*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Hazrat, Kiya Zakaat(Jakaat) Ka Paisa Masjid Ya Madarsa Ke Maulana Ko Tankhawah Ke Liye Diya Ja Sakta Hai?
*🌹JAWAB:-🌹*
Walykumasslam Wrahmtullahi Wbarkatuhu
Agar Masjid Ke Imam Ya Madrse Ke Mudrris Haqdaar He To Unko Dena Dusre Haqdaro Ko Dene Se Zyada Fazilat Rakhta He.
Al Batta Ujrat Ke Tour Par Zakat Di Ya Tankhwah Me Shumar Ki To Zakat Ada Na Hogi.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Faqeer Agar Aalim Ho To Use Dena Jahil Ko Dene Se Afzal He. Magar Aalim Ko De To Iska Lihaz Rakhe Ki Uska Aezaz Madde Nazar Ho, Adab Ke Sath De Jaise Chhote Bado Ko Nazr Dete Hai Or Ma'azAllah Aalime Deen Ki Hiqarat Agar Qalb Me Aai To Ye Halakat Or Bahut Sakht Halakat He.
Bahut Se Log Maale Zakat Islami Madaris Me Bhej Dete Hai Unko Chahiye Ki Mutawwali E Madarsa Ko Itla'a De Ki Ye Maale Zakat He Raaki Mutawwali Us Maal Ko Juda Rakhe Or Maal Me Na Milaye Or Gareeb Talba Par Sarf Kare, Kisi Kaam Ki Ujrat Me Na De Warna Zakat Ada Na Hogi.
*📚(Bahaar E Shariat Hissa 5 Zakat Ka Bayan)*
Al Batta Madrse Walo Ne Uska Sharaai Hila Karwa Liya Ho To Ab Har Neek Kaam Me Kharch Kar Sakte He.
Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Madarsa Islamiya Agar Sahih Islamiya Khas Ahle Sunnat Ka Ho. Nechriyo, Wahabiyo, Qadyaniyo, Rafziyo, Deobandiyo Wagairahum Murtadeen Ka Na Ho To Us Me Maale Zakat Is Shart Par Diya Ja Sakta He Ki Mohtamim Us Maaal Ko Juda Rakhe Or Khas Tamleek Faqeer Ke Masaarif Me Sarf Kare, Mudarriseen Ya Digar Mulazimeen Ki Tankhwah Us Se Nahi Di Ja Sakti. Na Madarsa Ki Ta'ameer Ya Marammat Ya Farsh Wagairah Me Sarf Ho Sakti He, Na Ye Ho Sakta He Ki Ye Jin Talba Ko Madarsa Se Khana Diya Jata He Us Rupye Se Khana Paka Kar Un Ko Khilaya Jaye Ki Ye Soorate ibaahat He Or Zakat Me Tamleek Lazim Haañ Unko Naqad Rupya Ba Niyyate Zakat De Kar Malik Kar De Fir Vo Apne Khane Ke Liye Wapas De Ya Jin Talba Ko Wazeefa Na Ujratan Balki Mahaz Bataure Imdad He Unke Wazeefe Me De Ya Kitabe Kharid Kar Talba Unka Malik Karde.
Haañ Rupya Ba Niyyat Zakat Kisi Masrafe Zakaat Ko De Kar Malik Karde Vo Apni Taraf Se Madarsa Ko Dede To Tankhwah Mudarriseen W Mulazimeen Wagairah Jumla Masaarife Madarsa Me Sarf Ho Sakta He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, Jild-10, Kitabuz Zakat , Safha-254)*
Wallahu Taala Aalam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️18 May 2020, 24 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments