بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 24 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Anguthi Pahanne Ke Masa’il ⁀➷ ─≽ Mardo Ke Liye Chandi Ki Sirf Ek Anguthi Pahanna Jaa’iz hai.Jaisa ki Hadees Sharif Me Hai Ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Chandi Ki Ek Anguthi Banwa’ee Jis Me Ye Naqsh Tha. ''Muhammad Rasool Allah.'' ✍(Sahi Muslim,Hadees No.2092)📕 ─≽ Mas’ala:- Mardo Ke Liye Sone Ki Anguthi Pahan-na Jaa’iz Nahi Hai.Jaisa Ki Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki: Nabi kareem Sallallaho alaihe Wasallam Ne Ek Shakhs Ke Haath Me Sone Ki Anguthi Dekhi To Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Use Utaar Kar Phenk Diya Aur irshad Farmaya Ki:Kya Tum Logo Me Se Koi Shakhs Apne Haath Me Aag Ka Angaar lena chaahta hai? (Yani nahi).To is Se Bacho Kyunki Sone Ki Anguthi Pahan Ne Walo Ke Haath Me Jahannam ki Aag Hogi.) Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ke Jaane Ke Baad Us Shakhs Se Kaha Gaya Ki:Jaao Apni Anguthi Utha Lo Aur Use Bech kar Faaida uthao.Unhone Kaha:Qasam Allah Ki! Jis Chiz ko Rasoolallah Sallallaho alaihe Wasallam Ne Phenk Diya Main' Usko Kabhi Nahi Uthaonga. 📝(Sahi Muslim,Hadees No.2090)📘 |
Share on |
0 Comments