بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 15 « •─• Eik Momin Ka Kirdar •─• ╭► Libaas Se Muta’alliq Ahkaam-o-Masa’il.⁀➷ °•° Safeed Kapdo Ki Fazilat: °•° ─≽ Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho Bayan Karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Farmaya ki:Tumhare Kapdo Mein Behtarin Safeed Rang Ka Kapda hai.To Tum Use Pehno Aur us Mein Apne Murdo Ko Kafan Do. ✍(Ibn-e-Maja, Hadees No.3566)📘 ⚠Note:-Safeed Rang Ke Elawah Aur Bhi Dusre Rang ke Kapde Huzur sallallaho alaihe wasallam ne Pehna is liye Har Rang ke Kapde Pehan na Sahi hai.Magar Mukammal laal Rang ke Kapde ko Huzur ﷺ ne Mardo ke liye Pasand Nahi Farmaya is liye mardo ko Mukammal laal Rang ka Kapda Nahi Pehan na Chaahiye. °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Mardon Ke liye Resham ke Kapde Pehan na Jaa'iz Nahi hai.Jab ki Aurato ke liye jaa'iz hai.Jaisa ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne Farmaya ki:Resham Aur Sona Meri Ummat ke Mardon ke liye Haraam kiya Gaya Aur Aurato ke liye Halaal,, 📝(Tirmizi,Hadees No.1720)📕 |
Share on |
0 Comments