Hazrat Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi :
-----------------
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sadr-ush-Shariah (Chief of the Islamic Law), Badr-ut-Tareeqat (Shining Moon of Tareeqah), Faqeeh-e-aazam.
*********************
Aap ki wilaadat 1296 Hijri (1879 A.D.) me Ghausi, Aazamgadh (Uttar Pradesh) me hui.
*********************
Aap ke waalid ka naam Allama Hakeem Jamaal-ud-deen bin Maulana Khuda-Bakhsh hai.
*****************
Aap ne apne daada ke paas bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Is ke baad apne bade bhai Maulana Muhammad Siddeeq se mazeed ta’aleem haasil ki.
Phir aap ke bhai ke mashware par Aap ko Madrasa-e-Hanafiya, Jaunpur me bheja gaya. Waha Hazrat Allama Maulana Hidayatullāh Khan Rampuri se Dars-e-Nizaami ki ta’aleem haasil ki.
Aap roz Ghausi se Aazamgadh tak aur phir waha se Jaunpur tak ka safar karte the.
Is ke baad Madrasatul-Hadeeṡ (Pilibhit) me Shaikh-ul-Mohaddeeṡeen Allama Maulana Wasi Ahmad Surati se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki aur 1320 Hijri (1902 A.D.) me Aap ko Sanad ata ki gai.
Aap ne Hakeem Abdul Wali se Ilme Tibb (Medicine) sikha.
*********************
Is ke baad Aap 4 saal tak (1323 – 1327 Hijri) Madrasa e Mohaddeeṡ e Surati me Mudarris rahe.
Phir Aap Azeemabad (Patna) jaakar 1 saal tak mareezo ka ilaaj karte rahe.
Is ke baad Aa’la Hazrat ne Aap ko Bareilly bulakar Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam me Mudarris ki zimmedaari di aur saath me ‘Maktbah-e-Ahle-Sunnah’ (Printing Press) ki nigraani ki zimmdedaari di aur ‘Jamaat-e-Raza-e-Mustafa’ ke Sadr (president) bhi banaaya.
Is ke ilaawa Aap Aa’la Hazrat ko ‘Kanz-ul-Eimaan fi Tarjamah al-Qur'ān’ tayyaar karne me bhi madad karte rahe. Jo 1330 Hijri (1911A.D.) me mukammal hua.
1343 Hijri (1924 A.D.) me Aap Ajmer gaye aur for Daar-ul-Uloom Moeeniyah Usmaaniyah me Sadr-ul-Mudarriseen (Head teacher) rahe.
1351 Hijri (1933 A.D.) me Aap Bareilly waapas aaye aur waha 3 saal tak rahe.
Phir Dadoon (Aligadh) ke Nawaab Haaji Ghulaam Muhammad Khan Shervan ki daawat par Daar-ul-Uloom Hafiziah Shervani me 7 saal tak Sadr-ul-Mudarriseen rahe.
Phir ek saal Banaras me thehre.
Is ke baad 1364 Hijri (1945 A.D.) me Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam, Bareilly me waapas aaye.
*********************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui kitaabo me se ye mash'hoor hain :
(1) Bahaar-e-Shariat
(2) Fataawa Amjadia
(3) Sharh Ma’an al-at'har.
*********************
Aap ke mash'hoor Shaagird :
Sher Besha e Ahle Sunnat Allama Hashmat Ali Khan,
Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Khan,
Haafiz e Millat Hazrat Allama Abdul Azeez Mohaddeeṡ Muradabadi,
Imaam-ul-Nahw Sadr-ul-Ulama Allama Ghulaam Jeelaani Aazmi,
Ameen-e-Shariat Mufti Rafaaqat Husain Kanpuri,
Allama Muhammad Qaari Muslih-ud-deen Siddeeqi,
Mujaahid-e-Millat Shaikh Allama Maulana Habeeb-ur-Rahmān,
Shams-ul-Ulama Qaazi Shams-ud-deen Jaunpuri,
Faqeeh e aazam Shaikh Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi,
Khair-ul-Azkiya Allama Ghulaam Yazdani Ghausawi,
Ra’is-ul-Mohaddeeṡeen Allama Mubeen-ud-deen Amrohawi,
Khaleel-ul-Ulama Maulana Mufti Khaleel Khan Barkaati,
Fakhr-ul-Amathi Allama Muhammad Sulaimān Bhagalpuri,
Maulana Abdul Haq Mubarakpuri,
Maulana Mohammad Ilyaas Sialkoti,
Maulana Mufti Mohammad E’ajaaz Razawi.
*********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 4 biwiya aur 11 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.
(1) Kareema Khaatoon se :
4 bete : Hakeem Shams-ul-Huda,
Maulana Mohammad Yahyā,
Shaikh-ul-Hadeeṡ Allama Abdul Mustafa Azhari,
Allama Ata-ul-Mustafa.
1 beti : Zubaida Khaatoon.
(2) Safiy-un-nisaa se :
1 beti : Ra'eesa Khaatoon.
(3) Raabia Khaatoon se :
2 bete : Muhammad Ahmad,
Qaari Raza-ul-Mustafa.
(4) Hajra Bibi se :
5 bete : Mohaddeeṡ-e-Kabeer Allama Maulana Zia-ul-Mustafa,
Muhammad,
Maulana Ṡana-ul-Mustafa,
Maulana Baha-ul-Mustafa,
Maulana Fida-ul-Mustafa.
2 betiya : Sa'eeda Khatoon,
Aa'isha Khaatoon.
*********************
Aap Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur Khalifa hain.
Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Mazhar e Aa’la Hazrat Allama Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Mohaddeeṡ-e-aazam-e-Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Khan rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Haafiz-e-Millat Allama Abdul Azeez Mohaddeeṡ Muradabadi rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Faqeeh-e-aazam Shaarah-e-Bukhari Shaikh Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Imaam-ul-Nahw Sadr-ul-Ulama Allama Ghulaam Jeelaani Aazmi rahmatullāhi alaihia,
(6) Hazrat Ameen-e-Shariat Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaaqat Husain Kanpuri rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Khair-ul-Azkiya Allama Ghulaam Yazdani Ghausawi rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Maulana Abdul Haq Mubarakpuri rahmatullāhi alaihi.
*********************
Aap ko 1337 Hijri (1922 A.D.) me Hajj ki sa’adat naseeb hui.
*********************
1367 Hijri (1948 A.D.) me ek martaba Aap Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi ke saath Ahmedabaad (Gujarat) me Hazrat Shaahe aalam rahmatullāhi alaihi ke mazaar par haazir hue.
Shaahe aalam ki masjid me 2 mubarak takht lagaye hue hain. Jis me se ek takht par Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam jalwa afroz hue the aur dusre par Hazrat Shaah e aalam baaba tashreef rakhte the aur madrasa me ta’aleem diya karte the.
Aur Shaahe aalam baaba ki dua se in takhto ke neeche 2-2 rak’at nafl namaaz padhkar dua karne wale ko ALLĀH ta’ala dunya aur aakhirat me bhalai ata farmata hai aur har jaa'iz dua qubool farmata hai.
Dono hazraat in takhto ke neeche namaaz padhkar dua karke faarigh hue to Hazrat Allama Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi ne apne peer se puchha “Huzoor! Aap ne kya dua maangi.” Aap ne farmaaya “ALLĀH ta’ala har saal Hajje baitullāh ki sa’adat naseeb farmae.”
Yeh dua is tarah qubool hui ki usi saal safar e Hajj ke dauraan Aap ka wisaal ho gaya.
Ek Hadeeṡ shareef me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai
“Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayaamat tak us ke liye Hajj ka ṡawaab likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya us ke liye Qayaamat tak Umrah ka ṡawaab likha jaayega.”
*********************
26 Shawwal 1367 Hijri ko Aap apni biwi ke saath Hajj e baitullāh ke safar par rawaana hue.
Rawaana hone se pehle Aap ne railway station par majme ke saamne shaandar taqreer farmai.
Phir car me safar ke dauran baarish ki wajah se Aap ki tabiyat kharaab hui. Aur Mumbai pahunchne tak aap ko Pneumonia ho gaya. Mumbai station par Aap ka ilaaj shuru kiya gaya. Magar Aap be-hosh ho gaye.
Huzoor Mufti e aazame Hind bhi Hajj ke liye jaa rahe the. Aap lagaatar Hazrat Sadr-us-Shariyah ki iyaadat ke liye aate the. Aur saath me bahot saare chaahne waale bhi aate.
Ek baar ek shakhs ne A’ala Hazrat ki likhi hui Na’at shareef padhna shuru kiya.
Aap ne foran aankhen kholi aur takiye ke sahaare baithkar adab ke saath na’at e paak suni.
Huzoor Mufti e aazam e Hind aur Hazrat Sadr-us-Shariah ek saath ek hi hawaai jahaaz me Hajj ke liye rawaana hone waale the. Magar Aap ki beemaari ki wajah se Huzoor Mufti e aazam e Hind rawaana ho gaye. Us ke baad Aap ki sehat aur zyada kharaab ho gai aur Aap ka intiqaal ho gaya.
*********************
Aap ka wisaal 2 Zil Qa’ada 1367 Hijri (6 September 1948 A.D.) ko dopahar 12:26 baje Peer ke roz hua.
Aap ka mazaar Ghausi, Aazamgadh (Uttar Pradesh) hai.
*********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments