بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 17 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Sar Mein Tel Lagaane Aur Kanghi Karne Ka Bayan ⁀➷ ─≽ Hazrat-e-Anas Bin Malik radhi allaho anho Bayan Karte Hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Apne Sar e Mubarak Mein khoob Tel Daalte The Aur Apni Daarhi Mein Kangha Karte The. 📒(Sharhus sunnah,Hadees No.3164) ─≽ Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki:Jis Ke Paas Baal Ho Woh Uski izzat Kare.(Yani Us Mein Tel Lagaayeh Aur Kangha Kare.) 📒(Abu Dawood, Hadees No.4163) ─≽ Ek Hadees Mein Hai Ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Har Din Kanghi Karne Se Mana Farmaya. 📒(Abu Dawood,Hadees No.4159) ─≽ To is ka Matlab Ye Nahi Hai ki Admi Ke Baal Bikhre hue ho Us ke Baad Bhi Kanghi Na Kare Aur Majno ki Tarah Bana Rahe.Kyunki Huzur sallallaho alaihe wasallam ne Aise Shakhs ko Dekha to khud Pasand Nahi Farmaya. is Farman ka Maqsad Ye hai ki Mardo ko Zyada Bano Singhar Mein Mashgul Nahi Rehna Chaahiye. |
Share on |
0 Comments