

(52) Zindgi me khud ko kabhi kisi Insaan ka aadi mat banaana,
Kyun ki insaan bahot Khudgarz hai, Jab aap ko pasand karta hai to aap ki Burai bhul jaata hai aur jab aap se Nafrat karta hai to aap ki achhaai bhul jaata hai.

(53) Dunyadaaron ki sohbat ikhtyaar na karo kyun ki agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe chhod denge aur agar to Daulat-mand huwa to tujh se hasad karenge.

(54) Ikhtiyaar, taaqat aur daulat milne par log badalte nahi balke be-naqaab ho jaate hain.

(55) Kabhi bhi apni Jismaani taaqat aur Daulat par bharosa mat karna,
Kyun ki Beemaari aur Ghurbat aane me der nahi lagti.

(56) Dua darwaaze par dastak ki tarah hai.
Hamesha Dua maangte raho,
Kyun ki baar baar dastak se darwaaza khul hi jaata hai.

(57) Jab ALLĀH ki baargaah me tumhari Duaen qubool na ho rahi ho to apni Ghiza aur Guftagu ka ehtesaab karo.

(58) Logo ko dua ke liye kaho us se behtar hai ke saath me aise amal bhi karo ke logo ke dilo se aap ke liye dua nikle.

(59) Khushi ke mauqe par kabhi Waada mat karo
Aur Ghusse ki haalat me kabhi Faisla mat karo.

(60) 3 insaan 3 cheezo se Mehroom reh jaate hain,
[1] Jhoot bolne wala Izzat se,
[2] Ghussa karne wala Durust faisle se,
[3] Jald-baazi karne wala Kaamyaabi se.

(61) Agar tum apne andar se ghuroor ki aadat ko mita dena chaahte ho to Ghareeb insaan ko Salaam karte raho.

(62) Jhute ki sab se badi saza ye hai ki us ke Sach ka bhi koi aitbaar nahi karta.

(63) Jo zulm ke zariye shohrat (rutba) chaahta hai,
ALLĀH ta’ala use Insaaf ke zariye zaleel karta hai.

(64) 3 Cheeze insaan ko ALLĀH se door karti hai :
[1] Apne Aamal ko zyada samajhna.
[2] Apne Gunaaho ko kam samajhna ya bhul jana.
[3] Khud ko sab se Behtar samajhna.

(65) Gunaah zeher jaisa hota hai,
Thoda ho ya zyada, Nuqsaan to karta hi hai.

(66) Sab se bada gunaah wo hai jo karne waale ki nazar me chhota hai.

(67) Insaan gunaaho ki wajah se jahannam me nahi jaata hai,
Balki un gunaaho ki tauba na karne se jahannam me jaata hai.

(68) Himaaqat (be-waqoofi) bahot bura saathi aur Buraai bura darwaaza hai.

(69) Agar yeh yaqeen rakhte ho ke tumhara rizq ALLĀH ke paas hai to
Rizq ki nahi, ALLĀH ki talaash karo jis ke paas tumhara rizq hai.

(70) Jis ka raabta khuda ke saath ho woh naakaam nahi hota, Naakaam woh hota hai Jis ki umeeden duniya se waabasta hon.

(71) Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.

(72) Logo ke khauf se haq baat kehne se na rooko,
Kyun ki na to koi maut ko qareeb kar sakta hai
Aur na koi rizq ko door kar sakta hai.

(73) Neki karne se buzurgi milti hai aur shukr karne se ne'amaten badhti hai.

(74) Pareshaani Khaamosh hone se kam, Sabr karne se Khatm aur Shukar karne se Khushi me badal jaati hai.

(75) Yeh na socho ki ALLĀH Dua foran qubool kyun nahi karta, Yeh shukr karo ki ALLĀH humare Gunaahon ki saza foran nahi deta.

(76) Insaan ke aansoo us waqt muqaddas hote hain jab wo kisi aur ki takleef mehsoos karke nikle.

(77) Tum achha karo aur zamaana bura samjhe yeh tumhare haq me behtar hai Bajaaye is ke tum bura karo aur zamaana tum ko achaa samjhe.

(78) Jab tum duniya ki Muflisi se tang aa jaao aur Rizq ka koi raasta na nikle to Sadqa diya karo aur ALLĀH se Tijaarat karo.

(79) Jab Hasad ki baarish shuru ho jaaye to Fasaad ke paudhe ugne lagte hain.

Post a Comment

0 Comments