*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum, Chote Baccho'n Ke Gaal Pe Ya Cehre Pe Wagera Kala Tika Lagay Jaata Hai Kya Ayesa Karne Se Us Bacche Ko Nazar Nhi Lagegi....... Haqiqat Kya Hai.???.... Jawab Inayat Farma'e..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Nazre Bad Se Bachne Ke Liye Aysa Fe'al Karna Jo Shar'an Mamnoo'a Na Ho Durust He,
Chhote Bachccho Ko Nazar Lagne Se Bachane Ke Liye Chahere Ya Gaal Par Ya Thodi Par Kajal Ka Kala Nishan Ya Teeka Lagaya Jata He Jo Hazrat Usman Gani RadiAllahu Anhu Ki Ek Riwayat Se Bhi Sabit He,
ومنہ حدیث عثمان بن عفان انہ مر ببعض طرقات المدینۃ فرای صبیا ومعہ حشمۃ فقال دسموا نونتہ لکیلا تصیبہ العین
Hazrat Usman Gani RadiAllahu Anhu Madina Munawwara Ke Ek Raste Se Guzre To Ek Bachcha Ko Dekha Jis Ke Sath Uske Ghar Wale Bhi The, Farmaya Us Ki Thodi Pe Kala Teeka Lagado Taaki Nazar Na Lage,
*📚(Sharah Sahihul Bukhari,J-2, A-511,)*
Or Allama Abdul Mustafa Aazmi Alaihir Rahma Farmate He,
Nazar Se Bachne Ke Liye Maathe Ya Thodi Wagairah Me Kaajal Wagairah Se Dhabba Laga Dena Ya Kheto Me Kisi Lakdi Me Kapda Lapet Kar Gaad Dena Taaki Dekhne Wale Ki Nazar Pahle Is Par Pade Or Bachcho Or Kheti Ko Kisi Ki Nazar Na Lage, Aysa Karna Mana'a Nahi He, Kyuñ Ki Nazar Ka Lagna Hadeeso Se Sabit He Iska Inkar Nahi Kiya Ja Sakta.
*📚(Jannati Zewar, S-335)*
Lihaza Bachcho Ko Nazre Bad Se Bachane Ke Liye Muh Pe Kaajal Ka Kala Dhabba Lagane Me Koi Harj Nahi, Laga Sakte He..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 June 2020, 25 Shawwal 1441*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments