Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Akhlaaq-O-Aadaab Post No:-06

بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
★ Akhlaaq-O-Aadaab ★
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 06 «
•─• Eik Momin Ka Kirdar •─•
╭► Khaana Khaane Ki Sunnatein ⁀➷

─≽ (1) Khaane se pahle dono haath gatto tak dhona.Hazrat-e-Salman faarsi radhi allaho anho bayan karte hain ki: Main ne Taureet mein padha tha ki khaane ke baad haath dhona aur kulli karna barkat ka zariya hai.Is ko main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se bataaya to Aap ne irshad farmaya ki:Khaane ki barkat khaane se Pehle aur us ke baad Haath Fhona hai.

✍(Tirmizi,Hadis No.1846)📙

─≽ (2) Bismillah padhna. Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jab koi shakhs apne ghar mein daakhil hote waqt aur khaana khaate waqt Bismillah padh leta hai to shaitaan apni aulado se kehta hai ki:Is ghar mein na Tumhein Rehna Milega aur nahi khaana. Aur Agar Daakhil Hote waqt Bismillah nahi padhta hai to kehta hai ki: Ab tumhe rehne ki jagah mil gayi.Aur khaane ke waqt bhi Bismillah nahi padhta hai to kehta hai ki:Rehne ki jagah bhi mili aur khaana bhi mila.

✍(Sahi Muslim,Hadis 2018)📒

─≽ Ek Dusri Hadees Mein hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jis khaane par Bismillah nahi padhi jaati hai woh khaana shaitaan ke liye halaal ho jaata hai.

✍(Sahi Muslim,Hadis No.2017)📙

─≽ Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab tum mein se koi khaana khaae to Bismillah padh le aur agar shuru mein padhna bhol jaae to ye keh le.

🌷ﺑِﺴۡﻢِ ﺍﻟﻠّٰﮧ ﻓِﯽۡ ﺍَﻭَّﻟِﮧٖ ﻭَﺁﺧِﺮِﮦٖ

🌷(Bismillahi fee auwwalehi wa aakherihi)

📝(Tirmizi,Hadis No.1858)📕

📝in Sha Allah Post Jari Hai......
Share on
|

Post a Comment

0 Comments