بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 83 « ★ Tijaarat Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘ ⌬ ➤ Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Khud Tijaarat Kar Ke Maal-o-Daulat Kamaya Aur Apni Ummat Ko Bhi is Baat Par Ubhara Ki Woh Bhi Mehnat-o-Mazduri Kar Ke Aur Dusre Jaa’iz Tariqe Se Maal-o-Daulat Hasil Kare Taaki Unhein Dusron Ke Saamne Haath Phailane Ki Zillat-o-Ruswai Na Uthana Pade Hazrat-E-Abdullah Bin Umar Radhi Allaho Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasoolallah Sallallaho alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Be-shak Allah Ta’ala Mehnat Aur Mazdoori Karne Wale Bande Ko Pasand Farmata Hai (Tabrani) Lekin Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Business Men Ke Liye Bahut Saari Hidayat Bhi Farmaya Jis Par Amal Karna Har Musalmaan Ke Liye Zaruri Hai Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Business Men Ke Liye Jo Hidayaten Farmaya Un Mein Khaas Taur Se Jhoot Bol Kar Aur Dhoka De Kar Apna Maal Bechne Se Mana Farmaya Aur Sach’che Aur Amaanat Daar Business Men Ke Bare Mein Farmaya ki Woh Qayamat ke Din Nabi’yon Ke Saath Rahega... 📬 Tirmizi ,Hadees No. 1209 📚 |
Share on |
0 Comments