بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 07 « •─• Eik Momin Ka Kirdar •─• ╭► Khaana khaane ki sunnatein ⁀➷ ─≽ (3) Daaheni haath se khaana. Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab tum mein se koi shakhs khaana khaae to daaheni haath se khaae,Aur jab tum mein se koi kuchh piye to daaheni haath se piye kyunki baa’ein haath se shaitaan khaata pita hai. ✍(Sahi Muslim,Hadees No.2020)📘 ─≽ (4) Teen Unguliyo se khaana aur khaane ke baad unguliyo ko chaat lena. Hazrat-e-Ka’ab bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam 3 Unguliyo se khaana khaate the aur khaane ke baad unguliya chaat liya karte the. ✍(Sahi Muslim, Hadees No.2032)📙 ─≽ Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne bartan aur unguliyo ko chaatne ka hukm diya aur farmaya ki:Tum nahi jaante ki kaun se daane mein barkat hai. 📝(Sahi Muslim,Hadees No.2033)📕 |
Share on |
0 Comments