*🌹SAWAL:-🌹*
*Hazrat Ek Sawal*
*Jis Ke Pass Sirf Sona(gold),Chandi(Silver) Ho Aur Ghar Me Paisa (Cash)nahi Ho To Wo Zakat Kaise Aada Kare*
*🌹JAWAB:-🌹*
*Dono Ki Qimat Milade Aur Phir Hisab Karke 40 Va Hissa Zakat Me Ada Kare. Kisi Se Qarz Le Kar Zakat Ada Kare Ya Usi Qimat Ka Sona Ada Kare Ya Chandi Ada Kare. Kyu Ki Ye Sona Chandi Bhi Qimti Hai Aur Zakat Us Se Bhi Ada Kar Sakte Hai... Balki Pehle Usi Se Zakat Ada Ki Jati Thi.*
*Abhi Bhi Kuchh Nek Logo Ne Aisa Hi Kiya K Sone Ki Anguthi Hi Zakat Me Di. Zakat Kisi Bhi Tarah Ada Kare. Ye Ziyada Aasan Hai Us Se Ki Na Ada Karne Me Jo Azab Hai.*
*Isi Tarah Raddul Muhtar Me He,*
*ولو لم يكن عنده مال فأراد أن يستقرض لأداء الزكاة إن كان أكبر رأيه أنه يقدر على قضائه فالأفضل الاستقراض وإلا فلا لأن خصومة صاحب الدين أشد. اهـ*
*📚(Raddul Muhtar, J-3, S-192)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments