Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Zakat ki Raqam Masjid Madarse Me Sarf Karna Kisa?

*🌹SAWAL:-🌹*

*Fitra Ki Raqam Masjid Aur Madarse Ke Kharch K Liye Dena Kaisa Aur Agar Usme Se Imaam Sahab Ki Tankhwah Bhi Di Jaaye To Kya Huqm Hai Aur Sirf Madarse Par Kharch Karna Kaisa Jabki Hilaye Sharai Kiya Jaaye?*

*Rehnumayi Farmaye*

*🌹JAWAB:-🌹*

*Har Vo Jagah Jahaañ Par Zakaat Di Jaa Sakti He Vahañ Sadaqa Fitra Bhi De Sakte He,*

*Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,*
*Fitra Ke Masaarif Ba Ayniya Masaarife Zakaat Hai.*

*📚(Fatawa Razviya, J-10, S-266)*

*Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Taherir Farmate He,*

*Sadqa E Fitr W Zakat Na Ta'ameere Madarsa Me Sarf Ki Jaa Sakti He, Na Tankhwahe Mudarriseen Mein Magar Is Qism Ki Madado Ko Agar Nikaal Diya Jaaye To Madarsa Ki Aamdani Us Zamane Mein Itni Kam Reh Jaayegi Jis Se Uska Chalna Dushwar Ho Jaayega Or Tahsile Ilm Ka Darwaza Band Hota Huva Nazar Aayega, Lihaza Un Cheez Mein Zakaat Or Sadqa E Fitr Bataure Heela Ke Sarf Kiya Jaaye.*

*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-376)*


*Wallahu Aa'alam Bis-Sawab*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Post a Comment

0 Comments