بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 26 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Anguthi Pahan ne Ke Masa’il ⁀➷ ─≽ Ab Rahi Baat Ki Kisi Unguli Me Pahan-na Chaahiye.To Chhanguliya (Yani Sab Se Chhoti ungli) Me Pahan-na chaahiye.Jaisa Ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho Bayan Karte Hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ki Anguthi is Ungli Me Thi.Ye Keh Kar Unhono Ne Baaye Haath Ki Chhanguli Ki Taraf ishara Kiya. ✍(Sahi Muslim, Hadees No.2095)📕 ─≽ Mas’ala:- Bich Wali Aur Us Se Mili Hui Shahadat Ki Ungli Aur Anguthe Me Nahi Pahan-na Chaahiye.Hazrat-e-Ali radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki:Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Mujhe Bich Wali Aur Us Se Mili Hui Shahadat Ki Ungli Me Anguthi Pahan Ne Se Mana Farmaya. ✍(Sahi Muslim,Hadees No.2078)📘 ─≽ Aur Ibn-e-Majah Ki Hadees Me Anguthe Ka Lafz Bhi Aaya hai. (Ibn-e-Majah,Hadees No.3648) Is liye in Teeno Ungali Me Nahi Pahan-na Chaahiye. ─≽ Mas’ala:- Anguthi Ke Nagine Me Kisi Bhi Path-thar Ka istemal Karna Durust Hai. Isi Tarah Anguthi Me Apna Naam Ya Allah-o-Rasool Ka Naam Naqsh Karaana jaa’iz hai.Haan Jo Naqsh Huzur Ki Anguthi Me Tha Yani Ki '' Muhammad,Rasool,Allahﷺ.'' Ye Naqsh Karaana jaa’iz Nahi Hai.Kyunki Huzur ﷺ Ne is Se Mana Farmaya, 📝(Sahi Muslim,Hadees No.2092)📙 |
Share on |
0 Comments