بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 05 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ Sarkar E Kainaat ﷺ Ka Farmaan Hai "Andheri Raat Ke Hisse Jaise Fitno Se Pahle Nek Aamal Kar lo Ke Wo Waqt Aisa Hoga Ke Koi Insaan Sham Imaan Ki Haalat Me Karega Aur Subah Kufr Ki Haalat Me" Aur Farmate Hai K Dunyawi Saman K Badle Deen Ko Bhech Dega 📚 Sahi Muslim ALLAH ﷻ Ki PANAH ● Aur Hadees E Mubaraka Me Mehboob E Khuda ﷺ Ka Farman Aalishan Hai K Ek Lafz Aadmi AALLAH عزو جل Ki Raza Ka Kehta Hai Use Ye Maloom Nahi Hota K Us Lafz Kahne Me Kuch Badi Rizamandi Hasil Hogi Magar ALLAH عزوجل Us K Liye Qayamat Tak Ki Rizamandi Likh Deta Hai. Aur Kabhi Ek Lafz Allah Ki Narazgi Ka Kehta Hai Aur Use Ye Nahi Maloom Hota K Us se Narazgi Zyada Hogi Magar ALLAH ﷻ Us K Liye Qayamat Tak K Liye Narazgi Likh Deta Hai . 📚 Sahi Bukhari , Kitabura'qaq , Babe Hifzullisan , safa 959 , Mishkaat , Safa 411 |
Share on |
0 Comments