*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Mobile Phone Me Quran Ki Aayat Naat Sharif Aur Auliya Ikram Ke Mazaro Ke Photo Vagaira Hoti Hai Tho Toilet Ya Bathroom Me Phone Lekar Ja Sakte Hain Ya Nahi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Laaiqe Ta'zeem Islami Tasweere Maslan Khana E Kaba, Gumbade Khizra, Isme Jalaalat, Isme Risalat, Qura'ani Aayat Ka Aks Wagairah.. In Tamam Islami Tasweero Ko Mobile Ki Screen Par Ya Mobile Ke Andar Folder Ya Image Gallery Me Rakhte Huve Mobile Ko Istinja Khana Ya Baytul Khala Le Jana Jaiz He. Lekin Bachna Bahetar.
Jaise Taaweez Ki Usme Isme Jalaalat Or Quraani Aayat Wagairah Hoti He, Lekin Kapda Or Khol Wagairah Me Poshida Hone Ki Wajah Se Us Taaweez Ko Pahan Kar Baytul Khala Jana Jaiz He.
Ye Islami Tasweere Chuñ Ki Mobile Ke Andar Or Jeb Ke Andar Hone Ki Wajah Se Chhup Jaati He, Is Liye Unki Behurmati Ka Koi Sawal Paida Nahi Hota Or Jab Unki Behurmati Nahi Hoti He To Mobile Ki Screen Par Maujud Un Tasweero Ko Mobile Ke Sath Baytul Khala Le Jane Me Koi Karaahat Or Mumane'at Nahi. Yaani Le Jaa Sakte Hai. Iski Ijazat He.
Haañ Bahetar Or Ehtiyaat Isi Me He Ki Kalemaate Muqaddasa Ya Laaiqe Taazeem Tasweeroñ Ke Screen Par Numaayañ Hone Ki Sooraat Me Mobile Ko Baytul Khala Ya Istinja Khana Na Le Jayeñ. Ya Baytul Khala Jane Se Pahle Mobile Band Kardeñ.
Is Mas'ale Ki Nazeer Taaweez Le Kar Baytul Khala Jane Ka Mas'ala He.
Chunanche Fatawa Shaami Me He,
رقیت فی غلاف متجاف لم یکرہ دخول الخلاء بہ والا حترازافضل
Tarjama: Jo Taaweez Alag Gilaaf Ke Andar Ho, Use Lekar Baytul Khala Jana Makrooh Nahi (yaani Us Taaweez Ko Pahan Kar Baytul Khala Jaa Sakte Hai) Lekin Is Se Bachna Afzal He.
*📚(Fatawa Europe, S-529)*
Hazrat Allama Shaami Alaihir Rahma Ke Raddul Muhtar Me Bayan Karda Darj Zail Mas'ale Se Bhi Hamare Mauqoof Ki Taeed Hoti He. Aap Likhte He,
فلو نقش اسمہ تعالی اواسم نبیہ صلی اللہ علیہ وسلم استحب ان یعجل الفص فی کمہ اذا دخل الخلاء
Tarjama: Agar Anguthi Par Allah Ta'ala Ya Uske Rasool ﷺ Ka Naame Paak Kuninda Ho To Bahetar Or Mustahab Yahi He Ki Baytul Khala Jaate Waqt Anguthi Ke Nagine Ko Apni Aasteen Me Chhupa Le.
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-519, Zakarya Book Depo)*
Is Ibarat Se Maloom Huva Ki Isme Jalaalat Or Isme Risalat Ya Digar Qabile Ta'azeem Tasweereñ Chhupa Di Jaye To Karaahat Khatm Ho Jati He.
Mobile Screen Par Numaayañ Khana E Kaaba, Gumbade Khizra Or Qura'ani Aayat Ke Ukoos Mobile Ke Jeb Me Rahne Ke Baaees Chuñ Ki Chhup Jate He, Is Liye Unke Sath Baytul Khala Jane Me Koi Karaahat Or Qabaahat Lazim Nahi Aati.
*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masail, S-78,79)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 June 2020, 25 Shawwal 1441*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments