Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Seerat E Mustafaﷺ ‏Post:- 81

بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 81 «
⚘★ Garibo Ki Madad Aur Seerat E Mustafaصَلَّى الـلَّـهُ تَعَـالىٰ عَلـَيْـهِ وَسَلَّــم ⚘★
•────────────────•
⚘Hadees 04 ⌬ ➤ Hazrat E Abu Huraira Radhi Allaho Anho Se Riwayat Hain Ki Raoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Jo Shakhs Kisi Musalman Ki Koi Dunyawi Takleef Door Karega Allah Ta’al Uski Qayamat Ke Din Ki Mushkilaat Mein Se Koi Mushkil Door Farmaega,Jo Shaks Dunya Mein Kisi Tangdast Ke Liye Aasani Paida Karega Allah Ta’ala Dunya Aur Akhirat Mein Uske Liye Aasani Paida Farmaega,Aur Jo Shaks Dunya Mein Kisi Musalman Ki Parda Poshi Karega Allah Ta’al Dunya Aur Akhirat Mein Uski Parda Poshi Farmaega Allah Ta’ala Apne Bande Ki Madad Karta Rehta Hai Jab Tak Banda Apne Bhai Ki Madad Mein Laga Rehta Hai

📬 Muslim, Hadees No.2699,Tirmizi, Hadees No.1425 📔

⚘⌬ ➤Is Ke Elawah Aapﷺ Ne Apni Ummat Ke Garibo Aur Faqiro Ke Liye Zakat Aur Sadqaat Ki Surat Mein Aisa Behtarin System Diya Jis Par Amal Karne Ke Baad Musalmano Mein Kisi Garib Ka Nazar Aana Bahut Hi Mushkil Hai Magar Afsoos Is Par Amal Nahi Hone Ya Galat Tariqe Se Amal Hone Ki Wajah Se Aaj Sab Se Zyada Garib Aur Faqir Musalmano Hi Mein Nazar Aate Hain Balki Najaane Kitne Log Garibi Ki Wajah Se Apna imaan Bhi Bech Rahe Hain Kaash Ki Hamare Bhai Log Kuchh Sochte Aur is Ki Taraf Tawajjuh Dete Aur Jin Logo Ko Allah Ta’ala Ne Apne Fazal Se Maaldaar Banaya Hai Aur Bahut Saari Daulat Se Nawaza Hai Uske Baad Bhi Woh Log Aise Zarurat Mand Logo Ke Liye Kharch Nahi Karte Hain Un Logo Ko Quran Sharif Ki in Aayato Ko Gaur Se Padhna Chahiye Aur Apne Anjaam Ki Fikr Karni Chaahiye...

📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai..
Share on
|

Post a Comment

0 Comments