بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 16 « •─• Eik Momin Ka Kirdar •─• ╭► Libaas se Muta’alliq Ahkaam-o-Masa’il ⁀➷ °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Aurato Ke liye Mardon Jaisa libaas Aur Mardon ke liye Aurato Jaisa libaas Pehan na Sakht Mana hai. Hazrat Abu Hurairah radhiallaho anho Bayan karte Hain ki : Nabi karim ﷺ Ne Un Mardon Par laanat Farmayi jo Auraton ke libaas Pehante hain Aur un Auraton Par laanat Farmayi jo Mardon ki Tarah Libaas Pehanti hain ✍(Sahi Bukhari, Hadees No.5885.Abu Dawood,Hadees No.4097-4098)📘 °•°•••• Mas'ala ••••°•° ─≽ Patle aur Chust Kapde Pehanna Jis Se Badan Ka Utaar Charhaoh Zaahir Ho Sakht Najaiz o Gunah Aur Azaab e ilahi ka Zariya Hai. ─≽ Hazrat Ayesha siddiqa radhiallaho anha Bayan Karti Hain ki Nabi Karim ﷺ ki Bargah mein Hazrat e Aasma Bareek Kapde Pehne Hue Aayi to Huzur ﷺ ne Apna Chehra Pher liya Aur irshaad Farmaya : Aye Aasma ! Jab Aurat Baalig ho Jaaye To uske Badan ka koi Hissa Dikhai Nahi Dena Chahiye Siwae Muh Aur Hatheli Ke ✍(Abu Dawood,Hadees No.4104)📘 ─≽ Aur Chust Kapda Pehnne Wali Auraton ke baare Me Aap ﷺ ne Farmaya ke : Woh Kapde Pehan ke bhi Nangi Hain Aur Aisi Auraton ke Baare Me irshad Farmaya ke woh Haq Raaste se Hati Hui Hain Aur Dusron ko bhi Haq Raaste se Hataane Wali hain, Aisi Auratein Jannat Me Nahi Daakhil Hongi Balke Uski Khusbu bhi Nahi Paaengi jab ki Jannat ki Khusbu 500 Saal ki Doori Tak jaayegi. 📝(Sahi Muslim,Hadees No. 2128)📕 |
Share on |
0 Comments