بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 23 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Loha,Pital Aur Dusare Dhaat Ke Zewaro Ka Hukm. ⁀➷ ─≽ Loha,Taamba Aur Pital Wagairah ke Zewar Mard Aur Aurat Dono Ke Liye Naja’iz Aur Haraam hai. ✍(Fatawa Razwiya,Vol:22,Page No.130)📕 ─≽ Hazrat-e-Abdullah Bin Buraida Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ki:Ek Shakhs Pital ki Anguthi Pehne Hue Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki Baargah Mein Aaya.To Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya ki:Kya Baat Hai Ki Mujhe Tum Se Buton ki Boo Aati Hai? To Unhone usko Phenk Diya.Phir Lohe ki Anguthi Pehan Kar Aae. To Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki:Kya Baat Hai Ki Main Tum Par Jahannamiyo Ka Zewar Dekh Raha hun? Unho Ne Us ko Bhi Utaar kar Phenk Diya.Aur Arz Kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ! Main Kis Chiz ki Anguthi Banwaon? To Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki:Chaandi Ki Aur Ek Misqaal yani 4.50 Maasha Pura Nahi Karna. ✍(Abu Dawood,Hadees No.4223)📙 Agar Lohe Wagairah Ke Zewar Par Chaandi ya Sone ka Paani is Tarah Se Charha Diya Jaae Ki Woh Sone Aur Chaandi Hi Ka Maloom Ho to Phir Us Ka Bhi Hukm Wahi Hoga jo Sone Aur Chaandi Ka Hai. 📝(Sunan Nisa’ee,Hadees No.5205 Abu Dawood,Hadees No.4224)📒 |
Share on |
0 Comments