بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 35 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Safeed Baalo ko Rangne Ke Masa’il ⁀➷ ─≽ Ek Hadees Mein Hai Ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki Jin Chizo Se Safeed Baalon Ko Ranga Jaata Hai Un Mein Sab Se Achhchhi Chiz Mehandi Aur Katum Hai. 📔 (Tirmizi,Hadees No.1753) ─≽ Kaale Rang Se Baalo Ko Rangna Sakht Naja’iz Aur Haraam Hai Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Farmaya ki Aakheri Zamaane Mein Ek Qaum Hogi Jo Apne Baalo Ko Kaale Rang Se Rangegi Woh Log Jannat Ki Khushbo Bhi Nahi Paaenge. 📕 (Abu Dawood,Hadees No.4212) ─≽ Hazrat-e-Abu Darda radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki Jo Shakhs kaale Rang Se Apne Baalo Ko Rangega Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Us Ka Muh Kaala Karega. 📗 (Al-Majmaul Zawa’id,Vol:5,Page No.163) ─≽ Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki Jo Kaala Khizaab Karta Hai Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Uski Taraf Rahmat Ki Nazar Nahi Farmaega... 📚 Kanzul Ummal,Hadees No.17331 |
Share on |
0 Comments