بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 14 « •─• Eik Momin Ka Kirdar •─• ╭► Libaas se Muta’alliq Ahkaam-o-Masa’il.⁀➷ °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Kurta,Jubba Aur Dusre Kapde Wagairah Daaheni Taraf se Pehn-na Chahiye. Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho Bayan karte Hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Jab Qamis Pehante to Daaheni Taraf se Shuru Karte ✍(Tirmizi,Hadess No.1766)📒 °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Takabbur se Takhne ke Biche Paijama wagairah latkana Sakht Mana hai. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Farmaya ki kapde ka Woh Hissa Jo Takhne Se Niche Hoga Woh Jahannam Mein Hoga. ✍(Sahi Bukhari Hadees No.5787)📘 °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Kapda Pehan Ne ke Baad Allah Ta’ala ki Hamd Karna Sunnat hai. Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam Ne irshad Farmaya ki Jo Shakhs Kapda Pehan Kar Ye Dua Padh Leta Hai. 🤲🏻“Al-Hamdulillahil lazi kasaani haaza-ssauba wa Razaqnihi Min Gairi haulin minni wa laa quwwatin.” ─≽ To Allah Ta’ala us ke Agle Aur Pichhle Gunahon Ko bakhsh Deta hai 📝[Abu’dawood,Hadees No.4023]📕 |
Share on |
0 Comments