بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 85 « ★ Tijaarat Aur Seerat-E-Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘ ⌬ ➤ Hazrat-E-Abu’Huraira Radhi Allaho Anho Bayan Karte Hain Ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam Ek Shakhs Ke Paas Se Guzre Jo Anaaj Bech Raha Tha Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Us Se Puchha Ki Tum Anaaj Kaise Bech Rahe Ho? To Us Ne Bataya Phir Aap Par Wahi Naazil Hui Ki Aap Apna Haath Us Ke Anaaj Ke Andar Daale To Huzurﷺ Ne Apna Haath Us Ke Anaaj Ke Dher Ke Andar Daala To Woh Andar Se Bhiga Huwa Tha To Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Jo Shakhs logon Ko Dhoka De Wo Ham Mein Se Nahi Hai 📬 Sunan Abu’Dawood,Hadees No.3452 📒 ⚘ ⌬ ➤ Is liye Ham Musalmano Ko Chahiye Ki Kaar-o-Baar Karne Mein Kisi Ko Dhoka Na De Aur Jhoot Na Bole Aur Apna Maal Bechte Waqt Qasam Bhi Khane Se Parhez Kare KyunKi Huzurﷺ Ne Farmaya Ki Qasam Khane Se Maal To Bik Jaata Hai Lekin Barkat Khatam Ho Jaati Hai.. 📬 Sahi Bukhari,Hadees No.2087 📚 |
Share on |
0 Comments