Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori rahmatullāhi alaihi

Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori rahmatullāhi alaihi :
*****************


Aap ki wilaadat 463 Hijri (1070 A.D.) me Bukhara me hui.

******************
Aap ke waalid ka naam Sultaan Ata'ullāh Mahmood bin Shaikh Saeed Bukhari aur waalida ka naam Shehzaadi Bibi hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.

******************
Aap ke waalid ne apni jagah par takht par bithaaya. Aap ne bakhubi hukoomat ka kaam anjaam diya.

Apni biwi Bibi Maahru ke intiqaal ke baad aap akṡar tanhai me ghaur o fikr me mashgool rehte.

Ek martaba Aap shikaar ke liye nikle. Ek hiran par teer chalaaya. Jab hiran ke qareeb gaye to us ne aap se mukhaatib hokar kaha “Aye ALLĀH ke bande! Mujh be-gunaah ko kyun maara, Rabb ta’ala puchhega to kya jawaab dega?”
Jab aap mahle me waapas aaye to sab kuchh chhodkar durweshi ikhtiyaar kar li aur talaashe haq ke liye nikal pade. Aap ke waalid bhi aap ke humraah hue.

Bukhara se Kirman pahunche to Khwaja Abu Bakr Kirmani ke yaha qayaam kiya aur unki saahabzaadi Bibi Humaira se aap ka nikaah hua.

Phir apne pariwaar ko Kirman me chhodkar aap murshid e kaamil ki talaash ke liye rawaana hue.

******************
Aap ne 12 saal tak Hazrat Khizr alaihis salaam se ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Hazrat Khizr alaihis salaam ke farmaan par Baghdad tashreef le gaye aur Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ki baargaah me haazir hue. Hazrat ne ne kuchh guftagu farmaane ke baad Aap ka haath pakda aur farmaaya ke “7 martaba Surah Ikhlaas padho.” Jaise hi Aap ne Surah Ikhlaas padhi Aap ki nazro se saare parde uth gaye aur arsh se lekar farsh tak Aap ke saamne zaahir ho gai.
Hazrat ne Aap ko Khilaafat aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka Jhubba mubarak ata farmaaya.

******************
Phir Aap Hajj Baitullāh ke rawaana hue Makka mukarrama me qayaam ke baad aap Madeena munawwara tashreef laaye aur 1 saal qayaam pazeer rahe. Phir Madeena se Makka aakar Hajj ada kiya aur 3 saal qayaam pazeer rahe.
Phir Makka mukarrama se Baghdad tashreef laaye aur Peer o murshid ki khidmat me haazir hue.

******************
Phir Hazrat ke farmaan par Aap Hindustan ki jaanib rawaana hue. Raaste me Kirman se apne ahlo ayaal aur waalide mohtaram ko saath lekar Peshawar aaye. Yaha kuchh arsa qayaam karne ke baad apne pariwaar ko Peshawar me chhodkar 561 Hijri (1165 A.D.) me Aap Delhi tashreef laaye.
Waha se Nagaur tashreef laaye aur ek budhi aurat ke yaha qayaam farmaaya aur logo ko ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.

Kuchh arse baad phir se Baghdad tashreef le gaye aur Phir waha se Peshawar aaye aur apne pariwaar ko humraah lekar Delhi tashreef laaye. Yaha ek dhobi ka makaan khareedkar us me sukoonat pazeer hue.

******************
Sultaan Shams-ud-deen Altamash ne Aap ko Nagaur ke Qaazi banaaye. 3 saal tak Aap ne Qaazi ki zimmedaari ada ki.
Phir Qaazi ka ohada chhodkar Nagaur ke qareeb Rohal me ibaadat aur riyazat me masroof ho gaye.
Phir Haramain shareefain tashreef le gaye aur waapas aakar Delhi me sukoonat pazeer hue.

******************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Jab Aap Baghdad se Delhi tashreef laa rahe the tab raaste me Gyaan Naath naami ek jogi se mulaaqaat hui. Us ne Aap ko ek khaas qism ki ghaas ki jad pesh ki jis se Sona banta tha. Aap ne woh jad dariya me phenk di. Woh jogi afsos karne laga. Aap ne dariya me haath daal kar us jad ko nikaal diya.
Phir Aap ne use aankhen band karne ke liye farmaaya. Jab us ne aankhen band karke kholi to woh Arsh se lekar Taht-uṡ-ṡara tak dekh sakta tha. Aur chaaro taraf sona nazar aata tha. Woh Jogi Aap se bahot muta’aṡṡir hua aur Aap ka mureed ban gaya.

******************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
Tawaali-ush-Shamsh Sharh Asmaa ul husna
Lawaam-e-Lawaa'ih
Mataale Sharh chahel haddeeṡ
Risaala Qaazi Hameed-ud-deen Nagori

******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
Mo’mino ka qibla Hawaarij hai jis ki taraf namaaz padhte hain, Mureedo ka qibla Peer hai un ko apne Shaikh ki jaanib tawajjoh rakhni chaahiye, Ashaabe Tareeqat ka qibla Qalb hai ya’ani wo us ki tawajjoh rakhte hain, Ambiya wa Auliya Allāh ka qibla Wajhullāh hai ya’ani wo us ki tawajjoh rakhte hain.

******************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] Bibi Maahru
[2] Bibi Humaira binte Khwaja Abu Bakr Kirmani se
6 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya.

Saahabzaade :
(1) Maulana Naseeh-ud-deen
(2) Maulana Zaheer-ud-deen Ahmad
(3) Shaikh Aleem-ud-deen
(4) Shaikh Hisaam-ud-deen
(5) Shaikh Wajeeh-ud-deen
(6) Shaikh Abdullāh.

Saahabzaadiya :
(1) Bibi Allāhdiya
(2) Bibi Saahib e Daulat.

******************
Aap Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Ahmad Naharwani rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Ain-ud-deen Qassaab rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Moeetaab rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Shaikh Mohammad Moitaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Shaikh Mahmood Moeena Duja rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Maulana Naseeh-ud-deen rahmatullāhi alaihi.

******************
Aap ka wisaal 9 Ramanzaan 643 Hijri (March 1246 A.D.) ko taraaweeh ada karne ke baad haalaate sajda me hua.
Aap ki wasiyat ke mutaabiq aap ko Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ke mazaar ke qareeb ahaate me dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Mehrauli, Delhi me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Qaazi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments