بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 32 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Mehandi , Kaanch Ki Churiyan , Lipstick Aur Sindoor wagairah ka Hukm ⁀➷ ─≽ Kuchh Auratein Chhote Ladko Ke Haath Aur Pair Mein Mehandi Laga Deti Hain Ye Bhi Jaa’iz Nahi Hai Aur is Ka Gunah Lagane Wali Ko Hoga. ─≽ Mas’ala :-Kaanch Ki Churiyan Pehan-na Aurato Ke Liye jaa’iz Hai Kyunki Shari’at Ne is Se Mana Nahi Kiya Hai Aur Agar Apne Shauhar Ke Liye Singhaar Ki Niyat Se Pehne To Sawab Bhi Hai Ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki Amal ka Daar-o-Madaar Niyato Par Hai Aur Agar Maa Baap Hukm De To Wajib Hai. 📕(Fatawa Razawiya, Vol: 22, Page No.115) ─≽ Mas’ala:- Lipstick,Sindoor Aur Nail Polish Wagairah Ka istemal Karna Sahi Nahi Hai Kyunki Ye Sab Kaafirah Aurato Ki Pehchaan Hai Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya ki Jo Kisi Qaum Se Mushabehat Ekhtiyar Kare To Woh Bhi Usi Mein Se Hai... |
Share on |
0 Comments